Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

~%~ Gharelou Kaam Kaaj kis ki Zimedari ~%~

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • #16
    Re: ~%~ Gharelou Kaam Kaaj kisi ki Zimedari ~%~

    Originally posted by khurram_shaikh
    Assalaam o alekum,

    Still im not able to read properly :( :( coz of background
    Oh khurram aap bhi na :tauba

    save the pic remoce the background and then read it, as simple as that :lol



    Anyways here you go


    Ghareloo kaam kaaj kis ki zimedari hai aakhir ???





    Main hairan huwi aur kaah , ager ghar ke kaam kaaj main aap hath btaa bhi detey hon gai to is main harj hi kya hai (Is ke baad humarey dameyan chand minute baat cheet huwi)


    Main : Ab kon sa wo zamana hai ke aurtein sirf ghar ka kaamkerti ahin aur mard hazrat sirf bahir ka ??? mere papa bhi job kertey hain is ke bawajod humei kabhi buhut masroof dekhein to kaam main humari madad ker detey hain, khas torr per jab meri maam Pakistan jati hain tab main office bhi aati hoon aur ghar ka kaam bhi akeli kerti hoon, tab mere papa roz meri madad kertey they, ounhon ne kabhi sharm mehsoos nahi ki.
    Engineer : Yeah, but you know I work continuously eight hrs a day.

    Is per wo saheb kuch lajawab se ho gayeh shayed aur kehne lagey :



    Is per mujhe oun ki soch per buhut tajub huwa ke jahan baat apney matlab ki na ho waha baat gender ek farq per la ker khatam ker di.
    Main ne jawab diay na ta gender se koi farq perta hai na hi topic main koi kharabi hai, kharabi is baat main hai ke humari soch kis hadth tak mehdood hai , jahan baat apney matlab ki na ho waha nuqs dosri chizon main dhoondtey hain.

    Meri samajh main nahi aata ke mard hazrat (humarey bhai, dost aur uncles)
    1- Ghar ke kaam main hath bataney ko apni shan ke khilaf kiu samajhtey hain
    2- Ager nahi samajhtey , aur ghar ker kaam main madad kertey hai to is main sharam mehsoos kiu kertey hain.
    sigpic

    Comment


    • #17
      Re: ~%~ Gharelou Kaam Kaaj kisi ki Zimedari ~%~

      Originally posted by hayaa_n
      Saima ji aap ka yeh topic mujhay bouhat acha laga hay..


      Thnx Dear :rose

      Originally posted by hayaa_n
      is main shak nahi k khawateen job na bhi karti hon aur only ghar par hi rehti hon, tab bhi ghar main bouhat kaam hota hay agar help kardi jaey to khatoon-e-khana ka bouhat dil khush ho jaey ga k aihsaas kiya gaya..khas towr par chotay bachon ki mowjudgi main din raat khatoon-e-khana busy rehti hay.agar woh job kar kay ghar ki incom main help kar sakti hay to ghar k kamon main husband kiyun nahi help kar sakta?



      Exactly, jab ghar ke halat main tangi ho to wo aurat se yeh tawaqu kertey hai ke wo bahir ke kamon main oun ki madad karey, ghar ke ma'ashi halat behtery kerne ke liyeh job karey, aur jab aurat do taraf ke kamo'n se overloaded ho tab oun main yeh jazba nahi hota ke wo bhi ghar ke kamo'n main ous ka hath btaa dain.


      Originally posted by hayaa_n
      woh aisi kownsi SHAAN hay jis main kami waqey ho jaey gi?...is soch kay malik mardon say yeh poochna chahiye kay jis Mohammad (S.A.W) ki taqleed karnay walon main hamara shumaar hota hay..woh Mehbub-e-Khuda to khud har kaam apnay dast-e-mubarak say kiya kartay thay..un ki SHAAN say barh kar kis ki shaan? yeh sab kuch education ki kami hay,,Zehni towr par educated jo mard nahi hoga us ki yahi soch ho gi..Europe main bhi aisi soch kay hamil mard hazraat ki kasrat paai jati hay...


      Bilkul sahi kaha, baat phiw ahin aati hai jahan baat apney matlab ki ho to sari ahadees aur Nabi paak (S.A.AW) ki sunnat yaad aa jati hai, magar jahab apni marzi na ho waha yeh batein koi amla kerna to dour sun'ney ko rawadar nahi hota.

