Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

~Naqabil-e-Yaqin~

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • ~Naqabil-e-Yaqin~

    Salaam Dosto

    ham ney aksar bohat ajeeb ajeeb waqeyat suney hain. Maslan meri walidah hamein apney walid sahib ka aik waqeya sunati hain:

    "Hamarey zamaney mein gadiyaan, wagonein, buses nahin huwa karti thin. Hamein kaee kaee mil pedal safar kar key kaam per jana parta tha. Kaee baar ham raat der sey ghar laut'tey. Kaee baar ham ney pul (bridge) sey dekha key aik sookhey huwey darya mein bohat door jinnon ki shadi ho rahi hoti, saaz aur dhunein baj rahi hoti magar nazar kya aata siraf aag"

    Yaqinan kuchh log hans rahey hon gey like ham jab han ney pehli baar suna :khi: lekin aagey chaltey hain...

    Yahan per meri aik dost hai ya thi. Woh btati hain keh unki walidah per aik jinn aashaq ho geya jab woh ghair shadi shudah thin. Jinn rozana unkey ghar ka chakar lagata. Phir jab unki shadi ho gaee aur woh Denmark chali aain to jinn bechain ho geya. :pagal: phir aik din jinn ko yeh khabar suneney mein mili keh us aurat ki shadi ho gaee hai aur woh denmark chali gaee hai to jinn uskey peechey denmark aaya aur us aurat sey mil ker geya - (main aisey hi to apni us dost ko jinn ki bachi nahin kaha karta tha :lol :lol ) - chalein aap is per bhi :lol - aagey chaltey hain.

    Mera aik dost hai. Uskey susar ki zubani aik waqeya suna:

    "merey khaloo india mein before partition, kala jadoo kiya kartey they. Aik dino unka ilm ghalat ho geya aur jinnon ney unhein bohat tabah kiya".. :cc: - ab merey usi dost ki sachi aur aap beeti jo yahan Denmark mein year 2005 mein uskey saath aur uski bivi aur bachon key saath pesh aai: Unhon ney aik ghar khareedah jo aik bohat hi budhi mai ka tha, jab woh mari to uska ghar unhon ney khareedah. Apney ghar mein unhein us aurat key chalney phirney, batein karney, kano mein sargoshiyan karney ki aawaz aati rahi. Phir bhabi kehney lagi keh ham ney aik din socha keh ya to ham nahin ya yeh budhi nahin, ham ney taqreeban sara din surat Yasin parhi to uskey aisi aawazein na aai... :masha - agey chaltey hain ---

    Mera bhai University of Copenhagen mein kaam karta hai. Wahan per unhon ney apney samney bad'roohon ko dekha hai aur to aur yahan per aik night club mein badrooh nazar aai hai...

    ab aap ney yeh karna hai keh is thread mein aisey waqeyat share karney hain jo aap ney suney ho, parhey hon ya aap per beetey hon ..... aap likho main :bhago:
    Last edited by Masood; 9 April 2006, 02:08.
    tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
    tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

  • #2
    Re: ~Naqabil-e-Yaqin~

    :donno:

    Comment

    • #3
      Re: ~Naqabil-e-Yaqin~

      aap kion chah rahay hain k hum darr jaaen
      sigpic

      Comment

      • #4
        Re: ~Naqabil-e-Yaqin~

        LEAH........
        MERAY DOST KAY RELATIVES KAY HAAN AIK CHOTI SI BACHI PER JINN AA GYA.WOH JINN JAB BHEE AATA TO BACHI 7~8 BANDON KA KHANA KHA JAATI.PHIR WOH JINN FARMAESHAIN KARTA KEH HALWA BANA KAR DO.ITNI BOTLAIN PEPSI KEE LAI AAO. ETC.

        CHIPKOOOOOOOOOOOO

        Comment

        • #5
          Re: ~Naqabil-e-Yaqin~

          mery pass aik wakia hay jo mery sath hee huwa tha..pher kabi bataoonga abi nahi

          Comment

          • #6
            Re: ~Naqabil-e-Yaqin~

            Originally posted by Eshaa_wellwisher
            aap kion chah rahay hain k hum darr jaaen
            .... ab aap bachi to nahin to dar jaein gi :tomato: chalein jaldi sey woh waqiya btaein jab aap ney aainah dekha tha aur aap dar gaee thin - do din bukhaar mein tapti rahi thi :kr:
            tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
            tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

            Comment

            • #7
              Re: ~Naqabil-e-Yaqin~

              Originally posted by Withoutsoul

              LEAH........
              MERAY DOST KAY RELATIVES KAY HAAN AIK CHOTI SI BACHI PER JINN AA GYA.WOH JINN JAB BHEE AATA TO BACHI 7~8 BANDON KA KHANA KHA JAATI.PHIR WOH JINN FARMAESHAIN KARTA KEH HALWA BANA KAR DO.ITNI BOTLAIN PEPSI KEE LAI AAO. ETC.
              :D: bada farmaishi jinn tha jo Pepsi per zindah tha... khair aisi batein main ney bhi suni hain...
              tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
              tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

              Comment

              • #8
                Re: ~Naqabil-e-Yaqin~

                Comment

                • #9
                  Re: ~Naqabil-e-Yaqin~

                  Originally posted by Masood
                  .... ab aap bachi to nahin to dar jaein gi :tomato: chalein jaldi sey woh waqiya btaein jab aap ney aainah dekha tha aur aap dar gaee thin - do din bukhaar mein tapti rahi thi :kr:
                  Aaeyna dekh k to nahin darri ...But for sure aapko dekh liya to phir kisi jinn ya bhoot ko dekhnay k hasrat nahin rahay gee:tomato:

