Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

صوبہ سرحد کا نام

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • #61
    Re: صوبہ سرحد کا نام

    Originally posted by pakgates View Post
    bohat bohat mazrat agar meri kisi baat se kisi ki dil azari ho... lekin yaar hum loog kia soch rahe hain... kia discuss kar rahe hian... Singapore mei yeh discuss ko rha hai keh skyscraper (tall bulding) kese bane gi... aur hum loog yeeh soch rahe hain keh 60 saal baad kisi sube ka naam kia hona chahiyay.. bhai mjhe to yeh sab bekar ki batein lagein... yaar ap yeh dekho ke uss sube mei jo rehne wale hain inn ki kia parechaniyan hain... unhain hal karne ke bajiay hum abi taq yeh soch rahe hain keh naam kia hona chahiyay... sharam ka maqam hai hamare liay... note: yeh sirf mera point of view hai... iss liay agar kisi ko bura lage to mazrat

    yousuf fikar na karo bas dekhtay raho
    hamaray saron pay na ahel log musallat hain
    un say ziada ahmaq hamari aawam khud hay
    naam ki tabdeeli ko lay kar jahilon ki tarha ya to ahtejaj kartay hain ya tabdeli pay khush hotay hain
    bohat bara teer mar lia hota hay goya
    masbat tabdeeli ya baray masaail ki taraf hamari awam ka dimagh jata he nahi ya janay he nahi dia jata
    60 saal pehlay saanp guzar chuka tha ab tak us ki lakeer peet rahay hain hukmran aur awam dono mil kar
    natijay main aik naam badal lia usi main khushi say beyhaal ho rahay hain
    to aisi awam ko baray masaail say kia lena dena aur hukmran pagal thori hain jab ye qoum sirf nam badalwa kar daant dikha deti hay to wo kiun apnay sar zimeydaryon ka bojh barhaain
    kiun bhiii
    Aao uss ~*Ajnabi*~Ko Yaad Karen.!!

    Comment


    • #62
      Re: صوبہ سرحد کا نام

      Originally posted by _Dard_Aashna_ View Post
      yousuf fikar na karo bas dekhtay raho
      hamaray saron pay na ahel log musallat hain
      un say ziada ahmaq hamari aawam khud hay
      naam ki tabdeeli ko lay kar jahilon ki tarha ya to ahtejaj kartay hain ya tabdeli pay khush hotay hain
      bohat bara teer mar lia hota hay goya
      masbat tabdeeli ya baray masaail ki taraf hamari awam ka dimagh jata he nahi ya janay he nahi dia jata
      60 saal pehlay saanp guzar chuka tha ab tak us ki lakeer peet rahay hain hukmran aur awam dono mil kar
      natijay main aik naam badal lia usi main khushi say beyhaal ho rahay hain
      to aisi awam ko baray masaail say kia lena dena aur hukmran pagal thori hain jab ye qoum sirf nam badalwa kar daant dikha deti hay to wo kiun apnay sar zimeydaryon ka bojh barhaain
      kiun bhiii
      name rang o nasal mazhab pe hi ladte rahe ge apas me Bilkul thek farmaya janab

      Comment


      • #63
        Re: صوبہ سرحد کا نام

        نہائت ہی افسوس کے ساتھ بتانا پڑ رہا ہے کہ اس مسلے نے 7 معصوم پاکستانیوں کی جان لے لی۔لمحہ فکریہ یہ ہے کہ اس نام نہاد"تحریک ہزارہ صوبہ" کی نمائیندگی کرنے والی کوئی بھی جماعت نہیں جس کا واضح مطلب ہے کہ پاکستان کے دشمنوں کو ایک اور بات مل گئی ہے پاکستانیوں کو لڑوانےکے لئے۔
        :star1:

        Comment

        Working...
        X