Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

10 words...!

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • 10 words...!

    Baz Makhsos ALFaz App Ke Liye Kiya Maynee Rakhte Hain

    Mohabbat....

    NaFrat....

    Dosti....

    Shadi....

    Ghar....

    Dard....

    Khushi....

    Duniya....

    Camera....

    Mout....

    ~Main tu samjha tha ke lout atey hain janey waley
    tu ney jaker tu judai meri qismat karde...~

  • #2
    Re: 10 words...!

    Mohabbat....Aik Pakeeza Rishta(bashurt pakeeza samjha jaye tu)

    NaFrat....Aik Khaternak Bemari

    Dosti....Bharosa

    Shadi....Yaqeen

    Ghar....Janat

    Dard....MustaQiL rehne wale sheh

    Khushi....bhot Kum MiLne wale Sheh

    Duniya....Dhokha dene wale log

    Camera....Khoubsurat PuL MehFoz karna

    Mout....Sakon....Rahat

    ~Main tu samjha tha ke lout atey hain janey waley
    tu ney jaker tu judai meri qismat karde...~

    Comment

    • #3
      Re: 10 words...!

      Naz baji yeh lijiye :p

      Baz Makhsos ALFaz App Ke Liye Kiya Maynee Rakhte Hain

      Mohabbat.... Khawab

      NaFrat.... Sila

      Dosti.... Saraab

      Shadi.... Azzab

      Ghar.... Qaid'khana

      Dard.... Lutf

      Khushi.... Anqa (aik khiyali parindah jo kabhi nazar nahin aaya)

      Duniya.... Heech!

      Camera.... Aks

      Mout.... Sakoon
      tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
      tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

      Comment

      • #4
        Re: 10 words...!

        Originally posted by Masood

        What a hypocrisy
        :thmbup:

        Comment

        • #5
          Re: 10 words...!

          Originally posted by naz

          Dard....MustaQiL rehne wale sheh

          Khushi....bhot Kum MiLne wale Sheh

          Duniya....Dhokha dene wale log

          Mout....Sakon....Rahat
          Sorry to say...you also got a pessimistic approach
          :thmbup:

          Comment

          • #6
            Re: 10 words...!

            Originally posted by munda_sialkoty
            What a hypocrisy
            :) waqt, halaat, waqeyat, soch, kirdar, amal, taqdeer sab kuchh badal jata hai.
            tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
            tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

            Comment

            • #7
              Re: 10 words...!

              Originally posted by Masood
              :) waqt, halaat, waqeyat, soch, kirdar, amal, taqdeer sab kuchh badal jata hai.
              Lekin Allah Taalah ki nematoon ka aur us ki di hui zindagi ka her haal mein shuker ada kerna chahiye...zindagi Allah ki di hui sub se bari neemat he...is ki na-shukri kerna gunnah he :)
              :thmbup:

              Comment

              • #8
                Re: 10 words...!

                Originally posted by munda_sialkoty
                Lekin Allah Taalah ki nematoon ka aur us ki di hui zindagi ka her haal mein shuker ada kerna chahiye...zindagi Allah ki di hui sub se bari neemat he...is ki na-shukri kerna gunnah he :)
                aap ney bilkul baja farmaya hai - 30 saal ki zindagi tak aik insaan agar har lamha Alhamdolillah, Alhamdolillah karta rahey aur phir jab sab kuchh hotey huwey sari koshishein karney key bawajood ussey kuchh hasil na rahey to zindagi bojh mehsoos honey lagti hai - lekin in alfaaz key kehney sey insaan hypocrate nahi ban jata - yeh woh AKS hotey hain jo zindagi sey miltey hain aur biyaan kiyey jatey :)
                tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
                tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

                Comment

                • #9

                  Mayoosi aur na-ummedi insaan ki zindagi ke saath saath chalti he...kabi insaan bohat pur-umeed rehta he zindagi mein aur kabi ummid ka daman haath se choot bhi jaata he...lekin insaan ko baher-haal apni zindagi her haal mein pyaari hoti he...

                  insaan her acha ya ghalat kaam apne skoon ke liye hi sub kuch kerta he...aap ne likha ke moot skoon he...yeh sub kehnay ki baatein hein...ager moot skoon he to insaan moot ko kyoon nahi apna leta

                  Doosti ko aap ne saraab kaha...Aap HG mein bohat se loogon ko apna doost maantay hein...to kia aap ko un ki doosti pe shak he.

