Announcement
Collapse
No announcement yet.
Unconfigured Ad Widget
Collapse
Shakhsiyat'parasti...!!
Collapse
X
-
-
-
Re: Shakhsiyat'parasti...!!
Walaikum Assalaam ScorpioN_RullZ
Shakhsiyat Parasti ki ta'reef?
Shakhsiyat parasti jissay English main Idealism kehtay hain ki tareef yeh kay insaan kisi ko apna IDEAL bana kar uski baatoon aur amal ko apni zindagi ka hissa bana kar yaa mashal-e-rah bana kar uss per amal karay.
Shakhsiyat Parasti ki Iqsaam?
TURE Idealism:
FANTASY IDEALISM:
Shakhsiyat Prasti ki Behtareen aur Badtareen qism?
BEHTREEN QISAM
Shakhsiyat parasti ki behtreen qisam jo kay humain humaain humaray mazhab nay sikhayi hay yaani NABI-E-KARIM SAW ki pairwi karna, yaa jaisay kay Nabi-E-Karim SAW nay irshaad farmaya kay meray sahaba sitaroon ki maanind hain agar aap kisi aik ko apni zindagi main misahal-e-rah bana lain tou kamyaabi aap kay qadmoon ko chomay gi (Yeh exact alfaaz nahi hain main nay unki tashreeh paish ki hay apnay lafzoon main)
BADTAREEN QISM:
Yeh aisi kisam hay jiss main SHIRK ka ansar paida hojayay yaani insaan kisi ko chahay who Shahaba-e-karam RZ hi kiyon na hoon ko khudda say ouncha rutba day day aur unko deewangi ki hadd yaa phir junoon ki hadd say bhi ziyada mohabbat karnay lagay!
Behtareen qism ki afadiyat, musbat asraat?
Behtreen qisam humaray maashray main bohat musbat asaraat paida karsakti hay jinn main sach, insaaf, auroon ka khayal, ikhlaaq, bhaichargi aur bohat say aisay musbat kirdar jo humaray Nabi-e-Karim SAW ki taleemat hain ko apna kar aik achay aur behtreen maashray ki shurooaat kar saktay hain.
Bad'tareen qism kay nuqsanat + Muashray par asraat?
Manfi asrat say Bachao, Hal??
May ALLAH SWT light and guide our ways AMEEN
Aap ki duwayoon ka talabgaar, ek khaksaar
Fi Amaaan ALLAH
PS: Aap ko andaaza hogaya hoga kay abhi bohat kuch kehnay ki gunjaish baaqi thi main nay baat bohat choti ki hay taakay paRhnay waalay ko boriyat ka ehsaas na ho aur mera jawab bhi mukammal lagay!
Originally posted by ScorpioN_RulzZ View PostAs Salam o Alaikum,
apnay wa'day (jo kia nahe tha) kay mutabiq hazir hooN.
aik thread maiN Ali kay sath baat chal paRi the Shakhsiyat Parasti ki, so sab yahaN darj-e-zail points par baat karaiN gaiy..
- Shakhsiyat Parasti ki ta'reef?
- Shakhsiyat Parasti ki Iqsaam?
- Shakhsiyat Prasti ki Behtareen aur Badtareen qism?
- Behtareen qism ki afadiyat, musbat asraat?
- Bad'tareen qism kay nuqsanat + Muashray par asraat?
- Manfi asrat say Bachao, Hal??
:fly:sigpic
Comment
-
Re: Shakhsiyat'parasti...!!
Originally posted by thefire1 View PostWalaikum Assalaam ScorpioN_RullZThat's Enough...!!
Comment
-
Re: Shakhsiyat'parasti...!!
:thmbup::salam::salam::salam:Originally posted by ScorpioN_RulzZ View PostBay'had shukriya :rose insha'Allah maiN bhi koshish karonga apnay khayalat share karnay ki, filhaal bus itna kehna hai k aap ki raiy apni jagah sa'ib aur yaqinan aap nay is hawalay say tehqeeq ki hogi magar mery nazdeek "shaksiyat'prasti" mukammal tour par aik "negative" word hai jis maiN kuch positive nahe, (mery mutabiq :lol no tehqeeq just my own falsafa) tafseel jald share karnay ki koshish karongaساقیا ہور پلا ہور پلا ہور پلا
Comment
-
Re: Shakhsiyat'parasti...!!
You are welcome... zaroor aap ki rayi ka intizaar rahay ga... waisay mujhay meri ki hi post main kuch NEGATIVE nahi laga, main tou shuroo say issi baat ka qayil hoon kay insaan agar kisi ki pairwi nahin karay ga tou gumrahi ki taraf nikal jayay ga, aur humaray mazhab ki bhi yehi taleem hay tabhi humain NABI-E-KARIM SAW ki sunnatoon aur Islam ki taleemat ko apni zindagi main mishaal-e-raah bana kar chalnay ka hukum hay kiyonki yehi asal kamyaabi hay... magar... aaj kal hum uss kay bilkul bar-aks chal rahay hain aur yehi humari pasti ka aik zarya ban raha hay...... waiting for your answer....and opinion
Originally posted by ScorpioN_RulzZ View PostBay'had shukriya :rose insha'Allah maiN bhi koshish karonga apnay khayalat share karnay ki, filhaal bus itna kehna hai k aap ki raiy apni jagah sa'ib aur yaqinan aap nay is hawalay say tehqeeq ki hogi magar mery nazdeek "shaksiyat'prasti" mukammal tour par aik "negative" word hai jis maiN kuch positive nahe, (mery mutabiq :lol no tehqeeq just my own falsafa) tafseel jald share karnay ki koshish karongasigpic
Comment
-
Re: Shakhsiyat'parasti...!!
