Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

POEM Vs Mubahisa: Hazrat Ghaazi Abdul Rashid Shahid(ra)

Collapse
This topic is closed.
X
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • #46
    Re: POEM Vs Mubahisa: Hazrat Ghaazi Abdul Rashid Shahid(ra)

    Originally posted by suffard View Post
    Shahid Ki Jo Maot Hay Woh Qom Ki Hayat Hai.
    :)

    Ham musalman kis qadar ajeeb qom waqiyey huwey hain - kisi ko SHAHEED aur kisi ko YAZEED tak bna deti hain siraf apni aqal ki buniyad per jabkeh ham sab yeh baat achhi tarha jantey hain kis ka eeman kitna mazboot hai aur kaun haq aur sach ki raah per hai yeh siraf aur siraf Allah ki zaat janti hai. Magar ham apney munh sey lafz nikaltey waqt aik lamha bhar ki fiker nahin kartey keh is sey shayid hamara eeman bhi khatam ho jaey aur Allah Tala key nazdeek ham HI yazeed ban jaein.

    Dekhiyey sahib - aap aik jazbati insaan sey ziyada kuchh nahin hain! Sab sey pehli baat to yeh keh aap ko yeh HI ilm nahin keh JEHAD ka mafhoom kya hota hai? Jehad key liyey Allah Tala ka farman hai keh yeh us waqt tak lagoo nahin jab tak haakim-e-waqt Jehad key liyey na bulaey - baqi koi bhi fatwa hai woh apni soch aur apni marzi key mutabiq islam ko dhaalney ki koshish hai!

    Baat kartey hain Mohtram Abdul Rasheed sahib per jinhein aap ney SHAHEED kaha hai - kya aap aisey insaan ko apna rehnuma maan saktey hain jo aap ki marzi key bghair jabran aap ko kisi kaam key karney ko kahey? Kya zabardasti islam mein jaiz hai? Main nahin janta haqeeqat kya hai, lekin agar yeh sach hai to, kya jabran hathiyaii hui jaggah per masjid ki tameer faqat is liyey bnaa lena keh masjid ko girana kufr hai, jaiz hai? Aisi baton ki targheeb deney waley ko aap shaheed kahein gey keh gumrah? Qanoon key khilaaf apni qanoon'dari karna aur khilafat mein apni khilafat bnaa lena kahan tak jaiiz hai?

    Main Musharraf ki qatan hamayat nahin karta - balkeh pichhley 3-4 salon sey jo kuchh ho raha hai yeh wohi kuchh hai jo hamarey mulk mein hamesha sey hota chala aaya hai - lekin kya aap yeh mantey hain keh agar Musharraf hakoomat mein na hota to aaj Pakistan ka wajood hota? Musharrat ney Media ko aazadi di - aaj usi media ney beghairti ki intihaa kar di - aaj agar usi media ki saans band ki gaii hai to aap jaisey log sar uthaney lagey hain - us waqt aap logon ki ghairat kahan thi jab TV's per, Cable's per fuhaashi aam thi?

    Main aap ko siraf itna kehna chahta hoon keh apni socho mein apney khiyalaat mein aur apney amlon mein is qadar extrem nahin ho jata chahiyey keh Allah Tala aap ki samajh ko nazar band kar dein!!!!
    tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
    tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

    Comment

    • #47
      Re: POEM Vs Mubahisa: Hazrat Ghaazi Abdul Rashid Shahid(ra)

      Originally Posted by suffard
      Shahid Ki Jo Maot Hay Woh Qom Ki Hayat Hai.........

      Suffi Bhii Ab Hamaray taraf sa Sach soun

      Mufti Taqi Usmani Sahib sa Ak Sahafi na pucha ka

      Mufti sahib app en ma sa Kes Ko Shahadat ke Moot ka kahgay......

