Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Valentine Day - Aik Behas

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Yaaram
    replied
    Re: Valentine Day - Aik Behas

    Originally posted by munda_sialkoty View Post
    Well I am really very very very sorry. For an instant I was not in my senses. I admit my mistake
    Rose for you

    Leave a comment:

  • Tanha Hassan
    replied
    Re: Valentine Day - Aik Behas

    Originally posted by Yaaram View Post
    Han han, shuruaat main tum, aur munda_sialkoty karty hain. inshALLAH ALLAH tala barkat dalein gay aur Islam section main GupShup section jitni ronaq lag jaye gi aur kaafi imaan afroz mahol ban jaye ga.

    I m with you Yaaram...........InshALLAH hum aaj sey he is per kaam kartey hain aap k pass jo material hai wo aap share keroo aamir bahi be share karyin gaye aur mein be.......

    Leave a comment:

  • Mr. Sialkoty
    replied
    Re: Valentine Day - Aik Behas

    Originally posted by unity View Post
    last year me ne aik koshish ki thi:shyy:

    http://www.pegham.com/gupshup/48914-...pakistani.html

    lekin kia hua is saal bhi?
    yep I remember it.

    Leave a comment:

  • Mr. Sialkoty
    replied
    Re: Valentine Day - Aik Behas

    Originally posted by Yaaram View Post
    Kon hotey ho aap mujhey yeh sab kehnay waly, Kisi pe lanat bhejna kahan ka islam hua? aay barey islamic teacher.
    Well I am really very very very sorry. For an instant I was not in my senses. I admit my mistake

    Leave a comment:

  • AbgeenA
    replied
    Re: Valentine Day - Aik Behas

    last year me ne aik koshish ki thi:shyy:

    http://www.pegham.com/gupshup/48914-...pakistani.html

    lekin kia hua is saal bhi?

    Leave a comment:

  • Yaaram
    replied
    Re: Valentine Day - Aik Behas

    Originally posted by Tanha Hassan View Post
    Islam ka parchar zaroori hai aur hum sab per farz to aeye ku na aaj sey hum Pegham k islam section mein apni sharing start karyin aur is ko apna foucs area bana layin ta k agley 14 feb ko hum buth sey logo ko is bat sey baz Rkah sakyin
    Han han, shuruaat main tum, aur munda_sialkoty karty hain. inshALLAH ALLAH tala barkat dalein gay aur Islam section main GupShup section jitni ronaq lag jaye gi aur kaafi imaan afroz mahol ban jaye ga.

    Leave a comment:

  • Yaaram
    replied
    Re: Valentine Day - Aik Behas

    Originally posted by munda_sialkoty View Post
    Lakh laaanat way tere te. Te teriyaan soochan te v
    Kon hotey ho aap mujhey yeh sab kehnay waly, Kisi pe lanat bhejna kahan ka islam hua? aay barey islamic teacher.

    Leave a comment:

  • Mr. Sialkoty
    replied
    Re: Valentine Day - Aik Behas

    To Banjarah:

    Ub mein tujay is forum pe kia kahon jahan merd aur khawateen dono moojood hein. I am ignoring it.

    Leave a comment:

  • Mr. Sialkoty
    replied
    Re: Valentine Day - Aik Behas

    Originally posted by unity View Post
    asal me is awey ko jo bigar gya he piyar se samjhana chaey ab ye media bhi kar sakta he or teachers bhi k kia theek he or kia ghalat lekin afsoos se k media n teachers bhi ajkal is sab me paesh paesh hen..last days France me jab hijab na orhne ka kanoon paas hua to mujhe ehsas hua k wo log apni rewayat se kitna kareeb hen or ham is baat ka ehsas tak nahi karte.wese yahan larne marne ko tyar...aik doosre se mukable me pata nahi kia kia lekin in kafron se koi ghusa nahi,koi mukabla nahi.bhale wo kuch karte phiren.ab jin ka tehwar mna'ne ko itne machal rahe hen kabhi thori der ruk kar soch hi lete k inhon ne hmare samne kia kuch nahi kiya hamare sath,hamare Nabi SAW k khake bna dale,hamari behen DR.Afiya k sath kesa zulm kia.hamari muslim behno ko hijab par zaleel karte hen.ager samjhte to kabhi in gidh jese logon ki nkali na karte....baki Allah jab chahe ga kisi ki bhlai to inshAllah zarur samjh de ga
    You are quite right senorita. :thmbup:

    Yahan pe tum khud he dekh sakti ho. Ager aik ko mana karo to doosra taang khainchta he aur ager in ko convince bhi ker lo ke valentine day buri cheez he to yeh "character" per aa jatay hein aur "Girebaan" ki baatein kerne lagtay hein.

