Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

VIEWS: Inqilab Ki Zaroorat Hai!

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • #46
    Re: VIEWS: Inqilab Ki Zaroorat Hai!

    Originally posted by zapk7 View Post
    Masood bhai! Pahlay to mein aapki us kawish ko sarahoon gi jo aap ne ba'ad mein post ki.Waqai hamaray hukmaraan apnay mafaad ki khatir qoumi sarmaya loot'tay hain aur is maharat se loot'tay hain ke awam samajh hi nahin paati,aur khud yeh log aik doosray ko protect kartay hain(Agarchay public mein aik doosray per keechar uchaltay hain aur cases bhi dair kartay hain).
    Ab rahi baat inqilab ki.Inqalab kai tarah ke hotay hain.Democracy mein inqalab pur-amn hota hai yeni vote ka inqilab.Jo zahir hai hamaray haan aaj tak nahin laya ja saka.
    Aik khooni inqilab khooni hota hai jiski aap ne baat ki hai.Mujhay is baat se bhi ittefaq hai ke jab koi chara na rah jaye to khooni inqalab hi aata hai.
    Laikin bhai aap poori dunya mein aik bhi khooni inqilaab ki aisi misaal dey dain jo baghair mukhlis leader ke aaya ho.Jahan bhi aisa inqalab aya wahan koi na koi aisa utha jis ne qoum ko is point per mut'tahid kiya.
    Ham log to shaid tareekh-e-insaani ke bad-tareen bohraan se guzar rahay hain,jahan sab lutairay hi ikhattay ho gaye hain.Qoum kis ke peechay mut'tahid ho?
    Banay hain ahl-e-hawas mud'dai bhi munsif bhi
    Kisay wakeel karain,kis se munsafi cha'hain
    bahir nikal kar dhaikhainn ..alha ka fazal hai buhat say leader hain.aap shaamil honay walay banain.:)
    sigpic

    Comment

    • #47
      Re: Inqilab Ki Zaroorat Hai!

      Originally posted by sarfraz_qamar View Post
      janab main to samjhtaaa hoo sabb see barraa inqllab yehhee hoo gaa jab harr shakhss sirff khood ko right karrr layyy u can say it according to islam etc .......aoor jahan tal Masood bhai kaa tallq haii yahan par main aap see agree kartaa hoo kehh wohh kuch Harsh words main likhh jattay hainn kabhee kabhaarr magar main unn kee kisse bhee baat kaa buraa nahee manataaa.....aap bhee jawabb dee sakttay hain magar tehzeeb kayy dairray main rehh karrr... i hope u never mind it
      agar haan main haan milana tehzeb hai too main nahi manta aisi tehzeeb.
      sigpic

      Comment

      • #48
        Re: VIEWS: Inqilab Ki Zaroorat Hai!

        Originally posted by Masood View Post
        Almas behna, aap aik ustaad hain, aur ustaad ka muqaam merey nazdeek waldein key muqaam sey bhi buland hai. Aap ki nazar mein woh baseerat honi chahiyey jo halaat key nazuk'pan ko jaanch sakein. Halaat yeh hain keh ham 5ween sadi eesvi ki tarz key dor mein kharrey hain. Us waqt Islam ka zahoor nahin huwa tha aur duniya jahalat mein doobi hui thi, aaj maloomat (informations) ki bohtaat hai, magar insaan usi jahalat mein dooba huwa hai.

        Us waqt Allah Tala ney Nabi Kareem SAW ki soorat mein duniya mein inqilaab pedah kiya, magar ab aisa koi Nabi nahin aaney wala o aisa koi inqilaab pedah karey ga.

        Inqilaab pur'aman ho keh Khoon sey labrez, har do key liyey kisi na kisi leader ki zaroorat hoti hai - bghair leader key inqilaab lana na'mumkin hai. Hamara muashra jahalat key urooj per hai, aisey muashrey mein pur'aman inqilaab nahin aatey jahan per log vote apni cast, paisey ki farawani, mufaad ki prastash ko dekh ker detey hon!

        Dr. Israr Ahmed key aik khutbey mein yeh suna geya hai keh inqilaab laaney key liyey sab sey pehley apney ander "common factors" talash karney ki zaroorat hai - jab common factors talash karney lagein to khiyalaat ki jang zaroor hoti hai, tasadum aik zaroori amar hai - us tasadum key baad hi aap aik platform per jamaa ho saktey ho!

        Almas, kisi bhi muashrey ki tameer koi aik raat bhar ki baat nahin hoti, muashrey sadiyon mein tashkeel paatey hain. Hamara muashra kaii so saal baad is "irtiqa" per pohancha hai - kya aap issey chand taqreeron sey, chand voton sey, chand siyasi bakbak sey badal saktey hain???? Hargiz nahin, jahan zameendar ney sadiyon sey apney mufaad key liyey Quran ki jhooti qasmein bhi khaii ho, wahan per siyasi bakbak faqt waqt ka ziyaa aur qom ka dimagh sulaney wali baat hai - hamari sochon mein pukhtgi aa chuki hai, aur aik baaligh ki soch ko badalna aasan kaam nahin - na to ham mein, hamarey rehnumaoun mein woh amal hai jisko dekh ker ham pur'aman tor per khud ko badal sakein. Aur na hi yeh hamari qom chahti hai!

