Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

jahez ek laanat...

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • #16
    Re: jahez ek laanat...

    Originally posted by Jhumroo
    are baba ji maiN to brain kii baat kar rahaa thaa...aur Brain kahaN aur kis store meN miltaa hai...mujh se to nahiiN hogaa faayeda.....faayeda to aapkii raaye se mujhe hone waalaa hai...bas ab aap Mumbaii kaa Ticket bhej dijiiye...bai'l-gaaRii kaa [Bullock Cart kaa]

    Bail se poacha tha hum ne mager woh tyar hi nahi ke aap ko apni gaadi mein sawar kare...:lol

    Comment


    • #17
      Re: jahez ek laanat...

      Originally posted by Jhumroo
      aapko bai'l kii zabaan aatii hai...:cc: mujhe pata hii nahiiN thaa :tauba varna maiN bhii seekh letaa aapkii Khaatir...aapse baat karne emN aasaanii hotii na
      Aap ko seekhne ki kya zaroorat hai...:cc:
      Aap hi ke reply padh padh ker hume bhi is zubaan ki thodi bauhat sumjh aa gai hai..
      Last edited by ummid; 22 March 2006, 07:54.

      Comment


      • #18
        Re: jahez ek laanat...

        Originally posted by Jhumroo
        :lol :lol :lol :lol :lol jaaiye jii...ham nahiiN khelte aapke saath...aap ganni bachchii haiN...aapne nok jhoNk meN merii khaTiyaa khaRii kar dii...ab maiN kahaN souuNgaa? :tauba :khi:
        :lol :lol

        Comment


        • #19
          Re: jahez ek laanat...

          Originally posted by ummid
          Thanx or you opinion....:thmbup:
          sunnat sirf isi maamle mein kyun dekhi ja rahi hai..
          There is a lot of misunderstanding among some Muslims that it has to be necessarily low as Hazrat Ali could not offer anything substantial while contracting marriage with Hazarat Fatima, the daughter of the Prophet.Hazrat Ali had almost nothing with him nor had the Prophet much, as is evident by what he gave to his daughter by way of Jahez...

          hadith yeh hai keh....
          Prophet Mohammad(pbuh&hf) led Imam Ali(a.s.) into the mosque and asked him to sell off his war dress and present that money to the Prophet(pbuh&hf). The dress was sold in 400 dirhams, according to some traditions, and were presented to the Prophet Mohammmd(pbuh&hf) who gave them to Hazrat Salman Farsi(a.r.) and Hazrat Bilal(a.r.) and asked them to buy some articles of use from the market. They went to the maket and bought the following items as Jahez of Hazrat Fatima(s.a.)
          - Two mattresses made of Egyptian canvas. (One stuffed with fiber and the other with sheep wool).
          - A leather mat.
          - A pillow made of skin, filled with palm tree fiber.
          - A Khaibarion cloak.
          - An animal skin for water.
          - Some jugs and jars also for water.
          - A pitcher painted with tar.
          - A thin curtain made of wool.
          - A shirt costing seven (7) dirhams.
          - A veil costing four (4) dirhams.
          - Black plush cloak.
          - A bed embellished with ,ribbon.

          - A mat from Hajar.
          - A hand-mill.
          - A special copper container used for dyestuff
          - A pestle for grinding coffee.
          - A (water) skin....

          yeh cheezein Hazrat ali(a.s) ki raqm se hi kharidi gai thi..
          I hope ab aap ka concept clear ho gaya hoga...
          Assalaam-0-Alaikom:rose


          aik martaba phir hazir...:)

          aisa hergiz nahain kaha ja sakta keh sunnat sisi mamlay main kiun yaad arahi hai....hum sab muslim hain aur humaray pass Quran aur sunnah hi hain.. advice kay liyee...
          main koi larka tu hoon nahin keh jehaiz lainay kay liye apnay matlab ki ahadees yaad karloon...:)...haqeeqat say inkaar nahin kiya ja saktaa..

          agar hum yeh bhi keh dain keh Hazrat Fatima (RA) ka jehaiz dainay kay liye Hazrat Ali (RA) kay hi paisay use kiye gaye thay ..tab bhi yeh jehiaz HAZRAT MUHAMMAD (peace be upone him) ki hi traf say diya gaya tha,....is ko laanat kehny MAAZLLAH sahih nahin hogaa...

          is ko hum muahsray per bojh zarur keh saktay hain...lakin is ko bojh bhi isi mashray kay loagon nay banaya hai....un laogon nay jo khwah ma khwah ki farmaaishain kartay hain jehaiz kay liyee..

          jab yeh kaam HAZRAT MUHAMMAD (peace be upon him) nay bhi kiya tha tu isay kiun kar unislaamic aur haram qarar diya ja sakta haii..
          For New Designers
          وَ بَارِکْ لِيْ فِيْمَا أَعْطَيْتَ

          Comment


          • #20
            Re: jahez ek laanat...