    Her koi zamzam se nahaya to koi nahi hota. Kia is ka yeh matlab he ke koi bhi kisi ko burai se na rookay?

    Leave a comment:

  • Mr. Sialkoty
    replied
    Re: Valentine Day - Aik Behas

    Originally posted by Tanha Hassan View Post
    bahi mein khud ek buth he backward village sey belong kerta hun jahan in batooo ka to shayed taswur be abey tak nahi puncha......

    ager aap 14 Feb sey pahley ek acha sa Thread laga datey aur sab wahna atey to buth sey logo key zehan mein is bat key raad piada ho jati...

    to hum apna maqsad hasil ker saktey tahey.per ab we say in punjabi "pani mein madhni" daal k bathey hain makhan niklney ka intzar ker rahey hain..

    Islam ka parchar zaroori hai aur hum sab per farz to aeye ku na aaj sey hum Pegham k islam section mein apni sharing start karyin aur is ko apna foucs area bana layin ta k agley 14 feb ko hum buth sey logo ko is bat sey baz Rkah sakyin

    baqi jahan tak mera aur yaaram ka taluq hai to Hamra maqsad sirf aur sirf forum ko mutvq badmazgi sey bachna hai. mein ney aaj subha be aap sey yeh he request key thee k bahi aap cool ho k Reply keroo
    Yep, you come up with quite a valid point, ka ager valentine day se pehlay koi thread laga diya jata to shayad yeh sub na dekhna perta. I respect your suggestion and your intentions as well :thmbup:

    Leave a comment:

  • Tanha Hassan
    replied
    Re: Valentine Day - Aik Behas

    Originally posted by munda_sialkoty View Post
    Ok, I answer you now.

    Saaray halaat ko dekha jaye to hamein pata chalta he ke is forum pe takreebun sabhi Musalman hein aur Mashallah se sabhi "Proud to be a Muslim" thay. Lehaza inhein samjanay ka criteria wo nahi he jo hum "Non-Muslim" per apply ker saktay hein.

    Valentine Day aik evil ki tarah hamaaray moaashray mein penetrate ker raha he, ager Allah Taalah ne aap ko himat, aankhein, dimaag, haath paoon jesi naimaton se malaa maal kia he to is burai ko rooknay ki kooshish karo, na ke mujay samjao.

    Tum aur Yaaram ager meri bajaye Crystal ko message de dete ke wo ghalat he, to mera khyaal he ke aglay saal is forum per valentine day mananay ki koi jasarat na kerna. Lekin aap to insaani hakook ke alambardar ban ker Islam ko at stake rakh rahay ho. If possible, please change your stance.
    bahi mein khud ek buth he backward village sey belong kerta hun jahan in batooo ka to shayed taswur be abey tak nahi puncha......

    ager aap 14 Feb sey pahley ek acha sa Thread laga datey aur sab wahna atey to buth sey logo key zehan mein is bat key raad piada ho jati...

    to hum apna maqsad hasil ker saktey tahey.per ab we say in punjabi "pani mein madhni" daal k bathey hain makhan niklney ka intzar ker rahey hain..

    Islam ka parchar zaroori hai aur hum sab per farz to aeye ku na aaj sey hum Pegham k islam section mein apni sharing start karyin aur is ko apna foucs area bana layin ta k agley 14 feb ko hum buth sey logo ko is bat sey baz Rkah sakyin

    baqi jahan tak mera aur yaaram ka taluq hai to Hamra maqsad sirf aur sirf forum ko mutvq badmazgi sey bachna hai. mein ney aaj subha be aap sey yeh he request key thee k bahi aap cool ho k Reply keroo

    Leave a comment:

  • Mr. Sialkoty
    replied
    Re: Valentine Day - Aik Behas

    To Yaaram:

    Don't argue with me anymore to maintain the peace of this forum.

