Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

~%~ Gharelou Kaam Kaaj kis ki Zimedari ~%~

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • #31
    Re: ~%~ Gharelou Kaam Kaaj kis ki Zimedari ~%~

    Originally posted by Saima Shaheen
    Thnx chanda, tum ne bilkul sahi kaha, her kaam main har mamley main hum ager apney pyare nabi Hazrat Mohammed (PBUH) ki misal samney rakhien to koi masla na ho :)

    And ur dad is really great like mine :eye:
    thanks dear missmgnet jii :rose

    Allah sab ki dad and brothers ko aiissi rakhiii :)
    u can't gain RESPECT by choice nor by requesting it... it is earned through your words & actions."

    :pr:

    Comment


    • #32
      Re: ~%~ Gharelou Kaam Kaaj kis ki Zimedari ~%~

      Saima ji bohot acha thread hay aapka:masha !
      :alhamd: Mukhtalif point of views read karkay acha laga.
      Haya ji sab ki tarha may bhee aapki aik aik baat say muttafiq hoo'n, aik do batoo'n ka izafa may karna chahoo'n ga.
      "Jannat maa'n kay qadmoo'n talay hay. (Hadith sharif)", hamai'n samajhna chahyay k kiya matlab hay siss Hadith ka?
      Mehez yae samajh laina kaafi nahi k maa'n ki farmaa'n bardaree karna chahyay kay ousskay qadmoo'n talay jannat hay. Balkay yae bhee samajhna chahyay kay Maa'n kay apnay faraiz kiya hai'n? Aik achee maa'n hi apnay gharr ko jannat bana sakti, aur jahannum bhee bana saktee hay. Bachoo'n ki tarbiyyat may mard hazraat ki bhee kuch zimma daaryaa'n hai'n kiunkay ounhay bhee "jannat ka darwaza " kaha gaya hay.
      Mard ko na sirf gharailoo kamoo'n may apni wife ki madad karna chahyay balkay apni family ki taleem.o.tarbiyyat aur tazkiyah.e.nafss may bhee bharpoor hissa laina chahyay.
      Families kay SUM say hi muashra wajood may aata hay na, to agar family as a single unit theek say kaam nahi kar rahi to muashraa kiya khaak taraqqi karay ga? Musalman qowm kay zawaal ka sabb say bara sabab taleem say doori tha aur hay... Hamaree maoo'n aur sab say barh kar mard hazraat ki duty sabb say pahlay apnay naffs ka tazkiyah karna aur ousskay baad bachoo'n ki taleem.o.tarbiyyat ki taraf dhyaan hai'N. Nau-jawaan nasslai'N hi kissi bhee qowm ki aala o arfa imarat ki bunyaad huwa kartee hai'n... aur in nassloo'n ki tarbiyyat both mard aur aurat ka barabar ka fareeza hay.
      Haya theek kaha hay aapnay mard hazraat aksar apni marzee kay matalib islami taleemaat say nikaal laitay hai'N so ... keep an eye hehehehehe..





      ps: Rehaman Ji :tauba
      Last edited by Xtra; 16 December 2005, 01:30.