            Originally posted by Aanchal
            Rida aap nay chand point's buhat achay beyaan keye hain :thmbup:

            wohi baat hum yahan bhi apply kar saktay hain...buht say parents apni baiti ko buht zyada jehaiz daitay hain ....kabhikabhar un ka diya howa jehaiz susraal walon ko haathon tabah bhi hojata hai...baiti kay istimaal karnay ki nobat bhi nahin aati ....lakin yeh loag apni jhooti shaan kay liye zyada jehaiz daitay hain...phir is zyada jehaiz ka comparison kartay hain woh loag jin ki bahu kam jeahaiz lay kar aati haii...

            isi baat pay apni friend ki baat bataoun gee .. ....mere friend ki shadi hovi us kay parents nay us ko khoob dhar sara jaheez dia, zameen, gari, gold, computer say lay kar bartan or ghar ki har chooti moti cheez. kuch pak say kuch bahir kay mulkoun ki ....................is pay un logoo ki aik rishtadar nay mere friend say kaha tha tum itna jaheez kayoun lay rahi hoo apnay parents say ? baki ghareeb larkian yeh sab deekh kay kia souchain gee dil main kay un kay paas bhi aisa sab kuch hota .....is say mere friens bora bhi maan gai the :D: kay jab parents afford kar saktay hain to kayoun na daian ? main un ki beeti houn ................

            aik taraf to yeh cheez ghalat lagti hai , deekhaya bhi buhat hai is main, loog aik doosray ko deekh kar is cheez ko fashion ki taraha apna laytay hain kay yeh cheezian houn jaheez main (susral waloun ki demand) lekan......
            aik sawal yeh bhi utha hai jab parents afford kar saktay hain ...to kayoun na daia zaida jaheez apni beeti ko ? parents nay apnay ghar reakh kay kia karna hai in cheezoun ko , sab kuch alouaad ka hi ho hota hai ....:mm:


            aik sawal yeh bhi hai kay kia larki apnay parents say khud matalaba kar sakti hai mery jaheez main yeh cheez mujhay di jaye ?


            rahi baaat humaaray mazhab ki tu main aap ko yaad dilana chahon gi keh HAZRAT MUHAMMAD (peace be upon him) nay bhi tu apni ladli baiti HAZRAT FATIMA ZAHRA (RA) ko jehaiz diyaa tha....aik chataai , aik mashkeeza, aik takiyaa,, aata peesnay kay liye chakki....etc....mujhay saari cheezain yaad nahin aarahin....means HAZRAT MUHAMMAD (peace be upon him ) nay apni baiti ko us zamanay kay lihaaz say is ghar girhasti ko sanbhalnay kay liye munasib jehaiz diya tha jismain na hi israaf tha na hi bukhul say kaam lia gaya tha

            :thmbup: main nay bhi apni oper wali post main isi baat ka ziker kia hai .:rose
            Assalaam-0-Alaikom:rose

            buht shukriyaa Aanchal

            hum yahan general batain kar rahay hain jo keh humaray muashray ka lazim-o malzoom hissa hain...yaqeenan agar parents apni baiti ko buhat zayada jehaiz dainay kay qabil hain tu jo chahain jehaiz main dain..jitni un ki istita-at ho..lakin aqal mandi ka taqaza yeh hai keh woh us ghar ko bhimadd-e nazar rakhain jis main un ki larki ko biyah kar jana hai..agar us ghar main us larki kay buht zyada jehaiz kay liyee jaga hi nahin hoi tu kia hogaa ...main nay us sorat main kaha tha keh baiti khud istimal nahin kar pati susraal walon kay hathoon jehaiz tabah hojata hai.....aur agar ghar bara hai tu yaqeenan us jehaiz ko dhang say rakhnay ki jaga bhi maujood hogi ..us sorat main us ka sahih istimal bhi ho jai ga...

