Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Larkiyon Sey Aik Sawaal

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Larkiyon Sey Aik Sawaal

    Kuchh din pehley TV per aik jumla suna... socha aap larkiyon sey poochha jaey keh iski haqeeqat kya hai (larkey bhi btaa saktey hain, magar chunkeh yeh larkiyon sey related hai isi liye un sey poochha hai ...

    Punjabi mein kehtey hain:

    Maan kissey di mandi naee - tey sas kissey di changi naee:mm: :mm: :mm:

    urdu mein huw: Maa kisi ki buri nahin, aur saas kisi ki achhi nahin :mm:

    Is per roshnee daalein plz
    tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
    tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

  • #2
    Re: Larkiyon Sey Aik Sawaal

    Originally posted by Masood

    I personally dont agree with it, saas bhi pehley ek maan hoti hai, it depends on us wht we make her feel as, " A mother or a mother-in-law"

    it doesnt work always, akser lerkian saas ko maan samajhti hain magar saas ounhein baiti ka darja nahi deti, in this case let her be by her self I feel.
    sigpic

    Comment

    • #3
      Re: Larkiyon Sey Aik Sawaal

      jii joo achii maaa apni daughter ki barii mein sochtii hai woo apni bhooo ki bari mein be sochti hogiii ...... all mother in laws are not equal :rose
      u can't gain RESPECT by choice nor by requesting it... it is earned through your words & actions."

      :pr:

      Comment

      • #4
        Re: Larkiyon Sey Aik Sawaal

        halat se ziyada mizaj par munhasir hota hay.ba,z jag,ha bahuu meiN bardasht ka mad,da nahi hota aur baaz jag,h saas meiN.bas isi se na-chaqi shuruu hoti hay.
        ab sawal ye hay k mizaj q nahi miltay.is ki fitri waj,ha ye hay k sagii maaN aur sagii betee ka rishta hi esa hay k dar-guzar ki hamesha gunjaish hi gunjaaish rehtee hay, lekin saas aur bahuu ka rishta sirf akhlaaq aur eesaar se mazboot hota hay.to arz hay k ye apnay haath meiN hay, bas zara zabt se kam lena hota hay jo aaj larkiyoN me to bilkul b nahi.
        haaN agar lalach aur khud-gharzii ajaey to khooni rishtay bhi be-ma,nii hotay haiN.
        wese ye bhi hay k har insan aur ghar k rawaj mukhtalif hotay haiN.kuch panay k liye kuch khona to parta hay. jazbaati honay ki bajaey zara sabr, dar-guzar aur samajh-dari se kam lijiye to maidan apna hota hay.yanii dono khush.

        Comment

        • #5
          Re: Larkiyon Sey Aik Sawaal

          [quote=najma].....sagii betee ka rishta hi esa hay k dar-guzar ki hamesha gunjaish hi gunjaaish rehtee hay, lekin saas aur bahuu ka rishta sirf akhlaaq aur eesaar se mazboot hota hay.quote]

          aisa kyun hota hai??? woh larki jo aik mard ki khatir apna sab kuchh, waldein jinhon ney ussey apni godh mein panah di, behan bhai jin sey woh bachpan mein khaili, apna ghar jo uskey liye jaa-e-panah raha karta tha, sab kuchh chhoor ker aik naey ghar mein jati hai to uskey saath aisa salook kyun hota hai? Kya pehla farz susraal walon ka nahin banta keh aik naee larki ko apnaya jaey? agar us mein koi kami hai to ussey apney taein door kiya jaey ussey apney rang mein dhala jaey na keh uski baton sey naak charhaya jaey?? Akhlaaq ka pehla muzihira to susraal walon ko karna chahiye na....:cc:
          tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
          tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

          Comment

          • #6
            Re: Larkiyon Sey Aik Sawaal

            Originally posted by Masood
            Kuchh din pehley TV per aik jumla suna... socha aap larkiyon sey poochha jaey keh iski haqeeqat kya hai (larkey bhi btaa saktey hain, magar chunkeh yeh larkiyon sey related hai isi liye un sey poochha hai ...

            Punjabi mein kehtey hain:

            Maan kissey di mandi naee - tey sas kissey di changi naee:mm: :mm: :mm:

            urdu mein huw: Maa kisi ki buri nahin, aur saas kisi ki achhi nahin :mm:

            Is per roshnee daalein plz
            Iss tarah ke sawal mere zehan mein kai baar aaya, socha poochhoon kisi se...so aap ne sawal dal hi diya...OK I'm looking for what's answer
            Khandar wafa ka yaaro kured kar dekh lo
            Hamarey naam ka patthar zaroor milega

            Comment

            • #7
              Re: Larkiyon Sey Aik Sawaal

              Saas bhi kabhi bahu thi...

              Bahu bhi kabhi saas banegi...yehi silsila chala aa raha hai.
              Khandar wafa ka yaaro kured kar dekh lo
              Hamarey naam ka patthar zaroor milega

              Comment

              • #8
                Re: Larkiyon Sey Aik Sawaal

                Originally posted by Saima Shaheen
                I personally dont agree with it, saas bhi pehley ek maan hoti hai, it depends on us wht we make her feel as, " A mother or a mother-in-law"

                it doesnt work always, akser lerkian saas ko maan samajhti hain magar saas ounhein baiti ka darja nahi deti, in this case let her be by her self I feel.
                Saima aik sachaee hai keh yeh lafz hi bohat "burey" hain - saas aur bahoo! Burey sey murad yeh keh larkiyaan agar kisi ka mazzaq karna chahein to to lafz maa istimaal nahin karein gi - balkey saas kahein gi yani "woh to aisi be'dhol hai jaisi meri saas" :lol aur saasein bhi apni bahoo ko az misaal istimaal karein gi -"woh to aisi naak'charhi hai jaisey meri bahoo" :tauba to yeh to aik azal ka masla hai keh "doosri" buri hai.

