Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

~%~ Gharelou Kaam Kaaj kis ki Zimedari ~%~

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • ~%~ Gharelou Kaam Kaaj kis ki Zimedari ~%~

    Assalam-O-Alaikum,

    First time GS main ek topic I mean dhang ka ek topic share ker rahi hoon :D , behas ke liyeh, barayeh Mehrbani bachgani behas se parhez kijiyeh ga :p
    Attached Files
    Last edited by 'SamRazi'; 14 December 2005, 09:30.
    sigpic

  • #2
    Re: ~%~ Gharelou Kaam Kaaj kisi ki Zimedari ~%~

    Saima Walekum Salam

    Sab se pehle to aap attach file ko modify karen, kyon ke bada mushkil se padha ja raha hai...log kam padhen ge aur reply bhi kam karenge.
    Khandar wafa ka yaaro kured kar dekh lo
    Hamarey naam ka patthar zaroor milega

    Comment

    • #3

      Originally posted by Spy009

      I hope its better now, main ne yahi attachmed Gallery main upload ki hain phir yaahn paste ki thin shayed ous ki waja se yeh theikh nahi thin.
      sigpic

      Comment

      • #4

        Kaam mein haath bantana chahiye, mera to koi nahin karta main apna khud karta hoon, aur kuchh machiney kar deti hain, office mein tea ke liye paper cup aur water ke liye bhi conical water cup istemal karta hoon, kabhi use and throw plastic plates use karta hoon, aur haath saaf karne ke liye tissue kis kaam ka.
        Khandar wafa ka yaaro kured kar dekh lo
        Hamarey naam ka patthar zaroor milega

        Comment

        • #5

          Yeh to aap office ki bat ker rahey hain, aur yeh to buhut hi aasan hai oun ke liyeh jo tanha rehtey hain, yaan jinhein sirf apney kaam se matlab ho.
          sigpic

          Comment

          • #6
            Re: ~%~ Gharelou Kaam Kaaj kisi ki Zimedari ~%~

            Originally posted by Saima Shaheen

            Ji haan main to tanha hi rahta hoon aur very ruf and tuf (neat and clean telling honestly)
            Khandar wafa ka yaaro kured kar dekh lo
            Hamarey naam ka patthar zaroor milega

            Comment

            • #7
              Re: ~%~ Gharelou Kaam Kaaj kisi ki Zimedari ~%~

              sab ko hi mil jul kar ghar ke kaam karne chaen

              Comment

              • #8

                Saima ji aap ka yeh topic mujhay bouhat acha laga hay..is main shak nahi k khawateen job na bhi karti hon aur only ghar par hi rehti hon, tab bhi ghar main bouhat kaam hota hay agar help kardi jaey to khatoon-e-khana ka bouhat dil khush ho jaey ga k aihsaas kiya gaya..khas towr par chotay bachon ki mowjudgi main din raat khatoon-e-khana busy rehti hay.agar woh job kar kay ghar ki incom main help kar sakti hay to ghar k kamon main husband kiyun nahi help kar sakta? woh aisi kownsi SHAAN hay jis main kami waqey ho jaey gi?...is soch kay malik mardon say yeh poochna chahiye kay jis Mohammad (S.A.W) ki taqleed karnay walon main hamara shumaar hota hay..woh Mehbub-e-Khuda to khud har kaam apnay dast-e-mubarak say kiya kartay thay..un ki SHAAN say barh kar kis ki shaan? yeh sab kuch education ki kami hay,,Zehni towr par educated jo mard nahi hoga us ki yahi soch ho gi..Europe main bhi aisi soch kay hamil mard hazraat ki kasrat paai jati hay...
                Is main mazeed add yeh karna chahun gi kay bachon ki parwarish hi is andaaz main bachpan say hi hona chahiye ta k aaj ka bacha jab kal aik family ko lay kar chalay to us kay mind main yeh sab kharafaat na hon.baaz larkay aisay bhi hotay hain k jo apni jagha say uth kar paani bhi nahi peetay hain.. aur jab woh beroon-e-mulk jatay hain to un ko bouhat mushkil dar'paish aati hay.mardon ko itna zaroor ana chahiye k woh aisi kisi bhi surat-e-haal ka muqabla kar sakain.doosron ka moo'n na dekhain k koi doosra un ko khila dey. chahey woh koi aisa larka ho jo k pakana jaanta ho.woh nikhattu larka us say fowran dosti kar lay ga ta k kaam chalta rahay..dono ko mil jul kar karna chahiye.na mard par extra bojh dalna chahiye aur na hi khawateen par agar mard par ziyada zimme dariyan hain to ghar pay us ko only rest hi milna chahiye ta k woh extra zimmay dariyan ba'khoobi utha sakay.its up to situation..
                Last edited by hayaa_n; 14 December 2005, 20:02.
                :roseENIGMA:rose

