Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Valentine Day - Aik Behas

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Mr. Sialkoty
    replied
    Re: Valentine Day - Aik Behas

    Originally posted by crystal_thinking View Post
    or men munda g sy kind request kron ge k mjko pm kr k yhan post krny py force mat krn qk men unsy ksi b type ki koi bat nai krna chati or na he wo isy yeh samjhn k wo winner hn qk men yahan harany ya jeetny k liya nai aye... men bs un logon sy bat karna pasand nai krti jinko bat krny ki tameez na ho...
    I instructed you and you became egoistic instead of understanding the matter, this is where the main problem exist.

    Wo kehtya hein na

    "Tum apni hu na chooro gay hum apni waza kyoon badlein
    Sabak ser ho ke kyoon poochein, ke hum se sar'garan kyon ho"

    yeh shair yahan pe fit beth'ta he.

    Aur bibi PM kerne mein to aap ne pehal ki, challenge to mujay aap ne kia. Mein to respond ker raha tha.

    Apart from that, mere critisize kerne se aap ne apna siggy change ker dia, yeh bhi mere liye bais'e'khushi baat he. Aakhir kuch to asar hua aap ko meri baaton ka.

    Aur jahan tak tameez aur badtameezi ki baat he, aap ke nazdeek is ka kia criteria he? Gali di mein ne aap ko? Bura bhala kaha? Ager kisi ghalat kaam se rookna mujay tameez ke daira'kaar se bahir kerta he to mein badtameez he bhala :tasali:

    Leave a comment:

  • _Dard_Aashna_
    replied
    Re: Valentine Day - Aik Behas

    Originally posted by crystal_thinking View Post

    Asalam-O-Alikum

    well dear im not going to argue 4 da sake of argue.. im still in shock...
    men khud ko defend nai kar re but men apsy yeh bat pochna chaon ge k apko ALLAH G har roz zindagi ata karty hn ap har roz aik mout say uth k aik nae zindagi patay ho phr ap apni bday ko q celebrate krty ho? apk maa bap har roz apk sath hoty hn ap harroz unko apni duaon men yad rakhty ho phr ap ko mother day or father day celebrate krty ho? hmry mazhab men mehndi or mayon ki koi rasaqm nai per phr b sab log krty hn to q?

    yhan aik or question hy jis ka men answer krna chati hn per usk liya mjko search krna paray ge wid the reference of hadith then men yeh b prove kr dn ge k jis ko wish krny k liya kaha ja ra hy uska b koi concept nai islam men...
    walekumasslam.

    so nice of u c.t
    dear main bas ye janti hoon k her koi aik he zavye pay nahi sochta
    aap isay sahi samjhtay ho koi usay he galat samjhta hay
    ikhtelaf ka haq bhi her insan rakhta hay
    ye zarori hay k ikhtelaf tehzeeb k daairay main reh kar kia jaye .

    ( yahan main kisi ko bi point out nahi kar rahi na aap ko na aamir ko ..genral way main keh rahi hoon)

    aur motherday father day wagera bhi unhi ahmaqon ka raaij shuda hay
    mayon mehndi kuch log kartay hain kuch nahi bhi kartay galat to behrhaal hay ye bhi.
    Allah pak ka karam hay k hamen roz aik naai zindgi ata farmata hay
    meray sochnay ka pehlu to yon hay k main namaz ada kar k apni roz ki naai zindgi k lye ALLAH pak ka shukar ada kar k celebration kar leti hoon ye bday wagera khair ...
    main basant ... valentine day .. mother day father day in sab days k khilaf hoon.
    aap jo bhi baat kehna chah rahi hain bilkul kahen .

    Leave a comment:

  • crystal_thinking
    replied
    Re: Valentine Day - Aik Behas

    or men munda g sy kind request kron ge k mjko pm kr k yhan post krny py force mat krn qk men unsy ksi b type ki koi bat nai krna chati or na he wo isy yeh samjhn k wo winner hn qk men yahan harany ya jeetny k liya nai aye... men bs un logon sy bat karna pasand nai krti jinko bat krny ki tameez na ho...

