Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

! دہشت گردی اور خود کش حملوں کے موضوع پر شیخ 

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • #16

    یہاں پر جو خبر شئر کی گئی اس کا تعلق پاکستان کی موجودہ صورتحال کے تناظر میں اپنی شرعی زمہ داری کا احساس کرتے ہوئے اپنے فریضہ انجام دینے کے حوالے سے تھا جو کہ ڈاکٹر صاحب نے کیا ۔ ۔ ۔ ۔یہ الگ بحث ہے کہ آیا ڈاکٹر صاحب نے اس سے پہلے بھی اس قسم کے اقدامات کی مذمت کی یا نہیں اور ڈاکٹر صاحب کے علاوہ اور کن کن علمائے دین اپنی اس زمہ داری کو سمجھا اور آج تک نبھایا
    baat chal nikli hai to... kya Doctor sahib ka farz yehi per khatam ho jata hai? Woh aik AALIM-e-DEEN hain, woh aik REHNUMA hain, kya aik rehnuma ka farz sirf taqreer tak mehdood hai? Phir un mein aur aik aam sahafi mein kya farq huwa, jo isi tarha deshat'gardi per apney biyanaat pesh karey???

    آپ کا کام اس تھریڈ میں یہ بنتا تھا کہ دہشت گردی جیسے گھناونے فعل کی مذمت کرتے کہ اس وقت پوری قوم کو یہی کردار ادا کرنا چاہیے کہ ہر محاذ پر دہشت گردی کی مخالفت پر زور مذمت کرنی چاہیے اور ایسے میں ہر اس شخص کا ساتھ دینا چاہیے جو کہ ہمارے ملک سے اس لعنت کا خاتمہ چاہتا ہے مگر آپ نے یہ کرنے کی بجائے کے ڈاکٹر صاحب کی ماضی کی غلطیوں کو نگاہ میں رکھتے ہوئے موضوع سے ہٹ کر ڈاکٹر صاحب پر کلام فرمانا شروع کردیا جی انھون نے آج تک کیا کیا ہے
    Dehshatgardi key hawaley sey jo MUJHEY kehna hai, woh main 2002 sey kehta chala aaya hoon, aap key liyey dehshatgardi sirf woh ho sakti hai jo ab Pakistan mein ho rahi hai, merey nazdeek har us muqaam per jahan insaani khoon sey khaila jaey, dehshat'gardi hai - chahey us mein Musalman mulawis hon ya na hon... Merey nazdeek 9/11 bhi dehshat'gardi thi, aur London Bombing bhi :) Dehshatgardi per jaisey Doctor sahib ney apna farz nibhaya hai, aisa hi farz main na'cheez bhi 2002 sey nibhata chala aa raha hoon...


    اب اس پر میں کیا تبصرہ کروں کہ ایک عالم دین کا کام شرعی طور پر کسی شئے کا حکم واضح کرنا ہی ہوتا ہے اور اس حکم کو وہ اپنی تحریر تقریر اور کبھی فتاوٰی شکل میں واضح کرتا ہے اور ہر پلیٹ فارم سے کرتا ہے اور تاریخ گواہ ہے کہ ڈاکٹر صاحب نے ہر پلیٹ فارم سے یہ آواز اٹھائی ہے اور اپنا فرض پورا کیا ہے اور ایسے آج جب اس آواز کو زیادہ شدت کے ساتھ بلند کرنے کی ضرورت تھی تو انھوں نے اپنا فتوٰی بھی دے دیا
    Aap Doctor sahib ki is taqreer ko fatwa jari karney key mutradif kah rahey hain????

    کیا طاہر القادری صاحب نے پلیٹ فارم کی شکل میں ایک ادارے کی بنیاد نہیں رکھی کہ جسے منھاج القرآن کہا جاتا ہے ؟؟؟ اور ادارے کا موٹو یہ ہے کہ اس میں تمام مسلمان مکاتب فکر کو شمولیت کی اجازت ہے حتٰی کے اہل تشیع بھی اس کے اراکین اور عہدے داران ہیں ۔ ۔ کیا یہ ا تحاد امت کی طرف ایک پلیٹ فارم سے اٹھایا جانے والا ایک انتہائی مثبت عملی قدم نہیں ہے آپکی نظر میں ؟؟؟؟؟
    Is tarha key kitney idarey Pakistan mein bar'sar-e-paikaar hain aur kitney mazeed banein gey? Idara Minhaaj ko main bhi janta hoon aur unki Denmark ki shaakh sey bhi waqif hoon :) :)