            :)yaqeena parents ka sab kuch aulad ka hi tu hota hai lakin sab larkiyaan apni waldain ki aik hi aulad tu nahin hoti naa....agar waldain sab kuch baiti ko hi dai dain tu gaay ki zindgee....
            agar hum kehain larki aik hi ho aur baqi bhai hain tu kia bhaiyoon ki shadi main kharcha nahin hotaa..:mm:

            reh gai baat larki ka khud farmaaish karnay ki tu woh parents ki istitaa-at dekhtay hoye jo chahay un say fermaaish karay ..maray khayal say is main muzaiqa nahin...
            aik baaat jo aap nay kahi keh shadi kay baad bhi larkiyoon ko bhaija jata hai ..mukhtalif cheezon kay liye yeh bilkul durust hai... kabhi bv ka zewar sara baich diya jata hai... aik baat aur agar loag aisa na bhi karain means larkay walay itnay kam zarf na hoon keh bar bar apni matlooba cheezain larki kay hi ghar say mangwaaen tab bhi..baad main larki walon ka kaam daina hi hota hai...kabhi kisi rasm kay naam per kabhi kisi tehwaar kay naam per..:)
            For New Designers
            وَ بَارِکْ لِيْ فِيْمَا أَعْطَيْتَ

            Comment


            • #21
              Re: jahez ek laanat...

              Originally posted by ummid
              hum ne itna detail mein jawab diya phir bhi aap ka concept clear nahi howa....
              woh Aap(PBUH) ka hadiya(tuhfa) tha apne gosh-e-jiger bibi fatimah(s.a) ko....
              jahez ka concept islam mein nahi hai....
              Aap ager humara 1st reply ek or baar dhyaan se padheingi tu shaid aap ko woh hadith sumjh mein aa jaye jo hum ne upper likhi hai..
              ager phir bhi na sumjhe to hum aur detail mein bata sakte hain..:insha:
              baat to aik hi hove na bas naam say kia faraq parta hai :cc:
              gift naam day doo ya jaheez
              اللھم صلی علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما صلیت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔
              اللھم بارک علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما بارکت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔

              Comment


              • #22
                Re: jahez ek laanat...

                Originally posted by Rida
                Assalaam-0-Alaikom:rose


                :)yaqeena parents ka sab kuch aulad ka hi tu hota hai lakin sab larkiyaan apni waldain ki aik hi aulad tu nahin hoti naa....agar waldain sab kuch baiti ko hi dai dain tu gaay ki zindgee....
                agar hum kehain larki aik hi ho aur baqi bhai hain tu kia bhaiyoon ki shadi main kharcha nahin hotaa..:mm:

                :)
                aray larki main yeh nahi kar rahi apna sarra maloo dolat aik hi beeti koday dia jaye or khud kangaal hoo jaye :lol ..yakenan or behan bahi bhi hotay hian to un ka bhi utna haq hai jitna pehli beeti ka hai .........................
                mali status kay lihaz say ameer ghareeb apni amdni or heseyat kay hissab say jaheez daytay hain lekan jin logoo kay paas zaida maal-o-dolat hai hai woh to day saktay hain na ? jesa kay main nay apni friends ka qissa sunaya hai :)
                ab jaheez kis taraha reakha jata hai yeh to woh larki janaye :D
                un cheezoun pay sirf larki ka haq hota hai us kay husband ka nahi ....yeh bhi such hai na?
                اللھم صلی علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما صلیت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔
                اللھم بارک علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما بارکت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔

                Comment


                • #23
                  Re: jahez ek laanat...

                  Assalaam-0-Alaikom:rose

                  acha theek hai woh aap nay is tarah istehqaaq kay saath kaha na...main tu samjhi :emb:

                  haq sirf larki ka hota hai ya nahin..yeh mujhay nahin maloom lakin aisa hotay hoye kabhi dekha nahin...parents to mostly yehi chahtay hain keh un ki baiti hi haqdaar ho .....ofcors woh itni chah say baiti ko daitay hain sab kuch...
                  lakin lower . middle.. upper her class main yehi dekha hai keh baiti ko diye gaye jehaiz kay sarif susraal walay bhi hotay hain....
                  For New Designers
                  وَ بَارِکْ لِيْ فِيْمَا أَعْطَيْتَ

                  Comment


                  • #24
                    Re: jahez ek laanat...

                    Walikum Assalam!