        Kuchh din pehley tv channels ko zap kartey huwey aik channel per Benazir ko dekha, keh rahi thin keh hamarey gaoun mein gandgi hai, severage ka system nahin, hamarey logon mein beemariyan hai, ham in per kaam karein gey... mera dil chaha isko kharrey kharrey goli sey urra doon, kitna barra bakwas hai keh sari qom janti hai keh na woh yeh kaam karney aai hai aur na koi bhi government yeh kaam karey gi - magar hamarey log is par taaliyan bajana shuru kar detey hain - yeh hamari bad'bakhtgi ki bohat bhiyanak misaal hai keh ham jaan boojh ker apney aap ko tabah karna chahtey hain!
        mashaallah
        tottalay agreeid with u.
        sigpic

        Comment

        • #49
          Re: VIEWS: Inqilab Ki Zaroorat Hai!

          Originally posted by Gul View Post
          Masood Sahib ...AIK Buhat SOLID topic aur Valid ...Reasons k sath ....aap Nay yeh thread shoro kiya ..and aap k inqalab se mein ....Poori tarah Mutafiq hoon....Go k jo book ka reference aap nay diya oss se mein kisi haddd tak waqif thee ....Haqaiq samany aaany se inn sabhi SO CALLED REHNUMAOUN se mazeed nafrat honay lagi ...aaj agar HITLER hota tu shayd yeh iss qisam ka inqalab wahi la sakta tha ......:) GOLI KI zuban wala..!

          Mgar jaisay k topic se baat kahin hat-ti ja rahi hai ...loag favoritism mein chalay gay hein and Islam ko beech mein ley aa=ay hein .....

          Sab se Pehlay Onn Bhai Sahib Jinhoun nay Islamic Point of View se baat ki hai ...aik sirf aik baat keh doon k ...ISLAM MEIN KAHIN B JHAMOORIYAT nahi .....Dictatorship Hai ....Plz calm down ....mein nay yeh lafz iss liyay use kia k ....ISLAM mein KHILAFAT aur SULTANIYAT hai ....anyway ....Pakistan ki siyasat mein jhamooriyat b nahi aur naa hii koi KHILAFAT ...so ISLAM k koi behass nahi ....OK..

          Secondly ....Jo mein samjhi hoon inqalab ka lafz....wo ZEHNOUN mein inqalab ki baat hai ..Sar katnay ka matlab khoon rezi har giz nahi .....bulkeh ...Onn k chehroun se niqaab hataana maqsad hai .....Onn k khoobsoorat aur Modified Masks k peechay kitnay Bhiyanak Chehray hein Onn ki haqeeqat ko jan k man-naa inqelaab hai ....aap Khud soachein ....jab do ya teen loag kisi ek cheez k liyay Stand leytay hein tu onn k nazriyaat mukhtalif hotay hein tabhi wo apna Motive Loagoun k samnay rak k onn ko apnay favor mein kartay hein ..Conceptional ekhtelaaf parties bana-ta hai ....ab yehi 3 ya 4 parties ek mahaz per jamah howay hein KION k ONN ki raah ka kanta ....Kisi na kisi Turr per Mojood hai ..Jo ONN ko Eyaashi nahi karnay dey gaa..:eye:.. yeh bataein k agar nazriyati difference hai tu ab ekhataa kion hein ? kion k yeh loag ZAAT k MUFAAD deykh rahay hein ....Kion K wo AWAAM ka lahoo peenay ...aa-ay hein aisay kaisay ....wo apnay Ayyaar Iradoun mein kamyaab ho saktay hein ....! jab sar per koi dandaa kisi na kissi turr ........HAI :)
          INQALAB ZEHNI IRTEQA ka naam hai ...Zehnoun ki SEHAT ka ...naam ..aur ISS ROOHANI SEHAT K LIYAY MULTI VITAMIN .....ki zaroorat hai jo Masood Sahib jaisay Loag provide kar saktay hein ...........!
          Sab loag waqi batein kartay hein .....Jin Members nay iss Thread mein post ki hein ...KOI bata-ay gaa Onn mein se kssi ek nay b VOTE poll kia hai kabhi i think yehan sab 18 years se baray members nay posts ki hein .......!
          aur agar kia b hai tu kia waqi oss party nay ...ONN k liyay kuch kia b hai ..jiss ka wo wadaa foreign TV channels per kartu hein ? Oh KOM ON ..come out of darkness !!!!!!!!!!:(
          Iss bar Vote deynay ka irada zaroor rakhiyay magar .....sath mein Zehan ko Neutral rakh k ....aur FOR Allah's SAKE ....SHAOORI tur per jaagtay howay.. ..

