Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

jahez ek laanat...

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • #31
    Re: jahez ek laanat...

    Originally posted by Aanchal
    tijarat or sood main to kafi faraq hai :tauba
    chaliye hum dusrii misal dete hai aap ko...

    rishwat ko bhi tu log tauhfe ka naam de dete hain tu kya woh nauzbillah jayaz nahi hogayi na....

    bilkul usi tarah jahez aur tauhfe mein bhi farq hai....

    Alfaz ke maani badalne se jumle ka matlab bhi badal jata hai...
    Last edited by ummid; 26 March 2006, 03:59.

    Comment


    • #32
      Re: jahez ek laanat...

      Originally posted by Aanchal
      faraq to wazeha nahi howa ab bhi :D:
      bas naam hi change lag rehaye hain or cheez to vohi hai na koi cheez shadi kay waqat apni beeti ko deena jo kay us ki malkeyat hoti hai ....
      or larkay ki demand wali baat to main pehlay bhi keh chuki hai kay yeh ghalat hota hai .....
      chaloo loog jaheez na gift samajh kay daian cheezian to vohi jaian gee na, cheezian badal thori jaian gee ab :lol

      aap nay kaha kisi mulla say pouchian , koi mulla millaye ga to zaror pouch loun gee , lekan aksar ka point of view change hota hai :rose is leye kis ki baat suni jaye kis ki nahi yeh to mushkil hai :mm:

      main jaheez ka koi favour nahi kar rahi houn acha :lol main is cheez ka favour kar rahi houn kay aik larki itna arsa maa, baap kay ghar rahi hoti hai , ghar say jatay waqat maa baap khali hath to nahi bheej saktay na apni beeti ko ? kuch na kuch zaror hi daytay hian ...yeh baat ghalat nahi hovi na ....wesay yeh must nahi hai kay cheez deeni hi deeni hai ....larkay waloun ka cheezoun ki demand karna ghalat hai ....:rose haq-e-mehar must hota hai ...:rose



      jhmuroo kay elawa kisi male nay ab tak replay nahi kia ?
      Aap se kisi mullana se nahi balke kisi Aaleem se ruju kerne ko kaha tha...

      Aap un se kahe ke woh aap ko hadith ki roshni mein baat wazeh kare...

      Comment


      • #33
        Re: jahez ek laanat...

        Originally posted by ummid
        Aap se kisi mullana se nahi balke kisi Aaleem se ruju kerne ko kaha tha...

        Aap un se kahe ke woh aap ko hadith ki roshni mein baat wazeh kare...
        mera contact nahi hai kisi Alam walim say ....
        net hai na kuch pouchna hoo yaha hi pouch laytay hain ....

        jahan tak rishwat or touhfay wali baat hai us main bhi farq hai ji ....rishat kay andar aap ka koi maqsad chupa hota hai (koi ghalat maqsad)...



        or jo jaheez or gift wali baat hai ...us ka faraq wazeha karain to pata chalye ga na kay kia faraq hai ..mehaz naam tabdeel karnay say aik cheez ko ghalat or doosri cheez ko ham sahi qarar nahi day saktay ...

        jo loog jaheez kay naam pay cheezian day rehaye hain , yeh touhfay kay naam pay di jaian to sab theek hoo ga ?

        yeh koi itni boori cheez nahi hai ....bas logoo nay is main tabdeelian kar kar kay apni demand bata bata kay is cheez ko aisa bana dia hai kay isay lanat kaha janay laga hai ...:)
        Last edited by .; 27 March 2006, 00:14.
        اللھم صلی علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما صلیت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔
        اللھم بارک علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما بارکت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔

        Comment

        Working...
        X