                  Shadi ko aap azab kehtay hein...mein pooch sakta hoon kyoon???

                  Mohabat ko khawaab, ghar ko kaid khana...aray bhai...shairaana tabiyat hona koi buri baat nahi...lekin mubalga aarai bhi kisi had mein achi lagti he :)
                  :thmbup:

                  Comment

                  • #10
                    Re: 10 words...!

                    Originally posted by munda_sialkoty
                    Mayoosi aur na-ummedi insaan ki zindagi ke saath saath chalti he...kabi insaan bohat pur-umeed rehta he zindagi mein aur kabi ummid ka daman haath se choot bhi jaata he...lekin insaan ko baher-haal apni zindagi her haal mein pyaari hoti he...
                    Yeh baat aap us insaan sey poochhein jo apni zindagi ka khatma khud kartey hain keh unhein zindagi kitni pyari hai - agar aap key ghar mein faaqey hon, bachon key tan dhanpney ko libas to door ki baat unhein khilaney ko hawa key siwa kuchh na ho, apni sari koshish ki bawajood aap ko kuchh na miley to woh baap kya karey ga?? Pakistan mein hi aisey kaee waqeyat hai jo is baat ki shahdat detey hain keh zindagi sab ko aziz nahin hoti.

                    Aap ko shayid yaad na ho TV aur filmon ka aik bohat zabardast mazahiya actor tha Nanna - usney khudkhushi ki thi kyun? Is liye keh uski bivi aur bachey they magar woh aik saathi actor ki dillagi ko muhabbat samajh betha, magar jab uska zameer bedaar huwa to ussey ehsaas huwa keh usney kya ghalti ki hai - un halat mein insaan kuchh bhi kar sakta hai. Aur jaisey maut bar'haq hai to usi tarha maut ka tareeqah bhi likha jaa chuka hai - issey koi badal nahin sakta :)

                    Baqi rahi baat pur'umeed aur na'umeed rehney ki to I am agree - balkeh mujh sey ziyada agree koi nahin karey ga :)

                    insaan her acha ya ghalat kaam apne skoon ke liye hi sub kuch kerta he...aap ne likha ke moot skoon he...yeh sub kehnay ki baatein hein...ager moot skoon he to insaan moot ko kyoon nahi apna leta
                    Maut sey barh kar sakoon kisi cheez mein nahin. Lekin woh log jo zindagi ki nemat sey waqif hain, woh issey apney hathon sey isi liye khatam nahin kartey keh unhein zindagi ki aazmaishon sey pyar hota hai. Woh jalna pasand karta hai marna nahin

                    Doosti ko aap ne saraab kaha...Aap HG mein bohat se loogon ko apna doost maantay hein...to kia aap ko un ki doosti pe shak he.
                    Aamir, dost hota nahin har haath milaney wala :) Aap kisi sey hans ker bolein, kisi sey kuchh share kar lein to iska matlab yeh nahi hota keh woh aap ka dost hai. Dosti saraab is liye hai keh yeh nazar aati hai magar jab zaroorat hoti hai milti nahin... phir wohi baat waqt, halaat, waqeyat, soch, kirdar, amal, taqdeer sab kuchh badal jata hai.

                    Shadi ko aap azab kehtay hein...mein pooch sakta hoon kyoon???
                    Shadi do insano key jismani milap ka naam hi nahin balkey yeh roohon key milap ka naam bhi hai. Agar aap ki soch, aap key khiyalat, aap ki tor'tareeqa, aap ki roohein aik doosrey ko qabool nahin kartin, to shadi aik aisa bandhan ho jata hai jis mein siwaey karb key kuchh nahin milta... do insano ka aik saath rehna jahan dil, dimagh aur roohein aik saath na hon, is sey bada azab koi nahin hota :)

                    Mohabat ko khawaab, ghar ko kaid khana...aray bhai...shairaana tabiyat hona koi buri baat nahi...lekin mubalga aarai bhi kisi had mein achi lagti he :)
                    Muhabbat mis-used lafz hai. Duniya mein bohat kam logon ko muhabbat hoti hai, log siraf apni ana ki taskeen chahtey hain, ghar qaid'khana is liye keh jis ghar ki deewarein aap ko panah na dein woh kya kehlwata hai?

