Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Watan parasti ya.....?

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • #16
    Re: Watan parasti ya.....?

    Originally posted by Aanchal
    Assalamalikum

    aaj aik topic lai hooo jo watan parasti kay baray main hai....watan say muhabbat har aik ko hoti hai...bachay, jawan, burhaay sab ko........kuch logoo ko muhabbat is taraha ki hoti hai kay woh koi bhi ghalat baat watan kay baray main sun hi nahi saktay ....woh galat cheez agar mojood bhi ho us main lekan pher bhi woh in ko mantay nahi hai....
    watan kay baray main koi joke hoo , koi cartoon hoo (jo aaj kal deekh rehay houn gay politics pay bhi or wesay hi mulki surat-e-hal pay banaye jatay hain ....un main haqeqat bhi hoti hai .....lekan kuch loog is ka bora mana jatay hain kay yeh waqan kay kheelaf sazish hai :D:
    is cheez ko aap kis nazar say deekhtay hain ? aap kay khayal main kia yeh sahi hai ??? haqeqaat ko nazadarandaaz kar dia jaye sirf is leye kay humaye muhabat hai ?:)
    Allama Iqbal ko qomi shair man'nay walay nay aik martaba yeh shair post kia thaa...
    in taza khudaooN main baRa sab say watan hai,,
    aur watan parsti kay baray maiN kuch aisay khayalat ka izhar kia tha, jaysay yeh sab say bara gunah hoo... Allama Iqbal ko qomi shair man'nay walay yeh bhi jantay hain kay on kay bayshumaar shair aisay hain jo mukhtalif khayal rakhtay hain, misaal kay toor par..
    yahee shaikh-e-haram hai jo chura kar baich khata hai...
    kaleem-e-bozar o dalq-e-awais o chadar-e-zahra....
    watan parsti ki mukhalfat karnay waloon say sirf itna sawal hai kay "bad-e-hijrat mera Nabi (s.a.w) doran-e-namaz, apna rukh-e-pur'jamaal apnay "watan" ki taraf kion karta thaa..."
    rehgai baat watan ki buraiyaan karnay waloon ki, to jo buraiyaan hoti hain on ka izhar karna buri baat nahee, laikin main yeh bhi man'ta hoon kay baaz oqat burai ka izhar bhi burai ki sorat maiN he hota hai, laikin agar is say muraad logoon ki tawajjah dilana hai to yeh bilkul theek hai, aur har muhib-e-watan ko apnay watan ki buraiyaan accept karni chaheay aur onhain ach'chaioN main badlnay ki koshish karni chaheay na kay on buraiyooN say parda poshi karli jaiy...
    That's Enough...!!

    Comment


    • #17
      Re: Watan parasti ya.....?

      Originally posted by Masood
      watanprasti ki Islam mein koi hasiyat nahin hai!
      apnay inhee alfaz par qaim rehtay howaiy koi daleel paish karain....!!
      That's Enough...!!

      Comment


      • #18
        Re: Watan parasti ya.....?

        Originally posted by Masood
        Bohat achhi baat hai keh koi tanzeem kaam kar rahi hai. Aur har muslim ko sachey dil sey inka saath dena chahiye. Lekin yahan per chand sawaal merey zehan mein janam letey hain:

        Jab Khilafat key 30 saal muqaddar ho chukey they to phir ham kaisey khilafat qayim kar saktey hain???

        chalein mana keh khilafat qayim ki jaa sakti hai. Is per bhi yeh sawal uthta hai keh:

        Khilafat key pehley 30 saal mukamil ho janey key baad jab khilafat tooti to Islam 2 hisson mein bat geya, suni aur shiia. Ab ham apni is khilafat mein in dono firqon kai kaisey muthidah kar saktey hain? woh kaam jo badey badey namwar ulmaa nahin kar sakey. Yeh kaisey mumkin ho ga???? Agar ibtidaee salon mein issey khatam kiya jata to ho sakta tha magar ab 1400 saal guzr janey key baad yeh aik tanawar drakht ban chuka hai.

        Khilafat kaisey aur kyunker bahaal ki jaa sakti hai????
        filhal jis khilafat ki kohsih ki ja rahi hay , us main shia and sunni ka iktalaf naeen ho ga inshallah.
        second khilafat 30 saal main khatam naeen hoi thee, khilafat ka azeem dor khatam hoa tha.
        khilafat chayeh sirf name ki hi , 1940 ya 1945 tak chalti rahi hay.
        sirf abi khalifa hi mil jaeey ga to logon ko ik point of direction mil sakey gi
        abi her koi apni marzi ki taraf chala ja raha hay
        bud dua kareen key yeh kohsish kameab ho jaeey
        People should not be afraid of their governments. Governments should be afraid of their people

        Comment


        • #19
          Re: Watan parasti ya.....?

