Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

VIEWS: Inqilab Ki Zaroorat Hai!

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • #31
    Re: VIEWS: Inqilab Ki Zaroorat Hai!

    8 saal baad bhi saari kahani phir zero pey aa gai hai.....

    @inqilaab

    inqilaab aye zaroor magar peaceful inqilaab ..... inshAllah
    " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

    Comment


    • #32
      Re: VIEWS: Inqilab Ki Zaroorat Hai!

      Originally posted by sarfraz_qamar View Post
      Inqillab Inqillab Inqillab
      meree khiall main yehh Lafzz sirrf kitaboo afsanooo aoor kahaniion main hee achhaa laggtaa haiiiii ajj aissaa hoonaa booht mushkill haiii kehh koii inqilabb aaieyy aoor sabb kuchh sahee hoo jaiieyyyyy................
      main samjhttaa hoo koo inqillab lannay wallee sabb se baree taqat Awam kee hotee haiiii jabkehh aaj hamaree Ghareeb Awam koo Mehngaiee naieyy iss qabill nahee chooraa kehh wohh kisee Inqillab kaay naam parr sarkoon parrr aajieyyyyyy....Ghurbat kaa chakar unhain kuch bhee nahee karrnayy dayy gaaaaaa ..aoor yehee hamarray leaders kee sooch haii kehh awamm koo 2 waqtt kee Rootee kamannay kayy chakkar main phannssaa diaa jaiieyy takehh unn kayy pass itnaa waqqt hee naa hoo kehh wohh kisee inqlaab kayy barrree main sooch sakkay
      i think its impossible
      Exactly!!!

      change sirf wo tabqa la sakta hai jiss key pass power ho aur hamari awam key pass koi power nahi hai.....still aik bohot muazaz insaan ka kehna hai key " we will see power of powerless" ....deykhein ye kab hota hai.....
      " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

      Comment


      • #33
        Re: VIEWS: Inqilab Ki Zaroorat Hai!

        images block hain hum kaisay read karain:donno:

        Comment


        • #34
          Re: Inqilab Ki Zaroorat Hai!

          Originally posted by Masood View Post
          :slap:
          janab meray khial main ISLAM MAIN TOO JABAR JAIZ HEE NAHI HAI????????AAP TOO LOGON KO JABAR KARNAY KA KEH RAHAY HAIN.YANI TALVAAR UTHA LOO.WHAT IS THIS?
          sigpic

          Comment


          • #35
            Re: VIEWS: Inqilab Ki Zaroorat Hai!

            ghar bhaith kar batain karnay walay inqlaab nahi laa sactay........
            BATAIN KARNA ASAAN HAI LAKIN KHOON DAINA MUSHKIL.
            sigpic

            Comment


            • #36
              Re: VIEWS: Inqilab Ki Zaroorat Hai!

              Originally posted by Nokia_Afridi View Post
              :fuming::fuming: Ya En ke Aslyat hay aor QASAM asay Katay hay jasay

              QOOM en ke Bat man lagay......
              khaaan gg ..GUSSA NAHI KARNAY KA.
              TUSSI AGAY E BARAY LAAL LAAL O.
              sigpic

              Comment


              • #37
                Re: Inqilab Ki Zaroorat Hai!

                Originally posted by suffard View Post
                janab meray khial main ISLAM MAIN TOO JABAR JAIZ HEE NAHI HAI????????AAP TOO LOGON KO JABAR KARNAY KA KEH RAHAY HAIN.YANI TALVAAR UTHA LOO.WHAT IS THIS?
                Janab aap Harr cheezee kaa link Islam see kuun joorttay hoooo ....
                masood sahib nayy kissee aoor hawallay see bat ke ehaii aoor aap baat koo kahhan layy gaieyyyyy
                aoor plzzz hoo saktaa haii ap koo Masood sahib see ikhtallaf hoo but zaraa cool hoo kar reply likhaa karoo
                "Can you imagine what I would do if I could do all I can? "

                Comment


                • #38
                  Re: VIEWS: Inqilab Ki Zaroorat Hai!

                  Originally posted by Xenya View Post
                  Exactly!!!

                  change sirf wo tabqa la sakta hai jiss key pass power ho aur hamari awam key pass koi power nahi hai.....still aik bohot muazaz insaan ka kehna hai key " we will see power of powerless" ....deykhein ye kab hota hai.....
                  app nay bhee right likhaa haii thats we will see power of powerless...
                  "Can you imagine what I would do if I could do all I can? "

                  Comment


                  • #39
                    Re: Inqilab Ki Zaroorat Hai!