          :) .....................THE END (Filhaal)
          dhaikhain janab jo log islaam ko beech main lay ain hain woh agar pagal hain too phir aap doc israr ko sunainn..lakin agar saray molvi bhee ap ki nazar main inteha pasand hainn too phir khud seerat_rasool(pbuh) ko perhain...
          is mulak main inqeelaab aye ga too sirf meray nabi ki sunnat par amal kare klay aye ga warna nahi.thats all.
          Last edited by suffard; 6 December 2007, 10:53.
          sigpic

          Comment

          • #50
            Re: VIEWS: Inqilab Ki Zaroorat Hai!

            Originally posted by suffard View Post
            dhaikhain janab jo log islaam ko beech main lay ain hain woh agar pagal hain too phir aap doc israr ko sunainn..lakin agar saray molvi bhee ap ki nazar main inteha pasand hainn too phir khud seerat_rasool(pbuh) ko perhain...
            is mulak main inqeelaab aye ga too sirf meray nabi ki sunnat par amal kare klay aye ga warna nahi.thats all.
            Seerat Ul nabi SAW ko kia aap nay parhaa?????????:)parhiyay!!!!!! aur onn k Time mein Onn k Fasiloun ko parhiyay tu aap Ko Sab kuch saaf saaf dikhay gaa ..Onhoun nay KUFFAR k sath Jo Behavior Rakha aur Deen ko jaisay phailya kia aaj k LOAG .....aisa kar raay hein ..Bhai Sahib ...!!.sirf kehnay se baatein nahi banti .....NIYAT aur oss k baad amal ki baat hai ...kash ..aap samjh sakein ..Aap nay Muhtaram DR.Sahib ka naam liyay mein onn k lectures aksar sunti hoon ...aur aap ko kahin b wo yeh nahi kehtay k ISLAM ko GHALAT Andaaz se amal mein laya ja-ay ...aaap Islamic section mein ISLAM aur Sharia ki batein kijay ....I respect ur VIEWS ...Hamaara deen Sakhti se Paak hai ..magar loag ISLAM ko sahi tarah nahi jantay aur bass NA`aROUN aur MUKALMOUN per zore deynay lagtay hein .....mujhay aap se kuch nahi kehna ......Bass QURAAN aur AHADEES ko Follow kijay ..aap Ko balck & white ka pata chal ja-ay gaa ! KASH HAMARAY LOAG KHUD QURAAN-e-MAJEED ko SAHEEE AHADEES ki tafseer k sath parhein tu .....WO KUCH JAAN sakein..!ALLAH HUM SAB KO NAIKI AUR HADYAT per rakhay ameen sum ameen ..!

            Comment

            • #51
              Re: VIEWS: Inqilab Ki Zaroorat Hai!

              Originally posted by Masood View Post
              Almas behna, aap aik ustaad hain, aur ustaad ka muqaam merey nazdeek waldein key muqaam sey bhi buland hai. Aap ki nazar mein woh baseerat honi chahiyey jo halaat key nazuk'pan ko jaanch sakein. Halaat yeh hain keh ham 5ween sadi eesvi ki tarz key dor mein kharrey hain. Us waqt Islam ka zahoor nahin huwa tha aur duniya jahalat mein doobi hui thi, aaj maloomat (informations) ki bohtaat hai, magar insaan usi jahalat mein dooba huwa hai.

              Us waqt Allah Tala ney Nabi Kareem SAW ki soorat mein duniya mein inqilaab pedah kiya, magar ab aisa koi Nabi nahin aaney wala o aisa koi inqilaab pedah karey ga.

              Inqilaab pur'aman ho keh Khoon sey labrez, har do key liyey kisi na kisi leader ki zaroorat hoti hai - bghair leader key inqilaab lana na'mumkin hai. Hamara muashra jahalat key urooj per hai, aisey muashrey mein pur'aman inqilaab nahin aatey jahan per log vote apni cast, paisey ki farawani, mufaad ki prastash ko dekh ker detey hon!

              Dr. Israr Ahmed key aik khutbey mein yeh suna geya hai keh inqilaab laaney key liyey sab sey pehley apney ander "common factors" talash karney ki zaroorat hai - jab common factors talash karney lagein to khiyalaat ki jang zaroor hoti hai, tasadum aik zaroori amar hai - us tasadum key baad hi aap aik platform per jamaa ho saktey ho!

