Announcement
Collapse
No announcement yet.
Unconfigured Ad Widget
Collapse
jahez ek laanat...
Collapse
X
-
Re: jahez ek laanat...
Originally posted by ummid
main apni naqis rai bayan karoon tu..jahan tak maira khayal hai...(is khayal say ikhtilaaf aap ka haq hai:) )
Aik baat aap nay bilkul sahih kehi ..keh hum aaye din akhbaarooon main is qism ki khabrain parhtay rehtay hain..keh cholha phatnay say bahu jal gai...waghaira waghaira...ya phir jehaiz kam laanay per larki ko tanay aur tanza sehna partay hain... lakin main nahin samajhti keh jehaiz aik laanat hai...jis tarah hum sab janatay hain keh kisi bhi cheez ki ziyaadti nuqsan deh s hoti hai....wohi baat hum yahan bhi apply kar saktay hain...buht say parents apni baiti ko buht zyada jehaiz daitay hain ....kabhikabhar un ka diya howa jehaiz susraal walon ko haathon tabah bhi hojata hai...baiti kay istimaal karnay ki nobat bhi nahin aati ....lakin yeh loag apni jhooti shaan kay liye zyada jehaiz daitay hain...phir is zyada jehaiz ka comparison kartay hain woh loag jin ki bahu kam jeahaiz lay kar aati haii...
humaray muaashray main sabar aur bardaasht ka maadda khatam hota ja raha hai ...yeh khami sirf naujawan nasal hi nahin balkay huamaray buzurgoon main bhi saraiyat kar gai hai...balkay ab tu yeh dekhnay main bhi aaya hai ..keh khandan kay buzurg hi rishtoon ko jornay kay bajaaye tornay main masroof main...khair...
rahi baaat humaaray mazhab ki tu main aap ko yaad dilana chahon gi keh HAZRAT MUHAMMAD (peace be upon him) nay bhi tu apni ladli baiti HAZRAT FATIMA ZAHRA (RA) ko jehaiz diyaa tha....aik chataai , aik mashkeeza, aik takiyaa,, aata peesnay kay liye chakki....etc....mujhay saari cheezain yaad nahin aarahin....means HAZRAT MUHAMMAD (peace be upon him ) nay apni baiti ko us zamanay kay lihaaz say is ghar girhasti ko sanbhalnay kay liye munasib jehaiz diya tha jismain na hi israaf tha na hi bukhul say kaam lia gaya tha...
yeh koi rasam nahin balkay sunnat hai
jehaiz ko laanat nahin kehain.......is ka khatma nahin kiya ja sakta na hi khatma karnay ki zurorat hai...soch samjh kar munasib jehaiz daina na sirf daina balkay laina bhi achi baat hai...is mamlay main samjhana un laogon ko chahiye jo baiti kay bajaaye jehaiz lainay aatay hain...aisay lalchi laogon say ALLAH TAALA sab ko mehfooz rakhay ...AMEEN
Comment
-
Re: jahez ek laanat...
Originally posted by RidaWalaikom Assalaam:rose
yeh koi rasam nahin balkay sunnat hai
jehaiz ko laanat nahin kehain.......is ka khatma nahin kiya ja sakta na hi khatma karnay ki zurorat hai...soch samjh kar munasib jehaiz daina na sirf daina balkay laina bhi achi baat hai...is mamlay main samjhana un laogon ko chahiye jo baiti kay bajaaye jehaiz lainay aatay hain...aisay lalchi laogon say ALLAH TAALA sab ko mehfooz rakhay ...AMEEN
sunnat sirf isi maamle mein kyun dekhi ja rahi hai..
There is a lot of misunderstanding among some Muslims that it has to be necessarily low as Hazrat Ali could not offer anything substantial while contracting marriage with Hazarat Fatima, the daughter of the Prophet.Hazrat Ali had almost nothing with him nor had the Prophet much, as is evident by what he gave to his daughter by way of Jahez...
hadith yeh hai keh....
Prophet Mohammad(pbuh&hf) led Imam Ali(a.s.) into the mosque and asked him to sell off his war dress and present that money to the Prophet(pbuh&hf). The dress was sold in 400 dirhams, according to some traditions, and were presented to the Prophet Mohammmd(pbuh&hf) who gave them to Hazrat Salman Farsi(a.r.) and Hazrat Bilal(a.r.) and asked them to buy some articles of use from the market. They went to the maket and bought the following items as Jahez of Hazrat Fatima(s.a.)
- Two mattresses made of Egyptian canvas. (One stuffed with fiber and the other with sheep wool).
- A leather mat.
- A pillow made of skin, filled with palm tree fiber.
- A Khaibarion cloak.
- An animal skin for water.
- Some jugs and jars also for water.
- A pitcher painted with tar.
- A thin curtain made of wool.
- A shirt costing seven (7) dirhams.
- A veil costing four (4) dirhams.
- Black plush cloak.
- A bed embellished with ,ribbon.