      Comment


      • #33
        Re: ~%~ Gharelou Kaam Kaaj kisi ki Zimedari ~%~

        Originally posted by hayaa_n
        Main aap ki likhi gai baato'n say ittifaq karti hun BUT mujhay yeh kehnay main koi aar nahi k Islami batain aap loge wahi zehen nasheen kar letey hain jo aap samajhna chahtay hain jab k woh baat us peraey main nahi hoti.is ki misaal main yahi dun gi k ISLAM MAIN 4 SHADIYA'N JAIZ HAIN IS K PEECHAY JO HIKMAT AUR MANTIQ HAY US SAY RU GARDANI KI JAATI HAY...BUT 4 SHADIYA'N KARLI JATI HAIN K JAIZ HAIN..Rehman ji aap ki baat bhi usi zimrey main aati hay...bila shak.o.shuba Aurat ghar ki zeenat hay char deewari say ghair zaruri nikalnay tak ka hukm nahi..showhar ka to muqaam bhi woh hay k agar sajda kisi ko Allah k siwa jaiz hota to woh showhar hi hota..mairi baat ka woh matlab us tarha nahi jis tarha aap nay is ko samjha hay...ghar main ba'qaeda duty ki tarha kaam kernay ko main nahi keh rahi hun..na mairi muraad yeh hay k gharelu kaam kaaj mard k hawalay kar diye jaein...Showqiya mulazimat ki to main bhi qail nahi hun kiyun kay bachon ki tarbiyat pay bouhat asar parta hay jab k aik achi maa'n hi aik achi Qowm ki bunyaad banti hay..agar aik aurat majburan mulazimat karti hay showhar kay faraiz main haath batati hay to koi haraj to nahi k mard biwi ka haath na bataey? ya yeh gunaah main shumaar hoga? agar khatoon-e-khana beemar hay aur us ka shareek-e-zindagi us ki teemar daari aur ghar k kaam main haath bata dey ga to kiya yeh gunaah hoga? kisi doosray k ghar ka to nahi apnay hi ghar ka masla hay na?aur yeh bhi kehna chaha hay main nay k larkay ya mard gharelu kaam karein ya na karein un ko kuch na kuch gharelu kaam zaroor aana chahiyein is liye k yeh kaam hi aatay hain zaya nahi jatay...apnay matlab ki batain Deen-e-Islam say akhz kar lenay ki main to qail nahi...har aik baat k peechay bouhat logic aur maslay hain..kiya aap un ko obey kartay huway yeh baat keh rahay hain? aurat ko pehlay aap ghar main bithaiye to? us ko sirf ghar ki zeenat banaiye to? jis tarha Islaam nay kaha hay aurat ko woh muqam dijiye to? phir yeh baat kartay huway achay bhi lagain gay....kiya aurat ka woh muqaam hay jo kay Quran-e-Pak main darj hay?diya hay aap logon nay aurat ko woh Islami muqam ji s ki hidayat hay? woh sab usay faraham kijiye aur tab yeh baat kijiye k mard ka kaam kamana hay aur aurat ka ghar sanbhalna...base to theek kijiye na? main khud 100% is baat ki qail hun kay khawateen ko showqiya mulazimat nahi karna chahiye us waqt jab k un par bachon ki tarbiyat ka azeem fareeza ho ghar aur bachon ki parwarish aur showher aur family ki deikh bhaal say fursat hi kahaan hogi k job ki ja sakay..Ilm laazmi haasil karay ta k aik nasl ki sahi aur har lehaaz say mukammal tameer ki ja sakay...Allah nay jis tarha mard aur aurat ko alag alag saancho'n main dhala hay usi tarha un k fareezey bhi alag alag aur bouhat bari Maslehat aur hikmat k tehet banaey hain jin say main munkir nahi...mairay likhnay ka maqsad kuch aur hay..
        hayaa ji me nay aap kay comments yesterday parh liye thay.... lakin aap nay kuch aisi points uthai thein jis kay me kay pass jawab nahi thay ... issliye me nay ye problem eik alam e- deen say raat ko discuss kiya tha... uss nay farmaya k:
        Alam-e-deen views
        vo kahtay hain islam mein yeh zaroori nahi k bivi ghar ka poora kaam karey ya ghar ki safai karay... lakin vo showhar ki ghair mojuudgi mein bivi ki muhafiz hai aur vo khud showhar ki amanat hai.... kuch aisi girls jo parents kay haan khana safai waghera nahi karti jab vo mian kay ghar aai gi tu lazmi nahi kay vo ghar ki safai karein.... agar wife ghar ki safai waghera karti hain tu husband say mu'waza claim karsakti hai.... vo kahtay hain hamari khawateen kyun ghar kay kaam kaaj karti hain kyun kay hamari culture aur social set up aisa hai kay aurat apnay hakook nahi janti hai... hamari society mein yeh zamawari aurat per impose ki gayi hai.....
        :alhamd::SubhanAllhaa::alhamd::jazak::insha:

        Comment


        • #34
          Re: ~%~ Gharelou Kaam Kaaj kis ki Zimedari ~%~

          Assalaam o alaikum
          maiN rehman bhaee ki baat ko hi aagay baRhaooN ga. maiN aik dafa apnay murshid ki khidmat maiN baitha tha k baat haqooq e niswaaN pay chal nikli iss pay unhoN nay unn ki muzammat ki jo aaj kal modern aur western tarz pay haqooq e niswaaN ki baat kartay haiN issi madd maiN unhoN nay bivi k haqooq k baaray maiN farmaya k shohar k zimmay hay ko apni bivi ko pakka pakaya khana khilayai. ji agar bivi yai kaam karti hay to yai apnay shohar ki madad karnay k zumray maiN aataa hay to asal maiN yai mard ka hi kaam ho raha hota hay to apnay kaam maiN kon c anaa. ji jahaan takk baat hay k aurat gharr say baahir jaa k kaam karay to jabb tak shohar ki taraf say ijazat nahi hay wo baahir nahi nikal sakti.shohar ki ijazat iss baat say b wazeh hoti hay k farz rozoN k ilawa koi roza rakhna hay to b shohar ki ijazat say rakhay gi.
          taalib e dua
          Raza Baykamal

          kyoN RAZA mushkil say Dariay----jabb nabi S.A.W mushkil kusha ho

          Comment


          • #35
            Re: ~%~ Gharelou Kaam Kaaj kis ki Zimedari ~%~

            Originally posted by baykamal
            Assalaam o alaikum
            shohar k zimmay hay ko apni bivi ko pakka pakaya khana khilayai. ji agar bivi yai kaam karti hay to yai apnay shohar ki madad karnay k zumray maiN aataa hay to asal maiN yai mard ka hi kaam ho raha hota hay to apnay kaam maiN kon c anaa.
            kon c aana ??? yeh koon si zaban hai ?:p

            jesa kay aap nay kaha kay kahanay ki zimmadari mard ki hoti hai ..........right ...yeh main nay bhi suna hai :lol

            lekan lekan ...sawal yeh hai na kay mard ko agar kahana banana par jaye to kayoun nahi banatay ? is main sharam ki kia baat hai pher ???un ki zimmdari hai na to pher jesay tesaay lay aian kahana ....aurat ko to pher kuch nahi karna chaye na? us ka kaam hai woh karey ...........................




            baat hoo rahi hai sath deenay ki .....jahan yeh baat aa jati hai kay yeh sirf jis ka kaam hai vohi karey (chaye jis bhi halat main hai ) ..doosra banda us kaam ko haath bhi na alagay ...to mera nahi khayal aisay kamyaab zindagi guzar sakti hai ......
            اللھم صلی علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما صلیت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔
            اللھم بارک علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما بارکت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔

            Comment


            • #36
              Re: ~%~ Gharelou Kaam Kaaj kis ki Zimedari ~%~

              Assalaam o alaikum
              hehehehe
              maiN aap ki iss baat pay sirf hass hi sakta hooN meray spelling zara dubara daikhiay ga. yaqeenan aap ko b kuch hasi aayai gi.
              khana khilanay ki baat ka taaluq jahan tak hay mard apni bivi ka nigehbaan hay, iss ka libaas hay, muhaafiz hay.aurat k gharr k kaam mard ki khushnoodi ka baaes bantay haiN jo k dono jahaanoN maiN uss k kaam aati hay. mard force nahi kar sakta k khana pakayai. laikin yai aik trend ban gya halaat kuch aisay ho gaey maali mushkilaat maiN izafa hua to aurat ko yai kaam sambhaalnay paRay jo ab takk chal raha hay. agar chalta rahay to koi muzaaeqa nahi.laikin unn kaamoN maiN haath baTana mard ki apnay gharr apni bivi aur bachoN say muhabbat kar mazhar hota hay.
              Wassalaam
              Raza Baykamal

              kyoN RAZA mushkil say Dariay----jabb nabi S.A.W mushkil kusha ho

              Comment


              • #37
                Re: ~%~ Gharelou Kaam Kaaj kisi ki Zimedari ~%~

                Originally posted by Saima Shaheen
                Chalieyh maan letey hain aap tanha rehtey hain, neat n clean .............. filhal

                but do you think this is all wht life is about, living for urself only :cc:
                Yes...ismey confusion wali koun si baat hai, jab shadi hogi to biwi ko yehan le aaoonga.
                Khandar wafa ka yaaro kured kar dekh lo
                Hamarey naam ka patthar zaroor milega