              Almas, kisi bhi muashrey ki tameer koi aik raat bhar ki baat nahin hoti, muashrey sadiyon mein tashkeel paatey hain. Hamara muashra kaii so saal baad is "irtiqa" per pohancha hai - kya aap issey chand taqreeron sey, chand voton sey, chand siyasi bakbak sey badal saktey hain???? Hargiz nahin, jahan zameendar ney sadiyon sey apney mufaad key liyey Quran ki jhooti qasmein bhi khaii ho, wahan per siyasi bakbak faqt waqt ka ziyaa aur qom ka dimagh sulaney wali baat hai - hamari sochon mein pukhtgi aa chuki hai, aur aik baaligh ki soch ko badalna aasan kaam nahin - na to ham mein, hamarey rehnumaoun mein woh amal hai jisko dekh ker ham pur'aman tor per khud ko badal sakein. Aur na hi yeh hamari qom chahti hai!

              Kuchh din pehley tv channels ko zap kartey huwey aik channel per Benazir ko dekha, keh rahi thin keh hamarey gaoun mein gandgi hai, severage ka system nahin, hamarey logon mein beemariyan hai, ham in per kaam karein gey... mera dil chaha isko kharrey kharrey goli sey urra doon, kitna barra bakwas hai keh sari qom janti hai keh na woh yeh kaam karney aai hai aur na koi bhi government yeh kaam karey gi - magar hamarey log is par taaliyan bajana shuru kar detey hain - yeh hamari bad'bakhtgi ki bohat bhiyanak misaal hai keh ham jaan boojh ker apney aap ko tabah karna chahtey hain!
              Masod bhai! Mein aap se muttafiq hoon ke hamari qoum ki jo halat hai woh aik din mein nahin badli ja sakti.Balke shaid kai barson mein bhi na badli ja sakay.Mein to is baat ki qail hoon ke kam az kam aik generation ko iske liay qurbani daina paray gi.Ye baat mein apni students ko bhi samjhati rahti hoon.Agar irtaqai amal se guzar kar inqalab lana maqsood ho to teacher se barh kar koi bahtar zarea nahin ho sakta,jo noujawanon ko mustaqbil ke liay tayyar karta hai.Is had tak maira khayal hai ke agar sab nahin to bohat se ustaad apnay faraiz sar-anjaam daitay hain.Laikin zahir hai ke yeh amal sust hota hai,aur is se inqalab anay mein bohat deir lagti hai laikin yeh woh inqalab hai jis ki aap shaid baat kar rahay hain,yeni soch ka inqalab,amal ka inqalab.Aik aisa inqalab jo zahir ko nahin balke batin ka badal dalay.Aisay inqalab ka aghaz na janay kab se ho chuka hai aur har dour mein asatiza apna apna hissa daal rahay hain.
              Taham iski raftaar itni sust hai ke iskay samaraat shaid ham bhi na daikh paain,aur jitna bigaar hamaray muashray mein paida ho chuka hai;shaid agli kai naslain bhi na daikh sakain.Shaid sadion baad hi yeh inqalab apna cycle mukamil kar sakay.
              Mind Sciences

              Comment

              • #52
                Re: Inqilab Ki Zaroorat Hai!

                Originally posted by suffard View Post
                agar haan main haan milana tehzeb hai too main nahi manta aisi tehzeeb.
                :donno:
                "Can you imagine what I would do if I could do all I can? "

                Comment

                • #53
                  Re: VIEWS: Inqilab Ki Zaroorat Hai!

                  Originally posted by Gul View Post
                  Masood Sahib ...AIK Buhat SOLID topic aur Valid ...Reasons k sath ....aap Nay yeh thread shoro kiya ..and aap k inqalab se mein ....Poori tarah Mutafiq hoon....Go k jo book ka reference aap nay diya oss se mein kisi haddd tak waqif thee ....Haqaiq samany aaany se inn sabhi SO CALLED REHNUMAOUN se mazeed nafrat honay lagi ...aaj agar HITLER hota tu shayd yeh iss qisam ka inqalab wahi la sakta tha ......:) GOLI KI zuban wala..!

                  Mgar jaisay k topic se baat kahin hat-ti ja rahi hai ...loag favoritism mein chalay gay hein and Islam ko beech mein ley aa=ay hein .....

                  Sab se Pehlay Onn Bhai Sahib Jinhoun nay Islamic Point of View se baat ki hai ...aik sirf aik baat keh doon k ...ISLAM MEIN KAHIN B JHAMOORIYAT nahi .....Dictatorship Hai ....Plz calm down ....mein nay yeh lafz iss liyay use kia k ....ISLAM mein KHILAFAT aur SULTANIYAT hai ....anyway ....Pakistan ki siyasat mein jhamooriyat b nahi aur naa hii koi KHILAFAT ...so ISLAM k koi behass nahi ....OK..