- A mat from Hajar.
- A hand-mill.
- A special copper container used for dyestuff
- A pestle for grinding coffee.
- A (water) skin....
yeh cheezein Hazrat ali(a.s) ki raqm se hi kharidi gai thi..
I hope ab aap ka concept clear ho gaya hoga...Last edited by ummid; 21 March 2006, 11:07.
Comment
-
Re: jahez ek laanat...
jaheez aik laanat nahi hai ......jaheez to Hazoor (SAW) nay bhi apni beeti ko dia tha...pher isay lanat kaisay kaha ja sakta hai ? ..parents ki marzi hai jitna chaian apni beeti ko daian,ya na bhi daian larkay waloun ko demand nahi karni chaye in cheezoun ki .....
yeh cheez is leye pheelti ja rahi hai zahir hai har koi chchata hai baghher mehnat kay aram-o-asaish ki cheezian mill jaian ..is leye larki waloun say in cheezoun ka matalaba kartay hain .....gari, pesay, makan, yaha tak kay ghar main aam istamal ki cheezian bartan waghera bhi jaheez main mutalaby kaeye jatay hain .....ab larka koi lola langra hai kia jo khud nahi kuch kama sakta yeh sab biwi lay kay aye ? larki walye larki kay peda hotay hian bas jaheez ki fiker shuru hoo jati hai , yeh deena parey ga ,woh deena parey ga ..aksar loog is waja say bhi larki ko bhoujh samajh laytay hain ......larkay walye bahoo say jaheeb ka matalaba kar kay woh jaheez apni beeti ko daytay hain jab us ki shadi hoti hai ....ab zahir hai yeh loog matlaba kar saktay hian to beeti kay susral walye bhi to aisa matlaba kar saktay hain na ?
pak main han hota hai aksar gaharanoun main is baat pay ghujra lekan jalanay walye mamlaye kam hain india ki nisbat...shayad abadai zaida hai is waja say zaida waqeyat sunnay ko atay hain :) khair india hoo ya pak .....non muslims, muslim sab hi aisi cheezoun ka shikar hain ...
pak main kuch areas aisay bhi hain jahan larki waloun ko kuch nahi deen aparta larkay waloun ko deena parta hai :D:
Comment
-
Re: jahez ek laanat...
Originally posted by shynice topic:thmbup: or sahi kaha k he to ye aik lanat par ye lanat majority log lena pasand karte hen:khi: baten sab karte hen par amal hote kabhi dekha nahi
mard hazraat is pay souchian na zara :) agar larki maa, baap say kuch na leena chaye lekan larkay walye matalabay kar rehay houn to woh bechari kia karey ?
acha sirf shadi kay waqat nahi aksar susral walye shadi kay bad main larkeoun say apnay amma abb akay ghar say cheezian mangwanay ka kehtay rehtay hain ...is taraha ki mislaian bhari pari hian ..:fuming: ...............shadi kay waqat zaida jaheez na bhi lain bad main mangwa mangwa kay sari kasar nikal daytay hian :lol
Comment
-
Re: jahez ek laanat...
Rida aap nay chand point's buhat achay beyaan keye hain :thmbup:
wohi baat hum yahan bhi apply kar saktay hain...buht say parents apni baiti ko buht zyada jehaiz daitay hain ....kabhikabhar un ka diya howa jehaiz susraal walon ko haathon tabah bhi hojata hai...baiti kay istimaal karnay ki nobat bhi nahin aati ....lakin yeh loag apni jhooti shaan kay liye zyada jehaiz daitay hain...phir is zyada jehaiz ka comparison kartay hain woh loag jin ki bahu kam jeahaiz lay kar aati haii...
isi baat pay apni friend ki baat bataoun gee .. ....mere friend ki shadi hovi us kay parents nay us ko khoob dhar sara jaheez dia, zameen, gari, gold, computer say lay kar bartan or ghar ki har chooti moti cheez. kuch pak say kuch bahir kay mulkoun ki ....................is pay un logoo ki aik rishtadar nay mere friend say kaha tha tum itna jaheez kayoun lay rahi hoo apnay parents say ? baki ghareeb larkian yeh sab deekh kay kia souchain gee dil main kay un kay paas bhi aisa sab kuch hota .....is say mere friens bora bhi maan gai the :D: kay jab parents afford kar saktay hain to kayoun na daian ? main un ki beeti houn ................
aik taraf to yeh cheez ghalat lagti hai , deekhaya bhi buhat hai is main, loog aik doosray ko deekh kar is cheez ko fashion ki taraha apna laytay hain kay yeh cheezian houn jaheez main (susral waloun ki demand) lekan......
aik sawal yeh bhi utha hai jab parents afford kar saktay hain ...to kayoun na daia zaida jaheez apni beeti ko ? parents nay apnay ghar reakh kay kia karna hai in cheezoun ko , sab kuch alouaad ka hi ho hota hai ....:mm:
aik sawal yeh bhi hai kay kia larki apnay parents say khud matalaba kar sakti hai mery jaheez main yeh cheez mujhay di jaye ?
