Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

10 words...!

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • #16
    Re: 10 words...!

    Originally posted by ScorpioN_RulzZ
    Mohabbat....
    Mohabbat mustaqil gham hai, Muhabbat gham ka gehwara,
    jo aanso rang lay aaiy, wohee daman ka sheh-para...


    NaFrat....
    maiN khud yeh chahta hooN k halaat hooN kharab,
    mery khilaaf zeher ugalta phiray koi..


    Dosti....
    woh dil main tabas'sum ki kiran gholnay wala,
    rothay to rutooN ko bhi sanwarnay nahee dayta..


    Shadi....
    sabit howa sukooon-e-dil-o-jaaN kaheeN nahee,,
    rishtooN main dhonDta hai to DhonDa karay koi..

    Ghar....
    hasrat si barasti hai dar-o-baam pay har soo,,
    rotee hoi kaliyaan hain, sisak'tay howay ghair hain..


    Dard....
    yooN to har shaks akaila hai bhari dunia maiN,
    phir bhi har dil kay muqad'dar maiN nahee tanhai..


    Khushi....
    apni aadat badal nahee sakta,,
    gham ka soraj hooN dhal nahee sakta..


    Duniya....
    Duniya ko mery dil say shikayat ajab hain,
    maiN kaisay bataooN, mery halat ajab hain.


    Camera....
    is bay'charay par kisi shayer nay tawaj'jah nahee dee :khi:

    Mout....
    nahee martay hain to e'zaa nahee jhaili jati,
    aur martay hain to paimaaN shikani hoti hai..
    :pagal:
    :thmbup:

    Comment


    • #17
      Re: 10 words...!

      Originally posted by munda_sialkoty
      :clap:
      Aap bhi apni raay dijye...
      sirf clap mat kijye....:na:

      Comment


      • #18
        Re: 10 words...!

        Aap ke beyaanat ki rooshni mein yeh nateeja nikaalna be-ja na ho ga ke aap Allah Taalah ki laakh neematon ke milnay ke bawajood bhi kisi na kisi tarah se na-shukri ker rahay hein...Allah Taalah ne aap ko Ashraf-ul-Mehlookat banaya...aap ko aik jism atta kia...sooch atta ki...danai bakhshi...imtehaan to Khuda ki zaat her aik se leti he...phir is mein gilla kesa...Hazrat Bilal aur Hazrat Ayoob (EA) ki zindagi per kabi ghoor keejiye ga...her halaat mein Allah Taalah ka shuker ada kia...aur nawazay gaye
        Aamir agree - Hazrat Bilal aur Hazrat Ayyud (EA) ki zindagi mein aur bohat beshumar batein hain jinhein point out kiya jaa sakta aur jin per amal kiya jaa sakta hai... Main yahan jis insaan ki baat kar raha hoon woh AIK AAM DO WAQT KI ROTI SEY MAFLOOJ INSAAN ki baat kar raha hoon aur mujhey afsos key saath kehna parta hai keh hamarey apney mulk ki aabadi ka more than 50% hissah aisa hai jo shadeed tareen muflasi mein zindagi guzar rahey hain - kabhi aap unkey ghar jaa ker un sey poochein keh zindagi kya hai??
        Aaj kal ke door mein jalnay wali koi baat nahi...na to ub koi barish ka masla he...na hi koi keht perta he...Allah ka shuker he ke her insaan apne tajarbay aur apni danist se apna apna rizq hasil ker raha he...Jis ko moot pyaari hoti he wo moot ko galay lagata he...bhai jaan aap to mashallah se kafi khush-haal hein...phir aisa kyoon
        don't tell me Aamir key you think keh duniya key 6 arb insaan apney gharon mein 2 waqt ki roti aaram sey khatey hain, don't tell me. Zara Sudan jaa ker dekho keh insaniyat ka kya mazzaq urraya jaa raha hai, ghiddein is intizar mein urrti phir rahi hain keh bachey bhook sey marein aur woh un per toot parein - afrika aik tarf - zara apney mulk ka jaiza lijiye keh wahan per kya kya halaat hain - zara apney nematkadah sey bahir nikal ker ghurbaa key zehmatkadon mein jhaankiyey ...
        Aur main ney apni baat kabhi nahin ki - main hamesha apni society, apney moashrey aur apney gird-o-nawah mein honey wali baton k biyaan karta hoon. You won't belive - Denmark jahan main rehta hoon, duniya ka 3. most advanced and well-established mulk - yahan per - i think - 1800 afraad aisey hain jo sarrkon per sotey hain yahan ki total aabadi 5.5 mill. hai. 1800 afrad live on roads!!!!!!!!
        WHat you are talking about is a rare case...mostly the things doesn't work the way you mentioned...warna..shadi se insaan ko jeevan sathi milta he...aik khushi milti he
        Aamir aap ko maloom hai Pakistan mein talaqon ki sharaa kiya hai??? I know unki bohat sari wajoohat hoti hain, lekin phir bi? Let me tell you, the pakistani community living here in Denmark is a small one - lekin jab ghaur karein to har 3. ya 4. ghar mein talaq ki problem hai - kahin ho chuki hoti hai to kahin ho rahi hoti hai.. kabhi moashrey ka jaiza liya karein...
        tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
        tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

        Comment


        • #19
          Re: 10 words...!