                  Secondly ....Jo mein samjhi hoon inqalab ka lafz....wo ZEHNOUN mein inqalab ki baat hai ..Sar katnay ka matlab khoon rezi har giz nahi .....bulkeh ...Onn k chehroun se niqaab hataana maqsad hai .....Onn k khoobsoorat aur Modified Masks k peechay kitnay Bhiyanak Chehray hein Onn ki haqeeqat ko jan k man-naa inqelaab hai ....aap Khud soachein ....jab do ya teen loag kisi ek cheez k liyay Stand leytay hein tu onn k nazriyaat mukhtalif hotay hein tabhi wo apna Motive Loagoun k samnay rak k onn ko apnay favor mein kartay hein ..Conceptional ekhtelaaf parties bana-ta hai ....ab yehi 3 ya 4 parties ek mahaz per jamah howay hein KION k ONN ki raah ka kanta ....Kisi na kisi Turr per Mojood hai ..Jo ONN ko Eyaashi nahi karnay dey gaa..:eye:.. yeh bataein k agar nazriyati difference hai tu ab ekhataa kion hein ? kion k yeh loag ZAAT k MUFAAD deykh rahay hein ....Kion K wo AWAAM ka lahoo peenay ...aa-ay hein aisay kaisay ....wo apnay Ayyaar Iradoun mein kamyaab ho saktay hein ....! jab sar per koi dandaa kisi na kissi turr ........HAI :)
                  INQALAB ZEHNI IRTEQA ka naam hai ...Zehnoun ki SEHAT ka ...naam ..aur ISS ROOHANI SEHAT K LIYAY MULTI VITAMIN .....ki zaroorat hai jo Masood Sahib jaisay Loag provide kar saktay hein ...........!
                  Sab loag waqi batein kartay hein .....Jin Members nay iss Thread mein post ki hein ...KOI bata-ay gaa Onn mein se kssi ek nay b VOTE poll kia hai kabhi i think yehan sab 18 years se baray members nay posts ki hein .......!
                  aur agar kia b hai tu kia waqi oss party nay ...ONN k liyay kuch kia b hai ..jiss ka wo wadaa foreign TV channels per kartu hein ? Oh KOM ON ..come out of darkness !!!!!!!!!!:(
                  Iss bar Vote deynay ka irada zaroor rakhiyay magar .....sath mein Zehan ko Neutral rakh k ....aur FOR Allah's SAKE ....SHAOORI tur per jaagtay howay.. ..

                  :) .....................THE END (Filhaal)
                  app kayy baqee tamam points to apnee jagahh right hain but mujhaay eikk baat see shadeedd ikhtallaf haii joo aap nayy kahaa haiii kehh Islam main Dictatorship haiiiii......can u prove that islam main dictatorship haii.....
                  aoor aap nayy Khilaffat aoor dictatorship koo eikk Line main Kharraa karr diaaa haiii thats not right ....Khillafat aoor cheezzee haii aoor dictatorship 2nd cheezeee haiiiiiii.................
                  in the end main IQBALL ka eikk sheerr add karnaa chahoon ngaaa
                  Jallall e Padshahee hoo yaa Jamhooree tamashaa hooo
                  judaa hoo deen siasatt see to rehh jatee haii CHANGEZEEE
                  "Can you imagine what I would do if I could do all I can? "

                  Comment

                  • #54
                    Re: VIEWS: Inqilab Ki Zaroorat Hai!

                    Originally posted by sarfraz_qamar View Post
                    app kayy baqee tamam points to apnee jagahh right hain but mujhaay eikk baat see shadeedd ikhtallaf haii joo aap nayy kahaa haiii kehh Islam main Dictatorship haiiiii......can u prove that islam main dictatorship haii.....
                    aoor aap nayy Khilaffat aoor dictatorship koo eikk Line main Kharraa karr diaaa haiii thats not right ....Khillafat aoor cheezzee haii aoor dictatorship 2nd cheezeee haiiiiiii.................
                    in the end main IQBALL ka eikk sheerr add karnaa chahoon ngaaa
                    Jallall e Padshahee hoo yaa Jamhooree tamashaa hooo
                    judaa hoo deen siasatt see to rehh jatee haii CHANGEZEEE
                    Brother mein nay issi liyay Calm down honay k liyay b kaha tha agar aap Ghir se parhtay tu ... Dictatorship ...ka matlab hai ek aadmi ki khud sakhita hakoomat ....aap lafzi meanings mein deykhein.. Aik aadmi Jo kisi ek base per Hakoomat karta hai ..magar POLLING jaisay amala se nahi guzarta ...! Beyshak KHILAFAT isslaaami POINT HAI ..magar ...MUTLIQ ul ANAN hakoomat hoti hai islam mein wahi hai ....Jhamoooriyat nahi hai isalm mein ....MUJHAY ISLAMIC RULES se koi ikhtelaf Alhamdlillah nahi hai ....magar hamaray logoun ka :) problem yeh hai k ..." WO SIRF EK LINE ko pakartay hein ....aur baat ka maqsad nahi jantay ..:) plz ...GHore se parhiyay aur FOR ALLAH's SAKE ...dont make this an ISSUE I MUST SAY ..! K PLZ ISLAM KO >>>QURAN aur AHDEES Ki Roshni mein janiyay ....aap sab jaan jaein gay ....! ...........aur kia kahoon ..sab ............umm.............anyway.!

