Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Sawaal Peh Sawaal

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Re: Sawaal Peh Sawaal

    nahin, bilkul nahin.....lakin log insanon se kiun dartey hain ye jante howe bhi????

    Comment


    • Re: Sawaal Peh Sawaal

      aaj ke insaan ko tum insaan keh sakti ho kya?

      Comment


      • Re: Sawaal Peh Sawaal

        han kiun keh aaj mein ,mein bhi tu rehti hoon,kiya tum khud ko samne rakh ker aisa soch sakti ho???

        Comment


        • Re: Sawaal Peh Sawaal

          ham to ek dam achay insaan haiN, YE ZIKR TO INSAAN NUMA HEWANON KA HAY NA.SAMJHEEN?

          Comment


          • Re: Sawaal Peh Sawaal

            insaan to har dor main aisa raha hai keh uskey be-shumaar roop hain, aap aaj key insaan ko aisa kyun kehti hain?
            tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
            tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

            Comment


            • Re: Sawaal Peh Sawaal

              waqt k saath sab badalta hay, bad se bat-tar hota jaraha hay insaan. k ye taraqqi k naam par. tanazzul taraf naheeN jaraha?

              Comment


              • Re: Sawaal Peh Sawaal

                Tannazzul us waqt aata hai jab insaan apney mazhab sey doori ikhtiyaar kar leta hai, duniya ki khawahish karta hai aur is key liye ehkaam-e-khuda wandi ko bhool jata hai. Sambhalney ka agar koi raasta hai to apney aap k pehchaan hai, jo har koi nahin karta. Nafsa-nafsi ka door hai. Jab sab ko apni apni parh jaey to tannazzul to ho ga hi na??
                tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
                tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

                Comment


                • Re: Sawaal Peh Sawaal

                  in khayalaat se kise inkar hoga?

                  Comment


                  • Re: Sawaal Peh Sawaal

                    Inkaar nahin magar apney khiyalaat to zahir karney chahiye na, tabhi to insaan aik doosrey sey seekh sakta hai. Aur mujhey bohat kuchh seekhney ka shoq hai. Kitabon key parhney sey insaan aur insaani ki sochein parhney sey ziyada kuchh seekha jata hai, keh nahin?
                    tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
                    tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

                    Comment


                    • Re: Sawaal Peh Sawaal

                      ab zaroori ha kia her koi hamary khayalat samajh saky?? :embarasse

                      Comment


                      • Re: Sawaal Peh Sawaal

                        Originally posted by aik_lerki
                        ab zaroori ha kia her koi hamary khayalat samajh saky?? :embarasse
                        bilkul nahi jee
                        jo bhi maangna hai khuda se maang aye akbar
                        yahi woh dar hai jahan aabroo nahi jaati

                        Comment


                        • Re: Sawaal Peh Sawaal

                          Question kaha hai?? :eye:

                          Comment


                          • Re: Sawaal Peh Sawaal

                            haan inka question kaha kho gaya?

                            Comment


                            • Re: Sawaal Peh Sawaal

                              hazmah bohat acha hay kisii ka:razz poora sawall hi hazm kaliya kya kisi ne?:wink

                              Comment


                              • Re: Sawaal Peh Sawaal

                                Haan Lagta Hai Inko Phook Kuch Ziada Hi Lagi Hui Thi ???

                                Comment

                                Working...
                                X