Originally posted by thefire1 View PostYou are welcome... zaroor aap ki rayi ka intizaar rahay ga... waisay mujhay meri ki hi post main kuch NEGATIVE nahi laga, main tou shuroo say issi baat ka qayil hoon kay insaan agar kisi ki pairwi nahin karay ga tou gumrahi ki taraf nikal jayay ga, aur humaray mazhab ki bhi yehi taleem hay tabhi humain NABI-E-KARIM SAW ki sunnatoon aur Islam ki taleemat ko apni zindagi main mishaal-e-raah bana kar chalnay ka hukum hay kiyonki yehi asal kamyaabi hay... magar... aaj kal hum uss kay bilkul bar-aks chal rahay hain aur yehi humari pasti ka aik zarya ban raha hay...... waiting for your answer....and opinionThat's Enough...!!
Comment
-
Re: Shakhsiyat'parasti...!!
Originally posted by Faro View Posthasna mat me kay jawab per:garmi:parh bhi laina ammu:think:
shakshiyat parsati..... zindagi mein age barhnay kay liye insaan hamesha kisi na kisi guide ki talash ma rehta hai... na sirf guide balkay us se bhi pehlay kisi direction ka... ya Insaani fitart hai woh andhero mein safar nahi kar sakta chahay artifical roshni ka hi sahara kyun na lena pare.... or woh masnoi roshni koi bhi shay hosakti hai... chahay woh koi shaksh ho, ya koi Qom ya miti ka bana putla.... ek Insaani fitart yeh bhi hai ke woh "blame" or safe zone istemaal karta hai khud ko bachane ke liye... or yahi wajha hai ke woh kisi Shakhs ko follow karna start kar deta hai... Insaaan azal se kisi ko Muqadas samjha ha or ibadat kiye bagair zindagi nahi guzar sakta.. ager hum history ma dekhein tu pata chalega ke her qoum ny kisi na kisi ko apna khuda banya tha... ager Insaan Allah (wahdahu La'shareek laho) ko nahi pehchaan paaye or us ki ibadat na karay tu phir woh har dosri cheez ko bartar samjhny lagta hai jis se us ko faiidah pohnchay ya jis se usey kisi bhi Qism ke nuqsaan pohanchnay ka khatra ho... jaise suraj, gaiein , darkht, aag ya koi shakhs... or yahan se "toham parasti, qom parsti, Shakhsiyat parasti, aag parasti or shakhsiyat parasti" ki shorwaat hoti hai....
aasan lafzo ma Allah ki wahdaniyat ko na pehchaan kar kisi Shahks ko khuda tasavar karna.. or us ki baaton ko aankh band ker ke follow karna shakhsiyat parsti kehlata hai...
Shakhsiyat parsti ko do sorto mein dekha jaa sakta hai.... ek woh jisey khuda banaya gaya hai or dosre woh jis ne (kisi shakhs ko) khuda banaya hai....
aik ya bhi hai ke shakshiyat parsti Allah ki wahdaniyat ki taraf le jaay yaani jis Shakhs ko log follow kar rahay hain guide kay tor per woh unhay Allah se roshanas karaaye... jaisay Isaa (AS) or Mosa (AS) inho ny apni quom se khud ki ibadat karnay ko nahi kaha tha balke logo nay unhy Allah ke shareek thraya (Nauzbillah)... jub ke firon ky case mai us ne logo ko force kiya tha ke us ki ibadat karay usey khuda maanay.... (finaar-e-jhanum)
Masharay per is ka asar..... negative hi nazar aay ga.... Insaan ko ashraf ul makhlooqat ka darja haasil hai.. kisi se mashwarah karne ke sath saath apni aqal ka istemal bhi zaroori hai... jub ke shakhsiyat parsati mein log akser aqal ko ek taraf rakh ker us banday ki baat ko bina sochay samjhay follow kartay hain... phir chahay woh acha ho ya bura...
is se bachao.. ek hi hai.... Allah ki wahdaniyat ka dil se iqraar... or us per tawakul jo hum zubaan se din mein 5 baar kartay hain, namaz mein Alhamd partay waqt "Aye Allah hum teri hi ibadat kartay hain or tujhi se madad mangtay hain" or qool ma "kaho Allah ek hai.. Woh bayniyaaz hai...(us se jo tum us ka shareek tehraatay ho) na Woh kisi se paida howa hai na Us se koi paida howa hai... or na hi Us ka koi humsar hai" or ya Iqrar dil se bhi zaroori hai.....
Rahnuma ko khuda bana nay ki ghalti hi "shakhisyat parsti" ki taraf le jaati hai...
Allah hum sub ko is gumrahi se bachaaye aameen:thmbup:
Comment
-
Re: Shakhsiyat'parasti...!!
Originally posted by munda_sialkoty View PostFari yeh mein kia dekh raha hoon, yeh waqee tum ne likha he :lol ager tum ne likha he to mein kul aa ke isay zaroor perhoon ga :lol
@ Topic
is par bhi reply karna hai abhi :think:That's Enough...!!
Comment
-
Comment