    Leave a comment:

  • crystal_thinking
    replied
    Re: Valentine Day - Aik Behas

    Originally posted by _Dard_Aashna_ View Post
    yahan to baat kahen ki kahen ja nikli hay
    aik dosray ki zatyaat pay keechar na uchaalen
    valentine day ki history k bad specialy ye din manana ajeeb o ghareeb ....rasam hay ya riwaj hay ya shoq hay pata nahi kia hay

    agar muhabbat ka izhaar he karna hay ... ( mera matlab gf bf wali muhabbat nahi )
    maan say baap say behn say bhai say jis say bhi
    to kia kisi khas din ki zarorat hay?
    wesay he keh den wesay he gift day den
    saal main aik isi din ki muhtaaji kiun bhii

    Asalam-O-Alikum

    well dear im not going to argue 4 da sake of argue.. im still in shock...
    men khud ko defend nai kar re but men apsy yeh bat pochna chaon ge k apko ALLAH G har roz zindagi ata karty hn ap har roz aik mout say uth k aik nae zindagi patay ho phr ap apni bday ko q celebrate krty ho? apk maa bap har roz apk sath hoty hn ap harroz unko apni duaon men yad rakhty ho phr ap ko mother day or father day celebrate krty ho? hmry mazhab men mehndi or mayon ki koi rasaqm nai per phr b sab log krty hn to q?

    yhan aik or question hy jis ka men answer krna chati hn per usk liya mjko search krna paray ge wid the reference of hadith then men yeh b prove kr dn ge k jis ko wish krny k liya kaha ja ra hy uska b koi concept nai islam men...

    Leave a comment:

  • Mr. Sialkoty
    replied
    Re: Valentine Day - Aik Behas

    Originally posted by aabi2cool View Post
    :garmi:او ہولی ہولی ٹر گڈیئے کی ہو یا سیکل نوں
    Cycle aa gai meedan wich
    Hay Jamaalo

    Leave a comment:

  • Tanha Hassan
    replied
    Re: Valentine Day - Aik Behas

    Originally posted by munda_sialkoty View Post
    Wa Alaikum Aslam,

    How really cheap your comments. Do you got any moral and ethical value? Does Islam has something to do with you or it is the only designing which is your first and foremost priority? Jub Na'oozbillah Hazarat Muhammad (SA) ke khakaoon ki Denmark mein ishaat hui tub bhi appreciate kerna tha designer ko. Aisi broad mindedness pe laanat he. I know I am going to be rude but I can't help it.

    Cool down bro

    hum be muslmaan hain sab bat ko samjhney ka apna apna method hai....mein jo keah raha hun wo yeh hai k ager kisi Baap k samney us k bety ko koi gali daey to baap ko buth bura lagta hai bilkul isey tarha ek banda jo apni takhleeq paish kerta hai us ko be dukh hota hai......mein sirf itna kehna caha raha hun k aap crystal ko PM ker datey ya 14 Feb sey pahley is key raad mein ek Thread laga datey simple.....Bahi bat rude ho k karney wali hai he nahi ager hum sab yahan rahtey hain to yeh hamra ghar hai.......so Jaghrey ko khtam kartey hain

    Leave a comment:

  • aabi2cool
    replied
    Re: Valentine Day - Aik Behas

    :garmi:او ہولی ہولی ٹر گڈیئے کی ہو یا سیکل نوں

    Leave a comment:

  • Mr. Sialkoty
    replied
    Re: Valentine Day - Aik Behas

    Originally posted by _Dard_Aashna_ View Post
    thnko

    plz dont use harsh words
    Ok Boss :salam:

    Leave a comment:

  • _Dard_Aashna_
    replied
    Re: Valentine Day - Aik Behas

    Originally posted by munda_sialkoty View Post
    :salam::salam::salam:
    thnko

    plz dont use harsh words

    Leave a comment:

  • Mr. Sialkoty
    replied
    Re: Valentine Day - Aik Behas

    Originally posted by _Dard_Aashna_ View Post
    main nay masood kisi ki bhi zaat pay tanqeed nahi ki
    na aamir ko sahi kaha
    na crystl ko galat kaha
    na aap ko bura kaha
    na khud ko acha kaha

    baton k aap aur ham jitna phelana chahen phela saktay hain is tarha ki hazaron misalen day kar ...... main larki hoon bolnay main bohat aaagay hoon zahir hay aurat ki zaban hay :salam:..magar gair zarori behes kar k kia faida?
    behes bara e behes say acha hay k khamosh ho jain

    main nay apnay pehlay reply main bhi kisi ki side nahi li na mujhe lenay ki zarorat hay

    aamir nay aik sawal ki surat aik line kahi... main nay agree kia jo meray views , wo main nay keh diye.
    main nay to tehwaar ko bura kaha
    kisi ki zat ko bura to kaha nahi

    baqi meri bala say salman taseer sharab pe pe k fana ho jaye aur aamir us ko roktay reh jain
    main sirf salman taseer ko bura bol sakti hoon rok thori sakti hoon

    baqi tv internet ... k liye ... chaaqo ki misaal lay len
    jisay is ka masbat istemaal karna hay wo karay ga
    jisay manfi istemal karna hay wo manfi karay ga

    aap logon ko valentine day say itni muhabbat kiun hay bhiii
    12 rabi ul awwal ko aik dosray ko wish kar lia karen mubarak day dia karen sab say behtreen hay
    :salam::salam::salam:

    Leave a comment:

  • _Dard_Aashna_
    replied
    Re: Valentine Day - Aik Behas

    Originally posted by Admin View Post
    Mayam to aap ko KIS ney kaha hai keh aap taqleed karo? Jo kar raha hai aap ussey rok sakti hain?

    Jo basant mana rahey hain aap unhein rok sakti hain?

    Salman Taseer sar-e-aam sharabein pii raha hai aap ussey rok sakti hain?

    Internet aap log istimaal kar rahey ho jo bhi kisi angrez ki eejad hai, us per aap ko aetraz hai?

    Tv aap dekhti hain, filmein aap dekhti hain, raqs aap dekhti hain, gaaney aap sunti hain - woh bhi shayid hindustani to aap issey rok sakti hai?

    Koi baat hai jo hamarey haan aam nahin jissey aap rok sakein?

    Aamir ki yeh baat ghalt hai keh yeh Salman Taseer ko sharab peetey dekh ker yeh kah sakta hai keh

    to phir aik larki ko valentine card bna ker apni family mein khushi bant'tey kyun nahin dekh sakta? Kya Salman Taseer key khilaaf Aamir ko koi Qurani soorat ya hadees yaad nahin aaii thi????

    Bas itna hi jaan lena kaafi hai keh tumhara aik thread mein kya approuch hai aur doosrey mein kya :)

    Tum kam sey kam us thread mein hi sahi salman taseer key khilaaf APNEY Islam ki sooratein aur hadeesein pesh kar saktey they keh nahin? Jo tumhein abhi yaad aa gaii hain :)

    No more comment from me - keh main ney dekh li hai keh tumhari DUNIYA BHAR ki approach kya hai :)
    Wahan pe Aaya'at derj kerne ka kia maksad tha? Kia koi us kaam ki favour ker raha tha? Ager tum us ki is amal ki favour ker rahay hotay to mein zaroor lambi behas kerta. Itni chooti si baat bhi samaj nahi aati tumhein.

    Leave a comment:

  • Admin
    replied
    Re: Valentine Day - Aik Behas

    Originally posted by munda_sialkoty View Post
    My answer is so simple. Each of us has certain limits and capacities. I can approach to Crystal's thread, but not Salman Taseer's Bar.

    Aik jagah burai ho rahi he is ka matlab yeh nahi ke hum us burai se facilitate ho ke doosri buraiyoon ko bhi instigate karein.

