Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Yaad Aaya

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Re: Yaad aaya

    betii hi thii wo bhi kisi ki, bohat afsurda nazar aatii thii hamesha

    Comment


    • Re: Yaad aaya

      afsurdah sey yaad aaya keh yeh udaasiyaan betiyon key naseebon mein hi kyun likhi jati hai?
      tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
      tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

      Comment


      • Re: Yaad aaya

        sinf-e-nazuk se ziyada kon hassaas hota hay bhala?

        Comment


        • Re: Yaad aaya

          sinf-e-nazuk key ehsaas ki qadar kartey huwey mujhey yaad aaya keh aik hai jo bohat hisaas hai, mera dil :)
          tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
          tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

          Comment


          • Re: Yaad aaya

            hassaas pe yaad aya keh aadami kab hassaas hote haiN, ye khaassa to aurat ka hi hay

            Comment


            • Re: Yaad aaya

              khasiyyat peh yaad aaya keh yehi to aik ghalatfehmi hai keh mard behis hotey hain - Ghalib ka kehna hai:

              dard jab dil mein ho to dawa kijiye
              dil hi jab dard ho to kya kijiye????
              tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
              tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

              Comment


              • Re: Yaad aaya

                isi pe apna 1 sher yad aya

                dard-e-dil, dard-e-jigar, soz-e-alam, dard-e-firaaq
                ye mohabbat ki haiN sauGhaat, tumheN kya ma,loom
                najma ansar najma

                Comment


                • Re: Yaad aaya

                  shair say yaad aaya ky mujhy poetry bohat zada pasand hai aur aap ky poetry to soperb hote hai :rose

                  Comment


                  • Re: Yaad aaya

                    pasand peh yaad aaya apna hi aik shair:

                    soz-e-dil, talab-e-dil, tadap-e-dil o aah-e-dil
                    yeh dil hi tamanaoun ka shaitan nikla
                    tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
                    tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

                    Comment


                    • Re: Yaad aaya

                      tamanaon say yaad aaya ky insaan ki kitne sare tamanaain hote hain na ..aur dil chahta hai sare pore ho ja'ain :)

                      Comment


                      • Re: Yaad aaya

                        dil se yaad aya yeh kambakht dil bhi pata nahikya jeez hai

                        Comment


                        • Re: Yaad aaya

                          pata nahin se yaad aya aaj kal pata nahin kiya kiya ho raha hai

                          Comment


                          • Re: Yaad aaya

                            aaj kal sy yaad aaya ky aaj kal kitny masroof hon main :eye:

                            Comment


                            • Re: Yaad aaya

                              oho

                              masroof se yaad aya masrofiyat achi ho tu bahut achi lagti hai

                              Comment


                              • Re: Yaad aaya

                                ache lagne se yaad aya........mujhe music bohat acha lagta hai

                                Comment

                                Working...
                                X