                    Comment

                    • #55

                      yaa i can understand what is Dictatorship ....lakin aap nayy dictator ship aoor Khilaffat koo eikk hee line main kharaaa karr diaa haiiiii jabkehh yehh 2 eik doosray kayy balikoll Makooos hainnn.........khilaffat main Mashaawarrt koo tarjeehh dee jatee haiii jiss kayy baad faisllay kieyy jattay hain jabkehh dictatorship main sirf eik shaks hee all in all hotaa hiii...........
                      kia aap samjhh saktee hain kehh Khillafat assal main Jamhooriatt kee ibtadaiee shakkal haiiiii lihazzzaa yeh kehnaa kehh isllam main jamhooriatt nahee too yehh ghallat hooo gaaa aorr 2nd pk main Jamhoorait kayy naam parr joo dictatorship chall rahee haii wohh aap kayy sammnnay haiiiiii.....
                      lihazaa aap kabhee bhee Islam koo hakoomat see allag nahee karr sakttay
                      "Can you imagine what I would do if I could do all I can? "

                      Comment

                      • #56
                        Re: VIEWS: Inqilab Ki Zaroorat Hai!

                        :) ........Thanx for telling :) ....Brother!

                        Comment

                        • #57
                          Re: VIEWS: Inqilab Ki Zaroorat Hai!

                          Masood Sahib ...AIK Buhat SOLID topic aur Valid ...Reasons k sath ....aap Nay yeh thread shoro kiya ..and aap k inqalab se mein ....Poori tarah Mutafiq hoon....Go k jo book ka reference aap nay diya oss se mein kisi haddd tak waqif thee ....Haqaiq samany aaany se inn sabhi SO CALLED REHNUMAOUN se mazeed nafrat honay lagi ...aaj agar HITLER hota tu shayd yeh iss qisam ka inqalab wahi la sakta tha ......:) GOLI KI zuban wala..!
                          اسلام علیکم محترمہ گل صاحبہ!
                          آپکی تحریر میں چند امور میرے نزدیک دریافت طلب ہیں امید ہے آپ اپنی توضیحات کے زریعے ان امور کو مبرہن فرمائیں گی۔
                          سب سے پہلے تو اس امر کی وضاحت فرمائیں کے آپ نے مسعود صاحب کے انقلاب کی جو حمایت کی وہ وہ بطور کون سا انقلاب ہے آیا خونی یا زہنی؟کیوں کہ اگر آپ مسعود بھائی کی بات سے متفق ہیں تو انھوں نے تو سیدھا سیدھا خونی انقلاب کی بات کی ہے تو اس کا مطلب ہوا کہ آپ بھی اس انقلاب کی حمایت میں ہیں امید ہے آپ وضحات فرمائیں گی۔

                          Sab se Pehlay Onn Bhai Sahib Jinhoun nay Islamic Point of View se baat ki hai ...aik sirf aik baat keh doon k ...ISLAM MEIN KAHIN B JHAMOORIYAT nahi .....Dictatorship Hai ....Plz calm down ....mein nay yeh lafz iss liyay use kia k ....ISLAM mein KHILAFAT aur SULTANIYAT hai
                          دوسرا آپکی اس بات پر مجھے دلائل درکار ہیں کہ اسلام میں کہیں بھی جمہوریت نہیں پہلے تو جمہوریت کی تعریف اور پھر اس کا اطلاق اسلام پر کس طرح نہیں ہوتا اس امر کی وضاحت آپکی زمہ داری ہے۔

                          Secondly ....Jo mein samjhi hoon inqalab ka lafz....wo ZEHNOUN mein inqalab ki baat hai ..Sar katnay ka matlab khoon rezi har giz nahi .....

                          اب یہاں آپ نے انقلاب لفظ کی وضاحت میں صریحا فرما دیا ہے کہ آپ کے نزدیک لفظ انقلاب سے مراد زہنی انقلاب ہے تو پھر اوپر مسعود صاحب کے نظریہ سے اتفاق چہ معنٰی دارد؟۔کیونکہ مسعود صاحب نے تو اپنی تحریر میں صرف خونی انقلاب کی بات کی ہے۔امید ہے ان تمام امور کی وضاحت آپ بخوبی فرمائیں گی۔ والسلام آپکا خیر اندیش عابد عنائت
                          ساقیا ہور پلا ہور پلا ہور پلا

                          Comment

                          • #58
                            Re: VIEWS: Inqilab Ki Zaroorat Hai!

                            Secondly ....Jo mein samjhi hoon inqalab ka lafz....wo ZEHNOUN mein inqalab ki baat hai ..Sar katnay ka matlab khoon rezi har giz nahi .....bulkeh ...Onn k chehroun se niqaab hataana maqsad hai .....Onn k khoobsoorat aur Modified Masks k peechay kitnay Bhiyanak Chehray hein Onn ki haqeeqat ko jan k man-naa inqelaab hai ..

