Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

*~*~*Current Mood, Post Here*~*~*

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Re: *~*~*Current Mood, Post Here*~*~*

    konsi ankhein kis ki aankhein :eek: :cc: :donno:
    If Allah brings you to it, He will bring you through it.

    Happy moments, praise Allah.
    Difficult moments, seek Allah.
    Quiet moments, worship Allah.
    Painful moments, trust Allah.
    Every moment, thank Allah.



    Comment


    • Re: *~*~*Current Mood, Post Here*~*~*

      Originally posted by Masood View Post
      Ham ney qatal nigahon ka dawa apna nahin kiya tha - balkeh aap ki shatir nigahon ka kaha tha jo nazar hi nahn aati - chuni muni :p
      dekehn aap khud he apni baat badal rahe hain. aap ney uss post mein HAMARI ka lafz istmaal kiya tha. doosri baat ye k Zia Ul Haq ki aankhen cuni muni nahi hain aur ager hmari aakhen aap k khyal mein Chuni Muni hain tou Zia Ul Haq ki aankhon say nahi mil saktein

      so conclusion ye hua k in the light og above two evidences ye AAP ki apni aankhen hain :lol
      "All I have learned from Life is that I know nothing."




      Comment


      • Re: *~*~*Current Mood, Post Here*~*~*

        Originally posted by aabi2cool View Post
        is masly ko agar jugrafiyai tor par samjha jay to baat uon samjh main aati hy k jis jugrafiyai hudood main in sahib ki ankheen hain bilkul ussi tarz por gule lala ji cheray par ankhoon k asraat pay jaty hain..kaya main theek samjha..:lpop:

        Ji ji aap drust samjhey dono mein jo common factor hai woh inki shokh-o-chanchal aankhein hain :kr:
        tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
        tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

        Comment


        • Re: *~*~*Current Mood, Post Here*~*~*

          Originally posted by Masood View Post
          :kr: Shuker karein Ahmed Faraz Pegham ka member nahin warna woh becharey to tarrap utht'tey aap ka zoq dekh ker ... is per mujhey bhi aik shair yaad aaya - yani aap ki aankhon per:

          Gul-e-Lala ki aankhon mein woh masti hai yaaro
          keh teer hai kahin aur nishana kahin :p :p

          kyun kyun Ahmed Faraz ko kiya prob ho gi bhala. ham nay un ka shair sunaya hai tou ye un k liye aizaaz ki baat honi chahye

          aur jo shair aap ne sunya hai ye bilkul bhi [ractical nahi hai. u see jahan masti hoti hai wahan insan hosh o hawas say begana hota hai tou wahan teer chal he nahi sakta so ye shair he ghalat hai. esi liye ham shaiiry ko pasand nahi kerte k EXAGGERATION ki had ker dete hain shaair log.
          "All I have learned from Life is that I know nothing."




          Comment


          • Re: *~*~*Current Mood, Post Here*~*~*

            Originally posted by Gul-e-Lala View Post
            dekehn aap khud he apni baat badal rahe hain. aap ney uss post mein HAMARI ka lafz istmaal kiya tha. doosri baat ye k Zia Ul Haq ki aankhen cuni muni nahi hain aur ager hmari aakhen aap k khyal mein Chuni Muni hain tou Zia Ul Haq ki aankhon say nahi mil saktein

            so conclusion ye hua k in the light og above two evidences ye AAP ki apni aankhen hain :lol
            Arey waaaaah Lala ji to aap badi form mein hain lagta hai keh bohat achha rest mila hai - jo dimaghi keerrey badi tezi sey kaam kar rahey hain :thmbup: waisey main ney HAMARI aap ki janib sey kaha tha - zara GHAUR sey parhein - aur phir bhi samajh na aaey to kisi achhey sey hakeem sey rajooh kijiye aap ki tabiyat sach mein kharab ho rahi hai - aainah kam dekhein :p
            tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
            tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

            Comment


            • Re: *~*~*Current Mood, Post Here*~*~*

              Originally posted by NaQsh View Post
              konsi ankhein kis ki aankhein :eek: :cc: :donno:
              Naqsh ji ye Maqsood nahi Masood, nahin Admin ohho I mean in sab mein say kisi aik ki Aankhon ki baat ho rahi hai. raha kon si aankhon ka sawal tou woh Wali aankhen jin k barey mein ham ney ooper aik shair likha hai
              "All I have learned from Life is that I know nothing."




              Comment


              • Re: *~*~*Current Mood, Post Here*~*~*

                Originally posted by aabi2cool View Post
                is masly ko agar jugrafiyai tor par samjha jay to baat uon samjh main aati hy k jis jugrafiyai hudood main in sahib ki ankheen hain bilkul ussi tarz por gule lala ji cheray par ankhoon k asraat pay jaty hain..kaya main theek samjha..:lpop:
                aap baqi tou bilkul sahi samjhey lakin ye ghalat samjhey k baat Gul-e-Lala ki aankhon ki nahi ADMIN sahib ki asara sir apni ZATI aankhon ki ho rahi hai

                "All I have learned from Life is that I know nothing."




