Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

bidat sey bachain

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • #16
    Re: bidat sey bachain

    Originally posted by Revolution View Post
    Mera Photoshop abhi kam nahi kar raha insaAllah subah tumhain sari maloomat hawalajat ke sath post karoon ga.
    Ohohohoho jub apne per baat aai tu Islami Fareeza ko puhanch gai tu bhai hum Quran Khawani barai isale sawab ko Islami Fareeza he samajhtay hain tum nahi samajhtay tu nah karo...
    Quran-e-pak main para 28, Surah Hashar, Ayyt number 10...
    '' Allah Tala Farmata hai '' '' Aur woh jo inn ke baad aai arz karte hain aai humare rub humain buksh day aur humare bhaion ko jo hum say pehlay iman lai ''

    Tu iss say pata chala ke Quran nai bhi kaha ke apney Faut Sudgan ke liye kuch karoo.
    kia main ney dua ka inkar kia hay , fatiya ka inkar kia hay
    naeen to
    read again plz
    Abb hum Gunah Garoon ki dua tu itna asar nahi karti ke idhar hum karain udhar Murda baksh dia jai
    kia app Allah ki rehmat sey na umeed haan
    and do you is ko kufur ki category main laya jata hay
    (according to many aalims )
    Allah sub ki duain sunta hay , and jis ki dua chata hay , pori ker deta hay

    tu hum Quran-e-Pak say uss ko Isal-e-Sawab kartay hain.
    Quran Pak sey app ko swab milta hay , and mazeed swab milay ga ager samj ker perain gay and amal kerain gay
    problem yeh hay swab transfer naeen hota

    Her insan ko apney keya ka jowab dena hay akharat main

    Khair intazaar karo main tumhain tafseelan Urdu main likh kar jawab doon ga.
    Bareelvi Kam az kam Apni Government per GOLIAN nahi chalate aur Dehshat Gardi nahi kartey Bhai Sahib. :na:
    topic sey hoto naeen plz
    jo ghalat kam karey , chayeh koi bi , ghalat hay
    Last edited by tauruskhan; 1 February 2008, 00:09.
    People should not be afraid of their governments. Governments should be afraid of their people

    Comment

    • #17
      Re: bidat sey bachain

      Originally posted by Pakiza View Post
      SALAMZ TO ALL
      Taurus sahab...with all due respect....jahan app ne ye kaha hai ke Quran khani ke barey main koi hadeeth nahi hai...issi tarhan Quran khani na karney ke barey mainbhi koi hadeeth nahi hai....aur bidat wo hoti hai jis se kisi non islamic custome ka image aaey
      :SubhanAllhaa: App nai tu aik he baat main pura TOPIC khatam kar dia aur main app ki baat say agree karta hoon.
      Yahi tu main bhi bool raha hon ke ajj jo nai nai kaam hum kartey hain Islam nai na inn say manah kia aur naa hee hukam dia tu phir hum karte hain na ?
      tu Quran khawani main kia masla hai ?? :cc:

      Comment

      • #18
        Re: bidat sey bachain

        Originally posted by tauruskhan View Post
        Quran khani per koi etiraz naeen , wo swab hay un logon key liya jo perhain gay
        buzurgon ko jo cheeze pohancti hay wo hay dua , fatiya along with sadqa jaria
        as per my limited knowledge is
        keeon key kafi saloon sey main talash main hoon key find out ker sakoon wo reference jis sey pata lagey key hmm per ker dosron ko apna swab baksh saktay haan
        but esa kuch naeen mila
        :) .... Dua karna sawab hai, to Quran parh ker dua karna kya double sawab nahin? Usman mazhab ko mushkil na bnao apney liyey keh kahin tum REFERENCE ko dhoondhtey dhoondhtey bhatak na jao... We both remember ZAALIM - he was (or is) a very clear example of such person! Apney qadmon ko bhatakney sey pehley rok lo aur jahan sawab milta hai, hasil kar lo :)
        tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
        tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

        Comment

        • #19
          Re: bidat sey bachain

          Originally posted by tauruskhan View Post
          ya us wakat lagoo hoti jab Hazoor PBUH key zamney main Quran khani baray isaley swab hoti pir app bi bat lago hoti key koi na karnay ki hadees naeen hay , is liya yeh durust hay

          first find out key kia Hazoor PBUH key door main yeh hoti thee
          Mujhe yeh batao woh konsay kaam hain Islam main jo Hazrat Muhammad Mustafa (saw) ke zaman-e-Aqdas main hotay they aur tum logh ajj karte ho ?
          Kia yeh Bidat nahi ke ajj hum nai Masajid Buhat onchi onchi aur bilkul Paki tameer kar li hain ?
          Kia Hazrat Muhammad Mustafa (saw) ke zaman-e-Aqdas main Khana kaba per Ghilaf hota tha ?
          Sub say bari bidat tu start he khana kaba say hoti hai baqi kia kaho gey tum ? :tauba

