Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Larkiyon Sey Aik Sawaal

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • #31
    Re: Larkiyon Sey Aik Sawaal

    Originally posted by Masood
    aisa kyun hota hai??? woh larki jo aik mard ki khatir apna sab kuchh, waldein jinhon ney ussey apni godh mein panah di, behan bhai jin sey woh bachpan mein khaili, apna ghar jo uskey liye jaa-e-panah raha karta tha, sab kuchh chhoor ker aik naey ghar mein jati hai to uskey saath aisa salook kyun hota hai? Kya pehla farz susraal walon ka nahin banta keh aik naee larki ko apnaya jaey? agar us mein koi kami hai to ussey apney taein door kiya jaey ussey apney rang mein dhala jaey na keh uski baton sey naak charhaya jaey?? Akhlaaq ka pehla muzihira to susraal walon ko karna chahiye na....:cc:
    BILKUL SAHI KAHA AAPNE........mard hoke aap ne ye baat kahi paRhke bahut achchaa laga....and yeah I do agree with u...

    Originally posted by Masood
    Aur aap ney kaha larkiyaan saason ko maa ka darja deti hain, magar saasein unhein apni betiyaan nahin manti - aisa kyun hota hai?
    sahi kaha...Saas to expect karti hain keh unki BAHUU ek beTi ban ke rahe magar kya woh khud SAAS ki bajaaye ek MAAN ban paati hain??

    Comment

    • #32
      Re: Larkiyon Sey Aik Sawaal

      NOT MARRIED YET.... IS LIYE SAAS KAY BARAY MAIN NO COMMENTS.....
      DULHAN KI AMMAAA.....

      MAAN KAY BARAY MAIN BILKUL PERFECT KAHA HAI.

      CHIPKOOOOOOOOOOOO

      Comment

      • #33
        Re: Larkiyon Sey Aik Sawaal

        Originally posted by najma
        halat se ziyada mizaj par munhasir hota hay.ba,z jag,ha bahuu meiN bardasht ka mad,da nahi hota aur baaz jag,h saas meiN.bas isi se na-chaqi shuruu hoti hay.
        ab sawal ye hay k mizaj q nahi miltay.is ki fitri waj,ha ye hay k sagii maaN aur sagii betee ka rishta hi esa hay k dar-guzar ki hamesha gunjaish hi gunjaaish rehtee hay, lekin saas aur bahuu ka rishta sirf akhlaaq aur eesaar se mazboot hota hay.to arz hay k ye apnay haath meiN hay, bas zara zabt se kam lena hota hay jo aaj larkiyoN me to bilkul b nahi.
        haaN agar lalach aur khud-gharzii ajaey to khooni rishtay bhi be-ma,nii hotay haiN.
        wese ye bhi hay k har insan aur ghar k rawaj mukhtalif hotay haiN.kuch panay k liye kuch khona to parta hay. jazbaati honay ki bajaey zara sabr, dar-guzar aur samajh-dari se kam lijiye to maidan apna hota hay.yanii dono khush.
        mery khiyal main is sawaal ki sab se behtreen mukhtasar aur jameh jawab najma sister ny diya hy ,main bilkul in se agreed hon k har insaan ka mizaj dosry se mukhtalif hota hy aur mizaj par pehly taleem o tarbiyat aur phir halaat bhi mukhtalif andaz se asar andaz hoty hain, asy main jo koi bhi apny mizaj ko kabu main rakhy wohi behtar andaz main aysy reshton ko nibha sakta hy. aur jiss main jitna zaraf ho yani jo jitna agaly ki ziyadti ko bardasht kar sakta ho utny hi ziyada chance hoty hain k wahaan halaat kharaab na hongy.likin imkaan ohir bhi rehta hy kiuon k hazaraty insaan ki fitrat hi aysi hi kab bigry aur kab bany.
        baqi raha masood bhai k iss sawal ka jawab k sagi maan aur beti k reshty main bardasht ki gunjaysh ziyada kiuon hy to iss ka jawab ya hy k ye bhi fitraty insaani hy, likin barha aysa bhi dekha gaya hy sagy reshton main aaps main wo badmazgiyan peda keen k misaal naheen milti jaysa k najma behan k ye alfaz to bohat hi khoobsurat akasi kar rahay hain (HAN AGAR LALACH AUR KHUD GARZI AAJAY TO JHOONI RESHTY BHI BY ,MANI HO JATY HAIN).....w.slaam aabi
        ساقیا ہور پلا ہور پلا ہور پلا