                Comment


                • #38
                  Re: ~%~ Gharelou Kaam Kaaj kisi ki Zimedari ~%~

                  Originally posted by khurram_shaikh

                  Assalaam o alekum


                  oooofffffooh samsa mainien kyaa kiyaa baba :( :( ab main kyaa karoon mainien to perh liyaa aur aap nien phir se roman mien likh diyaa
                  Chalo changa kiya, ab pata chal gaya U ko Urdu hi nahi roman bhi parhni aati hai :p :lol
                  sigpic

                  Comment


                  • #39
                    Re: ~%~ Gharelou Kaam Kaaj kis ki Zimedari ~%~

                    Originally posted by Aanchal
                    aurtain to kaam karti hi hain ghar ka aa... ab marad bhi kar lain gay to is main to koi haaraj nahi na .....ab marad restaurant main bhito kahana banatay han , bartan dhootay hain .pher ghar main biwi ka hath bata dia to kia masla hai ?
                    kaam to ana chaye ..jo loog nahi kartaay na or ammi/biwi/behan say kaamkarnay kay adi hotay hain kabhi akeelay rehna par jaye or khud say kaam karna par jaye pher un ki halat bhi deekhnay wali hoti hai ..lolz
                    Haan Aanchal, sahi kaha, nokri kerne paisa kamaney ke liyeh hotels main bartan tak dhotey hai, laundry bhi kertey hain, magar ghar main biwi ka hath batatey waqt moat perti hai, biwi paisey nahi deti na is liye :lol
                    sigpic

                    Comment


                    • #40
                      Re: ~%~ Gharelou Kaam Kaaj kis ki Zimedari ~%~

                      Originally posted by Xtra
                      Saima ji bohot acha thread hay aapka:masha !
                      :alhamd: Mukhtalif point of views read karkay acha laga.
                      Haya ji sab ki tarha may bhee aapki aik aik baat say muttafiq hoo'n, aik do batoo'n ka izafa may karna chahoo'n ga.
                      "Jannat maa'n kay qadmoo'n talay hay. (Hadith sharif)", hamai'n samajhna chahyay k kiya matlab hay siss Hadith ka?
                      Mehez yae samajh laina kaafi nahi k maa'n ki farmaa'n bardaree karna chahyay kay ousskay qadmoo'n talay jannat hay. Balkay yae bhee samajhna chahyay kay Maa'n kay apnay faraiz kiya hai'n? Aik achee maa'n hi apnay gharr ko jannat bana sakti, aur jahannum bhee bana saktee hay. Bachoo'n ki tarbiyyat may mard hazraat ki bhee kuch zimma daaryaa'n hai'n kiunkay ounhay bhee "jannat ka darwaza " kaha gaya hay.
                      Mard ko na sirf gharailoo kamoo'n may apni wife ki madad karna chahyay balkay apni family ki taleem.o.tarbiyyat aur tazkiyah.e.nafss may bhee bharpoor hissa laina chahyay.
                      Families kay SUM say hi muashra wajood may aata hay na, to agar family as a single unit theek say kaam nahi kar rahi to muashraa kiya khaak taraqqi karay ga? Musalman qowm kay zawaal ka sabb say bara sabab taleem say doori tha aur hay... Hamaree maoo'n aur sab say barh kar mard hazraat ki duty sabb say pahlay apnay naffs ka tazkiyah karna aur ousskay baad bachoo'n ki taleem.o.tarbiyyat ki taraf dhyaan hai'N. Nau-jawaan nasslai'N hi kissi bhee qowm ki aala o arfa imarat ki bunyaad huwa kartee hai'n... aur in nassloo'n ki tarbiyyat both mard aur aurat ka barabar ka fareeza hay.
                      Haya theek kaha hay aapnay mard hazraat aksar apni marzee kay matalib islami taleemaat say nikaal laitay hai'N so ... keep an eye hehehehehe..





