Hamara Wata Jannat Ki Misaal Hai - Lekin...
Announcement
Collapse
No announcement yet.
Unconfigured Ad Widget
Collapse
Lekin...
Collapse
X
-
-
Re: Lekin...
Originally posted by najmasuchaaee se bhar pur article pe daad qubool kijiyetumharey bas mein agar ho to bhool jao mujheytumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey
Comment
-
Re: Lekin...
AOA,
Baja tasveer khainchi hai aap nain Quaid k sath hum nain kia kia ye sab jante hain un jaisi sooch na kisi ki thi na hai jo b aya uss nain khaya kisi nain bachane ki nain sochi lakin jahan tak meri soch hai musharaf nain jo kam kia Quaid k baad shaid hi kisi nain kia ho lakin hamare molvi hazraat apne pait ko kahain chorain to koch kam ho wo khud kha kha k nain thakte deen k naam pe logoon ko oksana band karain to koch bane lfo k bajaye agar ye royi kaprra aur makan ki baat karte to hum b kahte k chalo koi to hai lakin wo wardi k pichi lag gaiye kon kare ga ye sab kon theek kare ga aik Allah pak ka fazal hai hum pe warna hamare ahmaal iss kabil nain k hum koch kah b sakain.
Sohail Abbasi.Apna haq ada karo.
Comment
-
Re: Lekin...
Originally posted by zaalimkia baat hay app ki
wasey yeh bateen
app bi to meray khial main pakistan sey bahir haan
to app khod kis tarah ka rawaya rkatey haan
serious bateey ga
:)
Jahan tak ta'alluq meri baat ki hai to Pakistan ka siyasi khad-o-khal badal diya jaey, awwam ko tahaffuz mil jaey jo yahan Denmark mein hai, main aik raat yahan guzarney ka rawadaar na banoon .... LEKIN !!!!! :winktumharey bas mein agar ho to bhool jao mujheytumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey
Comment
-
Re: Lekin...
Originally posted by MasoodNajma ji daad to qabool kar leta hoon, magar kya hai keh sach bolna itna aasan nahin hota jitna sach sunena hota hai, aur isi liye sach bolney key liye 2 insaano ka hona laazmi hai, aik jo sach boley aur aik jo sach suney. Halaat ki nazakat ney merey qalam ko aik tarsh-pan dey diya hai, main to sach bolta rahoon ga, kya suneney waley bhi suntey rahein ge????
Assalaam o alekum,
Masood bhai aapki tehreerien to waaqaee bahoot hi suchchaayi per manbi hooti hai mujhe to pakistan kaa haal utnaa nahin pataa lekin aapki tehreeroon se kafi kuch jaan gayaa aur yeh sab jaan ker perh ker behud afsoos hootaa hai aaj tak main samajhtaa thaa ke pakistan mien bahoot khushhaali hai wahaan ki awam bahoot khush hai lekin ab lagtaa hai ke main ghalat thaa mere soochnien kaa andaaqz ghalat thaa aisa kuch bhi nahin wahan,
jahan tak baat suchchaayi ki hai to mere bhai SUCH HAMESHA KERWA hi hootaa hai kam loog SUCH SUNNA PASNAD kertey hain khair meri taref se daad qabool karien iss tehreer per khush rahien:tang: RISK IS MY BUSINESS
DANGER IS MY GAME
DONT PLAY WITH ME
BCOZ KHURRAM IS MY NAME :tang:
Kisi nien bhi to naa dekha nigaah bher ke Mujhe
Gaya phir aaj kaa din bhi udaas ker ke mujhe
Comment
-
Re: Lekin...
Originally posted by khurram_shaikhAssalaam o alekum,
Masood bhai aapki tehreerien to waaqaee bahoot hi suchchaayi per manbi hooti hai mujhe to pakistan kaa haal utnaa nahin pataa lekin aapki tehreeroon se kafi kuch jaan gayaa aur yeh sab jaan ker perh ker behud afsoos hootaa hai aaj tak main samajhtaa thaa ke pakistan mien bahoot khushhaali hai wahaan ki awam bahoot khush hai lekin ab lagtaa hai ke main ghalat thaa mere soochnien kaa andaaqz ghalat thaa aisa kuch bhi nahin wahan,
jahan tak baat suchchaayi ki hai to mere bhai SUCH HAMESHA KERWA hi hootaa hai kam loog SUCH SUNNA PASNAD kertey hain khair meri taref se daad qabool karien iss tehreer per khush rahien
Main jis baat ka rona rota hoon woh yeh hai keh is taqseem ko mitaya jaey. Islam ney jo qanoon rakhey hain unhein istimaal kiya jaey aur ghareebon ko unka haqq diya jaey. Is tarha hamarey mulk sey ghurbat khatam ho sakti hai. Pakistan ghareeb nahin, ghareeb show kiya jata hai. Mera rona yeh hai keh haqq ki aawaz koi nahin uthata, sach koi nahin sunta, har koi ghaflat mein mast hai. Na-insafiyon ka khatma hona chahiye...
Pakistan ameer logon ka ameer mulk hai.tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujheytumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey
Comment
Comment