    Ager aaj valentine ka itna issue banaya he, to hopefully next time yeh larki valentine day ko celebrate kerne ke liye 100 baar soochay. Ager tum kisi burai ko rook nahi saktay ho to us ki hamayat kyoon karay ja rahay ho
    Bas itna hi jaan lena kaafi hai keh tumhara aik thread mein kya approuch hai aur doosrey mein kya :)

    Tum kam sey kam us thread mein hi sahi salman taseer key khilaaf APNEY Islam ki sooratein aur hadeesein pesh kar saktey they keh nahin? Jo tumhein abhi yaad aa gaii hain :)

    No more comment from me - keh main ney dekh li hai keh tumhari DUNIYA BHAR ki approach kya hai :)

    Leave a comment:

  • Mr. Sialkoty
    replied
    Re: Valentine Day - Aik Behas

    Originally posted by Admin View Post
    Mayam to aap ko KIS ney kaha hai keh aap taqleed karo? Jo kar raha hai aap ussey rok sakti hain?

    Jo basant mana rahey hain aap unhein rok sakti hain?

    Salman Taseer sar-e-aam sharabein pii raha hai aap ussey rok sakti hain?

    Internet aap log istimaal kar rahey ho jo bhi kisi angrez ki eejad hai, us per aap ko aetraz hai?

    Tv aap dekhti hain, filmein aap dekhti hain, raqs aap dekhti hain, gaaney aap sunti hain - woh bhi shayid hindustani to aap issey rok sakti hai?

    Koi baat hai jo hamarey haan aam nahin jissey aap rok sakein?

    Aamir ki yeh baat ghalt hai keh yeh Salman Taseer ko sharab peetey dekh ker yeh kah sakta hai keh

    to phir aik larki ko valentine card bna ker apni family mein khushi bant'tey kyun nahin dekh sakta? Kya Salman Taseer key khilaaf Aamir ko koi Qurani soorat ya hadees yaad nahin aaii thi????
    My answer is so simple. Each of us has certain limits and capacities. I can approach to Crystal's thread, but not Salman Taseer's Bar.

    Aik jagah burai ho rahi he is ka matlab yeh nahi ke hum us burai se facilitate ho ke doosri buraiyoon ko bhi instigate karein.

    Ager aaj valentine ka itna issue banaya he, to hopefully next time yeh larki valentine day ko celebrate kerne ke liye 100 baar soochay. Ager tum kisi burai ko rook nahi saktay ho to us ki hamayat kyoon karay ja rahay ho

    Leave a comment:

  • Admin
    replied
    Re: Valentine Day - Aik Behas

    Originally posted by _Dard_Aashna_ View Post
    sir G
    us ahmaq aur jahil ki pairvi is ahmaq qoum ko karnay kis nay kaha ?

    offcourse basant bhi fazol hay
    us pay bhi tanqeed bhi honi chahye pabandi bhi honi chahye

    band karwanay k liye shor zaror macha saktay hain .. magar band nahi karwa saktay
    kiun k us pay bhi aisa he wawela khara ho jana hay jesay is thread pay ho raha hay

    Mayam to aap ko KIS ney kaha hai keh aap taqleed karo? Jo kar raha hai aap ussey rok sakti hain?

    Jo basant mana rahey hain aap unhein rok sakti hain?

    Salman Taseer sar-e-aam sharabein pii raha hai aap ussey rok sakti hain?

    Internet aap log istimaal kar rahey ho jo bhi kisi angrez ki eejad hai, us per aap ko aetraz hai?

    Tv aap dekhti hain, filmein aap dekhti hain, raqs aap dekhti hain, gaaney aap sunti hain - woh bhi shayid hindustani to aap issey rok sakti hai?

    Koi baat hai jo hamarey haan aam nahin jissey aap rok sakein?

    Aamir ki yeh baat ghalt hai keh yeh Salman Taseer ko sharab peetey dekh ker yeh kah sakta hai keh

    Kia Govt. of Pakistan mein koi kanoon aisa hay jo table pe sharaab ki bottle honay per mukadma derj ho sakay ya aik gair islami sooch rakhnay walay Governer per mukadma derj ho sakay? tum suggest karo, phir hum soochtay hein

Working...
X