Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

aaj ka insaan..

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • aaj ka insaan..

    Assalamalikum

    Aaj ka insaan chaand par pounchnay ki tayaari kar raha hai .balkay punch bhi chuka hai .or mustqabil main vohan rehnay ki tayaarian bhi ki ja rahi hai............................dunia main to insaan nay fasaad barpa kar reakha hai , laari jhugra , jangian waghera waghera to .........chand pay ja kay bhi yehi sub kuch karey ga ??????
    اللھم صلی علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما صلیت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔
    اللھم بارک علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما بارکت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔

  • #2
    Re: aaj ka insaan..

    Originally posted by Aanchal
    Assalamalikum

    Aaj ka insaan chaand par pounchnay ki tayaari kar raha hai .balkay punch bhi chuka hai .or mustqabil main vohan rehnay ki tayaarian bhi ki ja rahi hai............................dunia main to insaan nay fasaad barpa kar reakha hai , laari jhugra , jangian waghera waghera to .........chand pay ja kay bhi yehi sub kuch karey ga ??????
    sochta hun abi:dua

    Comment

    • #3
      Re: aaj ka insaan..

      Originally posted by Last Knight
      sochta hun abi:dua
      lol

      jaldi sey soch lijiye ga :P
      " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

      Comment

      • #4
        Re: aaj ka insaan..

        Originally posted by Aanchal
        Assalamalikum

        Aaj ka insaan chaand par pounchnay ki tayaari kar raha hai .balkay punch bhi chuka hai .or mustqabil main vohan rehnay ki tayaarian bhi ki ja rahi hai............................dunia main to insaan nay fasaad barpa kar reakha hai , laari jhugra , jangian waghera waghera to .........chand pay ja kay bhi yehi sub kuch karey ga ??????
        " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

        Comment

        • #5
          Re: aaj ka insaan..

          Insaan ko yahi sab kuch karna hay to phir woh Ashraf.ul.Makhluqaat kiyun hay? Insaan aur Aadmi main farq hay kay nahi? :cc:
          :roseENIGMA:rose

          Comment

          • #6
            Re: aaj ka insaan..

            soch lia.............................
            Jihan insaan huga wohan yeh sab kuch lazmi huga.....
            jab insaan banaya gia tha to yeh hee kaha tha na k yeh wohan fasad philay ga....
            insaan k liy zamin aur chand hu ya marikh koi mahny nahi rakhty....
            kiun k sab hee insaan k liy hee to hain naa...

            so fasad phaily hee phaily..............

            Comment

            • #7
              Re: aaj ka insaan..

              Originally posted by hayaa_n
              Insaan ko yahi sab kuch karna hay to phir woh Ashraf.ul.Makhluqaat kiyun hay? Insaan aur Aadmi main farq hay kay nahi? :cc:
              Dear h_N
              insaan Ashraf.ul.Makhluqaat siraf apny elam kee bina per hay her insaan Ashraf.ul.Makhluqaat nahi hay jiss k pass elam hay wohi hay....
              insaan aur admi main farak???abi batata hun thora study ker loon

              Comment

              • #8
                Re: aaj ka insaan..

                Chand per jaa kar basney mein kam az kam 20-30 saal lagen ge, before this human will leap on MARS.
                Khandar wafa ka yaaro kured kar dekh lo
                Hamarey naam ka patthar zaroor milega

                Comment

                • #9
                  Re: aaj ka insaan..

                  Originally posted by Last Knight
                  Dear h_N
                  insaan Ashraf.ul.Makhluqaat siraf apny elam kee bina per hay her insaan Ashraf.ul.Makhluqaat nahi hay jiss k pass elam hay wohi hay....
                  insaan aur admi main farak???abi batata hun thora study ker loon
                  :jazak: LK ji... Ji plz study kar kay aap bataiye ga...:thmbup:
                  Yeh jaanti aur maanti bhi hun kay Ashraf.ul.Makhluqaat honay kay kiya Lawazmaat hain... aur har insaan is zumray main nahi aata...woh bas Admi reh jata hay..jis tarha har Maa'n kay Qadmo'n talay Jannat nahi..isi tarha har insaan Ashraf.ul.Makhluqaat nahi.
                  Last edited by hayaa_n; 28 December 2005, 01:27.
                  :roseENIGMA:rose

                  Comment

                  • #10
                    Re: aaj ka insaan..

                    aaj key insaan ney tehqeeq to bohot ker li hai ..... wo hawaon mey urhna bhi jaanta hai leykin issey zameen per rehna abhi tak nahi aya .....

                    Iqbal isi liye to kehtey hein ....

                    dhoondney wala sitaaron ki guzer gahon ka
                    apney afkaar ki manzil ka safar ker na saka
                    " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

                    Comment

                    • #11
                      Re: aaj ka insaan..

                      Originally posted by Aanchal
                      Assalamalikum

                      Aaj ka insaan chaand par pounchnay ki tayaari kar raha hai .balkay punch bhi chuka hai .or mustqabil main vohan rehnay ki tayaarian bhi ki ja rahi hai............................dunia main to insaan nay fasaad barpa kar reakha hai , laari jhugra , jangian waghera waghera to .........chand pay ja kay bhi yehi sub kuch karey ga ??????
                      topic acha hai.... jab tak insaan kay under mein laalish aur nafsani khuwahishaat hain tu fasaad barpa rahe ga....
                      :alhamd::SubhanAllhaa::alhamd::jazak::insha:

                      Comment

                      • #12
                        Re: aaj ka insaan..