    آپ ہی بتلایئے کہ ڈاکٹر صاحب کیا کریں کیا بندوق ہاتھ میں اٹھا لیں اور سب کو زبر دستی اتحاد پر آمادہ کریں ؟؟؟؟؟
    Aap phir woh batein kartey hain jinka wajood nahin. Aik AALIM ko kya karna chahiyey? Jab woh janta ho keh uskey saamney mulk mein mufaad'prast tabqa urooj paa raha hai, woh janta ho keh sarmaya'dar deen aur duniya ki jarrein khokhli kar raha hai, Itna ziyada ilm rakhney walon key liyey kya ASAL WAJAH ka janena mushkil hai? Us per fatwa kyun nahin diya jata? Doctor sahib aaj sarmaya'daron key khilaaf aawaz uthaein, main sab sey pehley labbaik kahoon ga, magar us tarf fatwey jaari kyun nahin kiyey jatey? Kya Doctor sahib nahin jaantey keh hamari hukumt currupt logon key haath mein hai? Kya woh nahin jaantey keh hamarey haan adalti nizaam faasiq hai, kya woh nahin jantey keh INQILAAB bohat zaroori hai????

    Merey nazdeek in baton mein siwaey khana'puri karney key aur kuchh nahin! Afsos key saath kehna parr raha hai, keh hamarey ulmaa apna FARZ hi nahin nibhaa rahey :)

    Yeh Waqt is tarha alfaaz key saath apna farz poora karney ka nahin, balkeh ASAL JEHAD key liyey musalmano ko tayyar karna hai aur asal jehad ka aaghaz APNEY HI MULK MEIN MOJOOD KHABEESON SEY HOTA HAI - us tarf na ahl-e-danish aatey hain aur na ahl-e-mazhab!

    Zara aik nazar idher bhi:

    http://www.pegham.com/behas-o-mubahi...-inqilaab.html
    Last edited by Masood; 8 December 2009, 17:38.
    tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
    tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

    Comment


    • #17
      Assalaam-O-Alaikum Masood and aabi2cool bhai

      Aap dono ahbaab ki guftagoo paRhi aur bohat kuch seekhnay aur samajhnay ko mila... aap dono ka tah-e-dil say shukurguzaar hoon.

      aabi2cool, cool honay kay bawajood itnay sakhtmizaaj aur guhssay waalay hain inn ki baatain paRh kar khoob andaaza hota hay magar unkay ghussay ki waja itni VALID hay kay mujh jaisa koi bhi shakhs jo halaat-e-haazra say kuch hadh tak ba-khabar hay inn kay taysh main aanay per bilkul khafa nahin hoga, waqayi dehshat gardi aur roz kay dhamakoon main jo humara pyara mulk jal raha hay woh kisi bhi hub-ul-watan shaks ki ankhoon main ghussay bharay ansoo laa sakti hay!!!

      Masood Bhai, aap ki haqeqat pasandi qabil-e-tareef hay, magar yaqeen karain kay Pakistan main rehnay wala shaks iss INQILAAB jiss ka aap nay apni tehreer main zikar kia hay kaay aas paas bhi khaRa nazar nahin aayay ga.... humain mehangayi nay aur bay-rozgaari nay itna shadeed zakhm dia hay kay issay bharnay main hi humari umr guzar jaati hay... aik achi noukri ki talash main nikla noujawan jab sham ghar lout-ta hay aur apnay waldain ki ankhoon main sawal ko paRhta hay "kay baita tujhay noukri mil gayi" tou khudhbakhudh yeh aankhain khoon kay ansoo roti hain..... jiss tarah Dr. Tahir Qadri ki baatain sunnay main achi lagti hain aur Pakistan ka har shaks yeh sab baatain jaanta hay ussi tarah har shaks Inqilaab ki bhi baat karta hay aur usski ahmiyat jaanta hay!!!

      Main phir bhi aap dono ki baatoon ko REGARD karta hoon aur samajhta hoon kay shayed woh waqt aa hi jayay jab hum sab aik PLATFORM per ikhta khaRay hoon aur aapas main tamam TAFREEQ khatam kar kay srif aur srif aik naara MUTAHID hokar lagayain tou aywaan-e-sadar ki imaratain bhi iss GOONJ say kaanp jayain.........!!!!