      Mufti Taqi Usmani sahib na kaha ka Kuch kehna bara mushkel hay

      ........dono taraf Muslman aor Moot Shadat.......

      Kya Shadat Halwa hay ?

      Comment

      • #48

        Originally posted by Masood View Post

        ASSALLAM_U_ALLAIKUM.
        janab masood sahib mujhay buhat khushi hui keh aap say baat karnay ka mera shaoq bhee pura ho raha hay,main nay aap ki buhat tareefain suni hain aor aaj aap kay saath baat bhee kar raha hon.
        janab aap nay kaha keh main aik jazbaati insaan hon,..janab har woh insaan jis kay andar dil hai woh jazbaati hai aor jazbaati usay kehtay hain jis main jazbaat mojod hon aor jis main jazbaat na hon usay kehtay hain ''be_hiss insaan''.
        phir aap nay aik apna doosra fatwa mujh par lgaya keh main ''jehaad'' kay baray main kuch nahi janta.janab main aik chota sa student hon lakin thora buhat zaroor janta hon.phir aap nay apna aik aor fatwa diya keh ''hukmaran ki ijazat kay beghair jehaad nahi ho sacta''.janab mujhay aap jaisay logon ki isi baat par buhat hansi aati hai jo deen kay kisi aik pehloo koo pura deen samajh laitay hain....ab aap nay yahan par apni kam ilmi..kam aqli.aor mutasab zehniyat ki bunyaad par aik buhat buhat baray ''imaam'' kay khilaaf fatwa jari kar diya hai.jaisa keh aap nay kaha keh
        Jehad key liyey Allah Tala ka farman hai keh yeh us waqt tak lagoo nahin jab tak haakim-e-waqt Jehad key liyey na bulaey - baqi koi bhi fatwa hai woh apni soch aur apni marzi key mutabiq islam ko dhaalney ki koshish hai!hai hai janab jab hukmaran hee zalim hoo too us kay khilaaf bhee jihaad ka hukam hai....main aap ki tarhaan daleel kay beghair baat nahi karoon ga.too janab hazrat imaam abu hanifah (ra) ka yeh fatwa hai keh ''agar koi hukmaran islami nizaam ka nifaaz na karay too us kay khilaaf musallah jadoojehad jaiz hai magar us waqat jab keh fatah yaqeeni hoo''.ab janab aap keh rahay hain keh hukmaraan ki ijazat kay beghair kuch nahi ho sacta too janab phir too aap imaam abu hanifah(ra) say bhee baray alim maloom hotay hain.qasoor aap ka bhee nahi hai kion keh aap jaisay logon kay liyae jihaad ki tareef sirf yeh hai keh
        ''maan baap ki ijazat kay beghair jehaad nahi hota''....hukmaran ki ijazat kay beghair jihaad nahi hota ...so on.
        mera aap say yahan bas aik sawaal hai keh ''islaam kab tak hukmaran ka hukam mannay ki ijazat daita hai????aap mujhay is sawal ka jawaab inayat farma dain.kion keh aap mujh say ziadah jantay hain.
        phir aap nay kaha keh kiya zabardasti islaam main jaiz hai????
        janab hazrat muhammad(pbuh) nay farmaya keh ''jab bacha 7 saal ka ho jay too usay namaaz parhaoo agar na parhay too maar kar parhaoo''.yeh kiya hai???????aik aor baat ka jawaab dain mujhay aap keh'' kiya aap kisi jabbar kay beghair islaami shariat ko manzoor kar lain gay''?????
        phir aap nay yeh kaha keh''
        kya jabran hathiyaii hui jaggah per masjid ki tameer faqat is liyey bnaa lena keh masjid ko girana kufr hai, jaiz hai? ''