                    Ye rasm shaid aise start hoi ho gi k log apni beti k sath saz-o-samaan de ker ye saabit kerna chahte hoon ge k hum ne tumhe koi nojh nahi diya balkey buhat c cheezin bhi saath di hain takey beti k susraal waley apni bahoo ko boojh nahi samjhin

                    Insaanon ki soch mai tazzad hai thatz y dikhaawey k ilawa ik tarah se parents jahez de ker ye chahte hoon k unki beti sukhi rahey











                    Uski acchi tarbiyat
                    Uski acchi sooch
                    Uski acchi taleem
                    Uska rehne sehne ka accha tareeqa

                    Ye cheezin zaroor lerki ko jahez mai deni chahiyein or lerke waloon ko bhi yaahi cheezin demand kerni chahiyein in mai koi sharam nahii ye her kisey ka HAQQ hai k usko ik suljhi hoi or acchi tarbiyat ki wife miley n ye ik lerki ka HAQQ hai k usko ik accha or caring husband miley

                    Jahan bhi materialistic approach hooti hai wahan NIYYATIN saaf nahi hotin n so ghar mai laraai jhagrey aam hootey hain Apni NIYYAT saaf rakho to ALLAH khud deta hai ghar mai sakoon bhi or her wo cheez jo ap chahin




                    Ummid waiting more topics 4om ur side:rose
                    KHUSH RAHIYYE!:)

                    Comment


                    • #25
                      Re: jahez ek laanat...

                      Originally posted by Rida
                      Assalaam-0-Alaikom:rose


                      aik martaba phir hazir...:)

                      aisa hergiz nahain kaha ja sakta keh sunnat sisi mamlay main kiun yaad arahi hai....hum sab muslim hain aur humaray pass Quran aur sunnah hi hain.. advice kay liyee...
                      main koi larka tu hoon nahin keh jehaiz lainay kay liye apnay matlab ki ahadees yaad karloon...:)...haqeeqat say inkaar nahin kiya ja saktaa..

                      agar hum yeh bhi keh dain keh Hazrat Fatima (RA) ka jehaiz dainay kay liye Hazrat Ali (RA) kay hi paisay use kiye gaye thay ..tab bhi yeh jehiaz HAZRAT MUHAMMAD (peace be upone him) ki hi traf say diya gaya tha,....is ko laanat kehny MAAZLLAH sahih nahin hogaa...

                      is ko hum muahsray per bojh zarur keh saktay hain...lakin is ko bojh bhi isi mashray kay loagon nay banaya hai....un laogon nay jo khwah ma khwah ki farmaaishain kartay hain jehaiz kay liyee..

                      jab yeh kaam HAZRAT MUHAMMAD (peace be upon him) nay bhi kiya tha tu isay kiun kar unislaamic aur haram qarar diya ja sakta haii..
                      Assalamaalaikum......

                      Rida ji hum aap se keh chuke hain ke hazrat ali(RA) ki zarah baich ker aane wali raqam se jo cheezein li gayi thi woh jahez nahi tha.....
                      Aap plz is mammle mein kisi Aalim se rujo kare...
                      Hum jo kuch bhi yahan likhete hain use pehle apne ustad muhataram se confirm kerwate hain....
                      hume pata hai ke aap ek ladki hai aur jahez ke favour mein bolne mein aap ka koi maqsad nahi hoga....
                      lakeen aap is hadith ke silsile mein apne kisi aalim ustaad se rabtah qayam karein....
                      khush rahiye...
                      Allahafiz.

                      Comment


                      • #26
                        Re: jahez ek laanat...

                        Originally posted by Aanchal
                        baat to aik hi hove na bas naam say kia faraq parta hai :cc:
                        gift naam day doo ya jaheez
                        Nahi baat ek nahi hai anchal ji....
                        faraq hai...
                        woh hadiya tha jo Aap(PBUH)ne apni beti ko diya tha...
                        use jahez na kahein.....
                        Sunat ke mammle mein bauhat soach sumjh ker zuban kholni chahiye....
                        ke ek ki galti se subhi us rah per chal padte hain...
                        is silsile mein jhumroo ji ka jawab sub se achha hai...

                        Comment


                        • #27
                          Re: jahez ek laanat...

                          Originally posted by Me Here
                          Walikum Assalam!



