Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

debate *kia Khawateen ko mulazamat karni chaye?*

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Re: debate *kia Khawateen ko mulazamat karni chaye?*

    Originally posted by hamzad View Post
    pehle mujhe aap bataen k aap ki apni nazaer me taraki kia he?or aap ka apna kitna hisa he is science ki taraki me?me apne ghar me bethi apne laptop se net ke zareay aap se baat kar rahi hon yehi taraki he na?to is me mera kia hisa he?na me job karti hon na me ne ye ejaad kia he?:khi:parhi likhi hon ghar walon ne sahulat faraham ki to use kar rahi hon:D:pichli sadi me hoti to ghar me bethi koi karhai silai kar rahi hoti,job na ab kar rahi hon na tab kar rahi hoti to mere khyalaat to same hi rehte na:kr:
    or maghribi tehzeeb un logon ko un ke mazhab ne ijazat nahi di bulke unhon ne ese hi hasil kar li jese aaj hamari orat hasil karne ke chakar me he,naam nihaad azaadi or mard ke brabri ke chakar me:taubawarna un ka mazhab bhi is tarah kii taraki ki ijazat nahi deta
    pechli sadi main jaoo to pata chalye :p tab abhi ki importance ka andaza hoo ga :wk
    azadi honi chaye ..zaror honi chaye ...aik aurta islam kay sab rules folllow kar kay kaam karna chaahti hai to usay kaam karnay ki azaadi honi chaye :rose
    اللھم صلی علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما صلیت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔
    اللھم بارک علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما بارکت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔

    Comment


    • Re: debate *kia Khawateen ko mulazamat karni chaye?*

      Assalamalikum
      main is debate ki last post kay sath debate ka End kar doun gee or is kay bad baki sab loog postings kar saktay hain ...:D:

      apani last post main apni team ki taraf say khawateen kay job karnay kay haq main hi baat karoun gee :) jo kuch ham nay kaha hai us ka khulsa bhi peesh karna chhian gay :salam:

      hamra point job hai na kay zabradasti wali job ya aisi wesi job ya sari zindagi hi job karti rehye .......aisi job jis say woh ghar or mushra donoo ko theek reakh sakye ....job different taraha ki hoti hain ..koi fix nahi hoti kay ham yeh kahian kay bas yeh na karain yeh karni hi nahi chaian ..
      ham kehtay hain kay jab koi khatoon ghar ki zimmdari bakhoobi nibha rahi hai or woh koi aisi job bhi karna chahati hai jis say us kay ghar ki zimmdareoun pay koi faraq nahi paray ga to usay job na karnay deena zaiditi hai ....jesa kay team B ki taraf say jawab aya hai kay aurat ka asal maqaam ghar hai ...beshak hai or aurat ghar key leye hi bahir jati hai ..or aurat har cheez ka khayal reakh kay jaye jo islam nay bataya hai to pher job na karnay ki kia tuk banti hai ?
      aurat kay leye teaching or medical ki fields buhat eham tareen shobay hian ..aaj kal hazaroun aurtian mar rahi hain un kay han lady doctors na honay ki waja say un kay Mard kisi Male doctor say elaj nahi karwatay un ka .....agar female doctors banian gee to female ko asani hoo gee ......ham city life ki baat to asani say kar laytay hian kay kisi female ko male say elaj karwanay main koi masla nahi hota ....lekan gaoun main ja kay deekhiaye ...or city main bhi aap ja kay deekhian kitni zarorat hai in shoboo main ladies ki .....bemariyan kai taraha ki hoti hain aksar female male doc ko apna masla nahi bata sakti ....samajhdaar loog yakenan is malsaye ko samajh saktay hian ....... is job main bhi aurat parday main reh kar kaam kar sakti hai ...
      teaching ka shoba kitna buland maqaam reakhta hai ...teaching kay zarye woh lakhoun bachoun ki tarbeyat kar sakti hai ....kai shobay hain jahan ladies ki buhat zarorat hai ,,,,
      ab majoobori ki job ko sab maan chukye hain to ham yeh kehtay hain kay pehlay hi say apnay aap ko is qabil kio na banaya jaye kay us majboori ki nobat hi na aye ?.....or bad main buhat maslaye hotay hain ....aik to pehlay aap kay personal maslaye pher job dhoundnay kay maslaye ,bahir ki dunia ka kuch pata nahi hota .....aisi aurtian ghalat logoo main bhi phans sakti hain ...balkay majboori main to har taraha ki jobs accept kar laian gee ....is say behtar nahi kay pehlay hi say izzat wala kaam kia jaye takay yeh nobat hi na anay di jaye ?