                Comment

                • #9
                  Re: ~%~ Gharelou Kaam Kaaj kisi ki Zimedari ~%~

                  meri family mai tu aisa kuch nahi hai

                  mere abbu bhai chahcha wagera sub kuch kar lete hain

                  balke agar mehman ajayein tu mera bhai bhabhi se bolta hai k mai chawal banaonga aaj :khi: so aab depend karta hai yeh mardo ki soch pe b

                  lakin meri family mai mashallah sare hi mard kaam kar lete hain

                  Comment

                  • #10
                    Re: ~%~ Gharelou Kaam Kaaj kisi ki Zimedari ~%~

                    Originally posted by hayaa_n

                    bilkul sahee kaha aap nay haya:)
                    totally agreed
                    Meri Aankhon sai utha lena zabt k pehray
                    Sheesha sift hoon ,mujhay pathar nahee likhna:rose

                    Comment

                    • #11
                      Re: ~%~ Gharelou Kaam Kaaj kisi ki Zimedari ~%~

                      Originally posted by Saima Shaheen
                      I hope its better now, main ne yahi attachmed Gallery main upload ki hain phir yaahn paste ki thin shayed ous ki waja se yeh theikh nahi thin.
                      Assalaam o alekum,

                      Still im not able to read properly :( :( coz of background
                      :tang: RISK IS MY BUSINESS

                      DANGER IS MY GAME

                      DONT PLAY WITH ME
                      BCOZ KHURRAM IS MY NAME :tang:

                      Kisi nien bhi to naa dekha nigaah bher ke Mujhe

                      Gaya phir aaj kaa din bhi udaas ker ke mujhe

                      Comment

                      • #12
                        Re: ~%~ Gharelou Kaam Kaaj kis ki Zimedari ~%~

                        Salam,
                        App nay bohat sahi baat ki hain. kam hamay apnay khud karnay chahay.
                        ya Allah sab ko apney hifz-o-amaan main rakh

                        Comment

                        • #13
                          Re: ~%~ Gharelou Kaam Kaaj kisi ki Zimedari ~%~

                          Originally posted by shy
                          sab ko hi mil jul kar ghar ke kaam karne chaen
                          sub ko mil kar kaam kyun karna chahiye?.... ghar ki zamawari khatoon per hoti hai.... aur ussay hee karna chahiye.... bahir kay kaam sub marad karna chahiye.....
                          :alhamd::SubhanAllhaa::alhamd::jazak::insha:

                          Comment

                          • #14
                            Re: ~%~ Gharelou Kaam Kaaj kisi ki Zimedari ~%~

