Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Debate:Nojwan nasal ki terbiat main waaldain aur muashrey ka kirdaar

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Debate:Nojwan nasal ki terbiat main waaldain aur muashrey ka kirdaar

    Asalam alaikum Respected Members,

    Aap sab ko khushamdeed hamara debate ka mauzoo hai " Naujawaan nasl ki tarbiyat mey waleydeyn aur muashrey ka kirdaar" Iss debate mey her koi participate ker sakta hai leykin aap ney bas mandarja zeyl asooloN ki passdari kerni hai inshAllah. Jo key itney khatarnaak kisam key asool nahi heiN :-) bas aik friendly debate key liye kuch friendly asool

    Asool:-
    1. Topic sey bilkul nahi haTna..SIrf topic pey baat ho gi
    2. Topic key favour ya against mey koi team nahi hai. koi bhi member for mey bhi baat ker sakta hai aur against bhi
    3. Debate sirf 5 din chaley gi
    You may start your debate but plz with Respect :rose
    " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

  • #2
    Re: Debate:Nojwan nasal ki terbiat main waaldain aur muashrey ka kirdaar

    Aap apni debate mey in points pey baat ker saktey heiN ... Aur bohot kuch jo aap khud sey add kerna chahieN inshAllah :rose

    Kya waledeyn aur maushara najawan nasl ki tarbiyat mey apna kirdaar ada ker rahey hein??
    Agar haan tau kya aap mutma'in hien?
    Agar nahi tau kyun Nahi?
    Tarbiyat mey aik musharey aur waleydeyn ki kya ehmiyat hai?

    Comment

    • #3

      Originally posted by Xenya View Post

      Xenya sis mujhe itna explain to nahi kerna aa raha hai but mein kosish karogi...jitna mujhe aata hai utna batane ki kosish karogi...
      waldein aur maushara dono hi naujawan nasl ki tarbiyat mein apna kirdar ada nahi ker raha hai...
      naujawan ki achi tarbiyat ke liye dono ka kirdaar bohot ehmiyat rakhta hai
      Aj kal ke daur mein kahin waldein ne apne bacho ko had se ziyada choot de rakhi hai aur kahin waldein ne is maushare ke bigarte hue haalat ko dekhte hue had se ziyada pabandiya laga di hai.....
      kahin bache galat kaam kerte hai mager waldein unhein rokte tokte nahi hai
      aur kahin waldein apne bachon per itni pabandiyan laga dete hai ke bache apni jaiz baat kehte hue bhi darte hai....
      aj kal ke daur mein waldein aur bacon mein bhi bohot dooriyan hai waldein ka kehna bache kehna nahi mante hai aur bacho ka kehna ke waldein samajte nahi hai
      aur maushare mein barhti hui be hayai to hamare samne hai mein ne dekha hai aur mujhe bohot bura lagta hai....
      Last edited by Ainy Guriya; 18 July 2008, 16:01.

      Comment

      • #4
        Re: Debate:Nojwan nasal ki terbiat main waaldain aur muashrey ka kirdaar

        nojawanoo ki tarbeyat main waldeen or mushray ka buhat bara kirdaar hotay hai ..bachay dunia main lanay ka sabab waldeen bantay hain to sab say pehlay waldeen say link rehta hai ...woh jesi tarbeyat daian gay bacha vovi zehan main rekhye ga ...pher ahesta ahesta woh ghar kay mahool say nikal kay naye manhool main qadam rekhta hai ..school jata hai to friends bhi bantay hian ...jesay jesay bara hota jata hai societ say links barhtay jatay hian ...achay doost millye to achi suhbat .........doost achay na niklye to wo bhi un ki tarha ban jata hai ...jesa doost wesi suhbat ...
        اللھم صلی علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما صلیت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔
        اللھم بارک علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما بارکت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔

        Comment

        • #5

          Originally posted by Ainy Guriya View Post
          Xenya sis mujhe itna explain to nahi kerna aa raha hai but mein kosish karogi...jitna mujhe aata hai utna batane ki kosish karogi...
          waldein aur maushara dono hi naujawan nasl ki tarbiyat mein apna kirdar ada nahi ker raha hai...
          naujawan ki achi tarbiyat ke liye dono ka kirdaar bohot ehmiyat rakhta hai
          Aj kal ke daur mein kahin waldein ne apne bacho ko had se ziyada choot de rakhi hai aur kahin waldein ne is maushare ke bigarte hue haalat ko dekhte hue had se ziyada pabandiya laga di hai.....
          kahin bache galat kaam kerte hai mager waldein unhein rokte tokte nahi hai
          aur kahin waldein apne bachon per itni pabandiyan laga dete hai ke bache apni jaiz baat kehte hue bhi darte hai....
          aj kal ke daur mein waldein aur bacon mein bhi bohot dooriyan hai waldein ka kehna bache kehna nahi mante hai aur bacho ka kehna ke waldein samajte nahi hai
          aur maushare mein barhti hui be hayai to hamare samne hai mein ne dekha hai aur mujhe bohot bura lagta hai....
          Originally posted by Aanchal View Post
          nojawanoo ki tarbeyat main waldeen or mushray ka buhat bara kirdaar hotay hai ..bachay dunia main lanay ka sabab waldeen bantay hain to sab say pehlay waldeen say link rehta hai ...woh jesi tarbeyat daian gay bacha vovi zehan main rekhye ga ...pher ahesta ahesta woh ghar kay mahool say nikal kay naye manhool main qadam rekhta hai ..school jata hai to friends bhi bantay hian ...jesay jesay bara hota jata hai societ say links barhtay jatay hian ...achay doost millye to achi suhbat .........doost achay na niklye to wo bhi un ki tarha ban jata hai ...jesa doost wesi suhbat ...
          yeah exactly.... magar kya parents waqai ye sab jantey heiN ya nahi??
          " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

          Comment

          • #6
            Re: Debate:Nojwan nasal ki terbiat main waaldain aur muashrey ka kirdaar

            Salam Xenya!

            yar maina ina lamba likha aur post kiya tu post nahi howa aur sara delete hogiya me ko dobara likhna par raha ha 372-shed

            Originally posted by Xenya View Post
            Muashrey pey inshAllah thori deyr mey baat kertey heiN :)

            yeah exactly.... magar kya parents waqai ye sab jantey heiN ya nahi??
            Mostly parents ko nahi pata ! iski misal maina khud dekhi ha...
            Mai subha univ ja rhi thi maina aik admi ko jo dekhnay ma parha likha lag raha tha ghatiya aur bari bari galiyan day raha tha ...gari ma bathay woh aik rikhsay se lar raha tha.Woh admi akela nahi tha us ki pechli seat per bathay us kay tin bachay uniform ma bathay thay woh kah rhay thay papa jaldi karay hum school se late ho rhay ha....

            Kiya us admi kay bachay nay uskki kahi gai galiyon ko nhi suna hoga...kiya un bacho se ya expect kiya ja sakta ha kah woh gali nahi day gay kesi ko ?is se unkay kirdar per acha asar paray ga??

            Jab bacha paida hota ha tu woh bayshak bol nahi sakta , koi baat samjh nahi sakta...per woh sun raha hota ha dekh raha hota ha sab ! ya baat bohat se parents bhol jatay hain ... Parents jo kartay ha aur jo ird gird mahol ma hota ha bacha mehsoos karta ha aur woh sab us ki memory ma store ho raha hota ha ! jab us ko thori c samjh ati ha aur woh bolnay lagta ha tu woh bacha wohi karta ha jo us nay khamosh rah kar mehsos kiya hota ha !
            Jab itna chota sa bacha itna mehsos kar sakta ha tu nojawan nasal kitna mehsos karti hongi ?Agar nojawano kay samnay asa mahool paida kiya jay jin se woh aik achay insaan ban sakay tu un ki terbiyat mumkin ha ! aur ya sirf waldain aur maushara hi kar sakta ha:)

            Comment

            • #7
              " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

              Comment

              • #8
                Re: Debate:Nojwan nasal ki terbiat main waaldain aur muashrey ka kirdaar

                Originally posted by Fari View Post
                Salam Xenya!

                yar maina ina lamba likha aur post kiya tu post nahi howa aur sara delete hogiya me ko dobara likhna par raha ha 372-shed

                :kr::kr::kr:

                Comment

                • #9
                  Re: Debate:Nojwan nasal ki terbiat main waaldain aur muashrey ka kirdaar

                  my pleasure dear:Du kay liya itna tu kar hi sakti ho:Dteddy

                  Waldain agar wohi achay aur tameri kam karay jo woh chahtay ha kah unkay bachay karay tu bhi meray khiyal se noujwan nasal kharab na ho:mm:

                  Comment

                  • #10
                    Re: Debate:Nojwan nasal ki terbiat main waaldain aur muashrey ka kirdaar

                    Originally posted by Fari View Post
                    Salam Xenya!

                    yar maina ina lamba likha aur post kiya tu post nahi howa aur sara delete hogiya me ko dobara likhna par raha ha 372-shed

                    Mostly parents ko nahi pata ! iski misal maina khud dekhi ha...
                    Mai subha univ ja rhi thi maina aik admi ko jo dekhnay ma parha likha lag raha tha ghatiya aur bari bari galiyan day raha tha ...gari ma bathay woh aik rikhsay se lar raha tha.Woh admi akela nahi tha us ki pechli seat per bathay us kay tin bachay uniform ma bathay thay woh kah rhay thay papa jaldi karay hum school se late ho rhay ha....

