Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Shakhsiyat'parasti...!!

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Shakhsiyat'parasti...!!

    As Salam o Alaikum,

    apnay wa'day (jo kia nahe tha) kay mutabiq hazir hooN.

    aik thread maiN Ali kay sath baat chal paRi the Shakhsiyat Parasti ki, so sab yahaN darj-e-zail points par baat karaiN gaiy..

    1. Shakhsiyat Parasti ki ta'reef?
    2. Shakhsiyat Parasti ki Iqsaam?
    3. Shakhsiyat Prasti ki Behtareen aur Badtareen qism?
    4. Behtareen qism ki afadiyat, musbat asraat?
    5. Bad'tareen qism kay nuqsanat + Muashray par asraat?
    6. Manfi asrat say Bachao, Hal??

    :fly:
    That's Enough...!!

  • #2
    Re: Shakhsiyat'parasti...!!

    walaikom Assalam
    acha topicai hai
    main is per replies aany ka intizar kar rahi hoon.....:waiting:
    Last edited by *Rida*; 4 November 2009, 09:33.
    For New Designers
    وَ بَارِکْ لِيْ فِيْمَا أَعْطَيْتَ

    Comment

    • #3
      Re: Shakhsiyat'parasti...!!

      Walaikum Assalaam

      Bohat hi achay toipc ka aghaaz kia hay aap nay.... CONGRATULATION, I will come with my AS I SEE IT, latest by tomorrow INSHALLAH and will put these answers with all the Facts and Figures.

      Meantime, it would be great if other members can also contribute their valueable thougths to this thread.

      May ALLAH SWT light and guide our ways AMEEN

      Fi Amaan ALLAH
      sigpic

      Comment

      • #4
        Re: Shakhsiyat'parasti...!!

        و عليكم السلام و رحمة الله و بركاته

        jo ab tak barey buzurgoon ne kuch nai bola tu hum bhi khaamosh hii rehtey hain....:embarasse

        akhir mai bolein gey....:shyy:

        @

        topic bus acha hii hai ...chal jaye ga....:lol
        Last edited by BhaTaktii RooH; 4 November 2009, 13:36.
        .......................!!!!!

        Comment

        • #5
          Re: Shakhsiyat'parasti...!!

          khasa ghambheer topic hay
          sab daman bacha bacha kar ja rahay hain
          Aao uss ~*Ajnabi*~Ko Yaad Karen.!!

          Comment

          • #6
            Re: Shakhsiyat'parasti...!!

            Walaikum Assalam...

            Nahii pata:$...

            shayd kisi aik shaks k parastar bun jana us ki achai aur burai k nazar'andaz kurte hue:donno:
            Last edited by MeemSheenAlif; 4 November 2009, 17:37.

            Comment

            • #7
              Re: Shakhsiyat'parasti...!!

              hasna mat me kay jawab per:garmi:parh bhi laina ammu:think:

              shakshiyat parsati..... zindagi mein age barhnay kay liye insaan hamesha kisi na kisi guide ki talash ma rehta hai... na sirf guide balkay us se bhi pehlay kisi direction ka... ya Insaani fitart hai woh andhero mein safar nahi kar sakta chahay artifical roshni ka hi sahara kyun na lena pare.... or woh masnoi roshni koi bhi shay hosakti hai... chahay woh koi shaksh ho, ya koi Qom ya miti ka bana putla.... ek Insaani fitart yeh bhi hai ke woh "blame" or safe zone istemaal karta hai khud ko bachane ke liye... or yahi wajha hai ke woh kisi Shakhs ko follow karna start kar deta hai... Insaaan azal se kisi ko Muqadas samjha ha or ibadat kiye bagair zindagi nahi guzar sakta.. ager hum history ma dekhein tu pata chalega ke her qoum ny kisi na kisi ko apna khuda banya tha... ager Insaan Allah (wahdahu La'shareek laho) ko nahi pehchaan paaye or us ki ibadat na karay tu phir woh har dosri cheez ko bartar samjhny lagta hai jis se us ko faiidah pohnchay ya jis se usey kisi bhi Qism ke nuqsaan pohanchnay ka khatra ho... jaise suraj, gaiein , darkht, aag ya koi shakhs... or yahan se "toham parasti, qom parsti, Shakhsiyat parasti, aag parasti or shakhsiyat parasti" ki shorwaat hoti hai....
              aasan lafzo ma Allah ki wahdaniyat ko na pehchaan kar kisi Shahks ko khuda tasavar karna.. or us ki baaton ko aankh band ker ke follow karna shakhsiyat parsti kehlata hai...
              Shakhsiyat parsti ko do sorto mein dekha jaa sakta hai.... ek woh jisey khuda banaya gaya hai or dosre woh jis ne (kisi shakhs ko) khuda banaya hai....
              aik ya bhi hai ke shakshiyat parsti Allah ki wahdaniyat ki taraf le jaay yaani jis Shakhs ko log follow kar rahay hain guide kay tor per woh unhay Allah se roshanas karaaye... jaisay Isaa (AS) or Mosa (AS) inho ny apni quom se khud ki ibadat karnay ko nahi kaha tha balke logo nay unhy Allah ke shareek thraya (Nauzbillah)... jub ke firon ky case mai us ne logo ko force kiya tha ke us ki ibadat karay usey khuda maanay.... (finaar-e-jhanum)
              Masharay per is ka asar..... negative hi nazar aay ga.... Insaan ko ashraf ul makhlooqat ka darja haasil hai.. kisi se mashwarah karne ke sath saath apni aqal ka istemal bhi zaroori hai... jub ke shakhsiyat parsati mein log akser aqal ko ek taraf rakh ker us banday ki baat ko bina sochay samjhay follow kartay hain... phir chahay woh acha ho ya bura...
              is se bachao.. ek hi hai.... Allah ki wahdaniyat ka dil se iqraar... or us per tawakul jo hum zubaan se din mein 5 baar kartay hain, namaz mein Alhamd partay waqt "Aye Allah hum teri hi ibadat kartay hain or tujhi se madad mangtay hain" or qool ma "kaho Allah ek hai.. Woh bayniyaaz hai...(us se jo tum us ka shareek tehraatay ho) na Woh kisi se paida howa hai na Us se koi paida howa hai... or na hi Us ka koi humsar hai" or ya Iqrar dil se bhi zaroori hai.....

              Rahnuma ko khuda bana nay ki ghalti hi "shakhisyat parsti" ki taraf le jaati hai...
              Allah hum sub ko is gumrahi se bachaaye aameen
              Last edited by fari; 4 November 2009, 22:54.

              Comment

              • #8
                Re: Shakhsiyat'parasti...!!

                Originally posted by Faro View Post

                Allah hum sub ko is gumraahi se bachaaye aameen
                :garmi:
                Ameen

                Comment

                • #9
                  Re: Shakhsiyat'parasti...!!

                  Originally posted by Faro View Post
                  hasna mat me kay jawab per:garmi:parh bhi laina ammu:think:
                  Rahnuma ko khuda bana nay ki ghalti hi "shakhisyat parsti" ki taraf le jaati hai...
                  Allah hum sub ko is gumrahi se bachaaye aameen
                  La'Jawab :rose aur woh kia kehtay haiN Allah karay zaur e Qalam Aur... teddy
                  That's Enough...!!

                  Comment

                  • #10
                    Re: Shakhsiyat'parasti...!!

                    bohat acha likha hay aap nay, Faro, INSHALLAH main bhi likh raha hoon iss per aur jald hi post karoon ga.
                    sigpic

                    Comment

                    • #11
                      Re: Shakhsiyat'parasti...!!

                      Originally posted by thefire1 View Post
                      bohat acha likha hay aap nay, Faro, INSHALLAH main bhi likh raha hoon iss per aur jald hi post karoon ga.
                      :waiting:
                      That's Enough...!!