                Aur aap ney kaha larkiyaan saason ko maa ka darja deti hain, magar saasein unhein apni betiyaan nahin manti - aisa kyun hota hai?
                tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
                tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

                Comment

                • #9
                  Re: Larkiyon Sey Aik Sawaal

                  Originally posted by Spy009
                  Saas bhi kabhi bahu thi...

                  Bahu bhi kabhi saas banegi...yehi silsila chala aa raha hai.
                  Mujhey aap ki is baat per aik aur kahawat yaad aai:

                  Jab main bahoo bani to mujhey saas achhi na mili, ab jab saas bani hoon to bahoo achhi nahin mili
                  tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
                  tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

                  Comment

                  • #10
                    Re: Larkiyon Sey Aik Sawaal

                    Jaisa ke Saima kah rahi hain k Saas, bahoo ko wo darja nahi deti jo apni beti ko deti hain, similarly bahoo bhi to Saas ko wo darja nahin deti jo unki beti deti hai.

                    In other case ke agar beti se badh kar bahoo Saas ko regards de rahi hai to bhi saas ke paas bahoo ka wo rutba nahi hota jo beti ka hota hai,

                    So totally it's all things depend upon BAHOO
                    Khandar wafa ka yaaro kured kar dekh lo
                    Hamarey naam ka patthar zaroor milega

                    Comment

                    • #11
                      Re: Larkiyon Sey Aik Sawaal

                      Originally posted by Masood
                      Saima aik sachaee hai keh yeh lafz hi bohat "burey" hain - saas aur bahoo! Burey sey murad yeh keh larkiyaan agar kisi ka mazzaq karna chahein to to lafz maa istimaal nahin karein gi - balkey saas kahein gi yani "woh to aisi be'dhol hai jaisi meri saas" :lol aur saasein bhi apni bahoo ko az misaal istimaal karein gi -"woh to aisi naak'charhi hai jaisey meri bahoo" :tauba to yeh to aik azal ka masla hai keh "doosri" buri hai.

                      Aur aap ney kaha larkiyaan saason ko maa ka darja deti hain, magar saasein unhein apni betiyaan nahin manti - aisa kyun hota hai?

                      There are reasons behind that, is mei sara ka sara kasoor baitey ka hota hai.
                      Baitian baap ki aank ka noo rhoti hain, aisey hi baithey maan ki aankh ka tara, baitian jab mekey se vida hoti hain to baap ke dil ka haal wahi janta hai, issi tarah se jab baitey ki shadi hoti hai to baitey ki mohabbat jo pehley sirf maan ke liyeh thi divert ho jati hai kabhi kabhi zada aur kabhi kabhi complete. Ek taraf yeh baat mao'n ki samajh mei nahi aati ke ek lerki jo apna sara jahan chor ker ek nayi duniya mei aayi hai she deserves her husband's love and care more then any thign else aur dosri taraf baitey ki aqal mei yeh baat nahi aati ke even if he's married and has become a husband but still he is a son as well. Baitey ka maan ki taraf se biwi ki taraf divert hona maan ko kuch insure feel kerne per majboor kerta hai aur yahan se ous ka baat be baat chirna, bahoo se lerne, taney dena shuroo hota hai, aur bahoo jisey kabhi saas en baiti ki tarah treat hi nahi kiya wo ousey maan ka darja dai ker ous ki batein kiu suney, wo bhi ous bahoo ki tarah treat kerti hai, aur is mei phir husband dono relations mei balance rakhen mei nakaam rehta hai.
                      sigpic

                      Comment

                      • #12
                        Re: Larkiyon Sey Aik Sawaal

                        Yeh aurton ke cases mein hi kyon hota hai, yehi baat male mein le lein saas aur damad ka rishta bahut achha rahta hai,
                        Khandar wafa ka yaaro kured kar dekh lo
                        Hamarey naam ka patthar zaroor milega

                        Comment

                        • #13
                          Re: Larkiyon Sey Aik Sawaal

                          Originally posted by Spy009
                          Jaisa ke Saima kah rahi hain k Saas, bahoo ko wo darja nahi deti jo apni beti ko deti hain, similarly bahoo bhi to Saas ko wo darja nahin deti jo unki beti deti hai.

                          In other case ke agar beti se badh kar bahoo Saas ko regards de rahi hai to bhi saas ke paas bahoo ka wo rutba nahi hota jo beti ka hota hai,

                          So totally it's all things depend upon BAHOO

                          Not bahoo Spy, as I replied Masood the main cause here is "Baita/husband" who always stays out of picture.
                          sigpic

                          Comment

                          • #14
                            Re: Larkiyon Sey Aik Sawaal

                            Originally posted by Spy009
                            Yeh aurton ke cases mein hi kyon hota hai, yehi baat male mein le lein saas aur damad ka rishta bahut achha rahta hai,

                            Ager bahoo apney husband ke sath separate rahey aur saas ka oun ke ghar sirf kabhi kabhi aan ajana ho to waha saas bahoo ka rishta saas aur damad ke rishtey se zada behter ho ga.
                            sigpic

                            Comment

                            • #15
                              Re: Larkiyon Sey Aik Sawaal

                              Originally posted by Spy009

                              So totally it's all things depend upon BAHOO
                              Spy I am not agree there ! Is tarha to yeh baat saamney aati hai keh is masley ki asal jarr bahoo hi hai. Magar aisa nahin hota. I am agree keh alot depends on bahoo lekin is sey saasein apney aap ko elag mat samjhein.
                              tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
                              tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

                              Comment

                              Working...
                              X