        janab kiya hakoomat_e_pakistan ko sirf wohi chand masjidain nazar aa gain thin jo keh pakistan kay capital main hain.janab meray allaqay ki masjid bhi ghair qanooni hai aooor meray allaqay ka ''qabristan'' bhii ghair qanooni hai.aor pakistan bhara para hai aisi masjidon say jo keh ghair qanooni hain.janab aap ko yeh ghair kanooni allah kay ghar too nazar aa giya kiya ''president house...prime minister house....aor har soobay kay vazeer_e_alla kay houses islaami hain??????islaam main kahan likha hai keh waqat ka hukmaran ''bait_ul_maal'' say apnay rehnay kay liyae aali shaan ghar banwa lay aoor us ki awaam bhooki mar rahi ho???????kiya aap kay parleement kay sabhi siyasatdaan ji ki tankhwah 120,000 say lay kar 20,0000 tak hai (monthly).kahan islaam main likha hai keh waqat ka hukmaran aik ghareeb ki tankhwah say ziadah tankhwah lay??????aap ko masjid too ghair qanoni nazar aa gai lakin kiya ''islaami jamhuria pakistan kay city lahore main mojod ''bazar_e_hussan'' par mojood darjanoo khotay qanooni hai??????kiya islaam main jaiz hai keh aik fahisha aorat ko zana kanay kay liyae aik oonchi amarat day dee jay aor aik masjid ko 40 saal baed ghair qanooni qaraar diya jay????aor main kiya kiya kahoon.phir aap nay kaha keh ''Qanoon key khilaaf apni qanoon'dari karna aur khilafat mein apni khilafat bnaa lena kahan tak jaiiz hai?'' janaab aap mujhay batain keh yeh qanoon hai???kiya yeh khilafat hai?????aap khilafat jaisa pakeezah lafaz yahan istemaal karnay ki jurrat kaisay kar rahay hain zara hum ko bhee pata chalay..is liyae aik sawaal ka mazeed jawaab diya jay keh''khilafat kiya hai aor us ki sharait kiya hai''?????phir aap nay kaha keh
        ''
        kya aap yeh mantey hain keh agar Musharraf hakoomat mein na hota to aaj Pakistan ka wajood hota? '' janab pakistan ka wajood too ab khatray main par giya hai aor aap unqareeb aik buhat bari ''bad surat khabar sunain gay''(allah na karay).parwaiz musharaf nay aa kar hee pakistan ko khatray main dala hai ...chaloo pehlay kay siyasatdaan too bas khaa pee hee rahay thay lakin musharaf sahib nay too ''two parts'' ka azam kiya hua hai.agar hazrat ghaazi abdul rashid shahid(ra) danda utha kar aa gay thay is kay khilaaf too yeh too ''tenks..muzails..toopain..aor bhee najanay kiya kiya kuch istemaal kar raha hai....kiya yeh jabbar nahi hai ????kiya islaam main jabbar hai???aor janab musharaf nay media par pabandi iss liyae lagai hai keh woh ''sawaat main honay walay khofnaak operation ko na dhikha sacain''.phir aap nay kaha keh''us waqt aap logon ki ghairat kahan thi jab TV's per, Cable's per fuhaashi aam thi?'' janab hum us waqat bhee yaheen thay aoor ab bhee yahen hain aoor hamari tanzeem nay us kay khilaaf buhat kuch likha bhee hai apnay ''mahnama '' main.ab maslah yeh hai keh aap log kisi terhaan bhee raazi nahi hain agar hum siraf likhtay hain too woh aap ko nazar nahi aata....aor agar zabardasti karain too aap log kehtay hain keh ''na na zabardasti islaam main nahi hai'' too janab hum aakhir kiya karain?????????
        janaab aap mujhay na samjhain balkeh aap khud pehlay pakistan aain aorr jis watan say muhabbat ka dawa kartay hain us kay halaat kay liyae kuch karain kion keh hum inteha pasand aor extreamist hain.....too phir kab aa rahay hain apnay piyaray watan.wapis.?????