                    Baaz batein us waqt samajh mein aati hain jab woh khud per guzrein... :)
                    tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
                    tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

                    Comment

                    • #11
                      Re: 10 words...!

                      humara jawab naz ji....:phool:

                      Mohabbat.... Duniya ki pahli taawil!!:)

                      NaFrat....... tabahi!!

                      Dosti...... wafa!! :phool:

                      Shadi.... sunnat-e-rasool(PBUH)!!

                      Ghar.... maskan!!

                      Dard.... apna!! (zati milkiyat )

                      Khushi.... jo batne se badhty hai.......:D:

                      Duniya.... saraya!!

                      Camera.... photo!!:lol

                      Mout.... atal haqeeqat!!:thmbup:

                      Last edited by ummid; 3 May 2006, 02:41.

                      Comment

                      • #12
                        Re: 10 words...!

                        Mohabbat....
                        Mohabbat mustaqil gham hai, Muhabbat gham ka gehwara,
                        jo aanso rang lay aaiy, wohee daman ka sheh-para...

                        NaFrat....
                        maiN khud yeh chahta hooN k halaat hooN kharab,
                        mery khilaaf zeher ugalta phiray koi..

                        Dosti....
                        woh dil main tabas'sum ki kiran gholnay wala,
                        rothay to rutooN ko bhi sanwarnay nahee dayta..

                        Shadi....
                        sabit howa sukooon-e-dil-o-jaaN kaheeN nahee,,
                        rishtooN main dhonDta hai to DhonDa karay koi..

                        Ghar....
                        hasrat si barasti hai dar-o-baam pay har soo,,
                        rotee hoi kaliyaan hain, sisak'tay howay ghair hain..

                        Dard....
                        yooN to har shaks akaila hai bhari dunia maiN,
                        phir bhi har dil kay muqad'dar maiN nahee tanhai..

                        Khushi....
                        apni aadat badal nahee sakta,,
                        gham ka soraj hooN dhal nahee sakta..

                        Duniya....
                        Duniya ko mery dil say shikayat ajab hain,
                        maiN kaisay bataooN, mery halat ajab hain.

                        Camera....
                        is bay'charay par kisi shayer nay tawaj'jah nahee dee :khi:

                        Mout....
                        nahee martay hain to e'zaa nahee jhaili jati,
                        aur martay hain to paimaaN shikani hoti hai..
                        That's Enough...!!

                        Comment

                        • #13
                          Re: 10 words...!

                          Originally posted by ScorpioN_RulzZ

                          :tauba Naz aunty ko in baton ki samajh nahin aati - seedhey seedhey sawalon ka seedha seedha jawab do :p
                          tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
                          tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

                          Comment

                          • #14
                            Re: 10 words...!

                            Originally posted by Masood
                            Yeh baat aap us insaan sey poochhein jo apni zindagi ka khatma khud kartey hain keh unhein zindagi kitni pyari hai - agar aap key ghar mein faaqey hon, bachon key tan dhanpney ko libas to door ki baat unhein khilaney ko hawa key siwa kuchh na ho, apni sari koshish ki bawajood aap ko kuchh na miley to woh baap kya karey ga?? Pakistan mein hi aisey kaee waqeyat hai jo is baat ki shahdat detey hain keh zindagi sab ko aziz nahin hoti

                            Aap ko shayid yaad na ho TV aur filmon ka aik bohat zabardast mazahiya actor tha Nanna - usney khudkhushi ki thi kyun? Is liye keh uski bivi aur bachey they magar woh aik saathi actor ki dillagi ko muhabbat samajh betha, magar jab uska zameer bedaar huwa to ussey ehsaas huwa keh usney kya ghalti ki hai - un halat mein insaan kuchh bhi kar sakta hai. Aur jaisey maut bar'haq hai to usi tarha maut ka tareeqah bhi likha jaa chuka hai - issey koi badal nahin sakta :)
                            Aap ke beyaanat ki rooshni mein yeh nateeja nikaalna be-ja na ho ga ke aap Allah Taalah ki laakh neematon ke milnay ke bawajood bhi kisi na kisi tarah se na-shukri ker rahay hein...Allah Taalah ne aap ko Ashraf-ul-Mehlookat banaya...aap ko aik jism atta kia...sooch atta ki...danai bakhshi...imtehaan to Khuda ki zaat her aik se leti he...phir is mein gilla kesa...Hazrat Bilal aur Hazrat Ayoob (EA) ki zindagi per kabi ghoor keejiye ga...her halaat mein Allah Taalah ka shuker ada kia...aur nawazay gaye :)