                    Kiya us admi kay bachay nay uskki kahi gai galiyon ko nhi suna hoga...kiya un bacho se ya expect kiya ja sakta ha kah woh gali nahi day gay kesi ko ?is se unkay kirdar per acha asar paray ga??
                    yep ghar kay mahool ka bachay pay kafi asar parta hai ..ghar main jo zaban jis lehjay main boli jaye gee bacha vohi seekhye ga ....aik baat ham yakeen say keh saktay hian kay agar ghar ki tarbeyat buhat achi hoo , aik achi bunyaad di gai ho to bahir ka mahool jesa kharab millye woh bacha sanbhal sakta hai ..:)..us main shaoor hoo ga ...
                    اللھم صلی علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما صلیت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔
                    اللھم بارک علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما بارکت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔

                    Comment

                    • #11
                      Re: Debate:Nojwan nasal ki terbiat main waaldain aur muashrey ka kirdaar

                      XENYA sis yehi to baat hai na waldien ko apne bachon se bohot kareeb rehna chahiye ke bache apne waldein se baat ker sake aur phir waldein unhein guide ker sake mager aisa nahi hota mein ne dekha hai bohot kareeb se ke waldein apne pore faraiz ada nahi kerte aur iska qasoor mashre per aur logo per daal dete hai ke falah ne mere bache ko bigaar dia hai falah ki sohbat mein mera bacha bigar gaya.....
                      mera khyal hai ke waldein bachon ki pehli daras gah hoti ye sab tarbiyat hoti hai insaan jo kuch seekhta hai pehle wo apne ghar se hi seekhta hai...
                      phir hum dosaro ko dosh kyun dete hai apna hisaab kyun nahi kerte.....

                      Comment

                      • #12
                        Re: Debate:Nojwan nasal ki terbiat main waaldain aur muashrey ka kirdaar

                        Originally posted by Fari View Post
                        Salam Xenya!

                        yar maina ina lamba likha aur post kiya tu post nahi howa aur sara delete hogiya me ko dobara likhna par raha ha 372-shed

                        Mostly parents ko nahi pata ! iski misal maina khud dekhi ha...
                        Mai subha univ ja rhi thi maina aik admi ko jo dekhnay ma parha likha lag raha tha ghatiya aur bari bari galiyan day raha tha ...gari ma bathay woh aik rikhsay se lar raha tha.Woh admi akela nahi tha us ki pechli seat per bathay us kay tin bachay uniform ma bathay thay woh kah rhay thay papa jaldi karay hum school se late ho rhay ha....

                        Kiya us admi kay bachay nay uskki kahi gai galiyon ko nhi suna hoga...kiya un bacho se ya expect kiya ja sakta ha kah woh gali nahi day gay kesi ko ?is se unkay kirdar per acha asar paray ga??

                        Jab bacha paida hota ha tu woh bayshak bol nahi sakta , koi baat samjh nahi sakta...per woh sun raha hota ha dekh raha hota ha sab ! ya baat bohat se parents bhol jatay hain ... Parents jo kartay ha aur jo ird gird mahol ma hota ha bacha mehsoos karta ha aur woh sab us ki memory ma store ho raha hota ha ! jab us ko thori c samjh ati ha aur woh bolnay lagta ha tu woh bacha wohi karta ha jo us nay khamosh rah kar mehsos kiya hota ha !
                        Jab itna chota sa bacha itna mehsos kar sakta ha tu nojawan nasal kitna mehsos karti hongi ?Agar nojawano kay samnay asa mahool paida kiya jay jin se woh aik achay insaan ban sakay tu un ki terbiyat mumkin ha ! aur ya sirf waldain aur maushara hi kar sakta ha:)
                        :thmbup: 100% agreed :)
                        mera bhi bilkul yehi kehna hai ke bache apne ghar ke har ammal se seekhte hai mein ne dekha hai aur ye baat bari chubti hai ke ghar kaa bara gali deta hai aur bachon se umeed rakhi jati hai ke wo gali na dein...
                        ghar ka bara bahir kisi ke saath bad ikhlaqi se paish aata hai aur umeed kerta hai ke mere bache logo se ikhlq se paish aye....
                        ghar ka bara jhoot bolta hai hai aur umeed kerta hai ke uske bache jhoot na bole.....
                        ghar ki char aurtein mil ker beth jati hai aur batein kerna shuru ker deti hai falah chachi hai na wo aise hai falah mamo aisa keh rahe the falah aisa ker rahi thi batein kerte wqat ye bhi nahi sochti ke inke bache aas pass mein mojood hai aur ye sab batein wo khud unhein zehen nasheen kerwa rahi hai aur phir bachon se umeed rakhti hai ke bache kuch na bole per bache to bache hote hai phir to wo kehte hai mamma bol rahi thi chachi to aisi hai....
                        mamo to aise hai :fuming:

                        ye sab hone ke bad aisa kaise ho sakta hai ke uske bache ki achi tarbiyat ho usne jo seekha hai apne waldein se seekha hai.....
                        phir shikwa gila kis liye.....:fuming:

                        Comment

                        • #13
                          Re: Debate:Nojwan nasal ki terbiat main waaldain aur muashrey ka kirdaar

                          Originally posted by Aanchal View Post
                          yep ghar kay mahool ka bachay pay kafi asar parta hai ..ghar main jo zaban jis lehjay main boli jaye gee bacha vohi seekhye ga ....aik baat ham yakeen say keh saktay hian kay agar ghar ki tarbeyat buhat achi hoo , aik achi bunyaad di gai ho to bahir ka mahool jesa kharab millye woh bacha sanbhal sakta hai ..:)..us main shaoor hoo ga ...
                          :thmbup: Agreed.....
                          theek kaha Aanchal sis apne.....

                          bachon ki tarbiyat kerna koi asaan kam nahi hai har lamha sochna perhta hai apne har ammal ka khayal kerna perhta hai ke mein aisa karogi to mere bachon per kya asaar pare ga wo kya seekhenge

                          Ager ghar mein bohot achi tabiyat mile to bahir ka mahool usse kharaab nahi ker sakta hai.....
                          jo wo apne ghar se seekhe ga wo waisa hi hoga aur wo aise hi doston mein bethna pasand karega jo ache ho burai dekh ker bachne ki kosish kare ga kyun ke usse ghar se aisi hi tarbiyat mili hai :)

                          Comment

                          • #14
                            Re: Debate:Nojwan nasal ki terbiat main waaldain aur muashrey ka kirdaar

                            Hi slam
                            sab sy pehly to main yehi kahonga k jab banda jawan ho jata hay to os ke pher maan baap kee kisi b tarbiyat kee zarorat hee nahi huti siraf muhashira kee huti hian
                            lakin muhashirab hamara b kuch kabil e qadar nahi hay k aik acha insaan bana saky.
                            jehan tak mera khiyal hay k aik acha insaan banny k liy aik achy sathi kee zarorat hay to main yehi kahonga k kitab ager ap k pass achi hian to ap achy ban skty ho
                            [FONT="Arial Black"]Mr. Khalil How much Fake IDs would you make in Pegham... ?

                            See you Real Face in here 372-shed

                            Muhammad Khalil's Real Face [/FONT]

                            Comment

                            • #15
                              Re: Debate:Nojwan nasal ki terbiat main waaldain aur muashrey ka kirdaar

                              Originally posted by Xenya View Post
                              Aap apni debate mey in points pey baat ker saktey heiN ... Aur bohot kuch jo aap khud sey add kerna chahieN inshAllah :rose

                              Kya waledeyn aur maushara najawan nasl ki tarbiyat mey apna kirdaar ada ker rahey hein??
                              Agar haan tau kya aap mutma'in hien?
                              Agar nahi tau kyun Nahi?
                              Tarbiyat mey aik musharey aur waleydeyn ki kya ehmiyat hai?
                              Nojawanoo kii Trabiett main Moasharraa aoor Waldain 2nd kaa bohhat important role haiiiiiiiii,,,,,,,,,,,,,,,I think Waldain koo Bazzat e Khood apni Aoolladd kayy lieyy Role Model hoonaa chahieyyyy,,,kunkeh main samjhhtaa hoooo Insann appnay Gird o nawahh main rehhnnay walloo sayy bohhat kuchh seekhhtaa haiiiii ,,,,,,,so jaissaa aap ussayy mahool dain gayy reawuly waissaa hee hoo gaaaaa
                              "Can you imagine what I would do if I could do all I can? "

                              Comment

                              Working...
                              X