        :rose

        sigpic

        Comment

        • #49
          Re: POEM Vs Mubahisa: Hazrat Ghaazi Abdul Rashid Shahid(ra)

          Originally posted by Nokia_Afridi View Post
          Originally Posted by suffard
          Shahid Ki Jo Maot Hay Woh Qom Ki Hayat Hai.........

          Suffi Bhii Ab Hamaray taraf sa Sach soun

          Mufti Taqi Usmani Sahib sa Ak Sahafi na pucha ka

          Mufti sahib app en ma sa Kes Ko Shahadat ke Moot ka kahgay......

          Mufti Taqi Usmani sahib na kaha ka Kuch kehna bara mushkel hay

          ........dono taraf Muslman aor Moot Shadat.......

          Kya Shadat Halwa hay ?
          chal oye
          sorryyy:rose
          sigpic

          Comment

          • #50
            Re: POEM Vs Mubahisa: Hazrat Ghaazi Abdul Rashid Shahid(ra)

            Mera bara dil kar raha hay ke main aur replies karoN yahan - Lekan aap logoN ki haalat dekh kar nahi karta :D
            Allah

            Comment

            • #51
              Re: POEM Vs Mubahisa: Hazrat Ghaazi Abdul Rashid Shahid(ra)

              Saray Bazar Junuu ka Shehar ma SAR baij tatay MUFT Dewanay
              Ada karnay Yahi Kuch yuhi resam karnay hum bazar ma ay....

              Yaram bhii Go a head......:thmbup:

              Comment

              • #52
                Re: POEM Vs Mubahisa: Hazrat Ghaazi Abdul Rashid Shahid(ra)

                Originally posted by Masood View Post
                :)

                Ham musalman kis qadar ajeeb qom waqiyey huwey hain - kisi ko SHAHEED aur kisi ko YAZEED tak bna deti hain siraf apni aqal ki buniyad per jabkeh ham sab yeh baat achhi tarha jantey hain kis ka eeman kitna mazboot hai aur kaun haq aur sach ki raah per hai yeh siraf aur siraf Allah ki zaat janti hai. Magar ham apney munh sey lafz nikaltey waqt aik lamha bhar ki fiker nahin kartey keh is sey shayid hamara eeman bhi khatam ho jaey aur Allah Tala key nazdeek ham HI yazeed ban jaein.

                Dekhiyey sahib - aap aik jazbati insaan sey ziyada kuchh nahin hain! Sab sey pehli baat to yeh keh aap ko yeh HI ilm nahin keh JEHAD ka mafhoom kya hota hai? Jehad key liyey Allah Tala ka farman hai keh yeh us waqt tak lagoo nahin jab tak haakim-e-waqt Jehad key liyey na bulaey - baqi koi bhi fatwa hai woh apni soch aur apni marzi key mutabiq islam ko dhaalney ki koshish hai!

                Baat kartey hain Mohtram Abdul Rasheed sahib per jinhein aap ney SHAHEED kaha hai - kya aap aisey insaan ko apna rehnuma maan saktey hain jo aap ki marzi key bghair jabran aap ko kisi kaam key karney ko kahey? Kya zabardasti islam mein jaiz hai? Main nahin janta haqeeqat kya hai, lekin agar yeh sach hai to, kya jabran hathiyaii hui jaggah per masjid ki tameer faqat is liyey bnaa lena keh masjid ko girana kufr hai, jaiz hai? Aisi baton ki targheeb deney waley ko aap shaheed kahein gey keh gumrah? Qanoon key khilaaf apni qanoon'dari karna aur khilafat mein apni khilafat bnaa lena kahan tak jaiiz hai?

