Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Debate:Nojwan nasal ki terbiat main waaldain aur muashrey ka kirdaar

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • #16
    Re: Debate:Nojwan nasal ki terbiat main waaldain aur muashrey ka kirdaar

    Aap sab ka bohot sara shukrya.... as promised mey report zaroor post karun gi her debate ki alag sey ... thora sa waqt ley ga leykin mey zaroor inshAllah post ker duN gi

    once again thank you very much for your contributions :rose
    " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

    Comment


    • #17
      Re: Debate:Nojwan nasal ki terbiat main waaldain aur muashrey ka kirdaar

      Walaikumasalaam,

      Wasay too debate ka time khatam ho gia hay, lekin mein sirf apna nikta-e-nazar pesh karna chahoonga(just for info)

      Acha ji MASHALLAH bohat hi acha topic hay, meray khiyaal say bachay jab chotay hotay hain tab hi say inn ki achi tarbiyat karni zaroori hay, woh kehtay hain na bachay ka pehla school ghar hota hay. Maan baao ko chahiyay kay bachoon ko muqamal islami tabiyat dein aur achay aur buray ki tameez karna sikha dein, bacha jab 5saal ka hota hay too iss ki sekhnay aur samajhnay ki salahihat poray urooj par hoti hay too issi omer say achi tarbiyat honi chahiyay. Taqe jab bacha bara(Nojawan) ho giay too ussay ilm ho keh kia cheez sahi hay kia ghalat. Iss omer mein bacha muashrey say bohat kuch sekhta hay, aur iss kay liay zaroori hay keh bachay too sahi aur ghalat ki tameez ho. Iss omer mein bacha apnay waaldain ki kam hi suntay hain(kamazkam humari generation mein too aesa hi hay) aur muashrey say ziada cheezain seekhtay hain.


      Comment


      • #18
        Re: Debate:Nojwan nasal ki terbiat main waaldain aur muashrey ka kirdaar

        1stly Sorry 4 being late :embarasse

        Mery nazdeek naujawan nasl ki tarbiyat mai sbsy bara role Parents ka hoota hai,as u know k bacchy ki pehli dars-gaah Maan ki gaud hai! :rose






        Thx 4 Starting a Nicoo n Refreshing Discussion Shweety

        Take Carez :lpop:

        Comment


        • #19
          Re: Debate:Nojwan nasal ki terbiat main waaldain aur muashrey ka kirdaar

          w salam WB:rose

          bachon ki tarbiyet meiN parents ka n specially maaN ka role bohat eham hota he no doubt k muashra bhi bohat count karta he is meiN lakin mere khayal se haM wohi bante hieN jo hamare parents hameN banate hieN !
          meiN samjhti hun k AB tarbiyet k
          mafhoom badal gae hein .. .ya phir U keh lo k AB taleem or tarbiyet ko aik hi maano'n mein liya jata he.....
          yani parents apne bachon ko sirf mehnge taleemi idaron mein admission dilva k samjhte hein k unka farz poora ho gya.
          wo kitne ba sha'oor hein ya wo akhlaqiyaat k kis mansab par faaiz heiN,
          un mein konsi achi ya buri aadten pai'n jati hein , unka apne frndz n others k sath behaviour kesa he , unki soch kya kehti he ? bohat sari or bhi unki zimedariyan hein jin se mukaml Tor pe ghafil hien.

          Comment

          Working...
          X