        Comment

        • #34
          Re: Larkiyon Sey Aik Sawaal

          Originally posted by aabi2cool

          Agree :thmbup: aur yehi woh dars hai jo Islam hamein deta hai keh apney nafs per qaboo rakho! Ab nafs sey murad siraf manfi pehloo mein hi nahin, balkey ghussey mein bhi apney nafs per qaboo rakhna chahiye is sey bohat sey aafat sey insaan bach jata hai.
          tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
          tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

          Comment

          • #35
            Re: Larkiyon Sey Aik Sawaal

            Assalam-o-Alikum!!!

            REASON:-

            Ik girl jab apna ghar choor ker ik person k sath pori

            Last edited by Shaim; 23 January 2006, 18:57.

            Comment

            • #36
              Re: Larkiyon Sey Aik Sawaal

              Originally posted by Spy009
              Yeh aurton ke cases mein hi kyon hota hai, yehi baat male mein le lein saas aur damad ka rishta bahut achha rahta hai,
              100% correct!

              Reason:-
              Girls her tarah se nazuk mizaaj hoti hain or in cases main na MAAN ko bete ki sharing bardasht hoti hai or na Wife ko husband ki sharing.......ik jealousy a jati hai jo fitraatan AURTON mai ziada hoti hai:tauba

              or males piss jate hain:khi:

              DAMAAD SAAS k sath nahi rehte na or males jealous bhi nahi hote or is tarah ki sharings bardasht ker sakte hain

              Comment

              • #37
                Re: Larkiyon Sey Aik Sawaal

                Originally posted by Spy009
                So totally it's all things depend upon BAHOO
                AGREED AGAIN!

                ik girl new ghar mai jati hai sab naai logon k darmiaan....ye usk behaviour per 98% depend kerta hai k wo apne aap ko SUSRAAL mai kese dhaalti hai usko just apne husband ki care hai ya usk ghar walon k liye bhi wo caring hai.....

                uska accha behavious SAAS ko SAAS ban'ne hi nahi deta kise bhi SAAS ko tab kabhi koi prob nahi hota apni BAHOO se jab uska beta family ko b4 marriage jesa time deta hai........ager girl ziada demanding ho tAb prob hota hai

                or aj kal mujhko ik bat dekhne mai ai hai k girls want HENPECKED HUSBANDS...........JORUU K GHULAAM jo shadi k baad parents or sab ko bhool jate hain ager girl ki thoughts aise hoon to wo SAAS ka MAAN jesa pyar kabhi nahi paa sakti......

                ik girl ko kabhi husband ko is bat k liye majbor nahi kerna chahiye k wo sara time wife ko de or log bhi hain us se wabista...

                Comment

                • #38
                  Re: Larkiyon Sey Aik Sawaal

                  ye to bara poorana jhagra he:khi: wese zeada tar indo pak me hi dekhen ko milta he:cc:

                  Comment

                  • #39
                    Re: Larkiyon Sey Aik Sawaal

                    [quote=Masood]
                    Originally posted by najma
                    .....sagii betee ka rishta hi esa hay k dar-guzar ki hamesha gunjaish hi gunjaaish rehtee hay, lekin saas aur bahuu ka rishta sirf akhlaaq aur eesaar se mazboot hota hay.quote]

                    aisa kyun hota hai??? woh larki jo aik mard ki khatir apna sab kuchh, waldein jinhon ney ussey apni godh mein panah di, behan bhai jin sey woh bachpan mein khaili, apna ghar jo uskey liye jaa-e-panah raha karta tha, sab kuchh chhoor ker aik naey ghar mein jati hai to uskey saath aisa salook kyun hota hai? Kya pehla farz susraal walon ka nahin banta keh aik naee larki ko apnaya jaey? agar us mein koi kami hai to ussey apney taein door kiya jaey ussey apney rang mein dhala jaey na keh uski baton sey naak charhaya jaey?? Akhlaaq ka pehla muzihira to susraal walon ko karna chahiye na....:cc:

                    baja farmaya.lekin haqeeqat se kabhi munh nahi morna chahiyye.haqeeqat yehi hay k main ya aap, ya koee bhi dunya ka fard agar kisi doosray ko apnay bhaee ya behn ya maan baap jesa ya un se bhi ziyada chahnay ka da,wa karay to us se jhoota koee nahii.susral meiN to dono taraf se give n take (mohabbat, khuloos, eesaar, zabt, aur isii se munsalik kaee jabr se na chahtay huey bhi guzarna parta hay.)chalta hay.jiska zikr maiN is se qabl post meiN bbhi kar chukii hooN.
                    baat ye hay k insani fitrat hay k apnay sagay rishtoN se to lar jhagaR k bhi un meiN guzara karta hay lekin saas ya bahuu apnay rishtay ko lagat-bazi ka rishta bana leti haiN, aur ek doosray ko muaaf ya dar-guzar karnay ki bajaey ek mahaaz , ek issue bana k nafrat ki deewar khari karti haiN.jo ghalat hay.
                    ye sirf mera khayal hay, lekin jo in marahal se guzar rahay haiN, mumkin hay un k halaat dereena dushmani, ya sirf larki larkay ki pasand par mabni shadi ho, jis meiN baqi khandan na-khush ho. tab to achu bahuu ki bhi har achaee, saas ko zehr bhara teer ban k chubhay gii na.

                    Comment

                    • #40
                      Re: Larkiyon Sey Aik Sawaal

                      Originally posted by Masood
                      Do we need that??? Kya yehi masla ka hal hai?? I don't thik so ....

                      jesa pehlay arz kiya hay k halaat sab k saath mukhtalif hotay haiN , lekin natiijatan baat saas bahuu par aa kat khatm hotii hay.
                      aaj kal ye aam baat ho gaee hay k ziyada-tar larkiyaN shadi se pehlay hi fesla kar letii haiN k alag rehna hay.maiN 1 esee ko jantii hooN jis ne saath rehnay k mua.hday par pasand ki shadi kii, aur ba,d meiN alag honay k asaar na dekh kar khud hi panga liya, aur halat itnay kharab bana diye k bajaey izzat se, be-izzati k saath alag huee, aur apnay shohar ko b un se alag kar diya(shohar ki ghalatii ye hay k wo ishq meiN andha ho gaya tha, jiska bv ko pehlay hii naz aur yaqeen tha.).lekin kahani ka silsila saloN se aaj tak saas bahuu k ek doosray par ilzam thopnay par aRaa hua hay.
                      na janay esay kitnay mukhtalif halat se k hathoN kitnay hi log majboor haiN.
                      ye baat alag k ye jhagra kabhi khatm honay wala naheeN.
                      pehlay ta,leem ki kamii ne saas ko ilzam diya , aur aaj taleem k zamanay meiN larkii apnay huqooq par kham ThoNk kar kharii hay. ye ziddam-ziddi hi halaat ko le kar Doob rahii hay.

                      Comment

                      • #41
                        Re: Larkiyon Sey Aik Sawaal

                        Originally posted by Masood
                        Kuchh din pehley TV per aik jumla suna... socha aap larkiyon sey poochha jaey keh iski haqeeqat kya hai (larkey bhi btaa saktey hain, magar chunkeh yeh larkiyon sey related hai isi liye un sey poochha hai ...