                Main Musharraf ki qatan hamayat nahin karta - balkeh pichhley 3-4 salon sey jo kuchh ho raha hai yeh wohi kuchh hai jo hamarey mulk mein hamesha sey hota chala aaya hai - lekin kya aap yeh mantey hain keh agar Musharraf hakoomat mein na hota to aaj Pakistan ka wajood hota? Musharrat ney Media ko aazadi di - aaj usi media ney beghairti ki intihaa kar di - aaj agar usi media ki saans band ki gaii hai to aap jaisey log sar uthaney lagey hain - us waqt aap logon ki ghairat kahan thi jab TV's per, Cable's per fuhaashi aam thi?

                Main aap ko siraf itna kehna chahta hoon keh apni socho mein apney khiyalaat mein aur apney amlon mein is qadar extrem nahin ho jata chahiyey keh Allah Tala aap ki samajh ko nazar band kar dein!!!!
                really a nice post
                People should not be afraid of their governments. Governments should be afraid of their people

                Comment

                • #53
                  Re: POEM Vs Mubahisa: Hazrat Ghaazi Abdul Rashid Shahid(ra)

                  Originally posted by suffard View Post
                  ASSALLAM_U_ALLAIKUM.
                  janab masood sahib mujhay buhat khushi hui keh aap say baat karnay ka mera shaoq bhee pura ho raha hay,main nay aap ki buhat tareefain suni hain aor aaj aap kay saath baat bhee kar raha hon.
                  janab aap nay kaha keh main aik jazbaati insaan hon,..janab har woh insaan jis kay andar dil hai woh jazbaati hai aor jazbaati usay kehtay hain jis main jazbaat mojod hon aor jis main jazbaat na hon usay kehtay hain ''be_hiss insaan''.
                  phir aap nay aik apna doosra fatwa mujh par lgaya keh main ''jehaad'' kay baray main kuch nahi janta.janab main aik chota sa student hon lakin thora buhat zaroor janta hon.phir aap nay apna aik aor fatwa diya keh ''hukmaran ki ijazat kay beghair jehaad nahi ho sacta''.janab mujhay aap jaisay logon ki isi baat par buhat hansi aati hai jo deen kay kisi aik pehloo koo pura deen samajh laitay hain....ab aap nay yahan par apni kam ilmi..kam aqli.aor mutasab zehniyat ki bunyaad par aik buhat buhat baray ''imaam'' kay khilaaf fatwa jari kar diya hai.jaisa keh aap nay kaha keh
                  Jehad key liyey Allah Tala ka farman hai keh yeh us waqt tak lagoo nahin jab tak haakim-e-waqt Jehad key liyey na bulaey - baqi koi bhi fatwa hai woh apni soch aur apni marzi key mutabiq islam ko dhaalney ki koshish hai!hai hai janab jab hukmaran hee zalim hoo too us kay khilaaf bhee jihaad ka hukam hai....main aap ki tarhaan daleel kay beghair baat nahi karoon ga.too janab hazrat imaam abu hanifah (ra) ka yeh fatwa hai keh ''agar koi hukmaran islami nizaam ka nifaaz na karay too us kay khilaaf musallah jadoojehad jaiz hai magar us waqat jab keh fatah yaqeeni hoo''.ab janab aap keh rahay hain keh hukmaraan ki ijazat kay beghair kuch nahi ho sacta too janab phir too aap imaam abu hanifah(ra) say bhee baray alim maloom hotay hain.qasoor aap ka bhee nahi hai kion keh aap jaisay logon kay liyae jihaad ki tareef sirf yeh hai keh
                  ''maan baap ki ijazat kay beghair jehaad nahi hota''....hukmaran ki ijazat kay beghair jihaad nahi hota ...so on.
                  mera aap say yahan bas aik sawaal hai keh ''islaam kab tak hukmaran ka hukam mannay ki ijazat daita hai????aap mujhay is sawal ka jawaab inayat farma dain.kion keh aap mujh say ziadah jantay hain.
                  phir aap nay kaha keh kiya zabardasti islaam main jaiz hai????
                  janab hazrat muhammad(pbuh) nay farmaya keh ''jab bacha 7 saal ka ho jay too usay namaaz parhaoo agar na parhay too maar kar parhaoo''.yeh kiya hai???????aik aor baat ka jawaab dain mujhay aap keh'' kiya aap kisi jabbar kay beghair islaami shariat ko manzoor kar lain gay''?????
