Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Itni Der Kiun Kar di????

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Itni Der Kiun Kar di????

    :(

  • #2
    Re: Itni Der Kiun Kar di????

    Hukumat, army and civilian ko koshish karni chahiye ke sab se pehle pahal malbe mein dabey logon ko nikalein kya pata unme kuchh log ab bhi zinda hon
    Khandar wafa ka yaaro kured kar dekh lo
    Hamarey naam ka patthar zaroor milega

    Comment


    • #3
      Re: Itni Der Kiun Kar di????

      govt ki pass ais tarah ki waqeat ki liyee allready koi preparation nahii haii or na kabi andaza lagayaa haii future ki liyee agar khuda na khuwasta ais tara ki afat ajayee tu kia karingii kis tarah karingee ...etc

      har kissi ko agai/future ka kuch suchna chahiii ...
      u can't gain RESPECT by choice nor by requesting it... it is earned through your words & actions."

      :pr:

      Comment


      • #4
        Re: Itni Der Kiun Kar di????

        Shy mujhey aap ki in sab baton sey itfaaq nahin hai.
        Sab sey pehli baat yeh keh aap apney khittey ka maghribi mumalik sey muwazna nahin kar saktin. Woh is liye keh hamarey khittey ki aksar aabadi aaj bhi kachey makano, shakistah gharon, milawat'shudah cement sey baney flats mein rehti hai. Jab keh maghribi mumalik mein aisa nahin hota. Jab aisi aafat aati hai to aisey makanaat ka girna aur is qadar tabahi ka hona koi ajeeb nahin. Rahi baat imdaad mein deri ki to yeh hamesha zehan mein rakhiye ga keh hamarey elaqey kaisey hain. Motorway ya G.T. Road key elawa shayid 2% roads aisey hon ge jo aik sailaab ki aafat ko bardaasht kar sakein, yeh to phir bhi quake tha. Tsunami ka hadisa huwa to Indonesia jo kisi European country sey kam nahin, usi ka sab sey bada nuqsaan huwa. World Trade Center bhi kaee din tak tabahi ka shikaar raha.
        Aap dekhein quake duniya mein jahan jahan aaya hai, chahey woh mazboot concrete sey bani buildings hon ya kachey makanaat, sab kuchh tabah ho jata hai. Pakistan mein jin elaqon mein ziyada tar tabahi hui hai wahan per jaana aasan nahin, kisi bhi soorat mein. Yeh blame aap hakoomat ko nahin dey saktin, kyun keh hakoomat ney apni koshish ki hai aur kar rahi hai.
        Mujhey is hadisey mein aik cheez nazar aai hai keh awwam mein apney logon sey kitni muhabbat hai. Logon ka aik doosrey ki maddad karney ka jazbah samney aaya hai. Aur mazeed jo - mujhey zaati tor per hairat hui hai - woh DUNIYA ka response tha. Duniya mein shayid hi koi mulk, koi organisation ho gi jo harkat mein nahin aai. Tsunami ka hadisa huwa tha to is tarha ka jazbah phir bhi dekhney mein nahin aaya tha jaisa is qayamat par aaya hai.
        Ab aagey kya karna ho ga? Haan ab hamari hakoomat aur ehkaam-e-bala ki zimmeydari banti hai keh woh is hadisey sey sabaq seekhein, woh is sey bachney ki koi tabdeer nahin kar saktey kyun keh aafat-e-Elahi ko duniya ki koi taqat nahin rok sakti. Sabaq yeh seekhna chahiye keh apney wasaeel ko wasee kiya jaey, roads ki halat behtar ki jaey, aisey elaqon tak pohanchney key liye aasani pedah ki jaey. Aamd-o-raft per tawajoh deni ho gi.
        magar sab sey pehley mutasireen ko aisa ehsaas diya jaey keh woh akeley nahin, poori awaam unkey saath - aur yeh kaam kisi ko blame deney sey nahin hoga, blame dena hamara sab sey aasan kaam hai. Aur bohat si siyasi parties ab isi blame per apni siyasat chamkaein gi, yeh ghalat baat ho gi.
        Is dukh ko ham sab ko apna dukh samajhna hai aur jo log bach gaey hain, unhein bahon mein samet lena hai.
        tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
        tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

        Comment


        • #5
          Re: Itni Der Kiun Kar di????

          Originally posted by Spy009
          Hukumat, army and civilian ko koshish karni chahiye ke sab se pehle pahal malbe mein dabey logon ko nikalein kya pata unme kuchh log ab bhi zinda hon
          g bilkul ye sab se pehli tarjeeh honi chaey kiun ke jese jese waqt guzar raha he malbe tale dabe huey logon ke zinda bach jane ke chances bhi kam hote ja rahe hen,or kai areas me abhi tak koi help ke elay nahi pohancha

          Comment


          • #6
            Re: Itni Der Kiun Kar di????