                      Comment

                      • #12
                        Re: Shakhsiyat'parasti...!!

                        Sorry dear, bohat kuch likha hay, kuch office ki masroofiyat ki waja say iss taraf concentrate nahin kar saka, laikin bohat jald apna view likhoon ga!!!
                        sigpic

                        Comment

                        • #13
                          Re: Shakhsiyat'parasti...!!

                          "Hansna mana haaaayyyyy"

                          Ye meri khud ki zaati raaye hay
                          her khas o aam ka is say mutafiq hona zarori nahi

                          Shakhsiyat Parasti ki ta'reef?
                          Shakhsiyat Parasti ki Iqsaam?
                          Shakhsiyat Prasti ki Behtareen aur Badtareen qism?
                          Behtareen qism ki afadiyat, musbat asraat?
                          Bad'tareen qism kay nuqsanat + Muashray par asraat?
                          Manfi asrat say Bachao, Hal??

                          " main bhi is ziman main apni raye ka izahar karna chahti may b kisi ko meri raaye say ittefaq na ho
                          agr kisi ko ikhtelaaf ho to plz guide me in better way , agr ittefaq ho to meray nazrye ko aagay barhaain "

                          *jahan tak mera khyal hay ... jo shaks bazat e khud "KUCH NAHI" hota wo ird gird apnay atraaf main koi model talash karta hay jo degar logon k nazdeek "KUCH" hota hay , us"KUCH NAHi" main khud khasosyat nahi hoti to wo "KUCH" ki khobiyab khamiyan sab apnanay ki koshish karta hay
                          nahi apna pata to usi ki simat chalta chala jata hay

                          mean 2 say " DOSRON K CHIRAGH SAY ROSHNI HASIL KARTA HAY APNI KOI ROSHNI US K PAS HOTI HE NAHI'

                          shaksyat parsti ki ibteda yaeen say hoti hay

                          " kisi shaks say ya is ki khasosyat say is darja muttasir hojana k us ki taqleed ki jaye zindagi pay us k gehray asraat nazr aain . . ye shaksyat parsti hay .

                          * Shaksyat parsti ki kaii aqsaam ho sakti hain

                          shaksyat parsti siyaasi bhi ho sakti hay ..kisi siyasatdaan k liye pagal hona

                          mazhabi bhi ho sakti hay ....mazhbi rehnuma ... ya shaksyat k aqaaid pay dil o jaan say fida hona

                          qalbi bhi ho sakti hay...parveen ya nasreen pay fida hona mgr mehreen pay had say ziada fida hona
                          :garmi:

                          aur bhi aqsaam hongi musharti wagera ...jeay khandan main koi aksar turram khaan type k log hotay he hain .

                          *shaksyat parsi ki behtreen qisam wo hoti hy jo kisi ko kuch bana day jo khobyan peyda kar day jo apni roshni say dosray ko bhi roshni he bana day na k hameysha apni roshni ka muhtaj he rakhay

                          *aur bad tareen qisam wo hoti hay jis main koi apna ideal he buray ko banaye apna model he buray ko banaye aur us ki khamiyan tamaam apnay ooper apply kar k musahray ka badtareen hissa ban jaye

                          *agr musbat shaksyat parsti hogi ti zahir hay society ko immprovment milay ga afrad say agr sirf siyasat ki baat karon to keh saktay hain k log kisi ki possitive soch ko khud pay apply kar k muashray
                          ka kar aamad hissa khud b ban saktay hain dosron ko bhi bana saktay hain

                          * basorat e deegar aik tota phota muashra hamaray samnay aata hay agr shasyat parsti negative ho jesa k ab hamara muashra hay .