          Originally posted by Masood
          :tauba Naz aunty ko in baton ki samajh nahin aati - seedhey seedhey sawalon ka seedha seedha jawab do :p
          yeh bhi aanchal aur shy khala jaysi he hain :tauba, koi to zaheen hoga na is dunia main :mm:
          That's Enough...!!

          Comment


          • #20
            Re: 10 words...!

            Originally posted by munda_sialkoty
            :pagal:

            kaT'ti haiN zubanaiN kaT jaiN, jatay hain to sar jaiN,,,
            hum pagal, diwanay, wehshi, sachi batain kehtay hain.. :khi:
            That's Enough...!!

            Comment


            • #21
              Re: 10 words...!

              Originally posted by naz



              Mohabbat....Aik Pakeeza Rishta(bashurt pakeeza samjha jaye tu)

              NaFrat....Aik Khaternak Bemari

              Dosti....Bharosa

              Shadi....Yaqeen

              Ghar....Janat

              Dard....MustaQiL rehne wale sheh

              Khushi....bhot Kum MiLne wale Sheh

              Duniya....Dhokha dene wale log

              Camera....Khoubsurat PuL MehFoz karna

              Mout....Sakon....Rahat
              :thmbup: :phool: :phool: :phool:

              Comment


              • #22
                Re: 10 words...!

                Mohabbat.... apna pan

                NaFrat.... udasi

                Dosti.... achey saathi

                Shadi.... life partner

                Ghar.... rehney ki jagah

                Dard.... burey waqt ka ehsas

                Khushi.... bantney ke liyey

                Duniya.... sab ki

                Camera.... to hide from

                Mout.... freedom


                :alhamd:

                Comment


                • #23
                  Re: 10 words...!

                  Originally posted by Masood
                  Aamir agree - Hazrat Bilal aur Hazrat Ayyud (EA) ki zindagi mein aur bohat beshumar batein hain jinhein point out kiya jaa sakta aur jin per amal kiya jaa sakta hai... Main yahan jis insaan ki baat kar raha hoon woh AIK AAM DO WAQT KI ROTI SEY MAFLOOJ INSAAN ki baat kar raha hoon aur mujhey afsos key saath kehna parta hai keh hamarey apney mulk ki aabadi ka more than 50% hissah aisa hai jo shadeed tareen muflasi mein zindagi guzar rahey hain - kabhi aap unkey ghar jaa ker un sey poochein keh zindagi kya hai??

                  don't tell me Aamir key you think keh duniya key 6 arb insaan apney gharon mein 2 waqt ki roti aaram sey khatey hain, don't tell me. Zara Sudan jaa ker dekho keh insaniyat ka kya mazzaq urraya jaa raha hai, ghiddein is intizar mein urrti phir rahi hain keh bachey bhook sey marein aur woh un per toot parein - afrika aik tarf - zara apney mulk ka jaiza lijiye keh wahan per kya kya halaat hain - zara apney nematkadah sey bahir nikal ker ghurbaa key zehmatkadon mein jhaankiyey Aur main ney apni baat kabhi nahin ki - main hamesha apni society, apney moashrey aur apney gird-o-nawah mein honey wali baton k biyaan karta hoon. You won't belive - Denmark jahan main rehta hoon, duniya ka 3. most advanced and well-established mulk - yahan per - i think - 1800 afraad aisey hain jo sarrkon per sotey hain yahan ki total aabadi 5.5 mill. hai. 1800 afrad live on roads!!!!!!!!

                  Aamir aap ko maloom hai Pakistan mein talaqon ki sharaa kiya hai??? I know unki bohat sari wajoohat hoti hain, lekin phir bi? Let me tell you, the pakistani community living here in Denmark is a small one - lekin jab ghaur karein to har 3. ya 4. ghar mein talaq ki problem hai - kahin ho chuki hoti hai to kahin ho rahi hoti hai.. kabhi moashrey ka jaiza liya karein...
                  Masood...generally what you said is agreeable...aur mein ne jo hypocrisy ka word use kia wo is liye kiya tha ke baat personal opinion ki ho rahi thi...you were supposed to address only urself...only urself means only urself, not the whole society...poocha sirf yeh gaya tha ke yeh jo words hein aap ki apni zindagi mein kia maani rakhtay hein...ager apne aap ko address kerne ki bajaye aap puray moaashray ki numaindgi kerne lagein to mein yeh kahon ga ke aap ne is post ko justify nahi kia...Though the issues that you highlighted are critical and worth-mentioning, but these can be addressed separately in some other relevant threads.