                    Originally posted by sarfraz_qamar View Post
                    Janab aap Harr cheezee kaa link Islam see kuun joorttay hoooo ....
                    masood sahib nayy kissee aoor hawallay see bat ke ehaii aoor aap baat koo kahhan layy gaieyyyyy
                    aoor plzzz hoo saktaa haii ap koo Masood sahib see ikhtallaf hoo but zaraa cool hoo kar reply likhaa karoo
                    MERAY BHAYA kiya INQALAB LANA ISLAM SAY ALAG CHEZ HAI??
                    ZINDAGI KA KOI AIK PEHLOO BHEE ISLAAM SAY HAT KAR NAHI HAI.
                    ZARA MUJHAY BHEE TOO BATAIN KEH MASOOD SAHIB NAY KIS HAWALAY SAY BAT KAHI HAI.
                    MASOOD SAHIB WAISAY TOO ''DANDA BARDAAR SHATIAT'' KAY KHILAAF HAIN PHIR YEH KIYA HAI??? GOYA MASOOD SAHIB APNI HEE SOCH KAY KHILAAF HAIN.:cc:
                    AAP UN KAY ADMIN HONAY KAY LIHAAZ SAY BAAT NA KARAIN BALKEH WOH KAHAIN JO SACH HAI.
                    sigpic

                    Comment


                    • #40
                      Re: VIEWS: Inqilab Ki Zaroorat Hai!

                      Bahut khoob Masood bhai


                      Comment


                      • #41
                        Re: VIEWS: Inqilab Ki Zaroorat Hai!

                        Asslamo Alaikum,

                        waqei is mulak ko inquilaab ki zaroorat hai !!!!!
                        isi forum par maiN ne aik article post kia hai aik website se copy kar ke ....

                        laazmi dekhiye

                        http://www.pegham.com/showthread.php?t=30680

                        Khush RaheN ...
                        _____signature_____

                        Comment


                        • #42
                          Re: VIEWS: Inqilab Ki Zaroorat Hai!

                          Masood bhai! Pahlay to mein aapki us kawish ko sarahoon gi jo aap ne ba'ad mein post ki.Waqai hamaray hukmaraan apnay mafaad ki khatir qoumi sarmaya loot'tay hain aur is maharat se loot'tay hain ke awam samajh hi nahin paati,aur khud yeh log aik doosray ko protect kartay hain(Agarchay public mein aik doosray per keechar uchaltay hain aur cases bhi dair kartay hain).
                          Ab rahi baat inqilab ki.Inqalab kai tarah ke hotay hain.Democracy mein inqalab pur-amn hota hai yeni vote ka inqilab.Jo zahir hai hamaray haan aaj tak nahin laya ja saka.
                          Aik khooni inqilab khooni hota hai jiski aap ne baat ki hai.Mujhay is baat se bhi ittefaq hai ke jab koi chara na rah jaye to khooni inqalab hi aata hai.
                          Laikin bhai aap poori dunya mein aik bhi khooni inqilaab ki aisi misaal dey dain jo baghair mukhlis leader ke aaya ho.Jahan bhi aisa inqalab aya wahan koi na koi aisa utha jis ne qoum ko is point per mut'tahid kiya.
                          Ham log to shaid tareekh-e-insaani ke bad-tareen bohraan se guzar rahay hain,jahan sab lutairay hi ikhattay ho gaye hain.Qoum kis ke peechay mut'tahid ho?
                          Banay hain ahl-e-hawas mud'dai bhi munsif bhi
                          Kisay wakeel karain,kis se munsafi cha'hain
                          Mind Sciences

                          Comment


                          • #43
                            Re: Inqilab Ki Zaroorat Hai!

                            Originally posted by suffard View Post
                            MERAY BHAYA kiya INQALAB LANA ISLAM SAY ALAG CHEZ HAI??
                            ZINDAGI KA KOI AIK PEHLOO BHEE ISLAAM SAY HAT KAR NAHI HAI.
                            ZARA MUJHAY BHEE TOO BATAIN KEH MASOOD SAHIB NAY KIS HAWALAY SAY BAT KAHI HAI.
                            MASOOD SAHIB WAISAY TOO ''DANDA BARDAAR SHATIAT'' KAY KHILAAF HAIN PHIR YEH KIYA HAI??? GOYA MASOOD SAHIB APNI HEE SOCH KAY KHILAAF HAIN.:cc:
                            AAP UN KAY ADMIN HONAY KAY LIHAAZ SAY BAAT NA KARAIN BALKEH WOH KAHAIN JO SACH HAI.
                            janab main to samjhtaaa hoo sabb see barraa inqllab yehhee hoo gaa jab harr shakhss sirff khood ko right karrr layyy u can say it according to islam etc .......aoor jahan tal Masood bhai kaa tallq haii yahan par main aap see agree kartaa hoo kehh wohh kuch Harsh words main likhh jattay hainn kabhee kabhaarr magar main unn kee kisse bhee baat kaa buraa nahee manataaa.....aap bhee jawabb dee sakttay hain magar tehzeeb kayy dairray main rehh karrr... i hope u never mind it
                            "Can you imagine what I would do if I could do all I can? "

                            Comment


                            • #44
                              Re: VIEWS: Inqilab Ki Zaroorat Hai!