                      Buhut buhut Shukriya Xtra ......... aap ke views parh ker acha laga :thmbup:
                      sigpic

                      Comment


                      • #41
                        Re: ~%~ Gharelou Kaam Kaaj kis ki Zimedari ~%~

                        Originally posted by baykamal
                        Assalaam o alaikum
                        hehehehe
                        maiN aap ki iss baat pay sirf hass hi sakta hooN meray spelling zara dubara daikhiay ga. yaqeenan aap ko b kuch hasi aayai gi.
                        khana khilanay ki baat ka taaluq jahan tak hay mard apni bivi ka nigehbaan hay, iss ka libaas hay, muhaafiz hay.aurat k gharr k kaam mard ki khushnoodi ka baaes bantay haiN jo k dono jahaanoN maiN uss k kaam aati hay. mard force nahi kar sakta k khana pakayai. laikin yai aik trend ban gya halaat kuch aisay ho gaey maali mushkilaat maiN izafa hua to aurat ko yai kaam sambhaalnay paRay jo ab takk chal raha hay. agar chalta rahay to koi muzaaeqa nahi.laikin unn kaamoN maiN haath baTana mard ki apnay gharr apni bivi aur bachoN say muhabbat kar mazhar hota hay.
                        Wassalaam
                        Raza Baykamal

                        Thnx for replying baykamal, and the last sentence is really nice and true :thmbup:
                        sigpic

                        Comment


                        • #42
                          Re: ~%~ Gharelou Kaam Kaaj kisi ki Zimedari ~%~

                          Originally posted by Spy009
                          Yes...ismey confusion wali koun si baat hai, jab shadi hogi to biwi ko yehan le aaoonga.

                          :tauba Ab aap se kya kehna, aap to jab ghar main raho gai tab ghar ke kaam kaaj ki baat samjho gai, abhi to aap be-ghar ho, i mean bachelor ho :p
                          sigpic

                          Comment


                          • #43
                            Re: ~%~ Gharelou Kaam Kaaj kis ki Zimedari ~%~

                            Originally posted by Xtra
                            Saima ji bohot acha thread hay aapka:masha !
                            :alhamd: Mukhtalif point of views read karkay acha laga.
                            Haya ji sab ki tarha may bhee aapki aik aik baat say muttafiq hoo'n, aik do batoo'n ka izafa may karna chahoo'n ga.
                            "Jannat maa'n kay qadmoo'n talay hay. (Hadith sharif)", hamai'n samajhna chahyay k kiya matlab hay siss Hadith ka?
                            Mehez yae samajh laina kaafi nahi k maa'n ki farmaa'n bardaree karna chahyay kay ousskay qadmoo'n talay jannat hay. Balkay yae bhee samajhna chahyay kay Maa'n kay apnay faraiz kiya hai'n? Aik achee maa'n hi apnay gharr ko jannat bana sakti, aur jahannum bhee bana saktee hay. Bachoo'n ki tarbiyyat may mard hazraat ki bhee kuch zimma daaryaa'n hai'n kiunkay ounhay bhee "jannat ka darwaza " kaha gaya hay.
                            Mard ko na sirf gharailoo kamoo'n may apni wife ki madad karna chahyay balkay apni family ki taleem.o.tarbiyyat aur tazkiyah.e.nafss may bhee bharpoor hissa laina chahyay.
                            Families kay SUM say hi muashra wajood may aata hay na, to agar family as a single unit theek say kaam nahi kar rahi to muashraa kiya khaak taraqqi karay ga? Musalman qowm kay zawaal ka sabb say bara sabab taleem say doori tha aur hay... Hamaree maoo'n aur sab say barh kar mard hazraat ki duty sabb say pahlay apnay naffs ka tazkiyah karna aur ousskay baad bachoo'n ki taleem.o.tarbiyyat ki taraf dhyaan hai'N. Nau-jawaan nasslai'N hi kissi bhee qowm ki aala o arfa imarat ki bunyaad huwa kartee hai'n... aur in nassloo'n ki tarbiyyat both mard aur aurat ka barabar ka fareeza hay.
                            Haya theek kaha hay aapnay mard hazraat aksar apni marzee kay matalib islami taleemaat say nikaal laitay hai'N so ... keep an eye hehehehehe..





                            ps: Rehaman Ji :tauba
                            Xtra ji aap k views haqeeqat par mabni hain,mujhay aap ki baat say ittifaq hay.:masha :) :thmbup:
                            :roseENIGMA:rose

                            Comment

                            Working...
                            X