Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Lekin...

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Lekin...

    Hamara Wata Jannat Ki Misaal Hai - Lekin...
    Attached Files
    tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
    tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

  • #2
    Re: Lekin...

    WOW nice artical na
    http://www.genericviagra2015shop.com/

    Comment


    • #3
      Re: Lekin...

      bohat khoob masood sahib
      suchaaee se bhar pur article pe daad qubool kijiye
      najma
      :)

      Comment


      • #4
        Re: Lekin...

        Originally posted by najma
        suchaaee se bhar pur article pe daad qubool kijiye
        Najma ji daad to qabool kar leta hoon, magar kya hai keh sach bolna itna aasan nahin hota jitna sach sunena hota hai, aur isi liye sach bolney key liye 2 insaano ka hona laazmi hai, aik jo sach boley aur aik jo sach suney. Halaat ki nazakat ney merey qalam ko aik tarsh-pan dey diya hai, main to sach bolta rahoon ga, kya suneney waley bhi suntey rahein ge????
        tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
        tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

        Comment


        • #5
          Re: Lekin...

          AOA,


          Baja tasveer khainchi hai aap nain Quaid k sath hum nain kia kia ye sab jante hain un jaisi sooch na kisi ki thi na hai jo b aya uss nain khaya kisi nain bachane ki nain sochi lakin jahan tak meri soch hai musharaf nain jo kam kia Quaid k baad shaid hi kisi nain kia ho lakin hamare molvi hazraat apne pait ko kahain chorain to koch kam ho wo khud kha kha k nain thakte deen k naam pe logoon ko oksana band karain to koch bane lfo k bajaye agar ye royi kaprra aur makan ki baat karte to hum b kahte k chalo koi to hai lakin wo wardi k pichi lag gaiye kon kare ga ye sab kon theek kare ga aik Allah pak ka fazal hai hum pe warna hamare ahmaal iss kabil nain k hum koch kah b sakain.

          Sohail Abbasi.
          Apna haq ada karo.

          Comment


          • #6
            Re: Lekin...

            :) hmmmmmmm kya kaho'n :)


            anywaz thanx for Sharing :)


            khush rahyeah :rose
            Zindagi Thak Gaye ..!!

            Comment


            • #7
              Re: Lekin...

              kia baat hay app ki

              wasey yeh bateen

              app bi to meray khial main pakistan sey bahir haan

              to app khod kis tarah ka rawaya rkatey haan

              serious bateey ga
              :)

              Comment


              • #8
                Re: Lekin...

                Originally posted by zaalim
                kia baat hay app ki

                wasey yeh bateen

                app bi to meray khial main pakistan sey bahir haan

                to app khod kis tarah ka rawaya rkatey haan

                serious bateey ga
                :)
                Ji Zaalim main bahir hi rehta hoon, magar shayid bahir rehney waley un lakhon pakistaniyon mein sey chand aik mein hoon jo 20 saal sey ziyada ka arsa bahir rehney key bawajood aaj tak apni Pakistani Passport nahin chhora :)

                Jahan tak ta'alluq meri baat ki hai to Pakistan ka siyasi khad-o-khal badal diya jaey, awwam ko tahaffuz mil jaey jo yahan Denmark mein hai, main aik raat yahan guzarney ka rawadaar na banoon .... LEKIN !!!!! :wink
                tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
                tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

                Comment


                • #9
                  Re: Lekin...

                  Originally posted by Masood
                  Najma ji daad to qabool kar leta hoon, magar kya hai keh sach bolna itna aasan nahin hota jitna sach sunena hota hai, aur isi liye sach bolney key liye 2 insaano ka hona laazmi hai, aik jo sach boley aur aik jo sach suney. Halaat ki nazakat ney merey qalam ko aik tarsh-pan dey diya hai, main to sach bolta rahoon ga, kya suneney waley bhi suntey rahein ge????