                        Punjabi mein kehtey hain:

                        Maan kissey di mandi naee - tey sas kissey di changi naee:mm: :mm: :mm:

                        urdu mein huw: Maa kisi ki buri nahin, aur saas kisi ki achhi nahin :mm:

                        Is per roshnee daalein plz
                        paa je roshnee tu me bhi daalna chahta hoon... lakin problem yeh k aap nay sirf larkiyun say poocha hai.... :) kabhi boys say bhi kuch pooch liya karo.... :)
                        :alhamd::SubhanAllhaa::alhamd::jazak::insha:

                        Comment

                        • #42
                          Re: Larkiyon Sey Aik Sawaal

                          Rehman aap bhi apna view share karen...
                          Khandar wafa ka yaaro kured kar dekh lo
                          Hamarey naam ka patthar zaroor milega

                          Comment

                          • #43
                            Re: Larkiyon Sey Aik Sawaal

                            Originally posted by rehman
                            paa je roshnee tu me bhi daalna chahta hoon... lakin problem yeh k aap nay sirf larkiyun say poocha hai.... :) kabhi boys say bhi kuch pooch liya karo.... :)
                            :lol bhai miyaan aap agar dekhein to saath mein yeh bhi darj hai keh "...larkey bhi jawab dey saktey hain...." :wk :wk
                            tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
                            tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

                            Comment

                            • #44
                              Re: Larkiyon Sey Aik Sawaal

                              Salam
                              Janab Masood Bhai. maray khial main is ki asal wajah
                              deen say kuch dori our Hoqooq-Ul-Ebaad say naa waqifyati hai.
                              Q K aaj kal hum (har shakhs) dosroon par apnay hoqqoq ki adaigi zarori
                              samajh tay hay. Jub k ham par dosroon k kia hoqooq hay os ki adaigi to door ki baat hay oska khayyal hi nahi kartay. Is lie zarori hay k hum aik dosray k hoqooq k baray main janai. Maslan Maan Bati ka' Behin Bhai ka' Baap Batay ka' Saas Baho ka' Maan Batay ka esi tarah dosray Rishta daroon ka oua aik Musalman ka dosray Musalman par aik Par'osi ka dosray par'osi par Sharaa (Islami) kia haq hay? Is k baray main janay.
                              Is lie hum sub ko chahiay k aisay rasail (Megzeen) our daijast ka mutalia karay jis main fazool kahnion k bajai aisi kahaniaan ho jo hamaray Gharoon our Muaashray ki Islaah karay.
                              Is lie sub say meri ghuzarish hay k is salsaly main weekly magzeen bachoon ka Islams(with Daily Islam on sunday) our khawateen ka Islam (With Daily Islam on wednsday) ka mutalia har haftay zaroor karay.
                              ya www.dailyislam.com.pk web site dekha karay.:jazak:

                              Comment

                              • #45
                                Re: Larkiyon Sey Aik Sawaal

                                Originally posted by aabi2cool
                                mery khiyal main is sawaal ki sab se behtreen mukhtasar aur jameh jawab najma sister ny diya hy ,main bilkul in se agreed hon k har insaan ka mizaj dosry se mukhtalif hota hy aur mizaj par pehly taleem o tarbiyat aur phir halaat bhi mukhtalif andaz se asar andaz hoty hain, asy main jo koi bhi apny mizaj ko kabu main rakhy wohi behtar andaz main aysy reshton ko nibha sakta hy. aur jiss main jitna zaraf ho yani jo jitna agaly ki ziyadti ko bardasht kar sakta ho utny hi ziyada chance hoty hain k wahaan halaat kharaab na hongy.likin imkaan ohir bhi rehta hy kiuon k hazaraty insaan ki fitrat hi aysi hi kab bigry aur kab bany.

                                baqi raha masood bhai k iss sawal ka jawab k sagi maan aur beti k reshty main bardasht ki gunjaysh ziyada kiuon hy to iss ka jawab ya hy k ye bhi fitraty insaani hy, likin barha aysa bhi dekha gaya hy sagy reshton main aaps main wo badmazgiyan peda keen k misaal naheen milti jaysa k najma behan k ye alfaz to bohat hi khoobsurat akasi kar rahay hain (HAN AGAR LALACH AUR KHUD GARZI AAJAY TO JHOONI RESHTY BHI BY ,MANI HO JATY HAIN).....w.slaam aabi

                                abbi
                                bohat shukrruiya k tum ne mere khayalat ko pasand kiya. khush raho
                                :)

                                Comment

                                Working...
                                X