:(
Announcement
Collapse
No announcement yet.
Unconfigured Ad Widget
Collapse
Itni Der Kiun Kar di????
Collapse
X
-
Re: Itni Der Kiun Kar di????
govt ki pass ais tarah ki waqeat ki liyee allready koi preparation nahii haii or na kabi andaza lagayaa haii future ki liyee agar khuda na khuwasta ais tara ki afat ajayee tu kia karingii kis tarah karingee ...etc
har kissi ko agai/future ka kuch suchna chahiii ...u can't gain RESPECT by choice nor by requesting it... it is earned through your words & actions."
:pr:
Comment
-
Re: Itni Der Kiun Kar di????
Shy mujhey aap ki in sab baton sey itfaaq nahin hai.
Sab sey pehli baat yeh keh aap apney khittey ka maghribi mumalik sey muwazna nahin kar saktin. Woh is liye keh hamarey khittey ki aksar aabadi aaj bhi kachey makano, shakistah gharon, milawat'shudah cement sey baney flats mein rehti hai. Jab keh maghribi mumalik mein aisa nahin hota. Jab aisi aafat aati hai to aisey makanaat ka girna aur is qadar tabahi ka hona koi ajeeb nahin. Rahi baat imdaad mein deri ki to yeh hamesha zehan mein rakhiye ga keh hamarey elaqey kaisey hain. Motorway ya G.T. Road key elawa shayid 2% roads aisey hon ge jo aik sailaab ki aafat ko bardaasht kar sakein, yeh to phir bhi quake tha. Tsunami ka hadisa huwa to Indonesia jo kisi European country sey kam nahin, usi ka sab sey bada nuqsaan huwa. World Trade Center bhi kaee din tak tabahi ka shikaar raha.
Aap dekhein quake duniya mein jahan jahan aaya hai, chahey woh mazboot concrete sey bani buildings hon ya kachey makanaat, sab kuchh tabah ho jata hai. Pakistan mein jin elaqon mein ziyada tar tabahi hui hai wahan per jaana aasan nahin, kisi bhi soorat mein. Yeh blame aap hakoomat ko nahin dey saktin, kyun keh hakoomat ney apni koshish ki hai aur kar rahi hai.
Mujhey is hadisey mein aik cheez nazar aai hai keh awwam mein apney logon sey kitni muhabbat hai. Logon ka aik doosrey ki maddad karney ka jazbah samney aaya hai. Aur mazeed jo - mujhey zaati tor per hairat hui hai - woh DUNIYA ka response tha. Duniya mein shayid hi koi mulk, koi organisation ho gi jo harkat mein nahin aai. Tsunami ka hadisa huwa tha to is tarha ka jazbah phir bhi dekhney mein nahin aaya tha jaisa is qayamat par aaya hai.
Ab aagey kya karna ho ga? Haan ab hamari hakoomat aur ehkaam-e-bala ki zimmeydari banti hai keh woh is hadisey sey sabaq seekhein, woh is sey bachney ki koi tabdeer nahin kar saktey kyun keh aafat-e-Elahi ko duniya ki koi taqat nahin rok sakti. Sabaq yeh seekhna chahiye keh apney wasaeel ko wasee kiya jaey, roads ki halat behtar ki jaey, aisey elaqon tak pohanchney key liye aasani pedah ki jaey. Aamd-o-raft per tawajoh deni ho gi.
magar sab sey pehley mutasireen ko aisa ehsaas diya jaey keh woh akeley nahin, poori awaam unkey saath - aur yeh kaam kisi ko blame deney sey nahin hoga, blame dena hamara sab sey aasan kaam hai. Aur bohat si siyasi parties ab isi blame per apni siyasat chamkaein gi, yeh ghalat baat ho gi.
Is dukh ko ham sab ko apna dukh samajhna hai aur jo log bach gaey hain, unhein bahon mein samet lena hai.tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujheytumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey
Comment
-
Re: Itni Der Kiun Kar di????
Originally posted by Spy009Hukumat, army and civilian ko koshish karni chahiye ke sab se pehle pahal malbe mein dabey logon ko nikalein kya pata unme kuchh log ab bhi zinda hon
Comment
-
Re: Itni Der Kiun Kar di????
Originally posted by Halagovt ki pass ais tarah ki waqeat ki liyee allready koi preparation nahii haii or na kabi andaza lagayaa haii future ki liyee agar khuda na khuwasta ais tara ki afat ajayee tu kia karingii kis tarah karingee ...etc
har kissi ko agai/future ka kuch suchna chahiii ...
Comment
-
Re: Itni Der Kiun Kar di????
Originally posted by MasoodShy mujhey aap ki in sab baton sey itfaaq nahin hai.
.
Comment
-
Re: Itni Der Kiun Kar di????
Dekhein shy jis tarha woh building collaps hui hai us per agar foran jhatta'pat malbah uthaney mein lag jaya jata to bohat kuchh mazeed nuqsaan ka khatra tha. Is mein koi shak nahin keh hamarey har shobey ki intizamiyah nakaam rehti hai kisi bhi muamley mein. Magar awwam jis ka koi aziz kisi malbey key neechey hoga woh to kisi na na kisi per ungli uthaey ga. Agar yeh hadisah kisi doosrey mulk mein hota - yaa aap misaal ley lijiye Trade Center ki, wahan per bhi kaee kaee din tak malbah aisey hi parra raha tha, aur jin ko bachaya jaa sakta tha bachaya geya tha. Kya iska matlab tha keh ameriki intizamiya bhi nakaam ho gaee thi???
Har baat ka aik asool aur tareeqah hota hai, magar haan jin per qayamat toot rahi ho woh yeh baat nahin samjhtey.tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujheytumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey
Comment
-
Re: Itni Der Kiun Kar di????
Originally posted by MasoodDekhein shy jis tarha woh building collaps hui hai us per agar foran jhatta'pat malbah uthaney mein lag jaya jata to bohat kuchh mazeed nuqsaan ka khatra tha. Is mein koi shak nahin keh hamarey har shobey ki intizamiyah nakaam rehti hai kisi bhi muamley mein. Magar awwam jis ka koi aziz kisi malbey key neechey hoga woh to kisi na na kisi per ungli uthaey ga. Agar yeh hadisah kisi doosrey mulk mein hota - yaa aap misaal ley lijiye Trade Center ki, wahan per bhi kaee kaee din tak malbah aisey hi parra raha tha, aur jin ko bachaya jaa sakta tha bachaya geya tha. Kya iska matlab tha keh ameriki intizamiya bhi nakaam ho gaee thi???
Har baat ka aik asool aur tareeqah hota hai, magar haan jin per qayamat toot rahi ho woh yeh baat nahin samjhtey.
Comment
Comment