Re: Pakistani troops buried in avalanche near Siachen Glacier
@ Iqbal ka shaheen
Aap ki kam akli per mein kia bolon ke aap ko aik insaan ke musalman hone ke criteria ka he nahi pata. Nazreyati ekhtalafaat mein is hud tak aagay berh jana ke aik musalman ko musalman tasawar na kerna bhi aik gunah he. Aur jahan tak aap jahaad ko beyaan ker rahay hein mere nazdeek aap jahaad aur kataal ko yahan pe zam ker rahay hein. Kataal sirf jang ka naam he jub ke jahaad apne ander aik bohat he broader meaning aur sense rakhta he. Is ke maani jado-jehad ke hein, Allah ki raah mein jado-jehd, muslamano ki falaah ke liye jado-jehd. Is mein jung aik last option he. Jub ke aap ka jihaad shuru he jang se hota he. Mere bhai zara khud soocho ke marne walay ki zubaan pe kalma aur maarne walay ki zubaan pe kalma kahan ka jahaad hua?
Ager aap jang'o'jadal ko he jahaad samaj bethay hein to mein yeh zaroor kahon ga ke Jahaad ke kuch parameters hein jo aap loog pata nahi kyoon bhool jatay ho. Jahaad ke parameters mein aik important point yeh bhi he ke aik muntazim hakoomat ke ilawa kisi ko haq hasil nahi wo jahad karay. Yahan pe aap badar ki misaal dene per aaein ge, to mein aap ko pehlay he bata don ke wo bhi aik Allah ka faisla tha aur baad azaan musalmano ko maslehatun jang se rooka bhi gaya. Aap jahan per Quran ki soorah ko quote kerte hein wahan un ka seyaaq-o-sabaaq aur uske peechay ki history per bhi ghoor kia keejiye. Quran main jang k liye kum se kum 1:2 ka tanasab bhi beyaan kia he, is ke ilawa circumstances aur bohat saari deegar cheezon ko bhi made nazar rakhen ko kaha gaya he. Aaj ke jadeed door mein afraadi kuwat se bhi ziada ilmi aur technology ki taqat ko istamaal ker ke jung hoti he. Imaan ki taqat musalman ki soochne ki taqat per kabi bhi kufl nahi lagati. Aik acha musalman jazbaati honay se ziada achi baseerat ka malik hota he. Wo apni sooch ko falaah k liye istamaal kerta he na ke sirf halaakat k liye.
Aik muntakhib hakoomat choonke awaam ki falaah aur is ke jaan-o-maal ki hakeeki zumadaar hoti he aur us mein wo baseerat hoti he ke wo waqt aur halaat ko dekh ker koi aisa faisla karay jis ke buray asraat awam per kum se kum parein. Jub ke aik garooh jo jahadi hone ka dawa ker ke chal perta he na to wo awam ke jaan-o-maal ki hifazat ka zumadaar theherta he aur na he aane wali nasloon per us ke asraat ka. Yeh loog chootay zulm ko mitaanay uth'tay hein aur loogon per zulm-o-masaib ke darwaazay khool dete hein. Pakistan ka hasool jung ki bunyad per hua ya seyaasi baseerat ki bunyaad per? Aap jisay jahad kehtay hein mein to usay jahaad samajta nahi, kyoon ke wo aik mutfiqa jad-o-jehad nahi he, bulke wo aik sarkash garooh ki kaarsatani he. Yeh kahan ka jahaad he jis mein na masjid ka lehaaz he aur na majid ko aabad kerne walon ka, janoon he to sirf is baat ke ke jo bhi aap ke nazriyaat se ekhtlaaf karay wo katal ka murtakib thehra.
Aap hakoomat-e-waqt ke haat mazboot kerne ki bajaye amrikiyoon ke haath mazboot ker rahay hein. Aap wo jawaz muhaiya kerte hein jis ki waja se amrika is jagah aan betha he. Aap ki us technology ka koi faida nahi ke aap aik amriki ko maar ker apne 100 be gunah loog merwa dein. Jahaad kerna he to sub se pehlay apne ander ki jahliyat se jahaad karo, apne aap ko ba'shaoor musalman banao, jo ke kisi bhi kafir se ziada baseerat wala he, jo kisi bhi kafir se ziada ilm wala he, jo kisi bhi kafir se ziada munazam he, jo ke kisi bhi kafir se ziada tezi se apne aap ko mazboot ker raha he, jo ke kisi bhi kafir se ziada apni awam ki falaah ka alambadaar he. Jo apni auratoon ki bazaaron mein kooray maar ker tazleel nahi kerta. Jo insaani hakook ka alambadaar he aur insaan ko insaan samajta he.
Islam mein jabar nahi he is liye aap daleel se baat karein. Kia aap ke 7000 jawan musalman thehray aur 7 lakh afwaaj is liye napaak ho gaein ke unhoon ne aik akliyat ke nazriye ko kabool nahi kia?
@ Iqbal ka shaheen
Originally posted by iqbal ka shaheen
View Post

Comment