Re: POEM Vs Mubahisa: Hazrat Ghaazi Abdul Rashid Shahid(ra)
:)
Ham musalman kis qadar ajeeb qom waqiyey huwey hain - kisi ko SHAHEED aur kisi ko YAZEED tak bna deti hain siraf apni aqal ki buniyad per jabkeh ham sab yeh baat achhi tarha jantey hain kis ka eeman kitna mazboot hai aur kaun haq aur sach ki raah per hai yeh siraf aur siraf Allah ki zaat janti hai. Magar ham apney munh sey lafz nikaltey waqt aik lamha bhar ki fiker nahin kartey keh is sey shayid hamara eeman bhi khatam ho jaey aur Allah Tala key nazdeek ham HI yazeed ban jaein.
Dekhiyey sahib - aap aik jazbati insaan sey ziyada kuchh nahin hain! Sab sey pehli baat to yeh keh aap ko yeh HI ilm nahin keh JEHAD ka mafhoom kya hota hai? Jehad key liyey Allah Tala ka farman hai keh yeh us waqt tak lagoo nahin jab tak haakim-e-waqt Jehad key liyey na bulaey - baqi koi bhi fatwa hai woh apni soch aur apni marzi key mutabiq islam ko dhaalney ki koshish hai!
Baat kartey hain Mohtram Abdul Rasheed sahib per jinhein aap ney SHAHEED kaha hai - kya aap aisey insaan ko apna rehnuma maan saktey hain jo aap ki marzi key bghair jabran aap ko kisi kaam key karney ko kahey? Kya zabardasti islam mein jaiz hai? Main nahin janta haqeeqat kya hai, lekin agar yeh sach hai to, kya jabran hathiyaii hui jaggah per masjid ki tameer faqat is liyey bnaa lena keh masjid ko girana kufr hai, jaiz hai? Aisi baton ki targheeb deney waley ko aap shaheed kahein gey keh gumrah? Qanoon key khilaaf apni qanoon'dari karna aur khilafat mein apni khilafat bnaa lena kahan tak jaiiz hai?
Main Musharraf ki qatan hamayat nahin karta - balkeh pichhley 3-4 salon sey jo kuchh ho raha hai yeh wohi kuchh hai jo hamarey mulk mein hamesha sey hota chala aaya hai - lekin kya aap yeh mantey hain keh agar Musharraf hakoomat mein na hota to aaj Pakistan ka wajood hota? Musharrat ney Media ko aazadi di - aaj usi media ney beghairti ki intihaa kar di - aaj agar usi media ki saans band ki gaii hai to aap jaisey log sar uthaney lagey hain - us waqt aap logon ki ghairat kahan thi jab TV's per, Cable's per fuhaashi aam thi?
Main aap ko siraf itna kehna chahta hoon keh apni socho mein apney khiyalaat mein aur apney amlon mein is qadar extrem nahin ho jata chahiyey keh Allah Tala aap ki samajh ko nazar band kar dein!!!!
Originally posted by suffard
View Post

Comment