                        Ek Waqt tha jab Insan ne kaah tah

                        "Farishta mujh ko kehne se meri tehqeer hoti hai
                        Main masjood ul Malaik hoon mujh Insan hi rehne do"

                        Ab insan ko dekh ker farishtey kehtey hain

                        " Insan mujh ko kehne se meri tehqeer hoti hai
                        Main khuda ka noor hou mujh farista hi rehne do"

                        Koi shaq nahi khuda ne insan ko sharaful makhlooqat banaya. Jab ous ki takhleeq ki to ous mei her achi sift ( muhabbat, wafa, insaaf, rawadari, aajzi, inkisari, Afw-o-darguzer ) aur sath hi her buri sifat (jhoot, fareb, lalach, dhoka, haq talfi ) ka anser shamil kiya, sath hi ousey aqal aur sahou'r se nawaza, takey wo apni achayion ko broy-e-kaar la ker sirat-e-mustaqeem per chaley aur buraiyon ko qaboo karey ... magar aaj ka insan apni nafsani khawahishat ke bayes achayion ko marr chuka hai aur apney maqsad ko paney ke liyeh burayi ke raho'n per chal para hai ....... Yeh bhool ker ke woh kahin bhi pohanch jayeh kuch bhi ker lai, khuda ki pohanch se phir bhi dour nahi.
                        sigpic

                        Comment

                        • #13
                          Re: aaj ka insaan..

                          Originally posted by Saima Shaheen

                          Bohat khoob kaha larki :) khush raho :)

                          Main bhi apni baat wahin sey shuru karoon ga jab insaan ka tasawar na tha. Aur Allah Rab-ul-izzat ney sari kainaat mein yeh khaber suna kar sansani phaila di keh "...main anqareeb aik khalifa pedah karoon ga jo mitti key khameer sey baney ga". Kehtey hain keh farishtey aapis mein batein kartey they keh jo mitti sey bana huwa ho ga woh to buzurgi mein ham sey behtar na ho ga keh ham aag sey pedah kiyey gaey hain aur woh mitti sey ho ga. Lekin Allah ko behtar ilm hai. Allah Tala ney Aadam ko woh ilam seekha diya aur phir farishton ka imtihaan leney ko kaha to farishtey jaan gaey keh Allah ney jo kiya hai wohi hikmat hai.

                          Magar phir bhi aik farishta jo ghalban farishton mein sab sey bada mutaqqi aur parhezgaar tha, biggar baitha keh insaan duniya mein fasad karey ga. Aur main issey sajdah kyun karoon? Is ney aik abid zahid farishta ko shaitan bnaa diya.

                          Magar insaan jo ashraf-ul-makhlooqat bna usney wohi kuchh kiya jo ussey mana kiya geya tha. Insaan aisa kyun karta hai? Well meri naqis raaey key mutabiq is mein bhi bheed hai Allah ka. Farz kijiye agar duniya key 6,5 arb bandey sabhi key sab nek, parsa, mutaqqi, milansaar, sulah'pasand hojaein to Allah Tala ki qudrat ka nazara kaisey ho? Allah Tala ney jo qayamat ka wadah kar rakha hai woh kaisey aur kyun ker poora ho? Jo jannat jahanam ka tassawwar hai woh khatam na ho jaey?

                          Lehaza is duniya mein insaan jo kuchh karta hai, uskey peechey qudrat ki koi na koi muslehat hai. Agar koi insaaf hai to woh yahan nahin milley ga. Aur insaan chahey jannat mein bhi karey ga wohi jo uski taqdeer mein likha jaa chuka hai :)
                          tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
                          tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

                          Comment

                          • #14
                            Re: aaj ka insaan..

                            Originally posted by Masood

                            leykin taqdeer ka mafhoom ham ghalt to nahi ley saktey na.....
                            Allah T'ala ney taqdeer banai hai magar sath mey hamien jaddo jehad kerney ko bhi kaha hai.....
                            ab ye baat to ghalt ho jaye gi na key jab ham hath paon na hilaein ..... aur koshish na karey aur saari baat taqdeer per daal dey :)
                            " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

                            Comment

                            • #15
                              Re: aaj ka insaan..

                              Drust kehti hain aap Gul. Magar Allah Tala ko apney bandon sey siraf ibadat hi darkaar nahin hai. Agar 24-hour tamaam umer Allah ka naam hi lena matloob hota to Allah Tala hazaron haa farishtey mazeed pedah kar detey aur unhein is mansab per laga detey. Lekin nahin Allah Tala ney insaan ko na siraf Allah ka naam leney key liye pedah kiya hai balkey insaan ko khud sey apni buzurgi ko samajhney aur sochney aur is mein wafq honey wali tag-o-do key liye bnaya hai. Insaan ko insaan key liye pedah kiya hai keh woh kis tarha apney ham'asar insaano key liye kya karta hai. Almost every person who belive in Allah, ussey maloom hai keh haqooq-Allah kya hotey hain. Magar yehi kaafi nahin. Haqooq-Allah key saath saath haqooq-ul-ebaad bhi poorey kiyey jaein tabhi insaan ashraful-makhloqat banta hai. Aur tabhi insaan ka sara badan Allah ki yaad mein guzarna shuru ho jata hai. Siraf ebadat hi maqsood-o-matlaab nahin. Balkey momin ki har ada har kaam ibadat mein dakhil ho jata hai.
                              tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
                              tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

                              Comment

                              Working...
                              X