      May ALLAH SWT light and guide our ways AMEEN

      Fi Amaan ALLAH
      sigpic

      Comment


      • #18
        Originally posted by thefire1 View Post
        magar yaqeen karain kay Pakistan main rehnay wala shaks iss INQILAAB jiss ka aap nay apni tehreer main zikar kia hay kaay aas paas bhi khaRa nazar nahin aayay ga.... humain mehangayi nay aur bay-rozgaari nay itna shadeed zakhm dia hay kay issay bharnay main hi humari umr guzar jaati hay... aik achi noukri ki talash main nikla noujawan jab sham ghar lout-ta hay aur apnay waldain ki ankhoon main sawal ko paRhta hay "kay baita tujhay noukri mil gayi" tou khudhbakhudh yeh aankhain khoon kay ansoo roti hain..... jiss tarah Dr. Tahir Qadri ki baatain sunnay main achi lagti hain aur Pakistan ka har shaks yeh sab baatain jaanta hay ussi tarah har shaks Inqilaab ki bhi baat karta hay aur usski ahmiyat jaanta hay!!!
        :)

        Ali, merey bhaii aap key nazdeek INQILAB key aaney ya laaney ka pas-manzar kya hota hai???? Aap ney farmaya "hamein mehngaii aur be'rozgari ney itna shadeed zakhm diya hai keh iskey bharney mein hamari umer guzar jati hai" - to merey bhaii agar sari qaum key paas 2 waqt ki roti ho, rozgaar ho aur meyaar-e-zindagi aala ho to inqilab kyunker aaey ga ya laya jaey ga????

        Inqilab wohi laya jata hai, jahan per insaaf-o-na'insaafi mein khaleej ho, jahan haq-o-batil mein itna farq aa jaey keh batil urooj aur haq pasti mein gir chuka ho, jahan ameer ameer'tar aur ghareeb ghareeb'tar hota jaey, jahan insaan ko zindagi aik azzab lagey wohi inqilaab bhi aatey hain :)

        mujhey aap ki in baton sey shak honey laga hai keh kya sach mein ham Pakistaniyon ko patah hai keh INQILAB ka mafhoom kya hai??? Ham inqilab ko kin maanon mein letey hain??

        Mujhey lagta hai keh ham kisi sey is nisbat baat karein keh inqilaab aana zaroori hai, to woh yehi samjhey ga, qatal-o-gharat hogi, khoon'kharaba ho ga, balwa ho ga waghera - magar kya YEHI INQILAB hai???

        Sab sey pehley apney ander inqilaab ki soch ko bedaar karney ki zaroorat hai. Inqilab ka matlab hai aik nizaam ko badalna jiski buniyaad jhoot aur batil per ho. Jahan insaan ko insaan honey ka haq na miley. Inqilab mein yeh yaqin hona chahiyey keh yeh aaindah aaney wali naslon ko aik aisa nizaam muhayya karey ga, jis per woh aik achhey aur behtar mustaqbil ki buniyaad rakh sakein. Zahir hai jahan is yaqin key saath keh yeh qurbani Khuda key qanoon key nafooz key liyey aur aaindey aaney wali naslon key liyey zaroori hai to wahan to phir khoon kharaba to hota hai :) yeh maut ka khof hi hamein tabahi ki janib liyey jaa raha hai
        tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
        tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

        Comment


        • #19
          Assalaam-O-Alaikum Masood Bhai

          Meray khayal main Pakistan ka har shakhs jaanta hay kay inqilaab kay maainay kia hain...

          magar yaqeen karain kay yeh qoum iss qadar soyee hoyee hay kay aap ki baatoon ka inn per koi farq nahin paRnay waala, shayed mujh per bhi nahin, chonkay aap khudh aik haqeeqat pasand shakhs hain issi liye main aap say bilkul haqeqat mandaana andaaz main baat kar raha hoon.

          aap kia samajhtay hain kay Pakistan main inqilaab Baghair khoon kharabay kay aajayay ga tou yeh aap ki bohat baRi ghalatfehmi hay.... hum inqilaab ki aaR main apnay hi mulk ko tabah aur barbaad kardain gain, gehrayo, pathrayo, saRakoon per gariyon ko jalaana, pooray kay pooray ATM loot laina, food outlets per aag lagana, factories, bank sab kuch jala kar raakh kardaina.... poora mulk aik maidan-e-jung lagay ga aur hosakta hay kay KHANA JANGI ka bhi shikaar hojayay.