      Originally posted by hayaa_n
      Is main mazeed add yeh karna chahun gi kay bachon ki parwarish hi is andaaz main bachpan say hi hona chahiye ta k aaj ka bacha jab kal aik family ko lay kar chalay to us kay mind main yeh sab kharafaat na hon.baaz larkay aisay bhi hotay hain k jo apni jagha say uth kar paani bhi nahi peetay hain.. aur jab woh beroon-e-mulk jatay hain to un ko bouhat mushkil dar'paish aati hay.mardon ko itna zaroor ana chahiye k woh aisi kisi bhi surat-e-haal ka muqabla kar sakain.doosron ka moo'n na dekhain k koi doosra un ko khila dey. chahey woh koi aisa larka ho jo k pakana jaanta ho.woh nikhattu larka us say fowran dosti kar lay ga ta k kaam chalta rahay..dono ko mil jul kar karna chahiye.na mard par extra bojh dalna chahiye aur na hi khawateen par agar mard par ziyada zimme dariyan hain to ghar pay us ko only rest hi milna chahiye ta k woh extra zimmay dariyan ba'khoobi utha sakay.its up to situation..
      Sahi kaha, baat tarbiayt ki hai, huamrey haan akser yeh hota ahi ke bacho'n spec lerko ko shuroo hi se is tarbiyat is mahol main nahi dala jata, keeping a silly though ke lerkio ke baition ke hotey huwey baiton ko yeh keren ki kya zarorat hai, yeh nahi socha jata ke waqt aur halat ka kuch pata nahi hota, lerka ho yaan lerki kam se kam ous main itna huner to hona chahiyeh ke wo zindagi main kisi kaam ke liyeh kisi ka mohtaj na ho.
      sigpic

      Comment


      • #18
        Re: ~%~ Gharelou Kaam Kaaj kisi ki Zimedari ~%~

        Originally posted by Spy009
        Ji haan main to tanha hi rahta hoon aur very ruf and tuf (neat and clean telling honestly)
        Chalieyh maan letey hain aap tanha rehtey hain, neat n clean .............. filhal

        but do you think this is all wht life is about, living for urself only :cc:
        sigpic