                              Originally posted by zapk7 View Post
                              Masood bhai! Pahlay to mein aapki us kawish ko sarahoon gi jo aap ne ba'ad mein post ki.Waqai hamaray hukmaraan apnay mafaad ki khatir qoumi sarmaya loot'tay hain aur is maharat se loot'tay hain ke awam samajh hi nahin paati,aur khud yeh log aik doosray ko protect kartay hain(Agarchay public mein aik doosray per keechar uchaltay hain aur cases bhi dair kartay hain).
                              Ab rahi baat inqilab ki.Inqalab kai tarah ke hotay hain.Democracy mein inqalab pur-amn hota hai yeni vote ka inqilab.Jo zahir hai hamaray haan aaj tak nahin laya ja saka.
                              Aik khooni inqilab khooni hota hai jiski aap ne baat ki hai.Mujhay is baat se bhi ittefaq hai ke jab koi chara na rah jaye to khooni inqalab hi aata hai.
                              Laikin bhai aap poori dunya mein aik bhi khooni inqilaab ki aisi misaal dey dain jo baghair mukhlis leader ke aaya ho.Jahan bhi aisa inqalab aya wahan koi na koi aisa utha jis ne qoum ko is point per mut'tahid kiya.
                              Ham log to shaid tareekh-e-insaani ke bad-tareen bohraan se guzar rahay hain,jahan sab lutairay hi ikhattay ho gaye hain.Qoum kis ke peechay mut'tahid ho?
                              Banay hain ahl-e-hawas mud'dai bhi munsif bhi
                              Kisay wakeel karain,kis se munsafi cha'hain
                              Almas behna, aap aik ustaad hain, aur ustaad ka muqaam merey nazdeek waldein key muqaam sey bhi buland hai. Aap ki nazar mein woh baseerat honi chahiyey jo halaat key nazuk'pan ko jaanch sakein. Halaat yeh hain keh ham 5ween sadi eesvi ki tarz key dor mein kharrey hain. Us waqt Islam ka zahoor nahin huwa tha aur duniya jahalat mein doobi hui thi, aaj maloomat (informations) ki bohtaat hai, magar insaan usi jahalat mein dooba huwa hai.

                              Us waqt Allah Tala ney Nabi Kareem SAW ki soorat mein duniya mein inqilaab pedah kiya, magar ab aisa koi Nabi nahin aaney wala o aisa koi inqilaab pedah karey ga.

                              Inqilaab pur'aman ho keh Khoon sey labrez, har do key liyey kisi na kisi leader ki zaroorat hoti hai - bghair leader key inqilaab lana na'mumkin hai. Hamara muashra jahalat key urooj per hai, aisey muashrey mein pur'aman inqilaab nahin aatey jahan per log vote apni cast, paisey ki farawani, mufaad ki prastash ko dekh ker detey hon!

                              Dr. Israr Ahmed key aik khutbey mein yeh suna geya hai keh inqilaab laaney key liyey sab sey pehley apney ander "common factors" talash karney ki zaroorat hai - jab common factors talash karney lagein to khiyalaat ki jang zaroor hoti hai, tasadum aik zaroori amar hai - us tasadum key baad hi aap aik platform per jamaa ho saktey ho!

                              Almas, kisi bhi muashrey ki tameer koi aik raat bhar ki baat nahin hoti, muashrey sadiyon mein tashkeel paatey hain. Hamara muashra kaii so saal baad is "irtiqa" per pohancha hai - kya aap issey chand taqreeron sey, chand voton sey, chand siyasi bakbak sey badal saktey hain???? Hargiz nahin, jahan zameendar ney sadiyon sey apney mufaad key liyey Quran ki jhooti qasmein bhi khaii ho, wahan per siyasi bakbak faqt waqt ka ziyaa aur qom ka dimagh sulaney wali baat hai - hamari sochon mein pukhtgi aa chuki hai, aur aik baaligh ki soch ko badalna aasan kaam nahin - na to ham mein, hamarey rehnumaoun mein woh amal hai jisko dekh ker ham pur'aman tor per khud ko badal sakein. Aur na hi yeh hamari qom chahti hai!

