Originally posted by senorita
View Post
Kis siyasatdaan ko uskey siyasi jurmon ki saza mili hai? Koi aik btaein Hamzad? Aaj tak Pakistan ki tareekh mein aik bhi siyasi leader aisa nahin guzra jisko uskey siyasi jurmon ki saza mili ho. Bhutto ki jo misaal aap ney di hai, woh usko is liyey di gaii thi keh Amerika ussey raastey sey hatwana chahta tha.
Aaj agar Benazir zindah hotin to kya aap ussey saza dilwaney ki baat kartin? Aaj Nawaz Shareef ko aik QAID samjha jaa raha hai, issey kaun si saza mili hai?? Hamarey mulk mein paisey waley ko kabhi saza nahin mil sakti. Aap wakeelon ki baat karti hain, Hamzad aap kabhi pakistani adalton mein jaa ker dekhein keh yeh wakeel paison ki khatir kis tarha be'gunahon ko sazaein dilwatey hain, jhoot ko sach kar key sabit kartey hain - jab inhein dandey parrey hain to sari awwam inki hamdard ho gaii hai? Kyun? Kya awwam pichhley 60 salon sey jhoot bolti chali aa rahi hai keh yehi adaltein yeh wakeel aur yehi judges awwam ko insaaf nahin detey?

![7 4 14[1]](images/smilies/7_4_14[1].gif)
us ne konse ache kaam keay hen jo ap ko foran us ki saza par dukh ho jata he?yakinan sabhi ne aj tak pakistan ko loota he lekin jo hashar is shaks ne kia wo koi na kar saka,jitna is ne hulya bigara har idare ka wo ham sab k samne he,isi shaks ne NRO ke zreay zardari ke jaraem moaf keay,ager isi tarah moafi wala kaam karna he to sari jails ko khol dee jeay aam awaam ka kia kasoor he jo wo chote chote juraim me jelon me sarte rahen:donno:aik adha qatal musharaf ke dheron qatalas k samne kia heseyat rakhta he???shoukat aziz ke frauds me hisa daar ban kar or konsi naiki ki is ne??yakinan sare seyastadan theek nahi hen lekin ye aik bohat bara evil he


Comment