          Comment

          • #20
            Re: bidat sey bachain

            taurus sahab....kia HAZUR PBUH....ke zamaney main Quran aik book ki shakal main tha?
            agar nahi tha tu phir aaj ke dour main kiun hai?.....kia ye bhi ghalat hai

            Comment

            • #21
              Re: bidat sey bachain

              Originally posted by Masood View Post
              :) .... Dua karna sawab hai, to Quran parh ker dua karna kya double sawab nahin? Usman mazhab ko mushkil na bnao apney liyey keh kahin tum REFERENCE ko dhoondhtey dhoondhtey bhatak na jao... We both remember ZAALIM - he was (or is) a very clear example of such person! Apney qadmon ko bhatakney sey pehley rok lo aur jahan sawab milta hai, hasil kar lo :)
              mujeh koi iteraz naeen is sey lakin "kehnay ka maqsad ap bi samj gay haan"
              key quran perhnay ka swab transfer naeen ho ga, lakin kaboliat kay chances mazeed bar jaeen gay"

              atleast mujeh to is explanation per koi iteraz naeen , but this should not be make compulsory key " islam ka part kaha jaey and bakida rasam bana di jaey"
              People should not be afraid of their governments. Governments should be afraid of their people

              Comment

              • #22
                Re: bidat sey bachain

                Originally posted by Pakiza View Post
                taurus sahab....kia HAZUR PBUH....ke zamaney main Quran aik book ki shakal main tha?
                agar nahi tha tu phir aaj ke dour main kiun hai?.....kia ye bhi ghalat hai
                Bilkul sahi farmaya app nai.
                Kia Quran ke itnai Nuskhai they Hazrat Muhammad Mustafa (saw) ke zaman-e-Aqdas main ?
                Kia Quran issi tarha Chapta tha jaisa ajj chapta hai ?
                Kia Quran ka Tarjuma hua tha ?
                Kia Ghilaf-e-Kaba Tha ?
                Kia Khana Kaba ko itna phelaya gaya tha ?
                Kia Masjidain Paki Tameer ki gai thi ?

                NAHI NA ? tu phir Quran khani kar ke Isal-e-Sawab per he aitraaz kyon ? :donno:

                Comment

                • #23

                  agerchay yeh offtopic hay
                  pir bi app ko bata doon
                  key Quran ki kitabi shakal Hazoor PBUH ney apni hiyat hi main dey di thee
                  and Hazrat Ayesha R.A key pass mehfooz farmya tha

                  Hazrat Usman R.A ney appney dor main tumam kapion including that one ko apney pass bulwaya and baki adori copies ko reject kerwa ker sirf usi copy ko official karar dia tha
                  People should not be afraid of their governments. Governments should be afraid of their people

                  Comment

                  • #24
                    Re: bidat sey bachain

                    Originally posted by tauruskhan View Post
                    agerchay yeh offtopic hay
                    pir bi app ko bata doon
                    key Quran ki kitabi shakal Hazoor PBUH ney apni hiyat hi main dey di thee
                    and Hazrat Ayesha R.A key pass mehfooz farmya tha

                    Hazrat Usman R.A ney appney dor main tumam kapion including that one ko apney pass bulwaya and baki adori copies ko reject kerwa ker sirf usi copy ko official karar dia tha
                    Ghalat Bhai apnai say Batain mat banao aghar sahi kehtay ho tu Hawala do mujhe bhi umar guzar gai hai yeh batain sunte howay per ajj jo tum nai kaha woh ajj he suna hai... I am not agree :tauba

                    Comment

                    • #25
                      Re: bidat sey bachain

                      Originally posted by Revolution View Post
                      Bilkul sahi farmaya app nai.
                      Kia Quran ke itnai Nuskhai they Hazrat Muhammad Mustafa (saw) ke zaman-e-Aqdas main ?
                      itnay naeen , lakin jab bi log tableeg key liya mukhtalif ilaqoon main jatay they , to us wakat tak jitna nazool shoda quran ley jatay they
                      Kia Quran issi tarha Chapta tha jaisa ajj chapta hai ?
                      kia quran ko chapna part of islam
                      Kia Quran ka Tarjuma hua tha ?
                      kia quran ka tarjuma kerna islam ka fareeza hay
                      Kia Ghilaf-e-Kaba Tha ?
                      no knowledge about this at this time
                      Kia Khana Kaba ko itna phelaya gaya tha ?
                      kia itnay log us waka muslim they
                      Kia Masjidain Paki Tameer ki gai thi ?
                      kia paki masjid tameer kerna farz ya part of islam karar dia hay
                      NAHI NA ? tu phir Quran khani kar ke Isal-e-Sawab per he aitraaz kyon ? :donno:
                      dobara read kejay ga and khod jowab dejay ga
                      key swal chawal jowab chana denay sey kia jowab mil jata hay
                      People should not be afraid of their governments. Governments should be afraid of their people