          Pakistan main inqilaab ki baatain mujhay tou srif aik dakiyanoosi khayal lagti hain issi liye iss soyee hoyee qoum ko soonay dain aur bedaar na karain kiyonki yeh sotay huway bhi mulk ki salaamti kay liye khatra hain tou jaag kar tou yeh iss Pak zarzameen ko itnay tikRoon main taqseem kardain gain jiss ka aap bhi andaaza nahin....!!!

          May ALLAH SWT light and guide our ways AMEEN

          Fi Amaan ALLAH

          Originally posted by Masood View Post
          :)

          Ali, merey bhaii aap key nazdeek INQILAB key aaney ya laaney ka pas-manzar kya hota hai???? Aap ney farmaya "hamein mehngaii aur be'rozgari ney itna shadeed zakhm diya hai keh iskey bharney mein hamari umer guzar jati hai" - to merey bhaii agar sari qaum key paas 2 waqt ki roti ho, rozgaar ho aur meyaar-e-zindagi aala ho to inqilab kyunker aaey ga ya laya jaey ga????

          Inqilab wohi laya jata hai, jahan per insaaf-o-na'insaafi mein khaleej ho, jahan haq-o-batil mein itna farq aa jaey keh batil urooj aur haq pasti mein gir chuka ho, jahan ameer ameer'tar aur ghareeb ghareeb'tar hota jaey, jahan insaan ko zindagi aik azzab lagey wohi inqilaab bhi aatey hain :)

          mujhey aap ki in baton sey shak honey laga hai keh kya sach mein ham Pakistaniyon ko patah hai keh INQILAB ka mafhoom kya hai??? Ham inqilab ko kin maanon mein letey hain??

          Mujhey lagta hai keh ham kisi sey is nisbat baat karein keh inqilaab aana zaroori hai, to woh yehi samjhey ga, qatal-o-gharat hogi, khoon'kharaba ho ga, balwa ho ga waghera - magar kya YEHI INQILAB hai???

          Sab sey pehley apney ander inqilaab ki soch ko bedaar karney ki zaroorat hai. Inqilab ka matlab hai aik nizaam ko badalna jiski buniyaad jhoot aur batil per ho. Jahan insaan ko insaan honey ka haq na miley. Inqilab mein yeh yaqin hona chahiyey keh yeh aaindah aaney wali naslon ko aik aisa nizaam muhayya karey ga, jis per woh aik achhey aur behtar mustaqbil ki buniyaad rakh sakein. Zahir hai jahan is yaqin key saath keh yeh qurbani Khuda key qanoon key nafooz key liyey aur aaindey aaney wali naslon key liyey zaroori hai to wahan to phir khoon kharaba to hota hai :) yeh maut ka khof hi hamein tabahi ki janib liyey jaa raha hai
          sigpic

          Comment


          • #20
            Originally posted by thefire1 View Post
            aap kia samajhtay hain kay Pakistan main inqilaab Baghair khoon kharabay kay aajayay ga tou yeh aap ki bohat baRi ghalatfehmi hay
            Aap please meri post phir sey parhiyey keh us mein kya likha hai. Main ney kaha hai keh jab haq aur batil aamney samney aata hai, to khoon kharaba to hota hai :) Inqilab bghair khoon kharabey key mumkin nahin aur khaas ker woh inqilab jo meri soch mein hai - main Pakistan sey kuchh khaandano ka qala'qama chahta hoon - unka qatal hi Pakistan ki baqa hai!

            Merey bhaii aap zara phir sey us pas-manzar ko samajhney ki koshish kijiyey jiskey baiis inqilab na'guzeer ho jata hai... Khana'jungi ki baat kartey hain, woh to already shuru ho chuki hai... mulk key tukrey karney ka mansooba bhi shuru ho chuka hai - aap mazeed kis tabahi key muntazir hain?