    Leave a comment:

  • AbgeenA
    replied
    Re: Valentine Day - Aik Behas

    Originally posted by munda_sialkoty View Post
    Yahan pe aaway ka aawa he bigra hua nazar aa raha he mujay kis kis ko clarifications doon
    asal me is awey ko jo bigar gya he piyar se samjhana chaey ab ye media bhi kar sakta he or teachers bhi k kia theek he or kia ghalat lekin afsoos se k media n teachers bhi ajkal is sab me paesh paesh hen..last days France me jab hijab na orhne ka kanoon paas hua to mujhe ehsas hua k wo log apni rewayat se kitna kareeb hen or ham is baat ka ehsas tak nahi karte.wese yahan larne marne ko tyar...aik doosre se mukable me pata nahi kia kia lekin in kafron se koi ghusa nahi,koi mukabla nahi.bhale wo kuch karte phiren.ab jin ka tehwar mna'ne ko itne machal rahe hen kabhi thori der ruk kar soch hi lete k inhon ne hmare samne kia kuch nahi kiya hamare sath,hamare Nabi SAW k khake bna dale,hamari behen DR.Afiya k sath kesa zulm kia.hamari muslim behno ko hijab par zaleel karte hen.ager samjhte to kabhi in gidh jese logon ki nkali na karte....baki Allah jab chahe ga kisi ki bhlai to inshAllah zarur samjh de ga

    Leave a comment:

  • Mr. Sialkoty
    replied
    Re: Valentine Day - Aik Behas

    Originally posted by Yaaram View Post
    Sab se pehle to aap ko baat karny ki tameez honi chahye . Dont say me "tu". Main aap ka nokar nahi jo aap mujhey is tarikay se pukaar rahy hain.

    main ne valentine per comments nahi dia keunke main nahi janta yeh kia hay kia nahi. Jab mian issay celebrate hi nahi karta to baat yahan khatam ho jani chahye ke yeh galat hay ya theek hay. Mujh main agar koi burayi hay to main pehley ussay theek karon ga phirr doosron ko naseehat karon ga ke you are at the wrong side. Jab main issay manata hi nahi jis ki wajah islam se hat ke hay to main kisi ko keu rokon. Main to pehle hi bohat gunehgar banda hon, mere daman main kuch nahi. ALLAH ka adna sa banda hon. Mujh se references dene man kahin koi gustakhi na ho jaye isi lye main kisi se is mozoo pe baat nahi karta. Sab se pehle aap ko apne gireeban main jhankna chahye ke aap kitnay paani main hain. So that one can understand your so called teachings of spreading islam. Yaad rakho aap. Jab bhi kisi ki taraf ungli karo gay to 3 unglian aap ki apni taraf hon gi.
    Lakh laaanat way tere te. Te teriyaan soochan te v

    Leave a comment:

  • Yaaram
    replied
    Re: Valentine Day - Aik Behas

    Originally posted by munda_sialkoty View Post
    Let me tell you one thing. I am simply not surprised from your this comment, because it was quite expected. Jahan pe Yaaram ka naam aa gaya wahan pe samjo Masood ki 2 number photocopy aa gai. Khair, yeh bhi koi issue nahi he.

    Tumhari rooshan khyaali ke sadkay jaoon, tumharay liye crystal kitni important he aur islam kitna important he I can clearly understand. Tum ne kitna Islam ko defend kia aur kitna crystal ko, wo bhi sub ayaan he. Tumhara masla yeh tha ke tum khul ker nahi bool paye, bus dabay dabay lafzoon mein he crystal ki hamayat ker gaye. ub tu mujay yeh bata ke Crystal ki islaah kis tarah se honi chahiye thi? Aur us thread per jo itnay loog "nice sharing" aur "waah waah" ker rahay thay, un sub ki islah kese hoti? Islaah ager aik banday ki maksood ho to theek he us kay sehal raastay moojood hein, lekin jub aaway ka aawa he bigra hua nazar aaye to us ke liye sakhat lehja istamaal kerna na'guzeer ho jata he. You see "Soorah Tooba" jis ki Allah Taalah ne "bismillah" ke bina direct mudday pe baat ki he. Kyoon? Situation he aisi thi. Ub tum kia samajtay ho ke mein in sub ko kehta ke "bhai jaan, baaji ji, yeh aap acha nahi ker rahein. Aap ko aisa nahi kerna chahiye tha. aap ko card design nahi kerna chahiye tha" what rubbish.

    I don't appreciate your comments at all, and your image is still like old one in my eyes. I don't like people who use diplomacy and hesitate to take a firm stand against an evil.

Working...
X