                  But in the meantime, I would surely appreciate your overall thoughts, ur deep insight and extreme concern over the downfall of our society
                  :thmbup:

                  Comment


                  • #24
                    Re: 10 words...!

                    Originally posted by ScorpioN_RulzZ

                    kaT'ti haiN zubanaiN kaT jaiN, jatay hain to sar jaiN,,,
                    hum pagal, diwanay, wehshi, sachi batain kehtay hain.. :khi:
                    Yaar tum insaan ho ke shair ho :pagal:
                    Kahin aap Mirza-Galibun to nahi :pagal:
                    :thmbup:

                    Comment


                    • #25
                      Re: 10 words...!

                      Mohabbat....Allah ka diya hua aik Tohfa

                      NaFrat....Dimaag ko lagnay wala dheemak

                      Dosti....Aik Neemat

                      Shadi....Aik zarorat

                      Ghar....Aik aashiyaana

                      Dard....Aik unchaha ehsaas

                      Khushi....Aik khusgawaar ehsaas

                      Duniya....Her rang ke loog

                      Camera....Science ki aik hairat-angaiz aijaad

                      Mout....Aik hakeekat
                      :thmbup:

                      Comment


                      • #26
                        Re: 10 words...!

                        Mohabbat....jitni karo kum hai.:eye:

                        NaFrat....dil se karo:slap:


                        Dosti....paisa jiske pass hai duniya uski dost hai

                        Shadi....khani aabadi,baad mein barbadi:pagal: :budhu:

                        Ghar....TV dekho aaram karo....:D

                        Dard....Iodex hai na..??:wk

                        Khushi....achha naam hai..:cc:

                        Duniya....jahan hum insano ko saza ke taur pe bheja geya hai.

                        Camera....smile plzzzzz:zuban:

                        Mout....haan bas ek yehi haqeeqat hai.

                        Comment


                        • #27
                          Re: 10 words...!

                          Originally posted by munda_sialkoty
                          Yaar tum insaan ho ke shair ho :pagal:
                          Kahin aap Mirza-Galibun to nahi :pagal:
                          Ek jaam to pe laynay day, aiy gardish-e-doraan,
                          phir tujh ko batata hooN k maiN kaun hooN kia hooN
                          That's Enough...!!

                          Comment


                          • #28
                            Re: 10 words...!

                            Originally posted by munda_sialkoty
                            Masood...generally what you said is agreeable...aur mein ne jo hypocrisy ka word use kia wo is liye kiya tha ke baat personal opinion ki ho rahi thi...you were supposed to address only urself...only urself means only urself, not the whole society...
                            Pyarey bhai aik baat kahoon, kabhi kisi ki feelings ko radd karney ki koshish mat karna - halaat aisey bhi hotey jin mein insaan woh sab kuchh soch leta hai - u won't belive mujh per woh halaat hai jo main ney likha tha :). I think is ki tafseel mein nahin jana chahiye :)

                            Agar yehi baatein mujhe ysey kuchh arsa pehley poochhi jatein to shayid jawab kuch aur hota..
                            Last edited by Masood; 4 May 2006, 14:54.
                            tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
                            tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

                            Comment


                            • #29
                              Re: 10 words...!

                              Originally posted by ScorpioN_RulzZ
                              Ek jaam to pe laynay day, aiy gardish-e-doraan,
                              phir tujh ko batata hooN k maiN kaun hooN kia hooN
                              Mere paas tere shairon ka sirf aik hi jawaab he :slap:
                              Aik shareef aur aasaan se insaan ko mushkil mushkil shair suna ke chaar shanay chit kerne ki nakaam kooshish ke raha he...yeh le aik aur :slap:

                              Aur khabardaar ainda koi shair sunaya :na:










                              warna me
                              :thmbup:

                              Comment


                              • #30
                                Re: 10 words...!

                                Originally posted by Masood
                                Pyarey bhai aik baat kahoon, kabhi kisi ki feelings ko radd karney ki koshish mat karna - halaat aisey bhi hotey jin mein insaan woh sab kuchh soch leta hai - u won't belive mujh per woh halaat hai jo main ney likha tha :). I think is ki tafseel mein nahin jana chahiye :)

                                Agar yehi baatein mujhe ysey kuchh arsa pehley poochhi jatein to shayid jawab kuch aur hota..
                                hmmm...Masood ager waqei mein aisa he to mein tumhari sooch ko salam kerta hoon :salam:
                                :thmbup:

                                Comment

                                Working...
                                X