Re: Kia shadi muhabbat ka zawaal hai ?
Aanchal aik bohat umdah aur aham sawaal hai aur aisa sawaal jo aaj kal key muashrey mein shidddat sey mehsoos kiya jaa raha hai. Shadiyaan - as whole - nakaam ho rahi hain - ya aksariyyat! Hamarey samney muashrey mein love marriges aur arranged marriges dono ka haal mojood hai. Dono mein talaqon ki sharra bohat barh chuki hai.
Sab sey pehley to main Saima ki baat ki hamayat karoon ga keh muhabbat ko kabhi zawwal nahin hai. Muhabbat hamesha dil mein zindah rehti hai aur rehni chahiye. Shadi ki nakami ki wajjah yeh nahin keh muhabbat mar jati hai, balkey jinkey liye feelings hon, unsey door rah ker bhi unka ehsaas rehta hai.
Ham jis moashrey mein rehtey hain is mein bohat sey awwamil hain jo hamari roz'marrah ki zindagi mein asar andaz hotey hain. Families, Log, Ehbaab - in sab ka asar mojood hai. Kabhi kabar aapis mein chhoti chhoti batein bohat bada batangar ban jati hain aur yeh batangar phir hadsaat ko janam deta hai. Shakook bohat badi lanat hain, jis dil mein shak aa jaey wahan per mohabbat bhi mand per jati hai, halankey hona yeh chahiye keh muhabbat karney waley kabhi aik doosrey per shak na karein, magar yahan per woh doosrey awwamil asar andaaz hotey hain.
Aik haqeeqat yeh bhi hai keh muhabbat mein insaan blind hota hai, aur bohat si batein ignore kar deta hai, magar jab milap ho jaey to woh chhoti chhoti batein bhi mehsoos honey lagti hain. Kehtey hain keh jisko paa liya jaey uski qadar kho jati hai, magar yeh wahan hota hai jahan dil hawas sey bhara ho. Sachey dil sey jo muhabbat ki jaey usmein aisa nahin hota.

Comment