                            Originally posted by hayaa_n
                            Saima ji aap ka yeh topic mujhay bouhat acha laga hay..is main shak nahi k khawateen job na bhi karti hon aur only ghar par hi rehti hon, tab bhi ghar main bouhat kaam hota hay agar help kardi jaey to khatoon-e-khana ka bouhat dil khush ho jaey ga k aihsaas kiya gaya..khas towr par chotay bachon ki mowjudgi main din raat khatoon-e-khana busy rehti hay.agar woh job kar kay ghar ki incom main help kar sakti hay to ghar k kamon main husband kiyun nahi help kar sakta? woh aisi kownsi SHAAN hay jis main kami waqey ho jaey gi?...is soch kay malik mardon say yeh poochna chahiye kay jis Mohammad (S.A.W) ki taqleed karnay walon main hamara shumaar hota hay..woh Mehbub-e-Khuda to khud har kaam apnay dast-e-mubarak say kiya kartay thay..un ki SHAAN say barh kar kis ki shaan? yeh sab kuch education ki kami hay,,Zehni towr par educated jo mard nahi hoga us ki yahi soch ho gi..Europe main bhi aisi soch kay hamil mard hazraat ki kasrat paai jati hay...
                            Is main mazeed add yeh karna chahun gi kay bachon ki parwarish hi is andaaz main bachpan say hi hona chahiye ta k aaj ka bacha jab kal aik family ko lay kar chalay to us kay mind main yeh sab kharafaat na hon.baaz larkay aisay bhi hotay hain k jo apni jagha say uth kar paani bhi nahi peetay hain.. aur jab woh beroon-e-mulk jatay hain to un ko bouhat mushkil dar'paish aati hay.mardon ko itna zaroor ana chahiye k woh aisi kisi bhi surat-e-haal ka muqabla kar sakain.doosron ka moo'n na dekhain k koi doosra un ko khila dey. chahey woh koi aisa larka ho jo k pakana jaanta ho.woh nikhattu larka us say fowran dosti kar lay ga ta k kaam chalta rahay..dono ko mil jul kar karna chahiye.na mard par extra bojh dalna chahiye aur na hi khawateen par agar mard par ziyada zimme dariyan hain to ghar pay us ko only rest hi milna chahiye ta k woh extra zimmay dariyan ba'khoobi utha sakay.its up to situation..
                            aap nay baray saleekay aur khoobsurati say yeh sabat karnay ki koshash ki hai k mardon ko ghar kay kaam karna chahiye..... me aap say agreed nahi karta.... aurat ghar ki zeenat hoti hai... quran aur hadith mein beshumar jagah per yeh baat sabat hoti hai kay aurat ghar ki nigrani aur ghar ki muhafaz hogi.... islam mein yeh tasawur bhi milta hai kay ghar kay kaam kaaj aurat ko karna chahiye aur bahir kay sub kaam marad khud karey.... aurat mushkal halat kay waqt bahir kay kaam karti hain.... ab system ulta hogaya hai aurat chahti hai kay vo bahir kay sub vo kaam karey aur marad ghar kay kaam kaaj karey..... jab say yeh rasam chali hai pooray social values change hogayi hain.... tension, depression barh gaye hain..... ghar mein aao tu bivi job karnay gayi hai... bachon ko na sahi khuraak hai naa sahi tarbiyat......baat lambhi ho rahi hai issliye briefly yeh kahon ga k marad ko thora bahut ghar kay kaam mein hissa dalna chahiye achi baat hai.... agar vo nahi karta tu islam marad ko paband nahi karta k vo zaroor ghar kay kaam kaaj karey....
                            :alhamd::SubhanAllhaa::alhamd::jazak::insha:

                            Comment

                            • #15
                              Re: ~%~ Gharelou Kaam Kaaj kisi ki Zimedari ~%~

                              Originally posted by sheem
                              meri family mai tu aisa kuch nahi hai

                              mere abbu bhai chahcha wagera sub kuch kar lete hain

                              balke agar mehman ajayein tu mera bhai bhabhi se bolta hai k mai chawal banaonga aaj :khi: so aab depend karta hai yeh mardo ki soch pe b

                              lakin meri family mai mashallah sare hi mard kaam kar lete hain
                              aap ki bhabi achay chawal nahi pakati hogi na .... issliye vo bechara aap ka bhai khud pakata hoga...

                              Working...
                              X