                          Ye rasm shaid aise start hoi ho gi k log apni beti k sath saz-o-samaan de ker ye saabit kerna chahte hoon ge k hum ne tumhe koi nojh nahi diya balkey buhat c cheezin bhi saath di hain takey beti k susraal waley apni bahoo ko boojh nahi samjhin

                          Insaanon ki soch mai tazzad hai thatz y dikhaawey k ilawa ik tarah se parents jahez de ker ye chahte hoon k unki beti sukhi rahey











                          Uski acchi tarbiyat
                          Uski acchi sooch
                          Uski acchi taleem
                          Uska rehne sehne ka accha tareeqa

                          Ye cheezin zaroor lerki ko jahez mai deni chahiyein or lerke waloon ko bhi yaahi cheezin demand kerni chahiyein in mai koi sharam nahii ye her kisey ka HAQQ hai k usko ik suljhi hoi or acchi tarbiyat ki wife miley n ye ik lerki ka HAQQ hai k usko ik accha or caring husband miley

                          Jahan bhi materialistic approach hooti hai wahan NIYYATIN saaf nahi hotin n so ghar mai laraai jhagrey aam hootey hain Apni NIYYAT saaf rakho to ALLAH khud deta hai ghar mai sakoon bhi or her wo cheez jo ap chahin




                          Ummid waiting more topics 4om ur side:rose
                          KHUSH RAHIYYE!:)
                          Well said Me Here....:thmbup:
                          Aacha likha hai aap ne....:clap:

                          Comment


                          • #28
                            Re: jahez ek laanat...

                            Originally posted by Jhumroo
                            shukria Ummid...:rose

                            AaNchal ab dekhiye na kaise tijaarat Halaal hai aur sood Haraam [donoN meN naf'a hotaa hai] magar vo yaksaaN nahiiN...ek Haraam hai to dusraa Halaal rizq hai...usii taraH jahez par la'nat vaajib hai jabki toHfaa beTii ko apnii Khushi se maqdoor bhar denaa afzaliyat kaa Haamil hai...i think there is a big difference between the two...thank you :rose
                            :thmbup: :thmbup:

                            Comment


                            • #29
                              Re: jahez ek laanat...

                              Originally posted by ummid
                              Nahi baat ek nahi hai anchal ji....
                              faraq hai...
                              woh hadiya tha jo Aap(PBUH)ne apni beti ko diya tha...
                              use jahez na kahein.....
                              Sunat ke mammle mein bauhat soach sumjh ker zuban kholni chahiye....
                              ke ek ki galti se subhi us rah per chal padte hain...
                              is silsile mein jhumroo ji ka jawab sub se achha hai...
                              faraq to wazeha nahi howa ab bhi :D:
                              bas naam hi change lag rehaye hain or cheez to vohi hai na koi cheez shadi kay waqat apni beeti ko deena jo kay us ki malkeyat hoti hai ....
                              or larkay ki demand wali baat to main pehlay bhi keh chuki hai kay yeh ghalat hota hai .....
                              chaloo loog jaheez na gift samajh kay daian cheezian to vohi jaian gee na, cheezian badal thori jaian gee ab :lol

                              aap nay kaha kisi mulla say pouchian , koi mulla millaye ga to zaror pouch loun gee , lekan aksar ka point of view change hota hai :rose is leye kis ki baat suni jaye kis ki nahi yeh to mushkil hai :mm:

                              main jaheez ka koi favour nahi kar rahi houn acha :lol main is cheez ka favour kar rahi houn kay aik larki itna arsa maa, baap kay ghar rahi hoti hai , ghar say jatay waqat maa baap khali hath to nahi bheej saktay na apni beeti ko ? kuch na kuch zaror hi daytay hian ...yeh baat ghalat nahi hovi na ....wesay yeh must nahi hai kay cheez deeni hi deeni hai ....larkay waloun ka cheezoun ki demand karna ghalat hai ....:rose haq-e-mehar must hota hai ...:rose



                              jhmuroo kay elawa kisi male nay ab tak replay nahi kia ?
                              Last edited by .; 24 March 2006, 10:25.
                              اللھم صلی علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما صلیت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔
                              اللھم بارک علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما بارکت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔

                              Comment


                              • #30
                                Re: jahez ek laanat...

                                Originally posted by Jhumroo
                                shukria Ummid...:rose

                                AaNchal ab dekhiye na kaise tijaarat Halaal hai aur sood Haraam [donoN meN naf'a hotaa hai] magar vo yaksaaN nahiiN...ek Haraam hai to dusraa Halaal rizq hai...usii taraH jahez par la'nat vaajib hai jabki toHfaa beTii ko apnii Khushi se maqdoor bhar denaa afzaliyat kaa Haamil hai...i think there is a big difference between the two...thank you :rose
                                tijarat or sood main to kafi faraq hai :tauba
                                اللھم صلی علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما صلیت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔
                                اللھم بارک علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما بارکت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔

                                Comment

                                Working...