rahi baaat humaaray mazhab ki tu main aap ko yaad dilana chahon gi keh HAZRAT MUHAMMAD (peace be upon him) nay bhi tu apni ladli baiti HAZRAT FATIMA ZAHRA (RA) ko jehaiz diyaa tha....aik chataai , aik mashkeeza, aik takiyaa,, aata peesnay kay liye chakki....etc....mujhay saari cheezain yaad nahin aarahin....means HAZRAT MUHAMMAD (peace be upon him ) nay apni baiti ko us zamanay kay lihaaz say is ghar girhasti ko sanbhalnay kay liye munasib jehaiz diya tha jismain na hi israaf tha na hi bukhul say kaam lia gaya tha
:thmbup: main nay bhi apni oper wali post main isi baat ka ziker kia hai .:rose
Comment
-
Re: jahez ek laanat...
Originally posted by ummid[FONT=Times New Roman][SIZE=3][COLOR=black]I hope ab aap ka concept clear ho gaya hoga...
Comment
-
Re: jahez ek laanat...
Originally posted by Aanchalmujhay clear nahi howa yeh concept :cc:
hum ne itna detail mein jawab diya phir bhi aap ka concept clear nahi howa....
woh Aap(PBUH) ka hadiya(tuhfa) tha apne gosh-e-jiger bibi fatimah(s.a) ko....
jahez ka concept islam mein nahi hai....
Aap ager humara 1st reply ek or baar dhyaan se padheingi tu shaid aap ko woh hadith sumjh mein aa jaye jo hum ne upper likhi hai..
ager phir bhi na sumjhe to hum aur detail mein bata sakte hain..:insha:Last edited by ummid; 22 March 2006, 03:45.
Comment
-
Re: jahez ek laanat...
Originally posted by Me HereWalikum Assalam Ummid:thmbup:
thx 4 starting this topic
sis me feeling buhat tired:(
to main :insha: jald hi detailed reply karon gi
n CARRY ON:phool:
phir hume jawab de dijye ga...
even I am also waiting for your reply..:)
khush rahiye..:phool:
Comment
-
Re: jahez ek laanat...
Originally posted by Jhumroosalaam Ummid :rose,
bahot umda topic chheRaa hai aapne...jahaaN takl meraa Khayaal hai...islaamii nukta-e-nazar se mard shaadii meN shauhar ko biwi haa Haqq-e-mahr adaa karna chaahiye aur vo mahr aisi ho jo shauhar kii aamadnii ko madd-e-nazar rakh kar rakkhi jaaye na k talaaq ke Khilaaf zamaanat. maaN baap apnii beTii ko jo bhi apnii Haisiiyat ke mutaabiq Khushi se denaa chaaheN to vo toHfaa unkii beTii ke liye hogaa aur us par shauhar ka koii Haq nahiiN hogaa sivaaye iske ki biwi KHud apnii haNsii Khushii se apne shauhar ko kuchh de de...bas yehii hai islaamii zarooriyaat shaadii kii baaqii digar cheezeN tasm aur rivaaj haiN. mere Khayaal se jo log apnii Hudood se tajaavuz karte haiN jahez kii demand kar ke vo ek qanooni aur iKhlaaqii jurm karte ahiN aur unehN unkii sazaa milnii chaahiye...is dunyaa meN bhi aur aaKhirat emN bhii...Allah hameN siraatul mustaqeem par chalaaye...aameen :dua
dekha humarii zahanet dheere dheere aap per bhi asar andaz ho rahi hai.....:lol
shukriya aap ke reply ke liye..:phool:
Comment
-
Re: jahez ek laanat...
Originally posted by Jhumroohaaye Allah Ummid...mujhe Dar hai k kahiiN is qadar na asar andaaz ho jaaye k maiN apna zehnii tavaazun hii kho baiThuuN achchhaa hii hogaa...us soorat meN mujhe 70 Khoon mu'aaf hoNge...mujhe 70-1=69 naamoN kii talaash hogii
hum tu sumj rahe the keh aap ka zehan hi nahi hai phir tawazzun kahan se barqarar rahe ga...:lol
Comment
-
Re: jahez ek laanat...
Originally posted by Jhumroomeraa bhejaa is invisible to plain brain...ordinary brains per invisile brain ke matter ke molecules register hii nahiiN hote...
duniya ko ek nayi khooj mil jaye gii...:thmbup:
kum az kum aap se kuch tu faida poahenche ga is duniya ko..:lol
Comment
-
Re: jahez ek laanat...
Originally posted by JhumrooMumbaii kaa Ticket bhej dijiiye...maiN Haazir ho jaataa huuN...lage haathoN aapko bhii seide benefiT mil jaayegaa :salam: :phool:
Hum apni zindagi mein bauhat aur be-had khush hain..:zuban:
Comment
Comment