Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Kia shadi muhabbat ka zawaal hai ?

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Kia shadi muhabbat ka zawaal hai ?

    Assalamalikum

    shadi say pehlay loog aik doosray ko buhat pasand kartay hain....pher shadi honay kay bas aik saal hi main laraian shuru .........muhabbat kahi gum hoo jati hai ........aisi shadiyan bhi jin main long term ishq chalye hotay hain :lol lekan shadi kay bad ......:donno:
    aisa kayoun hota hai kia yeh samjha jaye shadi muhabbat ka zawaal hai ?
    اللھم صلی علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما صلیت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔
    اللھم بارک علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما بارکت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔


  • #2
    Re: Kia shadi muhabbat ka zawaal hai ?

    Maine iska jawab pehle diya tha na...ke koun better hai wife or girlfriend...
    Khandar wafa ka yaaro kured kar dekh lo
    Hamarey naam ka patthar zaroor milega

    Comment


    • #3
      Re: Kia shadi muhabbat ka zawaal hai ?

      Assalam-o-Alikum WR WB

      Aanchal ... shadi aik bhot umda rishta hay per agr wo rishta Islami Kanoon ky lhaaz sey ho ... kuo kay ya mera iman hay kay jo kaam Allah aur PBUH ki raza ky liya ho wo kabhi zawal pazeer nahi ho ti hay ....

      haan albta ... jo luchy lafanagy kism ki shadiya ya talukaat ho tay hay un main zawal to pahla qadam hay

      FeamanAllah
      Meri Taqdeer Main Likha Tha Khuda Ny Aik Din
      Tu Jisay Cha-hyga Wo Shaks Paraya Ho Ga


      Comment


      • #4
        Re: Kia shadi muhabbat ka zawaal hai ?

        Originally posted by Spy009
        Maine iska jawab pehle diya tha na...ke koun better hai wife or girlfriend...
        yeh woh topic nahi hai :hathora
        اللھم صلی علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما صلیت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔
        اللھم بارک علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما بارکت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔

        Comment


        • #5
          Re: Kia shadi muhabbat ka zawaal hai ?

          Originally posted by Bheegi-Palkain
          Assalam-o-Alikum WR WB

          Aanchal ... shadi aik bhot umda rishta hay per agr wo rishta Islami Kanoon ky lhaaz sey ho ... kuo kay ya mera iman hay kay jo kaam Allah aur PBUH ki raza ky liya ho wo kabhi zawal pazeer nahi ho ti hay ....

          haan albta ... jo luchy lafanagy kism ki shadiya ya talukaat ho tay hay un main zawal to pahla qadam hay

          FeamanAllah
          nahi na jo shadiyan sahi tareekay say hoti hain un main bhi aisa hota hai .............

          main jin ko janti houn.....aik larka or larki aik doosray kay cousin they...larka pasand karta tha larki ko shuru say hi........baray hoo gay larki walye inkaar kartay rehaye..kayoukay larki walye zara pesay walye hoo gay or larkay walye itna ameer they nahi.............khair larkay walye rishta mangatay rehaye....donoo pasand bhi kartay thye na aik doosray ko.........larki waloo nay apni beeti ki manganai kahi or kar di larkay ki baat cheet bhi kahi or chalanay lagi........itni mushkelaat ..........pher achanak hi pata chala donoo kay maan baap raazi hoo gay hain :eye: it's amazing na :lpop: ........pher donoo ki shadi hoo gai.....kisi ko yakeen nahi tha aisa hoo ga..........larkay nay us ka buhat wait kia tha woh bachpan say usay janta tha :D: ......................
          shadi hoo gai aik saal bhi nahi howa jhugray shuru :tauba
          aik baby bhi hai un kay han pher aia to nahi hona chaye tha na ...
          اللھم صلی علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما صلیت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔
          اللھم بارک علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما بارکت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔

          Comment


          • #6
            Re: Kia shadi muhabbat ka zawaal hai ?

            Originally posted by Aanchal
            nahi na jo shadiyan sahi tareekay say hoti hain un main bhi aisa hota hai .............