                            I hope k yeh aap nay parh liya ho gaa...!
                            mera yehi tu afsos hai k hum sab wesay tu buhat ba -shaooor hein, poetry aur Philosophy ko baray mazay se parhtay hein aur apnay panay matlab nikal kar oss ki tareef kartay hein ..magar yehan inn alfaz ko haqeeqat samjh leyna koi tukk nahi .....mein nay ossi andaz ko favor kia tha jo meri apni soach thee jo mein nay yehan quote ki kion k mein nay Masood sahib ki oss baat ko issi nigha se deykha ...

                            doosri baat k islaam mein jahmooriyat..

                            aap yeh bataein ...jahmooriyat hai kia ....Aam feham baat karoon gee k ek aisa chuanO jiss mein pooori qoam mil k kisi ko apna rehbar chunay ...

                            Islam mein hamein aisa kuch nahi milta ... Mashawarat zaroor hai ..magar Khilafat ki jab baat aati hai tu kia Hazoor SAW nay yeh kaha tha k ONN k bad koi election kia ja-ay ..koi polling ho...sirf chand Aakil aur aaalim loagoun nay yeh faisla kia k ..
                            Hazrat Abu Bakar (RA )monarchy, while the authentic notion truly refers to the authority of every single Muslim in his human capacity and his right to enjoy dignity and respect.

                            But just tell me ....Does it matches to our Democracy .....Which is the RAWAJ of our nation ...... Thats why Isaid ......That The jhamooriyat is different to TRUE Islamic..Believes ..
                            Give me any example of ,,,,ELECTION ..which was held in The LIFE of Prophet Muhammad Peace be Upon him of Allah ..ameen..!

                            Thanx
                            Last edited by Gul; 13 December 2007, 19:10.

                            Comment

                            • #59
                              Re: VIEWS: Inqilab Ki Zaroorat Hai!

                              salam Gul!!

                              Aap ki post per first post pey reply kerna tha magar aik aur member ney her cheez explain ker di thi iss liye phir uss ki zaroorat nahi mehsoos hui

                              Abi bro. ney ho sakta hai key pichli posts perhey baghair aap ko reply ker diya hai .....

                              anywayz ... now wat i feel is that you are complicating things :)

                              Democracy ko aap ney define kiya..iss ki most popular definition hai
                              Governement of the People, by the people and for the people

                              iss ko agar waqai compare kerna hai to aap bilkul Islam mey jo khilafat ka idea hai uss sey compare kareiN...

                              detail mey jana chaheiN to ham ja saktey heiN ... magar iss ki yahaN zaroorat nahi hai :)

                              aur jo iss definition ki applied form hai wo chahey Pakistan hai ya America...ghalt hai .... no doubt ....
                              " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

                              Comment

                              • #60
                                Re: VIEWS: Inqilab Ki Zaroorat Hai!