                  phir aap nay yeh kaha keh'' kya jabran hathiyaii hui jaggah per masjid ki tameer faqat is liyey bnaa lena keh masjid ko girana kufr hai, jaiz hai? ''
                  janab kiya hakoomat_e_pakistan ko sirf wohi chand masjidain nazar aa gain thin jo keh pakistan kay capital main hain.janab meray allaqay ki masjid bhi ghair qanooni hai aooor meray allaqay ka ''qabristan'' bhii ghair qanooni hai.aor pakistan bhara para hai aisi masjidon say jo keh ghair qanooni hain.janab aap ko yeh ghair kanooni allah kay ghar too nazar aa giya kiya ''president house...prime minister house....aor har soobay kay vazeer_e_alla kay houses islaami hain??????islaam main kahan likha hai keh waqat ka hukmaran ''bait_ul_maal'' say apnay rehnay kay liyae aali shaan ghar banwa lay aoor us ki awaam bhooki mar rahi ho???????kiya aap kay parleement kay sabhi siyasatdaan ji ki tankhwah 120,000 say lay kar 20,0000 tak hai (monthly).kahan islaam main likha hai keh waqat ka hukmaran aik ghareeb ki tankhwah say ziadah tankhwah lay??????aap ko masjid too ghair qanoni nazar aa gai lakin kiya ''islaami jamhuria pakistan kay city lahore main mojod ''bazar_e_hussan'' par mojood darjanoo khotay qanooni hai??????kiya islaam main jaiz hai keh aik fahisha aorat ko zana kanay kay liyae aik oonchi amarat day dee jay aor aik masjid ko 40 saal baed ghair qanooni qaraar diya jay????aor main kiya kiya kahoon.phir aap nay kaha keh ''Qanoon key khilaaf apni qanoon'dari karna aur khilafat mein apni khilafat bnaa lena kahan tak jaiiz hai?'' janaab aap mujhay batain keh yeh qanoon hai???kiya yeh khilafat hai?????aap khilafat jaisa pakeezah lafaz yahan istemaal karnay ki jurrat kaisay kar rahay hain zara hum ko bhee pata chalay..is liyae aik sawaal ka mazeed jawaab diya jay keh''khilafat kiya hai aor us ki sharait kiya hai''?????phir aap nay kaha keh
                  ''kya aap yeh mantey hain keh agar Musharraf hakoomat mein na hota to aaj Pakistan ka wajood hota? '' janab pakistan ka wajood too ab khatray main par giya hai aor aap unqareeb aik buhat bari ''bad surat khabar sunain gay''(allah na karay).parwaiz musharaf nay aa kar hee pakistan ko khatray main dala hai ...chaloo pehlay kay siyasatdaan too bas khaa pee hee rahay thay lakin musharaf sahib nay too ''two parts'' ka azam kiya hua hai.agar hazrat ghaazi abdul rashid shahid(ra) danda utha kar aa gay thay is kay khilaaf too yeh too ''tenks..muzails..toopain..aor bhee najanay kiya kiya kuch istemaal kar raha hai....kiya yeh jabbar nahi hai ????kiya islaam main jabbar hai???aor janab musharaf nay media par pabandi iss liyae lagai hai keh woh ''sawaat main honay walay khofnaak operation ko na dhikha sacain''.phir aap nay kaha keh''us waqt aap logon ki ghairat kahan thi jab TV's per, Cable's per fuhaashi aam thi?'' janab hum us waqat bhee yaheen thay aoor ab bhee yahen hain aoor hamari tanzeem nay us kay khilaaf buhat kuch likha bhee hai apnay ''mahnama '' main.ab maslah yeh hai keh aap log kisi terhaan bhee raazi nahi hain agar hum siraf likhtay hain too woh aap ko nazar nahi aata....aor agar zabardasti karain too aap log kehtay hain keh ''na na zabardasti islaam main nahi hai'' too janab hum aakhir kiya karain?????????
                  janaab aap mujhay na samjhain balkeh aap khud pehlay pakistan aain aorr jis watan say muhabbat ka dawa kartay hain us kay halaat kay liyae kuch karain kion keh hum inteha pasand aor extreamist hain.....too phir kab aa rahay hain apnay piyaray watan.wapis.?????