                Comment


                • Re: *~*~*Current Mood, Post Here*~*~*

                  Originally posted by Gul-e-Lala View Post
                  kyun kyun Ahmed Faraz ko kiya prob ho gi bhala. ham nay un ka shair sunaya hai tou ye un k liye aizaaz ki baat honi chahye

                  aur jo shair aap ne sunya hai ye bilkul bhi [ractical nahi hai. u see jahan masti hoti hai wahan insan hosh o hawas say begana hota hai tou wahan teer chal he nahi sakta so ye shair he ghalat hai. esi liye ham shaiiry ko pasand nahi kerte k EXAGGERATION ki had ker dete hain shaair log.
                  Khabardar shairion key liye kuchh kaha to warna shair suna suna kar bore kar doon ga :p aur yeh shairon ka hi bhala hai keh aap jaisi bore makhloq jissey aurat kehtey hain ussey shokh-o-chanchal bna detey hain :p :p
                  tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
                  tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

                  Comment


                  • Re: *~*~*Current Mood, Post Here*~*~*

                    Originally posted by Masood View Post
                    Ji ji aap drust samjhey dono mein jo common factor hai woh inki shokh-o-chanchal aankhein hain :kr:
                    aram say baat karen werna ham aap ka jughrafiya badal den gey aur aap ki Aankhon ka bhi :na:
                    "All I have learned from Life is that I know nothing."




                    Comment


                    • Re: *~*~*Current Mood, Post Here*~*~*

                      Originally posted by Gul-e-Lala View Post
                      Naqsh ji ye Maqsood nahi Masood, nahin Admin ohho I mean in sab mein say kisi aik ki Aankhon ki baat ho rahi hai. raha kon si aankhon ka sawal tou woh Wali aankhen jin k barey mein ham ney ooper aik shair likha hai

                      chalo shuker hai main bach geya hoon - mera naam to Tariq hai
                      tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
                      tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

                      Comment


                      • Re: *~*~*Current Mood, Post Here*~*~*

                        Originally posted by Gul-e-Lala View Post
                        aram say baat karen werna ham aap ka jughrafiya badal den gey aur aap ki Aankhon ka bhi :na:
                        Dekh to Gul ki aankho sey uthta hai
                        Yeh Ghussa sa kahan sey uth'ta hai :D :D :D :D
                        Last edited by Masood; 4 February 2007, 17:47.
                        tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
                        tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

                        Comment


                        • Re: *~*~*Current Mood, Post Here*~*~*

                          Originally posted by Masood View Post
                          Arey waaaaah Lala ji to aap badi form mein hain lagta hai keh bohat achha rest mila hai - jo dimaghi keerrey badi tezi sey kaam kar rahey hain :thmbup: waisey main ney HAMARI aap ki janib sey kaha tha - zara GHAUR sey parhein - aur phir bhi samajh na aaey to kisi achhey sey hakeem sey rajooh kijiye aap ki tabiyat sach mein kharab ho rahi hai - aainah kam dekhein :p
                          aik baar phir aap ki baat mein logic nahi hai. pehely aap ne kaha k ham form mein hain aur end per keh rahe hain k hamari tabiyat khrab hai. this shows k aap ka Damagh out hai aaj :lol
                          aur ye jo aap k khyal mein aap ne Hamari taraf say likha tha tou kyun bhii ham ney aap ko apna Terjuman kab say muqarar kiya? waise aap ko apni urdu teeh kerne ki zaroorat hai woh post perrhye aur ager hamari taraf say likhe tha tou grammer ki roo say wahan AAP ki ana chahye tha na HAMARI (samjh aaya kuch)
                          "All I have learned from Life is that I know nothing."




                          Comment


                          • Re: *~*~*Current Mood, Post Here*~*~*

                            Originally posted by Masood View Post
                            Khabardar shairion key liye kuchh kaha to warna shair suna suna kar bore kar doon ga :p aur yeh shairon ka hi bhala hai keh aap jaisi bore makhloq jissey aurat kehtey hain ussey shokh-o-chanchal bna detey hain :p :p
                            ohhhhhooo ham kahen gey shaiiron ko bare mein jo hamara dil chahey ga kon hai humain mana kerne wala :na: aur kis ne dawat di hai shaairon ko k hamari sinf ko shokh o chanchal bana den. aur koi kaam milta nahin hai na es liye :khi:
                            "All I have learned from Life is that I know nothing."




                            Comment


                            • Re: *~*~*Current Mood, Post Here*~*~*

                              Originally posted by Masood View Post
                              Dekh to Gul ki aankho sey uthta hai
                              Yeh Ghussa sa kahan sey uth'ta hai :D :D :D :D
                              :tomato::tomato::tomato:Gul-e-Lala nahi Admin likhna chahye tha yahan
                              "All I have learned from Life is that I know nothing."




                              Comment


                              • Re: *~*~*Current Mood, Post Here*~*~*

                                Originally posted by Masood View Post
                                chalo shuker hai main bach geya hoon - mera naam to Tariq hai

                                aap kabhi koi aik baat bhi ker sakte hain:cc: ooper kiya likha hua hai apney nic mein aur ab ye Mr. Tariq kahan say aa gaye :shh:
                                "All I have learned from Life is that I know nothing."




                                Comment

                                Working...
                                X