                                اسلام علیکم محترمہ گل صاحبہ
                                بہت خوشی ہوئی کہ آپ نے اپنی بات کی وضاحت فرمادی بس مجھے یہاں لوگوں سے یہی اختلاف ہوتا ہے کہ بات کھل کر نہیں کرتے لگی لپٹی کرتے ہیں بھئی دیکھیئے مسعود بھائی نے ایک تھریڈ لگایا اور اس میں پاکستانی قوم کی فلاح و بقا کو صرف اور صرف تلوار اٹھانے میں منحصر کردیا اور ساتھ میں لفظ انقلاب بھی دیا جو ان کے نزدیک صرف تلوار اٹھانے ہی کا نام ہے تو میں نے صریحا کہا کہ بھائی بات انقلاب کی حد تک تو ٹھیک ہے لیکن جہاں تک رہی بات تلوار اٹھانے کی اور صرف اسی میں قوم کی فلاح کو مضمر جاننے کی تو آپکی اس بات سے مجھے اتفاق نہیں اب چاہیے تو یہ تھا کہ جو بھی اس آرٹیکل کو پڑھتا وہ یا تو مسعود بھائی کے پیش کردہ نظریہ سے اتفاق کرتا اور یا پھر اختلاف لیکن ہاں جو کچھ بھی کرتا وہ سیدھے سادے الفاظ میں کرتا یہ نہیں کہ جس طرح آپ نے اپنی بات کی ابتداء تو مسعود صاحب کی ٹوٹل حمایت کی اور بعد میں آکر انقلاب کی وضاحت کرتے ہوئے آپ اپنی ہی کہی ہوئی بات سے منحرف ہوگئیں اور اس پر آپکی سابقہ تحریر گواہ ہے کہ آپ کی اس تحریر کو جو کوئی بھی غور سے پڑھے کا وہ اس میں تضاد پائے گا آپ چاہے تسلیم کریں یا نہ کریں مجھے بس اسی تضاد بیانی سے نفرت ہے میں کہتا ہوں کہ جو بھی بات کرو کھل کر کرو یہ کیا کہ پہلے تو بھائی ہم آپ سے مکمل اتفاق کرتے ہیں اور بعد میں یوں اور ایسے وغیرہ اس طرح کرنے سے بہت سے زہن پراگندہ ہوتے ہیں اور نہ ہی سامنے والے یعنی جس کی تحریر پر آپ ریمارکس دے رہے ہوں اس پر اس کی غلطی ہی واضح ہوتی ہے۔ امید ہے آپ میری بات سمجھ گئی ہو گئیں اگر نہیں تو ایک بار پھر مسعود بھائی کا کالم شروع سے بغور پڑھیں اور پھر اپنی رپلائی بھی۔
                                باقی رہی بات جمہوریت کہ غیر اسلامی نظام ہونے کی اور ڈکٹیٹر شپ کو اسلامی نظام ٹھرانے کی تو مجھے بڑا ہی افسوس ہے کہ یہ آپ کی یا تو اسلامی نظام سے عدم واقفیفت کی بنا پر ہے یہ پھر قلت مطالعہ کا نتیجہ ہے کہ آپ ڈکٹیٹر شپ کو اسلامی بتا رہی ہیں ۔ اور اگر آپکی پیش کردہ جمہوریت کی تعریف ہی کو لیا جائے یعنی جو آپ نے عام فہم الفاظ مین بیان کی ہے کہ ایسے رہبر کا چناؤ کہ جس کو ساری قوم مل کر چنے دوسرے لفظوں میں آپ نے الیکشن کو جمہوریت سے تعبیر کیا ہے آپ کی یہ تعریف سر آنکھوں پر مگر یہ کیا کہ اس تعریف کہ ہوتے ہوئے بھی آپ کو اسلامی تاریخ میں ایک بھی ایسی مثال نہیں ملی جو آپکی پیش کردہ اس جمہوریت کے نظام پر پوری اتر سکے ؟ اگر آپ اسلامی تاریخ کا بنظر غائر مطالعہ فرمائیں تو آپ پر یہ حقیقت واشگاف ہوگئ کہ اسلامی خلیفہ کا چناؤ بھی ایک طرح کا الیکشن ہی ہے اور آجکل جو شکل الیکشن کی رائج ہے گو وہ اس کی ایڈوانس شکل ہے مگر بیسک آئیڈیا وہیں سے لیا گیا ہے اور آپ کی اطلاع کے لیے میں یہ بھی عرض کردوں کے خلیفہ کا انتخاب بلا شبہ پہلے قوم کے پڑھے لکھے اور بااثر شخصیات کی بیعت سے ہی ہوا تھا میرا اشارا بعیت صدیقی کی جانب ہے لیکن بعد میں بعیت عامہ ہوئی تھی جس میں ہر شخص بلکہ گھر کی عورتوں سے بھی بعیت لینے کا زکر موجود ہے اور اگر اب بھی بضد ہیں کہ وہ نظام حقیقتا آج کے الیکشن والے نظام کے مترادف نہیں تھا کیوں کہ وہاں پر صرف ایک ہی امید وار تھے اور وہ تھے صدیق اکبر رضی اللہ عنہ تو پھر میں آپکی توجہ خلیفہ ثانی کے انتخاب کی طرف دلانا چاہوں گا جن کے مقابلے میں پہلے 5 اشخاص تھے جن میں سے چار دستبردار ہوگئے اور پھر فائنل مقابلہ حضرت علی کرم اللہ وجھہ کریم اور حضرت عثمان غنی رضی اللہ عنہ کے مابین ہوا تھا اور جن صحابہ کی زمہ داری لگی تھی دو نوں کے بارے میں قوم کے ہر ایک فرد کی رائے لینے کی تو ان صحابہ نے گھر گھر جاکر عورتوں سے بھی رائے لی تھی اور پھر جب حضرت عثمان کے حق میں زیادہ لوگوں نے ووٹ دیا تو آپ کو خلیفہ چن لیا گیا باقی رہی آپ کی پیش کردہ جمہوریت کی وہ تعریف جو کہ مغرب سے درآمد شدہ ہے اس پر مجھے کچھ نہیں کہنا لیکن خدارا اسلامی نظام خلافت کو ڈکٹیٹر شپ سے مت تشبیع دیجئے کیونکہ ڈکٹیٹر وہ ہوتا جو کہ خود کو قوم پر جبری طریقے سے مسلط کرے اور پھر اپنے عمل سے حاکم اعلٰی بن بیٹھے جب کے خلیفہ وہ ہوتا ہے جسے خود قوم میں سے منتخب افراد یا پھر ساری قوم خود منتخب کرئے اور جس کا طریق حاکمیت اللہ کی حاکمیت اعلٰی پر منتج ہو اور اس ہی کے زیر تسلط ہو۔ امید ہے کہ بات آپ کی سمجھ میں آگئی ہوگی۔والسلام آپ کا خیر اندیش عابد عنائت
                                ساقیا ہور پلا ہور پلا ہور پلا

                                Comment

                                Working...
                                X