                  Wessay jinn bhoot ki to koi aise baat nahin suni ...lekin Meray uncle ki Mrs: nay last week bataya tha k wo soeey hoty hain to unhein lagta hai k jesee koi un ko un k name se call ker raha hai .......phir un ki sister k saath bhi yoon huaa k wo soeey hueen theen to kisi nay un k baazo khench k unhein jagaya jab wo utheen to un k haath per nishaan bhi thay:bhago: :embarasse
                  sigpic

                  Comment

                  • #10
                    Re: ~Naqabil-e-Yaqin~

                    Originally posted by Khalil
                    mery pass aik wakia hay jo mery sath hee huwa tha..pher kabi bataoonga abi nahi
                    nahi!! abhi bataye....

                    Comment

                    • #11
                      Re: ~Naqabil-e-Yaqin~

                      6 saal pehlay ki baat hay.. mein aik consulting company mein as an MIS incharge kaam kiya kerta tha.. mera office building mi top floor per tha..aur mera bilkul separate room tha..

                      top floor pe 2 hi offices thay. aik CEO ka dooosra mera... baqi jaga khuli thi...top floor k baray mein loug ajeeb ajeeb batein kiya kertay thay... maslan aik driver baba wahaN chat per charpayee daal ker sota tha.. tou uss ne bataya kayee dafa usski char payee ulat di... khair mein nay kabhi aisi cheezoN ko ahmiyat nai di...

                      doosra waqeya CEO office mein paish aya.. kay uss k washroom ki light kharab hogayee.. uss nay maintenance dept. mein complain ki.. tou technician (Zaheer) aya... uss se permission li.. aur washroom mein chala gaya... kafi der hogayee.. laikin wo wapus hi nahi aya..CEO nay kuch der intizar kiya.. phir wo uth hi rahay thay kay door knock huwa.. aur jo banda ander aya wo Zaheer tha :o ... ab CEO pareshan.. k ye tou washroom mein hay.. ye yahaaN kaisay agaya.. kioN k there was only one exit from washroom.. unhouN ne Zaheer ko danta k tum kahaN se bahar niklay... wo qasmain khanay laga k sir mein tou aya hi abhi hooN... saman lainay gaya huwa tha.. aaap fulaaN se pooch lain.. .

                      meri adat raat ko der tak kaam kernay ki thi... garmioN ki raat thi... almost 2 baj rahay thay.. aur mein office mein kaam ker raha tha.. there was no one in the building except me... mein nay AC waghaira bund ker k doors khol diye thay takay kuch taza hawa aye.. ab mein kaam ker raha tha tou mujhay laga jaisay someone is approaching the door.. mei nay qadmouN ki awaz suni.. mei nay seat se beithay beithay hi door ki taraf dekhna shuru kiya..mera angle aisa tha k bahar ka dikhayee nai dey sakta tha until someone comes in.. .khair... wo qadmouN ki chaap khatum hogayee... aur koi nai aya.. mein nay ignore kerdiya... thori der mein phir wahi chaap... aur qareeb aker khatum.... mein samjha k koi guard hoga.. jo raat ko chakkar laga rahay hotay hein building ka..
                      laikin 3rd and 4th time bhi aisa huwa tou meray zehen mein saray qissay ghomnay lagay.... mein nay socha... dekhooN tou...ye hay kia shaye... jaisay hi mein door se bahar nikla.. .tou mein nay dekha .................................................. ......

                      wo aik black color ka shopping bag tha,... jo hawa se khisakta khisakta pehlay meray darwazay k qareeb ata.. tou aisi awaz ati jaisay koi chal raha hay... aur phir door chala jata... lolz.... ...
                      mei nay wahan 3 years kaam kiya.. aur meray saath kabhi koi waqeya paish nahi aya... =))

                      Comment

                      • #12
                        Re: ~Naqabil-e-Yaqin~

                        Originally posted by Aik Lamha

                        hum ne pehle end ka sentence padh liya..:zuban:
                        Isi liye ab hume is "hawai kahani" ko padhne ki koi zarorat nahi...... :na:

                        Comment

                        • #13
                          Re: ~Naqabil-e-Yaqin~

                          Originally posted by ummid
                          hum ne pehle end ka sentence padh liya..:zuban:
                          Isi liye ab hume is "hawai kahani" ko padhne ki koi zarorat nahi...... :na:

                          kaash kuch parh likh jati tou aaj ye haal na hota...

                          kitni mehnat aur der lagi aap ko last sentence parhnay mein? :tasali:

                          Comment

                          • #14
                            Re: ~Naqabil-e-Yaqin~

                            Originally posted by Aik Lamha
                            kaash kuch parh likh jati tou aaj ye haal na hota...

                            kitni mehnat aur der lagi aap ko last sentence parhnay mein? :tasali:
                            koi mehnaat aur dair nahi lagi janab...:na:

                            Comment

                            • #15
                              Re: ~Naqabil-e-Yaqin~

                              Originally posted by ummid
                              koi mehnaat aur dair nahi lagi janab...:na:
                              agar aap nay iss post ko parha nai tou phir aap ko kaisay pata k ye hawai hay...

                              Comment

                              Working...
                              X