                          * shasyat parsti k manfi asraat say bachaao her insaan kar sakta hay kiun k Allah paak nay hamen asharful makhloqat ka darja ata farmaya hay
                          to kiun na apni aqal ko musbat rastay ki nishandahi k liye istemal kia jaye , agar koi dosra hamen lagay k koi dosra galat ya manfi simat main ja raha hay

                          kisi ko idealize kar raha hay to roknay ki koshish bhi aik had tak karni chahye
                          kiu k agr wo bhi aik manfi hissa ban gia to hamen ye baat samjh lena chahye k usay negative bananay main hamara bhi kuch na kuch haath raha hay .
                          bil wasta bilawasta ham bhi usi society ka hissa hain jahan say bigaar aur sudhaar payda hotay hain .

                          Dats it .
                          Aao uss ~*Ajnabi*~Ko Yaad Karen.!!

                          Comment

                          • #14
                            Re: Shakhsiyat'parasti...!!

                            Originally posted by Faro View Post
                            hasna mat me kay jawab per:garmi:parh bhi laina ammu:think:

                            shakshiyat parsati..... zindagi mein age barhnay kay liye insaan hamesha kisi na kisi guide ki talash ma rehta hai... na sirf guide balkay us se bhi pehlay kisi direction ka... ya Insaani fitart hai woh andhero mein safar nahi kar sakta chahay artifical roshni ka hi sahara kyun na lena pare.... or woh masnoi roshni koi bhi shay hosakti hai... chahay woh koi shaksh ho, ya koi Qom ya miti ka bana putla.... ek Insaani fitart yeh bhi hai ke woh "blame" or safe zone istemaal karta hai khud ko bachane ke liye... or yahi wajha hai ke woh kisi Shakhs ko follow karna start kar deta hai... Insaaan azal se kisi ko Muqadas samjha ha or ibadat kiye bagair zindagi nahi guzar sakta.. ager hum history ma dekhein tu pata chalega ke her qoum ny kisi na kisi ko apna khuda banya tha... ager Insaan Allah (wahdahu La'shareek laho) ko nahi pehchaan paaye or us ki ibadat na karay tu phir woh har dosri cheez ko bartar samjhny lagta hai jis se us ko faiidah pohnchay ya jis se usey kisi bhi Qism ke nuqsaan pohanchnay ka khatra ho... jaise suraj, gaiein , darkht, aag ya koi shakhs... or yahan se "toham parasti, qom parsti, Shakhsiyat parasti, aag parasti or shakhsiyat parasti" ki shorwaat hoti hai....
                            aasan lafzo ma Allah ki wahdaniyat ko na pehchaan kar kisi Shahks ko khuda tasavar karna.. or us ki baaton ko aankh band ker ke follow karna shakhsiyat parsti kehlata hai...
                            Shakhsiyat parsti ko do sorto mein dekha jaa sakta hai.... ek woh jisey khuda banaya gaya hai or dosre woh jis ne (kisi shakhs ko) khuda banaya hai....
                            aik ya bhi hai ke shakshiyat parsti Allah ki wahdaniyat ki taraf le jaay yaani jis Shakhs ko log follow kar rahay hain guide kay tor per woh unhay Allah se roshanas karaaye... jaisay Isaa (AS) or Mosa (AS) inho ny apni quom se khud ki ibadat karnay ko nahi kaha tha balke logo nay unhy Allah ke shareek thraya (Nauzbillah)... jub ke firon ky case mai us ne logo ko force kiya tha ke us ki ibadat karay usey khuda maanay.... (finaar-e-jhanum)
                            Masharay per is ka asar..... negative hi nazar aay ga.... Insaan ko ashraf ul makhlooqat ka darja haasil hai.. kisi se mashwarah karne ke sath saath apni aqal ka istemal bhi zaroori hai... jub ke shakhsiyat parsati mein log akser aqal ko ek taraf rakh ker us banday ki baat ko bina sochay samjhay follow kartay hain... phir chahay woh acha ho ya bura...
                            is se bachao.. ek hi hai.... Allah ki wahdaniyat ka dil se iqraar... or us per tawakul jo hum zubaan se din mein 5 baar kartay hain, namaz mein Alhamd partay waqt "Aye Allah hum teri hi ibadat kartay hain or tujhi se madad mangtay hain" or qool ma "kaho Allah ek hai.. Woh bayniyaaz hai...(us se jo tum us ka shareek tehraatay ho) na Woh kisi se paida howa hai na Us se koi paida howa hai... or na hi Us ka koi humsar hai" or ya Iqrar dil se bhi zaroori hai.....