        Comment


        • #19
          Re: ~%~ Gharelou Kaam Kaaj kisi ki Zimedari ~%~

          Originally posted by rehman
          aap nay baray saleekay aur khoobsurati say yeh sabat karnay ki koshash ki hai k mardon ko ghar kay kaam karna chahiye..... me aap say agreed nahi karta.... aurat ghar ki zeenat hoti hai... quran aur hadith mein beshumar jagah per yeh baat sabat hoti hai kay aurat ghar ki nigrani aur ghar ki muhafaz hogi.... islam mein yeh tasawur bhi milta hai kay ghar kay kaam kaaj aurat ko karna chahiye aur bahir kay sub kaam marad khud karey.... aurat mushkal halat kay waqt bahir kay kaam karti hain.... ab system ulta hogaya hai aurat chahti hai kay vo bahir kay sub vo kaam karey aur marad ghar kay kaam kaaj karey..... jab say yeh rasam chali hai pooray social values change hogayi hain.... tension, depression barh gaye hain..... ghar mein aao tu bivi job karnay gayi hai... bachon ko na sahi khuraak hai naa sahi tarbiyat......baat lambhi ho rahi hai issliye briefly yeh kahon ga k marad ko thora bahut ghar kay kaam mein hissa dalna chahiye achi baat hai.... agar vo nahi karta tu islam marad ko paband nahi karta k vo zaroor ghar kay kaam kaaj karey....
          Main aap ki likhi gai baato'n say ittifaq karti hun BUT mujhay yeh kehnay main koi aar nahi k Islami batain aap loge wahi zehen nasheen kar letey hain jo aap samajhna chahtay hain jab k woh baat us peraey main nahi hoti.is ki misaal main yahi dun gi k ISLAM MAIN 4 SHADIYA'N JAIZ HAIN IS K PEECHAY JO HIKMAT AUR MANTIQ HAY US SAY RU GARDANI KI JAATI HAY...BUT 4 SHADIYA'N KARLI JATI HAIN K JAIZ HAIN..Rehman ji aap ki baat bhi usi zimrey main aati hay...bila shak.o.shuba Aurat ghar ki zeenat hay char deewari say ghair zaruri nikalnay tak ka hukm nahi..showhar ka to muqaam bhi woh hay k agar sajda kisi ko Allah k siwa jaiz hota to woh showhar hi hota..mairi baat ka woh matlab us tarha nahi jis tarha aap nay is ko samjha hay...ghar main ba'qaeda duty ki tarha kaam kernay ko main nahi keh rahi hun..na mairi muraad yeh hay k gharelu kaam kaaj mard k hawalay kar diye jaein...Showqiya mulazimat ki to main bhi qail nahi hun kiyun kay bachon ki tarbiyat pay bouhat asar parta hay jab k aik achi maa'n hi aik achi Qowm ki bunyaad banti hay..agar aik aurat majburan mulazimat karti hay showhar kay faraiz main haath batati hay to koi haraj to nahi k mard biwi ka haath na bataey? ya yeh gunaah main shumaar hoga? agar khatoon-e-khana beemar hay aur us ka shareek-e-zindagi us ki teemar daari aur ghar k kaam main haath bata dey ga to kiya yeh gunaah hoga? kisi doosray k ghar ka to nahi apnay hi ghar ka masla hay na?aur yeh bhi kehna chaha hay main nay k larkay ya mard gharelu kaam karein ya na karein un ko kuch na kuch gharelu kaam zaroor aana chahiyein is liye k yeh kaam hi aatay hain zaya nahi jatay...apnay matlab ki batain Deen-e-Islam say akhz kar lenay ki main to qail nahi...har aik baat k peechay bouhat logic aur maslay hain..kiya aap un ko obey kartay huway yeh baat keh rahay hain? aurat ko pehlay aap ghar main bithaiye to? us ko sirf ghar ki zeenat banaiye to? jis tarha Islaam nay kaha hay aurat ko woh muqam dijiye to? phir yeh baat kartay huway achay bhi lagain gay....kiya aurat ka woh muqaam hay jo kay Quran-e-Pak main darj hay?diya hay aap logon nay aurat ko woh Islami muqam ji s ki hidayat hay? woh sab usay faraham kijiye aur tab yeh baat kijiye k mard ka kaam kamana hay aur aurat ka ghar sanbhalna...base to theek kijiye na? main khud 100% is baat ki qail hun kay khawateen ko showqiya mulazimat nahi karna chahiye us waqt jab k un par bachon ki tarbiyat ka azeem fareeza ho ghar aur bachon ki parwarish aur showher aur family ki deikh bhaal say fursat hi kahaan hogi k job ki ja sakay..Ilm laazmi haasil karay ta k aik nasl ki sahi aur har lehaaz say mukammal tameer ki ja sakay...Allah nay jis tarha mard aur aurat ko alag alag saancho'n main dhala hay usi tarha un k fareezey bhi alag alag aur bouhat bari Maslehat aur hikmat k tehet banaey hain jin say main munkir nahi...mairay likhnay ka maqsad kuch aur hay..
          Last edited by hayaa_n; 15 December 2005, 09:02.
          :roseENIGMA:rose

          Comment


          • #20
            Re: ~%~ Gharelou Kaam Kaaj kisi ki Zimedari ~%~

            Originally posted by shy
            sab ko hi mil jul kar ghar ke kaam karne chaen
            Thnx for replying aur sahi kaha tum ne shy :)
            sigpic

            Comment


            • #21
              Re: ~%~ Gharelou Kaam Kaaj kisi ki Zimedari ~%~

              Originally posted by sheem
              meri family mai tu aisa kuch nahi hai

              mere abbu bhai chahcha wagera sub kuch kar lete hain

              balke agar mehman ajayein tu mera bhai bhabhi se bolta hai k mai chawal banaonga aaj :khi: so aab depend karta hai yeh mardo ki soch pe b

              lakin meri family mai mashallah sare hi mard kaam kar lete hain

              That's good, insan ko zindagi main youn hi flexible hona chahiyeh :thmbup:
              sigpic