                            Originally posted by Masood
                            Maut sey barh kar sakoon kisi cheez mein nahin. Lekin woh log jo zindagi ki nemat sey waqif hain, woh issey apney hathon sey isi liye khatam nahin kartey keh unhein zindagi ki aazmaishon sey pyar hota hai. Woh jalna pasand karta hai marna nahin
                            Aaj kal ke door mein jalnay wali koi baat nahi...na to ub koi barish ka masla he...na hi koi keht perta he...Allah ka shuker he ke her insaan apne tajarbay aur apni danist se apna apna rizq hasil ker raha he...Jis ko moot pyaari hoti he wo moot ko galay lagata he...bhai jaan aap to mashallah se kafi khush-haal hein...phir aisa kyoon

                            Originally posted by Masood
                            Aamir, dost hota nahin har haath milaney wala :) Aap kisi sey hans ker bolein, kisi sey kuchh share kar lein to iska matlab yeh nahi hota keh woh aap ka dost hai. Dosti saraab is liye hai keh yeh nazar aati hai magar jab zaroorat hoti hai milti nahin... phir wohi baat waqt, halaat, waqeyat, soch, kirdar, amal, taqdeer sab kuchh badal jata hai.
                            yeh baat waqei darust he ke her haath milanay wala doost nahi hota...mere khyaal se aik musbat sooch ho...to koi waja nahi ke aap ko doost na milay...mein to sirf yeh jaanta hoon ke insaan ko jis ki talaash hoti he wo usay zaroor mil jata he...Allah Taalah Sabzi khoor ko sabzi aur goosht khoor ko ghoost deta he...jis ki jo talab hoti he wo zaroor puri hoti he...thoughts, determination, enthusiasm, efforts, intentions yeh cheezein count kerti hein

                            Originally posted by Masood
                            Shadi do insano key jismani milap ka naam hi nahin balkey yeh roohon key milap ka naam bhi hai. Agar aap ki soch, aap key khiyalat, aap ki tor'tareeqa, aap ki roohein aik doosrey ko qabool nahin kartin, to shadi aik aisa bandhan ho jata hai jis mein siwaey karb key kuchh nahin milta... do insano ka aik saath rehna jahan dil, dimagh aur roohein aik saath na hon, is sey bada azab koi nahin hota :)
                            WHat you are talking about is a rare case...mostly the things doesn't work the way you mentioned...warna..shadi se insaan ko jeevan sathi milta he...aik khushi milti he

                            Originally posted by Masood
                            Muhabbat mis-used lafz hai. Duniya mein bohat kam logon ko muhabbat hoti hai, log siraf apni ana ki taskeen chahtey hain, ghar qaid'khana is liye keh jis ghar ki deewarein aap ko panah na dein woh kya kehlwata hai?

                            Baaz batein us waqt samajh mein aati hain jab woh khud per guzrein... :)
                            I don't exactly know what circumstances you are passing through...i would pray from God that everything go well in your favour :)
                            :thmbup:

                            Comment

                            • #15
                              Re: 10 words...!

                              Originally posted by ummid
                              humara jawab naz ji....:phool:

                              Mohabbat.... Duniya ki pahli taawil!!:)

                              NaFrat....... tabahi!!

                              Dosti...... wafa!! :phool:

                              Shadi.... sunnat-e-rasool(PBUH)!!

                              Ghar.... maskan!!

                              Dard.... apna!! (zati milkiyat )

                              Khushi.... jo batne se badhty hai.......:D:

                              Duniya.... saraya!!

                              Camera.... photo!!:lol

                              Mout.... atal haqeeqat!!:thmbup:

                              :clap:
                              :thmbup:

                              Comment

                              Working...
                              X