                      Comment

                      • #26
                        Re: bidat sey bachain

                        Originally posted by tauruskhan View Post
                        itnay naeen , lakin jab bi log tableeg key liya mukhtalif ilaqoon main jatay they , to us wakat tak jitna nazool shoda quran ley jatay they

                        kia quran ko chapna part of islam

                        kia quran ka tarjuma kerna islam ka fareeza hay

                        no knowledge about this at this time

                        kia itnay log us waka muslim they

                        kia paki masjid tameer kerna farz ya part of islam karar dia hay

                        dobara read kejay ga and khod jowab dejay ga
                        key swal chawal jowab chana denay sey kia jowab mil jata hay
                        Kia Quran-Khanni for Isal-e-Sawab per aitraaz karna part of islam hai ? :slap:

                        Comment

                        • #27
                          Re: bidat sey bachain

                          Originally posted by Revolution View Post
                          Kia Quran-Khanni for Isal-e-Sawab per aitraaz karna part of islam hai ? :slap:
                          "beshak insan khasarey main hay "
                          magar wo log naeen , jo iman lay, neek amal kertay rahey , haq baat ki talqeen aur sabar kertay rahey

                          ab 2 sorateen haan , ya to yeh naeek amal hay
                          ya main haq baat ker raha hoon
                          ager yeh nek amal hay to main ghalat ker raha hoon and mera haq hay key app islah kerain
                          lakin ager yeh ghalat hay jo key bazahir saaf lag raha hay
                          to mera faraz hay key app ko is sey mana karoon

                          and ager app naeen mantay and na hi with referece sabit kertay
                          to meray pass
                          sabar kernay key ilawa koi chara naeen

                          take care
                          People should not be afraid of their governments. Governments should be afraid of their people

                          Comment

                          • #28
                            Re: bidat sey bachain

                            Originally posted by tauruskhan View Post
                            "beshak insan khasarey main hay "
                            magar wo log naeen , jo iman lay, neek amal kertay rahey , haq baat ki talqeen aur sabar kertay rahey

                            ab 2 sorateen haan , ya to yeh naeek amal hay
                            ya main haq baat ker raha hoon
                            ager yeh nek amal hay to main ghalat ker raha hoon and mera haq hay key app islah kerain
                            lakin ager yeh ghalat hay jo key bazahir saaf lag raha hay
                            to mera faraz hay key app ko is sey mana karoon

                            and ager app naeen mantay and na hi with referece sabit kertay
                            to meray pass
                            sabar kernay key ilawa koi chara naeen

                            take care
                            Ok Bhai app ki Islah karne ki main kosshish karoon ga per jaisa ke maine kaha meri photoshop work nahi kar rahi nahi tu abhi app ko Hawala jaat likh kar post kar daita thora intzaar karo.
                            Per yeh batao Ajj tak jitnai Aawlia, Ulama aur Dosray musalman jo Isal-e-Sawab karte rahai sub Paghal hai aur sub he gumrah hain kia ? :cc:

                            Comment

                            • #29
                              Re: bidat sey bachain

                              Originally posted by Revolution View Post
                              Ok Bhai app ki Islah karne ki main kosshish karoon ga per jaisa ke maine kaha meri photoshop work nahi kar rahi nahi tu abhi app ko Hawala jaat likh kar post kar daita thora intzaar karo.
                              Per yeh batao Ajj tak jitnai Aawlia, Ulama aur Dosray musalman jo Isal-e-Sawab karte rahai sub Paghal hai aur sub he gumrah hain kia ? :cc:
                              ager app history perain to wo fatiya pertay they, jo key bertay bertay first quran khani then fatiya bana
                              then change hotey hoey quran khani for isaley swab ban gia and part of islam kaha janey laga
                              People should not be afraid of their governments. Governments should be afraid of their people

                              Comment

                              • #30
                                Re: bidat sey bachain

                                Originally posted by Revolution View Post
                                Ok Bhai app ki Islah karne ki main kosshish karoon ga per jaisa ke maine kaha meri photoshop work nahi kar rahi nahi tu abhi app ko Hawala jaat likh kar post kar daita thora intzaar karo.
                                Per yeh batao Ajj tak jitnai Aawlia, Ulama aur Dosray musalman jo Isal-e-Sawab karte rahai sub Paghal hai aur sub he gumrah hain kia ? :cc:
                                secondly Gumrah insan us wakat hota hay , jub us ko asal ka pata lag jaey and wo inkar ker day and ghalat per data rahey
                                ignorance ko gumrahi naeen kaha ja sakta as per my knowledge
                                People should not be afraid of their governments. Governments should be afraid of their people

                                Comment

                                Working...
                                X