              Comment


              • #22
                Re: ~%~ Gharelou Kaam Kaaj kisi ki Zimedari ~%~

                Originally posted by rehman
                sub ko mil kar kaam kyun karna chahiye?.... ghar ki zamawari khatoon per hoti hai.... aur ussay hee karna chahiye.... bahir kay kaam sub marad karna chahiye.....
                Aap ne bilkul sahi kaha , aisa hona chaiyeh
                magar sach eyh hai ke ab aisa hota nahi na ....... ab halat kuch badal chukey hain, zimedarian barh gayi hain mard aurat dono ki, to ager aurat ghar ki aur bahir ki zimedarian bant sakti hai to mard aurat ke sath ghar ki zimedarian kiu nahi ??//
                sigpic

                Comment


                • #23
                  Re: ~%~ Gharelou Kaam Kaaj kis ki Zimedari ~%~

                  nice topic saima jiii :thmbup::rose

                  sab ke replay perh kar buht acha lagaaa....kuch ki sath agree hoon...:thmbup:... well mey nay be replay 2 time likhaaa ......magar log out hoii :( save nahii kia taaa.... :tauba

                  abi short mein khoogii .....ka har insan ko apna apna kam karna chahiii.... the big exmple is Hazrat Mohammad (PBUH) jo apnaa kam khud kartii ....... meree family mein Mashallah sab apna apna kam karti haii.......... Dad is realy great :phool: jab unko koi kamm haoon aur dekii ka sab busy haii tu khud karti haii.... is ki ilawaaa ... be humarii sath Mom ki sath help karta hii :rose
                  u can't gain RESPECT by choice nor by requesting it... it is earned through your words & actions."

                  :pr:

                  Comment


                  • #24
                    Re: ~%~ Gharelou Kaam Kaaj kisi ki Zimedari ~%~

                    Originally posted by rehman
                    aap nay baray saleekay aur khoobsurati say yeh sabat karnay ki koshash ki hai k mardon ko ghar kay kaam karna chahiye..... me aap say agreed nahi karta.... aurat ghar ki zeenat hoti hai... quran aur hadith mein beshumar jagah per yeh baat sabat hoti hai kay aurat ghar ki nigrani aur ghar ki muhafaz hogi.... islam mein yeh tasawur bhi milta hai kay ghar kay kaam kaaj aurat ko karna chahiye aur bahir kay sub kaam marad khud karey...aurat mushkal halat kay waqt bahir kay kaam karti hain.... .


                    Bilkul sahi kaha aap ne, Islam ke hawaley se aurat ghar ki zeenat hai, jo likha wo sab sahi hai hum en bhi parha, magar hum ne yeh bhi parha hai ke mushkil halat main sabah (R.A.T.A) ki biwian bhi in ke kamon main oun ki madad kerti thi, yahan tak ek jang ke doran zakhmion ki dekh bhal kerti thi, teer aur naizey ikhatey kerti thi ... aaj bhi aurtein mardon ke shana-ba-shana kaam kerti hain ghar ghar ke halat behter bananey ke liyeh to aaaj aap log is ko galt rang kiu detey ho ???

                    Originally posted by rehman
                    ab system ulta hogaya hai aurat chahti hai kay vo bahir kay sub vo kaam karey aur marad ghar kay kaam kaaj karey..... jab say yeh rasam chali hai pooray social values change hogayi hain.... tension, depression barh gaye hain..... ghar mein aao tu bivi job karnay gayi hai... bachon ko na sahi khuraak hai naa sahi tarbiyat......baat lambhi ho rahi hai issliye briefly yeh kahon ga k marad ko thora bahut ghar kay kaam mein hissa dalna chahiye achi baat hai.... agar vo nahi karta tu islam marad ko paband nahi karta k vo zaroor ghar kay kaam kaaj karey....

                    Dear aap humari baat ka galat matlab lai rahey ho, yahan baat yeh nahi ho rahi ke aurat bahir kaam karey aur mard ghar ka........ baat sirf itna hai ke ager aurat zarorat ke waqt ghar ke sath sath bahir kaam ker sakti hai to mard ghar ke kaam main madad kiu nahi ker sakta ???? Yeh baat sahi ke mard paband nahi magar wo in kamo'n main hath na bataeyh Islam main kahin kisi jagah aisi koi misal, koi hadees to nahi milti.