          Originally posted by ScorpioN_RulzZ
          Allama Iqbal ko qomi shair man'nay walay nay aik martaba yeh shair post kia thaa...
          in taza khudaooN main baRa sab say watan hai,,
          aur watan parsti kay baray maiN kuch aisay khayalat ka izhar kia tha, jaysay yeh sab say bara gunah hoo... Allama Iqbal ko qomi shair man'nay walay yeh bhi jantay hain kay on kay bayshumaar shair aisay hain jo mukhtalif khayal rakhtay hain, misaal kay toor par..
          yahee shaikh-e-haram hai jo chura kar baich khata hai...
          kaleem-e-bozar o dalq-e-awais o chadar-e-zahra....
          watan parsti ki mukhalfat karnay waloon say sirf itna sawal hai kay "bad-e-hijrat mera Nabi (s.a.w) doran-e-namaz, apna rukh-e-pur'jamaal apnay "watan" ki taraf kion karta thaa..."
          rehgai baat watan ki buraiyaan karnay waloon ki, to jo buraiyaan hoti hain on ka izhar karna buri baat nahee, laikin main yeh bhi man'ta hoon kay baaz oqat burai ka izhar bhi burai ki sorat maiN he hota hai, laikin agar is say muraad logoon ki tawajjah dilana hai to yeh bilkul theek hai, aur har muhib-e-watan ko apnay watan ki buraiyaan accept karni chaheay aur onhain ach'chaioN main badlnay ki koshish karni chaheay na kay on buraiyooN say parda poshi karli jaiy...
          Allama IQbal ko muslim shair maney waley ko un ki wo nazam bi yaad rakni chayeh
          jo key malka bartania ki mot per kahi thee

          utta garb sey saya khuda

          yani un key nazdeek , malka bartania, khuda ka saya theen , nauzbillah
          People should not be afraid of their governments. Governments should be afraid of their people

          Comment


          • #20
            Re: Watan parasti ya.....?

            Originally posted by filbahere
            bakhabar kerna aur bat hoti hay , mazak urana aur baat hoti hay

            jee app ki marzi hay , ab koi apney andazey sey Hazoor PBUH ka cartoon baney to pir app ko keeon bora lagta hay , wo bi apney andaz sey khabardar ker raha hota hay , keeon bora lagta hay app ko

            2 moktalif rayeh yani doghli rayeh app log keeon raktay haan .

            baat sirf itni hay key mazak urrnay ki ijazat naeen honi chayeh
            jahan tak Hazoor(SAW) kay cartoon ki baat hoo rahi to main pehlay araz kar chuki houn kay jo cheez aik banday main nahi hai us cheez ko sab kay samnay lana woh ghalat hai ..........jo yahoudeoun nay kia woh bhi aisa hai kay Hazoor(SAW) kay baray main jo kaha ghalat kaha hai .....

            or jo mulk kay baray main cartoon banaye jatay hain yeh cheez mojood hoti hai tab hi is cheez ko awaam kay samnay lanay key leye aisay cartoon banaye jatay hain ....atay ka buhran, cheeni ki qillat , or jo seyasi partiyan hoti hain un ka asal chehra in cartoon kay zarye awam kay samnay layatay hain ......halkay phulkay mazaheya andaaz main aik such baat keh di jati hai .............is main watan ko neacha deekhana maqsad nahi hota ...:rose
            اللھم صلی علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما صلیت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔
            اللھم بارک علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما بارکت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔

            Comment


            • #21
              Re: Watan parasti ya.....?

              Originally posted by ScorpioN_RulzZ
              laikin agar is say muraad logoon ki tawajjah dilana hai to yeh bilkul theek hai, aur har muhib-e-watan ko apnay watan ki buraiyaan accept karni chaheay aur onhain ach'chaioN main badlnay ki koshish karni chaheay na kay on buraiyooN say parda poshi karli jaiy...
              mera topic bhi isi baat pay hai ko jo cheez mulk main ghalat hoo rahi hai usay tasleem kar kay usay achai main badlnay ki kushish karni chaye :phool:
              اللھم صلی علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما صلیت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔
              اللھم بارک علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما بارکت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔

              Comment

              Working...
              X