            main jin ko janti houn.....aik larka or larki aik doosray kay cousin they...larka pasand karta tha larki ko shuru say hi........baray hoo gay larki walye inkaar kartay rehaye..kayoukay larki walye zara pesay walye hoo gay or larkay walye itna ameer they nahi.............khair larkay walye rishta mangatay rehaye....donoo pasand bhi kartay thye na aik doosray ko.........larki waloo nay apni beeti ki manganai kahi or kar di larkay ki baat cheet bhi kahi or chalanay lagi........itni mushkelaat ..........pher achanak hi pata chala donoo kay maan baap raazi hoo gay hain :eye: it's amazing na :lpop: ........pher donoo ki shadi hoo gai.....kisi ko yakeen nahi tha aisa hoo ga..........larkay nay us ka buhat wait kia tha woh bachpan say usay janta tha :D: ......................
            shadi hoo gai aik saal bhi nahi howa jhugray shuru :tauba
            aik baby bhi hai un kay han pher aia to nahi hona chaye tha na ...
            Assalam-o-Alikum WR WB

            same asa hi mery janay walay ky saath hua but they r in karachi ... well baat to bhot ghazab ki batain hay ... wasy Aanchal kya pata un kay jhgray main bhi Pyaar chupa ho :wk hay Allah asi baatin na kya karo sharm ati hy na :wk khair jhaan pyaar ho wha jhagary ho taya hy but jhgro ki bhi noyaat dekhi jaati hay agr jhgray batameezi walay hay to phir to janay ka sawal banta hay ....

            per meri nazar main pasnd ki shaid main asa hota hi hay .. dil shayd ukta jaata hay ... kuo kay shak -o-shubhat baray janam lytay hay ...

            FeamanAllah :lpop:
            Meri Taqdeer Main Likha Tha Khuda Ny Aik Din
            Tu Jisay Cha-hyga Wo Shaks Paraya Ho Ga


            Comment


            • #7
              Re: Kia shadi muhabbat ka zawaal hai ?

              Originally posted by Bheegi-Palkain
              Assalam-o-Alikum WR WB

              same asa hi mery janay walay ky saath hua but they r in karachi ... well baat to bhot ghazab ki batain hay ... wasy Aanchal kya pata un kay jhgray main bhi Pyaar chupa ho :wk hay Allah asi baatin na kya karo sharm ati hy na :wk khair jhaan pyaar ho wha jhagary ho taya hy but jhgro ki bhi noyaat dekhi jaati hay agr jhgray batameezi walay hay to phir to janay ka sawal banta hay ....

              per meri nazar main pasnd ki shaid main asa hota hi hay .. dil shayd ukta jaata hay ... kuo kay shak -o-shubhat baray janam lytay hay ...

              FeamanAllah :lpop:
              Baat to apne bilkul sehi ki hai... ke chote chote jhakre to hote hi rehte hai or wohi to pyaar hai... agar jhakre nahi honge to phir ek dusre ki ehmiyat hamesha ziyada kese hogi... kuch loog hote hai agar hamesha agar roz ek dusre se pyaar se baate kare ya roz i love you kehe to unka pyaar phir se renew ho jaata hai.. aisa to phir chalta hai na.. experience to mujhe koi nahi hai kyunk im not married... lekin pyaar to sab se karte hai na....:wk

              Comment


              • #8
                Re: Kia shadi muhabbat ka zawaal hai ?

                Originally posted by Aanchal
                Assalamalikum

                shadi say pehlay loog aik doosray ko buhat pasand kartay hain....pher shadi honay kay bas aik saal hi main laraian shuru .........muhabbat kahi gum hoo jati hai ........aisi shadiyan bhi jin main long term ishq chalye hotay hain :lol lekan shadi kay bad ......:donno:
                aisa kayoun hota hai kia yeh samjha jaye shadi muhabbat ka zawaal hai ?
                aslamo alykum, sis shadi hi asla mohabat ki ibtada hy shadi se pehly jo log mohabat k dawey karty hain wo faqat senfy mukhalif ki atrection hoti hy aur jincy millan ka nateeja hota hy jab wo hawes shadi ki surat main pouri hoti hy to us ka nateeja barbadi ki surat main nikalta hy agar mard or urat shaeeh islamiu tareeqy se shadi kareen aur ALLAH AUR US KE RASOOL KE AHKAMAT PAR CHALTY HUY AIK DOSRY KY HOQOOQ POURY KAREEN to kabhi bhi aysa na ho, raha aap ka ye aytraz k jo shadiyan shareeh tareeqy se hoti hain un main bhi baz oqat nakami hoti hy ?to is ka jawab ye hy k jab agar aysa hota hy to is ka ulat bhi to hota hy yani bohat se islami shadiyan kamyab bhi to hoti hain lehaza ye koi usool naheen hy k agar kisi jory main shde k bad laae jhagray hon to un main mohabat naheen hoti , wesy bhi insaan ki tabiyat main har waqat tagiyur aut tabdul waqea hota rehta hy kisi waqt koi mood hota hy aur kisi waqat khuch dil chata hy aysy main agar bahimi tour par koi chplykash ho jay to us ka ye hargiz matlab naheen k shadee k bad walai life ko barbadi ya zawaal se tabeer kiya jay...w/slaam aabi
                Last edited by aabi2cool; 21 January 2006, 17:03.
                ساقیا ہور پلا ہور پلا ہور پلا

                Comment


                • #9
                  Re: Kia shadi muhabbat ka zawaal hai ?