            Jab koi inqilabi soch pedah hoti hai, to us ki jumbish itni tez hoti hai keh us mein sara muashra aa jata hai - wahan per fatah sirf aur sirfa HAQ ki hoti hai aur haq kabhi raigaan nahin jata :)
            tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
            tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

            Comment


            • #21
              بات چونکہ اصل موضوع سے ہٹ ہی چکی ہے لہذا ہم نے
              سوچا کہ ہم بھی دخل در معقولات کر ہی لیں تو جی مسعود بھائی آپ انقلاب کے بہت بڑے حامی ہیں تو کیوں ناں اس باب میں آپ سے چند سوالات ہوجائیں کہ آخر یہ انقلاب ہے کس بلا کا نام ؟؟؟؟ جس کا شور آپ نے برسوں سے ڈال رکھا ہے اور اس کی اصل حقیقت آپ کے نزدیک کیا ہے ؟؟؟؟؟؟؟
              جہاں تک مجھے اپ کی تحریروں سے فیضیاب ہونے کا موقع ملا تو میں اپنے ناقص مطالعہ کی بنیاد پر اس نتیجے پر پہنچا ہوں کہ جس انقلاب انقلاب کی آپ بات کرتے ہیں ابھی خود آپکے ذہن میں بھی اس کے اصل خطوط واضح نہیں ہے لہزا یہی وجہ ہے کہ آپکی حالیہ تحریر میں آپکی سابقہ تحریروں کے برعکس انقلاب کی بابت تضاد معلوم ہوتا ہے مثلا آپکی اسی موضوع پر حالیہ رپلائی نمبر اٹھارہ کے آخری حصہ پر اگر غور کیا جائے تو آپکی جو عبارت سامنے آتی ہے اس میں انقلاب کی وضاحت کرتے ہوئے جو آپکی اولین عبارت ہے وہ جملہ استفہام انکاری پر مشتمل ہے کہ جس میں انقلاب کی بات کرتے ہوئے اپنے استفہامیہ انداز میں جس بات کی نفی کی ہے وہ خونی انقلاب کا ناگزیر ہونا ہے جیسا کہ آپکی درج زیل عبارت سے صاف واضح ہے ۔ ۔ ۔

              Mujhey lagta hai keh ham kisi sey is nisbat baat karein keh inqilaab aana zaroori hai, to woh yehi samjhey ga, qatal-o-gharat hogi, khoon'kharaba ho ga, balwa ho ga
              waghera - magar kya YEHI INQILAB hai???

              پھر آگے چل کر آخر میں آپ خود ہی اپنی نفی کرتے ہوئے خود ہی جواب دیتے ہیں کہ خونی انقلاب ناگزیر ہے جیسا کہ آپکی درج زیل عبارت سے صاف واضح ہے ۔ ۔

              Zahir hai jahan is yaqin key saath keh yeh qurbani Khuda key qanoon key nafooz key liyey aur aaindey aaney wali naslon key liyey zaroori hai to wahan to phir khoon kharaba to hota hai

              آپکی حالیہ تحریر کے برعکس اگر آپ کی سابقہ تحریروں پر اگر تھوڑا بہت بھی غور کیا جائے تو انسان اسی نتیجے پر پہنچتا ہے کہ ہمیشہ سے خونی انقلاب کے حامی رہے ہیں جیسا کہ آپ نے یہاں اور یہاں جس انقلاب کی بات کی ہے وہ فقط خونی ہی ہے

              اب اس ضمن میں میرے آپ سے درج زیل سوالات ہیں ؟؟؟؟؟؟؟؟
              سب سے پہلے تو آپکے نزدیک انقلاب کا جو حقیقی مفھوم ہے اسے واضح کیجیئے کہ آخر آپ کے نزدیک انقلاب سے اصل مراد کیا ہے ؟؟؟
              کیا انقلاب فقط خون ہی کے زریعے برپا کیا جاسکتا ہے یا پھر دلوں کو مسخر کرکے لوگوں کے قلوب و اذہان کے اندر بھی کسی قسم کا کوئی انقلاب برپا کیا جاسکتا ہے کسی دیگر طریقے سے ؟؟؟؟
              اور یہ انقلاب جو کچھ بھی ہے یہ آخر آتا کیسے ہے ؟؟؟ اسکا طریقہ کار کیا ہوگا اگر ذہنی اور قلبی انقلاب لانا ہے تو اس کا طریقہ کار کیا ہوگا اور اگر خونی انقلاب ہی لانا ہے تو اس کا بھی تو ایک طریقہ کار ہوگا ناں؟؟؟؟ وہ کیا ہوگا؟؟؟ کیسے آئے گا وہ خونی انقلاب ؟؟؟؟