                    Rahi baat jahan aap en bacho ki tabiyat ki baat ki to wo bhi dono ki mushtarka zimedari hai, kisi ke ke kandhon per yeh bojh nahi, bacho ki taleem-o-tarbiyat aur parwarish dono ka barabar farz hai ...hai na ??
                    sigpic

                    Comment


                    • #25
                      Re: ~%~ Gharelou Kaam Kaaj kisi ki Zimedari ~%~

                      Originally posted by hayaa_n
                      Main aap ki likhi gai baato'n say ittifaq karti hun BUT mujhay yeh kehnay main koi aar nahi k Islami batain aap loge wahi zehen nasheen kar letey hain jo aap samajhna chahtay hain jab k woh baat us peraey main nahi hoti.is ki misaal main yahi dun gi k ISLAM MAIN 4 SHADIYA'N JAIZ HAIN IS K PEECHAY JO HIKMAT AUR MANTIQ HAY US SAY RU GARDANI KI JAATI HAY...BUT 4 SHADIYA'N KARLI JATI HAIN K JAIZ HAIN..Rehman ji aap ki baat bhi usi zimrey main aati hay...


                      Exactly dear, main ne yahi kaha hai ke jahan baat apni garz ki ho waha hum hazar dalayel lai aatey hain aur jahan apna kaam na ho waha saboot mangtey hain. Aur afsos naak baat yeh hai ke hum musalman wese mazhab ki perwi karein yaan na karein magar aisi baton mei deen ko sab se aagey lai aatey hain.

                      Originally posted by hayaa_n
                      bila shak.o.shuba Aurat ghar ki zeenat hay char deewari say ghair zaruri nikalnay tak ka hukm nahi..showhar ka to muqaam bhi woh hay k agar sajda kisi ko Allah k siwa jaiz hota to woh showhar hi hota..mairi baat ka woh matlab us tarha nahi jis tarha aap nay is ko samjha hay...ghar main ba'qaeda duty ki tarha kaam kernay ko main nahi keh rahi hun..na mairi muraad yeh hay k gharelu kaam kaaj mard k hawalay kar diye jaein...Showqiya mulazimat ki to main bhi qail nahi hun kiyun kay bachon ki tarbiyat pay bouhat asar parta hay jab k aik achi maa'n hi aik achi Qowm ki bunyaad banti hay..agar aik aurat majburan mulazimat karti hay showhar kay faraiz main haath batati hay to koi haraj to nahi k mard biwi ka haath na bataey? ya yeh gunaah main shumaar hoga? agar khatoon-e-khana beemar hay aur us ka shareek-e-zindagi us ki teemar daari aur ghar k kaam main haath bata dey ga to kiya yeh gunaah hoga? kisi doosray k ghar ka to nahi apnay hi ghar ka masla hay na?aur yeh bhi kehna chaha hay main nay k larkay ya mard gharelu kaam karein ya na karein un ko kuch na kuch gharelu kaam zaroor aana chahiyein is liye k yeh kaam hi aatay hain zaya nahi jatay...apnay matlab ki batain Deen-e-Islam say akhz kar lenay ki main to qail nahi...har aik baat k peechay bouhat logic aur maslay hain..kiya aap un ko obey kartay huway yeh baat keh rahay hain? aurat ko pehlay aap ghar main bithaiye to? us ko sirf ghar ki zeenat banaiye to? jis tarha Islaam nay kaha hay aurat ko woh muqam dijiye to? phir yeh baat kartay huway achay bhi lagain gay....kiya aurat ka woh muqaam hay jo kay Quran-e-Pak main darj hay?diya hay aap logon nay aurat ko woh Islami muqam ji s ki hidayat hay? woh sab usay faraham kijiye aur tab yeh baat kijiye k mard ka kaam kamana hay aur aurat ka ghar sanbhalna...base to theek kijiye na? main khud 100% is baat ki qail hun kay khawateen ko showqiya mulazimat nahi karna chahiye us waqt jab k un par bachon ki tarbiyat ka azeem fareeza ho ghar aur bachon ki parwarish aur showher aur family ki deikh bhaal say fursat hi kahaan hogi k job ki ja sakay..Ilm laazmi haasil karay ta k aik nasl ki sahi aur har lehaaz say mukammal tameer ki ja sakay...Allah nay jis tarha mard aur aurat ko alag alag saancho'n main dhala hay usi tarha un k fareezey bhi alag alag aur bouhat bari Maslehat aur hikmat k tehet banaey hain jin say main munkir nahi...mairay likhnay ka maqsad kuch aur hay..
                      Well said :)
                      sigpic