                  Originally posted by imsaal
                  Baat to apne bilkul sehi ki hai... ke chote chote jhakre to hote hi rehte hai or wohi to pyaar hai... agar jhakre nahi honge to phir ek dusre ki ehmiyat hamesha ziyada kese hogi... kuch loog hote hai agar hamesha agar roz ek dusre se pyaar se baate kare ya roz i love you kehe to unka pyaar phir se renew ho jaata hai.. aisa to phir chalta hai na.. experience to mujhe koi nahi hai kyunk im not married... lekin pyaar to sab se karte hai na....:wk

                  Assalam-o-ALikum WR WB

                  Well ! Marreid to main bhi nhi ... per albta aap ki aik baat main wazan hay kay ahmiyat ka andaza jhgro aur pyaar dono sey ho jaata hay per aik sawal nay preshan kar diya hy :cc: kya shadi kay baat bhi koi biwi I Love U khati ho gi lolzz:khi:

                  FeamanAllah :lpop:
                  Meri Taqdeer Main Likha Tha Khuda Ny Aik Din
                  Tu Jisay Cha-hyga Wo Shaks Paraya Ho Ga


                  Comment


                  • #10
                    Re: Kia shadi muhabbat ka zawaal hai ?

                    Originally posted by Aanchal
                    Assalamalikum

                    shadi say pehlay loog aik doosray ko buhat pasand kartay hain....pher shadi honay kay bas aik saal hi main laraian shuru .........muhabbat kahi gum hoo jati hai ........aisi shadiyan bhi jin main long term ishq chalye hotay hain :lol lekan shadi kay bad ......:donno:
                    aisa kayoun hota hai kia yeh samjha jaye shadi muhabbat ka zawaal hai ?
                    Humain kia pta kisy shadi shuda sy hee pochain:cc:

                    Comment


                    • #11
                      Re: Kia shadi muhabbat ka zawaal hai ?

                      Originally posted by aabi2cool
                      aslamo alykum, sis shadi hi asla mohabat ki ibtada hy shadi se pehly jo log mohabat k dawey karty hain wo faqat senfy mukhalif ki atrection hoti hy aur jincy millan ka nateeja hota hy jab wo hawes shadi ki surat main pouri hoti hy to us ka nateeja barbadi ki surat main nikalta hy agar mard or urat shaeeh islamiu tareeqy se shadi kareen aur ALLAH AUR US KE RASOOL KE AHKAMAT PAR CHALTY HUY AIK DOSRY KY HOQOOQ POURY KAREEN to kabhi bhi aysa na ho, raha aap ka ye aytraz k jo shadiyan shareeh tareeqy se hoti hain un main bhi baz oqat nakami hoti hy ?to is ka jawab ye hy k jab agar aysa hota hy to is ka ulat bhi to hota hy yani bohat se islami shadiyan kamyab bhi to hoti hain lehaza ye koi usool naheen hy k agar kisi jory main shde k bad laae jhagray hon to un main mohabat naheen hoti , wesy bhi insaan ki tabiyat main har waqat tagiyur aut tabdul waqea hota rehta hy kisi waqt koi mood hota hy aur kisi waqat khuch dil chata hy aysy main agar bahimi tour par koi chplykash ho jay to us ka ye hargiz matlab naheen k shadee k bad walai life ko barbadi ya zawaal se tabeer kiya jay...w/slaam aabi
                      :thmbup: :thmbup: :thmbup: :thmbup: :thmbup:

                      Comment


                      • #12
                        Re: Kia shadi muhabbat ka zawaal hai ?

