Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

*Sahi* / *Ghalat*

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • #31
    Re: *Sahi* / *Ghalat*

    aik jaga aap nay "zuban" or doosri jaga "zaban" likha ..yeh mistake hai na ?
    اللھم صلی علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما صلیت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔
    اللھم بارک علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما بارکت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔

    Comment


    • #32
      Re: *Sahi* / *Ghalat*

      Originally posted by Aanchal
      aik jaga aap nay "zuban" or doosri jaga "zaban" likha ..yeh mistake hai na ?
      Chalein aap kehti hain to raaz kholey deta hoon

      Is jumley mein kuchh bhi ghalat NAHIN. Urdu mein ZUBAN (yani zey key ooper pesh) bhi saheeh hai aur ZABAN (zey key ooper zabar) bhi saheeh hai. Matlab yeh:

      ZUBAN likhein ya ZABAN likhein dono saheeh hain :tomato:
      tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
      tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

      Comment


      • #33
        Re: *Sahi* / *Ghalat*

        mai ny bhe yahe socha tha ky is mai to koi galte he nahe hai :p
        ab next sentence kon pochy ga .. :)

        Comment


        • #34
          Re: *Sahi* / *Ghalat*

          app hi poch lain koi manna nahi kary ga;)

          Comment


          • #35
            Re: *Sahi* / *Ghalat*

            umm chalo aap kehte ho to pooch lete hon :)
            ager kise ny kuch kaha to mai aap ka naam lay doon ge ky maheen ny kaha tha..:p




            Dervazy main dastak par rahe hai..

            Comment


            • #36
              Re: *Sahi* / *Ghalat*

              dervazy per dastak hoo rahi hay

              Comment


              • #37
                Re: *Sahi* / *Ghalat*

                Originally posted by aflatoon
                dervazy per dastak hoo rahi hay
                :) Right
                ab next sentence to pochyay na

                Comment


                • #38
                  Re: *Sahi* / *Ghalat*

                  Ab agla jumla kon kahey ga??? (yeh sawal hai issey drust karein :) )
                  tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
                  tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

                  Comment


                  • #39
                    Re: *Sahi* / *Ghalat*

                    ye to bohat asaan hai

                    Ab agla jumla kon likhay / bata'ay ga

                    sahe hai na??:eye:

                    Comment


                    • #40
                      Re: *Sahi* / *Ghalat*

                      Originally posted by aik_lerki
                      ye to bohat asaan hai

                      Ab agla jumla kon likhay / bata'ay ga

                      sahe hai na??:eye:

                      sahi to yahi lagta hai :cc:
                      sigpic

                      Comment


                      • #41
                        Re: *Sahi* / *Ghalat*

                        Originally posted by aik_lerki
                        Ab agla jumla kon likhay / bata'ay ga
                        Ab agla jumla kon LIKHEY ga - DRUST bataey ga ghalat kyun keh yahan par koi btaa nahin sakta aur na koi sun sakta hai. But aap ney saheeh kaha keh LIKHEY ga

                        :)
                        tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
                        tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

                        Comment


                        • #42
                          Re: *Sahi* / *Ghalat*

                          Originally posted by Masood
                          Ab agla jumla kon LIKHEY ga - DRUST bataey ga ghalat kyun keh yahan par koi btaa nahin sakta aur na koi sun sakta hai. But aap ney saheeh kaha keh LIKHEY ga

                          :)
                          :kood:
                          ab next jumla mai pocho??

                          Comment


                          • #43
                            Re: *Sahi* / *Ghalat*

                            AOA,


                            Ji aap ko ijazat hai:)


                            Sohail Abbasi.
                            Apna haq ada karo.

                            Comment


                            • #44
                              Re: *Sahi* / *Ghalat*

                              Okay :D:

                              Subha Subha main jaagna sab sy bara mushkil kaam hai

                              Comment


                              • #45
                                Re: *Sahi* / *Ghalat*

                                Originally posted by aik_lerki
                                Okay :D:

                                Subha Subha main jaagna sab sy bara mushkil kaam hai

                                Subah Subah Jaagna sab se zada mushkil kaam hai /
                                Subah sawairey jaagna sab se zada mushkil kaam hai (subah subah ki jaga subah sawairey bhi istemal hota hai)

                                ab sahi kya hai
                                sigpic

                                Comment

                                Working...
                                X