                      Comment


                      • #26
                        Re: ~%~ Gharelou Kaam Kaaj kis ki Zimedari ~%~

                        Originally posted by Hala
                        nice topic saima jiii :thmbup::rose

                        sab ke replay perh kar buht acha lagaaa....kuch ki sath agree hoon...:thmbup:... well mey nay be replay 2 time likhaaa ......magar log out hoii :( save nahii kia taaa.... :tauba

                        abi short mein khoogii .....ka har insan ko apna apna kam karna chahiii.... the big exmple is Hazrat Mohammad (PBUH) jo apnaa kam khud kartii ....... meree family mein Mashallah sab apna apna kam karti haii.......... Dad is realy great :phool: jab unko koi kamm haoon aur dekii ka sab busy haii tu khud karti haii.... is ki ilawaaa ... be humarii sath Mom ki sath help karta hii :rose



                        Thnx chanda, tum ne bilkul sahi kaha, her kaam main har mamley main hum ager apney pyare nabi Hazrat Mohammed (PBUH) ki misal samney rakhien to koi masla na ho :)

                        And ur dad is really great like mine :eye:
                        sigpic

                        Comment


                        • #27
                          Re: ~%~ Gharelou Kaam Kaaj kisi ki Zimedari ~%~

                          [QUOTE=Saima Shaheen]Oh khurram aap bhi na :tauba

                          Assalaam o alekum


                          oooofffffooh samsa mainien kyaa kiyaa baba :( :( ab main kyaa karoon mainien to perh liyaa aur aap nien phir se roman mien likh diyaa
                          :tang: RISK IS MY BUSINESS

                          DANGER IS MY GAME

                          DONT PLAY WITH ME
                          BCOZ KHURRAM IS MY NAME :tang:

                          Kisi nien bhi to naa dekha nigaah bher ke Mujhe

                          Gaya phir aaj kaa din bhi udaas ker ke mujhe

                          Comment


                          • #28
                            Re: ~%~ Gharelou Kaam Kaaj kisi ki Zimedari ~%~

                            Originally posted by khurram_shaikh
                            Assalaam o alekum,

                            Still im not able to read properly :( :( coz of background
                            aisi cheezian aap ko kahan deekhai dain gee :khi:
                            اللھم صلی علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما صلیت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔
                            اللھم بارک علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما بارکت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔

                            Comment


                            • #29
                              Re: ~%~ Gharelou Kaam Kaaj kisi ki Zimedari ~%~

                              [QUOTE=khurram_shaikh]
                              Originally posted by Saima Shaheen
                              Oh khurram aap bhi na :tauba

                              Assalaam o alekum


                              oooofffffooh samsa mainien kyaa kiyaa baba :( :( ab main kyaa karoon mainien to perh liyaa aur aap nien phir se roman mien likh diyaa
                              to jawab doo na ab :zuban:
                              اللھم صلی علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما صلیت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔
                              اللھم بارک علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما بارکت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔

                              Comment


                              • #30
                                Re: ~%~ Gharelou Kaam Kaaj kis ki Zimedari ~%~

                                aurtain to kaam karti hi hain ghar ka aa... ab marad bhi kar lain gay to is main to koi haaraj nahi na .....ab marad restaurant main bhito kahana banatay han , bartan dhootay hain .pher ghar main biwi ka hath bata dia to kia masla hai ?
                                kaam to ana chaye ..jo loog nahi kartaay na or ammi/biwi/behan say kaamkarnay kay adi hotay hain kabhi akeelay rehna par jaye or khud say kaam karna par jaye pher un ki halat bhi deekhnay wali hoti hai ..lolz
                                اللھم صلی علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما صلیت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔
                                اللھم بارک علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما بارکت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔

                                Comment

                                Working...
                                X