              Last edited by aabi2cool; 9 December 2009, 20:56.
              ساقیا ہور پلا ہور پلا ہور پلا

              Comment


              • #22
                Assalaam-O-Alaikum

                Bohat bohat Shukriya Masood Bhai, aap ki tehreer ko dobaara ghour say paRha aur aapki wazaahat say baat samajh aagayi kay aap kay kehnay ka matlab kia tha :)

                Aur iss baat ki haqeqat say bhi koi inkaar nahin hay kay HAQ aur baatil ki jang main Kamyaabi HAQ ko hi haasil hoti hay...... baatil chand dino tak tou qaabiz reh sakta hay magar HAQ kay aagay usay aik na aik jhukna hi paRta hay.

                Inqilaab ka aik tareeqa jaisa kay aabi2cool apni tehreer main poochnay ki koshish ya manzar-e-aam per laanay ki koshish kar rahay hain aur jahan tak main samjha hoon woh yeh hay kay humain sab say pehlay KHOON-O-KHARAABAY jaisay alfaazon say ijtinaab kar kay logon kay diloon ki musakhar karna chayeh unmain taleem ka shaour paida kar kay unki soch aur amal main INQILAAB barpa karnay ki zaroorat hay..... kiyonki jab taleem aur shaour nahin hoga tou unhain HAQ aur BAATIL main farq kaisay nazar aayay ga.... aaj awaam ki ankhoon per jo patti bandhi hoyee hay ussay utaarnay ki zaroorat hay... phir yaqeen karain aap ko Khoon kharaabay ki zaroorat hi nahin paRay gi....

                Aaj humari qoum ka yeh haal hay kay agar main khaRa hojayon kay main Inqilaab laana chata hoon tou woh meri taang khainch lain gain (mazrat kay main nay umoomi zaban ka istimaal kia) kiyonki yehi rad-e-amal hota hay logon ka...... magar jab dil ko Musakhir kar lia jayay tou phir insaan ko apnay ZAATI MAFAADAAT nazar nahin aatay, woh sachay DIL say IJTIMAYI MAFAADAAT ki khaatir apni jaan tak Qurban karnay say dareegh nahin karay ga!!!

                issi liye bhi humaray pyaray mazhab nay bhi TALEEM haasil karnay ko itni ahmiyat dee hay, kiyonki TALEEM hi INSAAN ko INSAAN banaati hay warna tou uss ka shumaar HAWAANOON main hota hay!!!!

                May ALLAH SWT light and guide our ways AMEEN

                Fi Amaan ALLAH

                Originally posted by Masood View Post
                Aap please meri post phir sey parhiyey keh us mein kya likha hai. Main ney kaha hai keh jab haq aur batil aamney samney aata hai, to khoon kharaba to hota hai :) Inqilab bghair khoon kharabey key mumkin nahin aur khaas ker woh inqilab jo meri soch mein hai - main Pakistan sey kuchh khaandano ka qala'qama chahta hoon - unka qatal hi Pakistan ki baqa hai!

                Merey bhaii aap zara phir sey us pas-manzar ko samajhney ki koshish kijiyey jiskey baiis inqilab na'guzeer ho jata hai... Khana'jungi ki baat kartey hain, woh to already shuru ho chuki hai... mulk key tukrey karney ka mansooba bhi shuru ho chuka hai - aap mazeed kis tabahi key muntazir hain?

                Jab koi inqilabi soch pedah hoti hai, to us ki jumbish itni tez hoti hai keh us mein sara muashra aa jata hai - wahan per fatah sirf aur sirfa HAQ ki hoti hai aur haq kabhi raigaan nahin jata :)
                sigpic

                Comment


                • #23
                  Asalamaalaikum


                  haan her koi is waqt sahi hai jo Islam ki or umat ki bhalai sochta hai bila mufad ke.... ya chalein mufad ke saath bhi tu per bhala tu soch raha hai na....

                  :rose

                  Comment


                  • #24
                    Originally posted by Masood View Post
                    Aap Doctor sahib ki is taqreer ko fatwa jari karney key mutradif kah rahey hain????
                    dr sahab ki guftgu ki video yahaan per dekheen aur suneen
                    ساقیا ہور پلا ہور پلا ہور پلا

                    Comment

                    Working...
                    X