Re: Watan parasti ya.....?
Allama Iqbal ko qomi shair man'nay walay nay aik martaba yeh shair post kia thaa...
in taza khudaooN main baRa sab say watan hai,,
aur watan parsti kay baray maiN kuch aisay khayalat ka izhar kia tha, jaysay yeh sab say bara gunah hoo... Allama Iqbal ko qomi shair man'nay walay yeh bhi jantay hain kay on kay bayshumaar shair aisay hain jo mukhtalif khayal rakhtay hain, misaal kay toor par..
yahee shaikh-e-haram hai jo chura kar baich khata hai...
kaleem-e-bozar o dalq-e-awais o chadar-e-zahra....
watan parsti ki mukhalfat karnay waloon say sirf itna sawal hai kay "bad-e-hijrat mera Nabi (s.a.w) doran-e-namaz, apna rukh-e-pur'jamaal apnay "watan" ki taraf kion karta thaa..."
rehgai baat watan ki buraiyaan karnay waloon ki, to jo buraiyaan hoti hain on ka izhar karna buri baat nahee, laikin main yeh bhi man'ta hoon kay baaz oqat burai ka izhar bhi burai ki sorat maiN he hota hai, laikin agar is say muraad logoon ki tawajjah dilana hai to yeh bilkul theek hai, aur har muhib-e-watan ko apnay watan ki buraiyaan accept karni chaheay aur onhain ach'chaioN main badlnay ki koshish karni chaheay na kay on buraiyooN say parda poshi karli jaiy...
Originally posted by Aanchal

Comment