                              Kuchh din pehley tv channels ko zap kartey huwey aik channel per Benazir ko dekha, keh rahi thin keh hamarey gaoun mein gandgi hai, severage ka system nahin, hamarey logon mein beemariyan hai, ham in per kaam karein gey... mera dil chaha isko kharrey kharrey goli sey urra doon, kitna barra bakwas hai keh sari qom janti hai keh na woh yeh kaam karney aai hai aur na koi bhi government yeh kaam karey gi - magar hamarey log is par taaliyan bajana shuru kar detey hain - yeh hamari bad'bakhtgi ki bohat bhiyanak misaal hai keh ham jaan boojh ker apney aap ko tabah karna chahtey hain!
                              tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
                              tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

                              Comment


                              • #45
                                Re: VIEWS: Inqilab Ki Zaroorat Hai!

                                Masood Sahib ...AIK Buhat SOLID topic aur Valid ...Reasons k sath ....aap Nay yeh thread shoro kiya ..and aap k inqalab se mein ....Poori tarah Mutafiq hoon....Go k jo book ka reference aap nay diya oss se mein kisi haddd tak waqif thee ....Haqaiq samany aaany se inn sabhi SO CALLED REHNUMAOUN se mazeed nafrat honay lagi ...aaj agar HITLER hota tu shayd yeh iss qisam ka inqalab wahi la sakta tha ......:) GOLI KI zuban wala..!

                                Mgar jaisay k topic se baat kahin hat-ti ja rahi hai ...loag favoritism mein chalay gay hein and Islam ko beech mein ley aa=ay hein .....

                                Sab se Pehlay Onn Bhai Sahib Jinhoun nay Islamic Point of View se baat ki hai ...aik sirf aik baat keh doon k ...ISLAM MEIN KAHIN B JHAMOORIYAT nahi .....Dictatorship Hai ....Plz calm down ....mein nay yeh lafz iss liyay use kia k ....ISLAM mein KHILAFAT aur SULTANIYAT hai ....anyway ....Pakistan ki siyasat mein jhamooriyat b nahi aur naa hii koi KHILAFAT ...so ISLAM k koi behass nahi ....OK..

                                Secondly ....Jo mein samjhi hoon inqalab ka lafz....wo ZEHNOUN mein inqalab ki baat hai ..Sar katnay ka matlab khoon rezi har giz nahi .....bulkeh ...Onn k chehroun se niqaab hataana maqsad hai .....Onn k khoobsoorat aur Modified Masks k peechay kitnay Bhiyanak Chehray hein Onn ki haqeeqat ko jan k man-naa inqelaab hai ....aap Khud soachein ....jab do ya teen loag kisi ek cheez k liyay Stand leytay hein tu onn k nazriyaat mukhtalif hotay hein tabhi wo apna Motive Loagoun k samnay rak k onn ko apnay favor mein kartay hein ..Conceptional ekhtelaaf parties bana-ta hai ....ab yehi 3 ya 4 parties ek mahaz per jamah howay hein KION k ONN ki raah ka kanta ....Kisi na kisi Turr per Mojood hai ..Jo ONN ko Eyaashi nahi karnay dey gaa..:eye:.. yeh bataein k agar nazriyati difference hai tu ab ekhataa kion hein ? kion k yeh loag ZAAT k MUFAAD deykh rahay hein ....Kion K wo AWAAM ka lahoo peenay ...aa-ay hein aisay kaisay ....wo apnay Ayyaar Iradoun mein kamyaab ho saktay hein ....! jab sar per koi dandaa kisi na kissi turr ........HAI :)
                                INQALAB ZEHNI IRTEQA ka naam hai ...Zehnoun ki SEHAT ka ...naam ..aur ISS ROOHANI SEHAT K LIYAY MULTI VITAMIN .....ki zaroorat hai jo Masood Sahib jaisay Loag provide kar saktay hein ...........!
                                Sab loag waqi batein kartay hein .....Jin Members nay iss Thread mein post ki hein ...KOI bata-ay gaa Onn mein se kssi ek nay b VOTE poll kia hai kabhi i think yehan sab 18 years se baray members nay posts ki hein .......!
                                aur agar kia b hai tu kia waqi oss party nay ...ONN k liyay kuch kia b hai ..jiss ka wo wadaa foreign TV channels per kartu hein ? Oh KOM ON ..come out of darkness !!!!!!!!!!:(
                                Iss bar Vote deynay ka irada zaroor rakhiyay magar .....sath mein Zehan ko Neutral rakh k ....aur FOR Allah's SAKE ....SHAOORI tur per jaagtay howay.. ..

                                :) .....................THE END (Filhaal)

                                Comment

                                Working...
                                X