                            Rahnuma ko khuda bana nay ki ghalti hi "shakhisyat parsti" ki taraf le jaati hai...
                            Allah hum sub ko is gumrahi se bachaaye aameen
                            well said faro ...khudi ka falsafa bohat khoobi say bayan kia aap nay
                            aik self made person kabhi toham awhaam ya kisi bhi qisam ki parasti ki tarf nahi ja sakta , bohat khoob .
                            Aao uss ~*Ajnabi*~Ko Yaad Karen.!!

                            Comment

                            • #15
                              Re: Shakhsiyat'parasti...!!

                              Dear Maryam

                              Aap nay sehal lafzoon main bohat hi asaani say humain shaksiyat parasti kay baaray main samjha dia, achi soch hay aap ki.... waisay tou main apna izhar-e-khayal post kar hi doonga laikin jab topic chal hi paRa hay tou kiyon na kuch ibtidaa kar hi dee jayay....!

                              Main nay tareekh ka khoob muta'ala ki hay, insaani tareekh mera humesha say favourite subject raha hay aur mulk mulk ghoomna unnkay itwaar-e-tareek dekhna unkay culture ko janna mera aik mashghala hay....!

                              Main uss waqt kay baaray main jaanna chata tha kay aakhir BUT BARASTI ki ibditaaa kahan say hoyee aur mujhay kaafi kitaabain paRhnay ka baad yeh pata chala kay

                              "Ibn-e-Abi Haatim Rehmat ALLAH Aleh, Hazrat Urwa Bin Zubair RZ say riwaayat kartay hain kay WUD, YAQOOS, YAOUQ, Sawa'a aur NASAR yeh sab Hazrat Aadam Alah-e-Salaam ki oulaad hain aur inn main sab say baRa aur naik saleh WUD tha, jab uss ka intiqaal hua tou logoon nay uss ki qabar per jaa kaar been karna shuroo kardiya, shaitaan insani shakal main aakar unko behlaawa dia kay kiyon na main iss ka aik mujasma bana doon jisay tum apni majalis main rakh laina taakay tumhay unki moujoodgi ka ehsaas hota rahay aur tum apnay dil main sukoon paida kar sako, pas usnay mujisma bana kar majalis main rakh dia, phir unki agli generation ko yeh waswasa paisa kia kay yeh mujusma jo tumhari majalis main hay Na'azubillah yehi tumhara khuda hay tum iss ki ibaadat karo aur yeh tumhain nawazay ga, yeh waqt tha jab baqaida BUT PARASTI ka aghaaz hua aur WUD hi woh pehla shaks tha jo Ghair ALLAH tha jiss ka zikar Sura-e-Nooh main bhi hay!!!"

                              Yehi woh badtareen qism hay shaskiyat parasti ki jiss say humain mehfooz rehna chayeh kiyonki Shirk ALLAH SWT ko pasand nahin aur shirk kay baaray main aik jaga aaya hay kay shirk itna baareek hay jaisay andhairi raat hoo uss raat ki tareeki main aik pahaR hay jis per Rai ka aik sia daana rakha hay, shirk itna hi bareek hay jitna woh siya daana!!!!

                              May ALLAH SWT light and guide our ways AMEEN

                              @Scorpion_RulzZ INSHALLAH jald hi tamam sawaloon kay jawab tafseelan doonga.

                              Fi Amaan ALLAH
                              sigpic

                              Comment

                              Working...
                              X