                  Assalaam o alekum,


                  Masood bhai aapki tehreerien to waaqaee bahoot hi suchchaayi per manbi hooti hai mujhe to pakistan kaa haal utnaa nahin pataa lekin aapki tehreeroon se kafi kuch jaan gayaa aur yeh sab jaan ker perh ker behud afsoos hootaa hai aaj tak main samajhtaa thaa ke pakistan mien bahoot khushhaali hai wahaan ki awam bahoot khush hai lekin ab lagtaa hai ke main ghalat thaa mere soochnien kaa andaaqz ghalat thaa aisa kuch bhi nahin wahan,

                  jahan tak baat suchchaayi ki hai to mere bhai SUCH HAMESHA KERWA hi hootaa hai kam loog SUCH SUNNA PASNAD kertey hain khair meri taref se daad qabool karien iss tehreer per khush rahien
                  :tang: RISK IS MY BUSINESS

                  DANGER IS MY GAME

                  DONT PLAY WITH ME
                  BCOZ KHURRAM IS MY NAME :tang:

                  Kisi nien bhi to naa dekha nigaah bher ke Mujhe

                  Gaya phir aaj kaa din bhi udaas ker ke mujhe

                  Comment


                  • #10
                    Re: Lekin...

                    Originally posted by khurram_shaikh
                    Assalaam o alekum,


                    Masood bhai aapki tehreerien to waaqaee bahoot hi suchchaayi per manbi hooti hai mujhe to pakistan kaa haal utnaa nahin pataa lekin aapki tehreeroon se kafi kuch jaan gayaa aur yeh sab jaan ker perh ker behud afsoos hootaa hai aaj tak main samajhtaa thaa ke pakistan mien bahoot khushhaali hai wahaan ki awam bahoot khush hai lekin ab lagtaa hai ke main ghalat thaa mere soochnien kaa andaaqz ghalat thaa aisa kuch bhi nahin wahan,

                    jahan tak baat suchchaayi ki hai to mere bhai SUCH HAMESHA KERWA hi hootaa hai kam loog SUCH SUNNA PASNAD kertey hain khair meri taref se daad qabool karien iss tehreer per khush rahien
                    Khurram Pakistan aik khush'haal mulk hai, is lehaaz sey keh awaam apni maujon mein mast hai. Agar aap generally moazna karein to Pakistan ki awwam Hindustan ki awwam sey qadrey behtar haal mein hai. Jaisa keh main ney "Lekin" mein likha keh hamarey mulk mein qudrati wasaeel malamaal hain, har woh cheez muyassar hai jo honi chahiye, magar in wasaeel ka istimaal ghalat kiya jata hai. Dolat itni hai keh 50 saal sey ziyada ka arsa ho geya hai LUTERON ko loot'tey huwey kabhi iskey khizaney mein kami nahin aai. Aap ko btaoun keh kharbon rupiya Swiss banks mein parra huwa hai. Jis mulk mein siraf defence budget par 70% tak istimaal kiya jata ho, woh mulk ghareeb nahin ho sakta. Qayamat yeh hai keh ghurbat aur amarat mein aik numaya farq hai, jo ghareeb hain, woh bohat hi ghareeb hain, aur jo ameer woh bohat hi ameer.

                    Main jis baat ka rona rota hoon woh yeh hai keh is taqseem ko mitaya jaey. Islam ney jo qanoon rakhey hain unhein istimaal kiya jaey aur ghareebon ko unka haqq diya jaey. Is tarha hamarey mulk sey ghurbat khatam ho sakti hai. Pakistan ghareeb nahin, ghareeb show kiya jata hai. Mera rona yeh hai keh haqq ki aawaz koi nahin uthata, sach koi nahin sunta, har koi ghaflat mein mast hai. Na-insafiyon ka khatma hona chahiye...

                    Pakistan ameer logon ka ameer mulk hai.
                    tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
                    tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

                    Comment

                    Working...
                    X