                  :rose

                  Walikum Asssalam!

                  Well suffard Bhai....:thmbup: :thmbup: :thmbup:
                  MASAJID k lye jo Islamic arguments apny diye......m really satisfied! :thmbup:

                  Comment

                  • #54
                    Re: POEM Vs Mubahisa: Hazrat Ghaazi Abdul Rashid Shahid(ra)

                    Originally posted by Yaaram View Post
                    Mera bara dil kar raha hay ke main aur replies karoN yahan - Lekan aap logoN ki haalat dekh kar nahi karta :D

                    :D :D :D

                    Comment

                    • #55
                      Re: POEM Vs Mubahisa: Hazrat Ghaazi Abdul Rashid Shahid(ra)

                      Originally posted by Shaim View Post
                      Walikum Asssalam!

                      Well suffard Bhai....:thmbup: :thmbup: :thmbup:
                      MASAJID k lye jo Islamic arguments apny diye......m really satisfied! :thmbup:
                      sachi baat say har koi satisfied hee hota hai.:donno:
                      sigpic

                      Comment

                      • #56
                        Re: POEM Vs Mubahisa: Hazrat Ghaazi Abdul Rashid Shahid(ra)

                        Originally posted by Shaim View Post
                        Walikum Asssalam!

                        Well suffard Bhai....:thmbup: :thmbup: :thmbup:
                        MASAJID k lye jo Islamic arguments apny diye......m really satisfied! :thmbup:
                        where are the islamic arguments
                        where are reference to quaranic ayat and ahadees
                        i havn't seen them
                        People should not be afraid of their governments. Governments should be afraid of their people

                        Comment

                        • #57
                          Re: POEM Vs Mubahisa: Hazrat Ghaazi Abdul Rashid Shahid(ra)

                          Originally posted by tauruskhan View Post

                          aap nay kabhi kisi baat ka islamic hawala diya hai????masood sahib jin ki baat ka jawaab main day raha hon kiya unhoon nay quraan aor hadees ka hawala diya hai????????
                          un ki muraad yeh hai keh main nay jo doosri batain yani ''hukmran wali baat.....prime minister wali baatain.....aoor bazar_e_hussan wali baat jo kahin hai kiya woh islam hain???????
                          this was her mean that i have understand till/

                          aap apnay zehni tas,ub say hatain aoor moderator shaim ko bura bhala na kahain....
                          sigpic

                          Comment

                          • #58
                            Re: POEM Vs Mubahisa: Hazrat Ghaazi Abdul Rashid Shahid(ra)

                            Originally posted by tauruskhan View Post
                            where are the islamic arguments
                            where are reference to quaranic ayat and ahadees
                            i havn't seen them

                            i meant.....jo bhi baatin unho ny kahin wo sb according to Relegion 100% rite hain unki apni man-gharat nahi hain

                            wo jo Masjid k baary mai unho ny kaha........Imam Abu Hanifa ko quote kiya n all the described things! :)

                            Well ab mujeh ghussa nahi a raha pta nahi q
                            shaid mujeh lgta hai k ye wo jung hai jisy hum khatam krna nahi chahty
                            or taurus bhai apko to sach mai mujhse koi jaani dushmani ho gae hai aisa kiya kr dia mainy.......:pagal:

                            Comment

                            • #59
                              Re: POEM Vs Mubahisa: Hazrat Ghaazi Abdul Rashid Shahid(ra)

                              Originally posted by Shaim View Post
                              i meant.....jo bhi baatin unho ny kahin wo sb according to Relegion 100% rite hain unki apni man-gharat nahi hain

                              wo jo Masjid k baary mai unho ny kaha........Imam Abu Hanifa ko quote kiya n all the described things! :)

                              Well ab mujeh ghussa nahi a raha pta nahi q
                              shaid mujeh lgta hai k ye wo jung hai jisy hum khatam krna nahi chahty
                              or taurus bhai apko to sach mai mujhse koi jaani dushmani ho gae hai aisa kiya kr dia mainy.......:pagal:
                              kion keh aap ka kasoor yeh hai keh ''aap ka koi kasoor nahi''.
                              kion keh aap ka nam shaim hai.
                              sigpic

                              Comment

                              • #60
                                Re: POEM Vs Mubahisa: Hazrat Ghaazi Abdul Rashid Shahid(ra)

                                Originally posted by suffard View Post
                                hazrat imaam abu hanifah (ra) ka yeh fatwa hai keh ''agar koi hukmaran islami nizaam ka nifaaz na karay too us kay khilaaf musallah jadoojehad jaiz hai magar us waqat jab keh fatah yaqeeni hoo''.

                                i havn't seen this fatwa yet
                                even if this is true
                                this is against Quran o Hadees

                                and this is a qual of imam haneefa , if some of my fatwa is against Quran o sunnat , hit that with wall and follow quran o hadees

                                for sake of argument , hmm app key is fatway sey ager agree ker jain
                                to dunia main kaheen bi muslim aram sey naeen betay ga

                                wo dunia key her country main sirf o sirf fasad kerta nazar ayeh ga
                                keeon key jab tak islami hakoomat kaim na ho , jihad karo

                                but i hope this should be jihad bil ilam (tableegh) not qatal other wise it is totally fasadi fatwa
                                too janab phir too aap imaam abu hanifah(ra) say bhee baray alim maloom hotay hain.q
                                imam were also human , and insan ghaltian ker sakta hay
                                second there is no prove that un key jo fatway tum tak pohancay haan wo alter naeen hoey

                                Allah ney hifazat ka zimah sirf Quran ka liya hay
                                kiya aap kisi jabbar kay beghair islaami shariat ko manzoor kar lain gay''?????
                                gee gee , hazrat abu bakar r.a, hazrat ummer r.a, hazarat ali r.a
                                and degar sahabion ney to jabar key sath shariat ko manzoor kia tha na
                                is leya hmm ko manzoor kerwaney key liya jabar kerna peray ga
                                keeon key app key khial key motabik shariat jabar key bagair manzoor ho hi naeen sakti

                                bahi app , dawat ka kam kero , dehko kis tarah bagair jabar key sab log man jaeen gay
                                kiya aap kay parleement kay sabhi siyasatdaan ji ki tankhwah 120,000 say lay kar 20,0000 tak hai (monthly).kahan islaam main likha hai keh waqat ka hukmaran aik ghareeb ki tankhwah say ziadah tankhwah lay??????

                                and yeh kahan likha hay key wo ghareeb sey kam tankhawa ley
                                aap ko masjid too ghair qanoni nazar aa gai lakin kiya ''islaami jamhuria pakistan kay city lahore main mojod ''bazar_e_hussan'' par mojood darjanoo khotay qanooni hai??????
                                go and check out there , they will show all the legal documents to you like nikah bil wakat ki papers etc etc
                                jitni abadi pakistan main sunion ki hay utni hi ahley tashee hi ki 19 20 key farak sey
                                app dawat ka kam kero and logon ko wahan janey sey rok do
                                goli maro gay to log app hi key khilaf hoon gay

                                Working...
                                X