            Originally posted by Hala
            govt ki pass ais tarah ki waqeat ki liyee allready koi preparation nahii haii or na kabi andaza lagayaa haii future ki liyee agar khuda na khuwasta ais tara ki afat ajayee tu kia karingii kis tarah karingee ...etc

            har kissi ko agai/future ka kuch suchna chahiii ...
            g dua he ke Allah kare ab hakoomat ko kuch hosh aa jaey or wo kuch is par bhi tawajo de sake,ke hamgami soorate haal me kia karna chaey.

            Comment


            • #7
              Re: Itni Der Kiun Kar di????

              Originally posted by Masood
              Shy mujhey aap ki in sab baton sey itfaaq nahin hai.
              .
              g yakinan hamre mulk me bohat kuch mukhtalif he dusre mumalik se,lekin jahan hamen modernizm ka dars dia ja raha he wahan is basics par bhi ghor karna chaey,Islamabad me buildings to nkali me bna li gai hen lekin khuda nakhwasta ager kahin aag lag jaey to in ke pas arrangments nahi hen.hadse bta kar nahi hote,awal to itni bari building bina check ke bani.us ke faults par CDA ko kai dafa inform kia gya lekin no twajo.or jab gir gai to kai hrs tak bahir ki teams ka intzaar kia gya,is doran kitna waqt zaya hua n kitne log mar gaey.ye mehez tankeed nahi he or na hi kisi seyasi jamat ki taraf se he,TV par dekhen aam log hen jo govt ki na ehli par ro rahe hen.or northen areas me jahan roads toot gaen wahan helli ke zreay to ja sakte the na?abhi bhi wahan bohat sare areas me koi help nahi pohanchi.yakinan nagahani afaat achanak ati hen or dunia me har jagah ati he,lekin hakoomat ka kaam hota he un ke leay khud ko kuch tyar karna,jo sorry to say ham ki govt ne bilkul nahi kia hua tha.Civil defence kahan he?hmare log yakinan tareef ke kabil hen,hmari army hamesha is tarah ke halat me help karti he,lekin civil intzamya or us ko update rakhna jadeed alaat se ye sab bhi to zaruri he.na pese ki kami he na wasail ki serf masla he to bad neyati ka he.

              Comment


              • #8
                Re: Itni Der Kiun Kar di????

                Dekhein shy jis tarha woh building collaps hui hai us per agar foran jhatta'pat malbah uthaney mein lag jaya jata to bohat kuchh mazeed nuqsaan ka khatra tha. Is mein koi shak nahin keh hamarey har shobey ki intizamiyah nakaam rehti hai kisi bhi muamley mein. Magar awwam jis ka koi aziz kisi malbey key neechey hoga woh to kisi na na kisi per ungli uthaey ga. Agar yeh hadisah kisi doosrey mulk mein hota - yaa aap misaal ley lijiye Trade Center ki, wahan per bhi kaee kaee din tak malbah aisey hi parra raha tha, aur jin ko bachaya jaa sakta tha bachaya geya tha. Kya iska matlab tha keh ameriki intizamiya bhi nakaam ho gaee thi???

                Har baat ka aik asool aur tareeqah hota hai, magar haan jin per qayamat toot rahi ho woh yeh baat nahin samjhtey.
                tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
                tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

                Comment


                • #9
                  Re: Itni Der Kiun Kar di????

                  Originally posted by Masood
                  Dekhein shy jis tarha woh building collaps hui hai us per agar foran jhatta'pat malbah uthaney mein lag jaya jata to bohat kuchh mazeed nuqsaan ka khatra tha. Is mein koi shak nahin keh hamarey har shobey ki intizamiyah nakaam rehti hai kisi bhi muamley mein. Magar awwam jis ka koi aziz kisi malbey key neechey hoga woh to kisi na na kisi per ungli uthaey ga. Agar yeh hadisah kisi doosrey mulk mein hota - yaa aap misaal ley lijiye Trade Center ki, wahan per bhi kaee kaee din tak malbah aisey hi parra raha tha, aur jin ko bachaya jaa sakta tha bachaya geya tha. Kya iska matlab tha keh ameriki intizamiya bhi nakaam ho gaee thi???

                  Har baat ka aik asool aur tareeqah hota hai, magar haan jin per qayamat toot rahi ho woh yeh baat nahin samjhtey.
                  aap ko shaed meri baat samjh nahi aei jo me kehna chah rahi hun,america me ager word trade center par kaam shiru hua to wo wahan ki intzamiya ne hi shiru kia,wo kisi ghebi imdad ke muntazer nahi the,jese hmare haan kuch ho jaey to dusron ki taraf dekhne lagte hen,yehi sazo samaan jo bahir se le kar log aey hen kam az kam hmare capital me to hona chaey tha na?emergency se nibatne ke elay pehle hamrae pas khud bhi kuch hona chaey fer us ke baad dusron se help mangni chaey jab ke yahan halaat ye hote hen ke bechare shehri khud hi apni madad aap ke tehet kaam karte hen or akser moke par intzameya ka kuch pata nahi hota.

                  Comment

                  Working...
                  X