Apney mubahisey key silsaley mein aaj ham aik naey topic ka aaghaz kartey hain.
Main ney observe kiya hai keh ham log jab Europe ya Amerika waghera jatey hain to hathkandoon mein jhakrey jatey hain. Wahan key qanoon aur ehkamaat ki pabandi karna apna farz-e-awleen samjhatey hain. Meloon qataron mein kharrey ho ker apni bari ka intizaar kartey hain, apney gird-o-nawah mein gand na phail jaey iska khiyal rakhtey hain, trafic qawaneen ka paas kartey hain algharz ham har woh kaam kartey hain jo wahan per asool hai.
Junhi ham Pakistan aatey hai (ya jatey hain) to har qanoon, asool, pabandi, zabtey, qaedey ki dhajiyaan bakher detey hain. Ham sarrkon per chewing'gum key tukrey phainkna, jaggah jaggah thoonkna, trafic lights ki zalmana tor per la'parwaee karna, shehron mein tez raftaar gadi chalana, qataar phalankna algharz har ghalat kaam karna apni shaan samajhtey hain. Aur saath yeh duhaee detey hain keh yahan per aisa hi chalta hai :fuming: aap kya kehtey hain?

Comment