                        dekho Aanchal...insaan ki ye fitrat hai jab tak use koi cheez mil nahi jaati uske peeche paaglon ki tarah paRa rehta hai..uski talab bahut hoti hai aur use haasil karna uska maqsad ban jaata hai.....aur uske liye kisi bhi hadh tak jaa sakta hai...ise junoon kehte hain...khair jab woh use haasil kar leta hai to use FOR GRANTED lene lagta hai..ke ye to ab meri ho hi chuki hai....and insaan apne real self mein dheere dheere aane lagta hai ..woh kehte haina LOVE IS BLIND...waqaii aisa hi hota hai aur jab waqt ke saath saath muhabbat/junoon ka parda aankhon se haTta hai to saamne waale ki khaamiyaan bhi nazar aane lagti haiN....aur ek baar jab routine life shuru ho jaati hai to zindagi mein doosre itne masle masaayel aa jaate hain keh insaan ka zehn uljha rehta hai...ye nahi hota keh muhabbat khatm ho jaati hai balki woh kehte haina 'aur bhi gham hai zamaane mein muhabbat ke siwaa' aur is baat ka ehsaas tab hi hota hai jab practical life shuru hoti hai jo itni bhi aasaan nahi...bas isi gham-e-duaraan ki kashmakash mein insaan jhunjhala jaata hai aur baat baat pe jhagra karna shuru kar deta hai....aur ye ek natural si baat hai..ye har rishte mein hoti hai...har shadi shuda couples mein apas mein behes ..laRaaiyaaN zaroor hoti hain...bas ye hai kisi ka zaahir hota hai kisi ka nahi...jahan bhi couples mein se ek banda bhi compromise kar le to baat baRhne se pehle khatm ho jaati hai magar jahan dono compromise na karien aur anaa ka masla bana lein to phir ye laRaayi tool pakaR leti hai. waise love marriage mein isliye jhagre zyaada hote hain kyonki pehle se woh ek doosre se bahut zyaada expectations rakhte hain aur shaayad qasmein waade bhi karte hain magar jab practical life mein utarte hain aur ek doosre ke expectations pe poore nahi utar paate to ek doosre pe tohmatein dharna shuru kar dete hain...laraai ..jhaGra karne lagte hain.....

                        Comment


                        • #13
                          Re: Kia shadi muhabbat ka zawaal hai ?

                          nahi Mere khayal se aisa nahi hay :) Muhabbat agar ki jaye jese karne ka haq ho to yeh la zawal hay
                          Allah

                          Comment


                          • #14
                            Re: Kia shadi muhabbat ka zawaal hai ?

                            Nahi, mohabbat ko kabhi zawal nahi chahey shadi ho yaan na ho .....
                            Magar eyh bhi sahi hai ke akser sahdion mei dekha gaya hai ke sahdi se pehley buhut pyar hota hai aur baad mei yeh pyar kam hota nazar aata ahi .is ki ek waja jo mei ne note ki wo yeh ke sahdi se pehley both live for each other, yani dono ki priority ek dosrey ki khishi, mohabbat hoti hai, osu ke saharey jeetey ahin, shadi ke baad jab practical life mei aatey hai, aur dono ki priorities aur responsibilities mei izafa hota hai ........ priorties differ, both expect save love & care from each forgetting weather they them selves are giving each other same attention or not ?? things starts getting differ, arguments start and goes on, finally dono ek dosre ko ilzam detey hain ke "U have changed" yeh sochey samjhey bagair ke hum khudh kitna change huwey hain.
                            sigpic

                            Comment


                            • #15
                              Re: Kia shadi muhabbat ka zawaal hai ?

                              Assalam-o-alaikom

                              Jo kuch Shammo jeee nay kaha hai bilkul sahih kaha hai main bhi is main share karna chah rahi thi lakin shammu jee kay views hi tu mere views bhi hain...
                              shammu jee u r abs right lakin main yeh bhi kehna chahon gi keh agar keh shadi mohabbat ka zawal hergiz nahin yeh mazeed gehri ho sakti hai agar laog is rishtay ki ehmiyat ko samjhain.... yeh insaanon kay darmiyaan banaaye janay wala pehla rishta hai Allah taalaa aur banday kay baad dosra rishta..... jaisa keh hadees hai keh agar kisi aur ko sajda karna jaaez hota tu Allah Talaa shohar ko sajda karnay ka hukm daita agar is rightay ki azmat ka andaza sahih tarah laga liya jae aur aik dosray kay hoqooq-o-faraaiz ko samjha or poora kiyaa jaaai tu nah yeh rishta aur na hi muhabbat kabhi zawal pazeer honay ki baaat ho..............................
                              is kay ilawa aik aur baat hai keh jab loag aik dosray ko pasand kartay hain kisi educational institute main ya kahin aur tu aik dosray kay saath waqt guzarnay kay bawajood woh aik dosray ko samajh nahin patay kiun keh aksar aisa hota hai keh insaan apna behavior aur priorities ko jaga aur mahool kay lihaaz sau set karta hai kisi kay saath din main 6 ya 8 ghantay guzarnay or saari zindgee saath guzarnay main buht farq hai buht si aadat say laog shaadi kay baad waqif hotay hain.....
                              isi waja say shadi kay baad aisi batain hoti hain keh tum shadi say pehlay aisay thay aur tum shadi say pehlay tu aisay nahin karti theeeen ... aisi sorat main bhi unhain sabar ka daman haath say nahin chorna chahiye aur thora compromising behavior rakhna chahiyee
                              Last edited by *Rida*; 22 January 2006, 16:46.
                              For New Designers
                              وَ بَارِکْ لِيْ فِيْمَا أَعْطَيْتَ

                              Comment

                              Working...
                              X