      ham nay yeh to nahi kaha kay aurat bahir ja kay ghar ko bhool jaye ? ghar us ki zimmdari hai ..bachay , husband sab ka us nay khayal reakhna hai ...woh saray kaam kar kay pher apni pasand ka koi kaam karna chahati hai to usay na karnay deena zaiditi hai ....kuch examples bhi di hain is ki aik aurat teaching karti the subaha subaha uth kay namaz parh kay ghar ka sara kaam kar kay bachoun ko school choor kay jati the pher apni teaching ki job pay or wapsi say un say pehlay a kay khana waghera bana kay sab set kar daiti the bachoun ko pata hi nahi chalta tha kay un ki maa kahi bahir gai bhi the .....us nay apnay ghar waloun ko kabhi bahir ka khana nahi kheelaya ..:)

      team B nay apna saara focus babies or husband pay reakha :)...ab har aurat to shadi shuda ya maa nahi hoti na .:D..or old ladies kay baray main bhi unhoo nay kuch nahi kaha (un say sawaal poucha gia lekan jawaab nahi aya ).....ham yeh kehtay hain in kay paas to zaida time hota hai job karnay key leye apnay aap ko masroof reakhian aisay kamoun main jahan un ki salaheetian samnay aian ....shadi say pehlay larkiyan job kar kay fees kay pesay khud day sakti hain buhat say mamloun main waldeen pay bhooujh nahi banti ..apna bhooujh khud utha sakti hain ...or old ladies kay leye bhi job achi hai khali deewaoun say to achi hai aisi jaga jahan zindagi ka imkaan to nazar aye ..


      aap ki achi tareebyat hoo gee to aap kay ghar main bahu beeti kabhi koi ghalat qadam nahi uthye gee .:thmbup:.aap ko bharoosa reakhna chaye .....tarbeyat achi na hovi to job na kar kay bhi kai kai ghalat kaam kar jatay hian loog :)..isi leye to main nay kaha tha bad acha badnaam bora :D:...
      humye Mustaqbil beshak Allha pay chorna chaye or present main rehna chaye ..lekan Allha nay banday ko akal bhi di hai na kay present ko kesay sanwarye .?....ladies beshak aisi jobs main na parian jin say apnay aap ko azzeyat day rahi houn ghar kay leye time na nikal pa rahi houn ...aisi jobs lakhoun hain jahan woh sab kuch araam say handle kar sakti hain ...
      job koi cake ka tukra nahi jab zarorat hoo utha kay moun main daal lia or asani say us ka maza chakh saktay hian ..jin ko muhtaaji hoti hai un say pouchye unhay dunia main isnaan kam or daranday zaida nazar atay hian ......! .is leye jab Allha nay kuch karnay ki Salaheetiyan di hain to zaror agian barhian ..aik aurta ki misal main day chuki houn kay us kay husband kay marnay kay bad sab nay ankhian pheer li or woh zakaat pay a gai ab ...aisi aurtoun kay leye to job ka souchna bhi mushkil hoo jata hai ...

      jahan islam ka hawala dia gia hai to is say yeh baat sabit nahi hoti kay jo aurat job karti hai woo kisi ghalat kaam kay iraday say nikal rahi hai ...agar har jaga mard hi mard houn gay to aurtoun kay leye zaida maslail peda hoo jaian gay ....subaha uth kay doodh walye ki shakal deekhoo , kuch khareednay jaoo vohan bhi mard , bachoun kay school jaoo vohan bhi mard, shopping kay leye jaoo voahn bhi mard har jaga mard mard mard .....to is say aurtoun ko koi masla nahi hoo ga jo job say logoo nay maslaye bana leeye?yaha jo boorai pheelye gee us ka koi ziker nahi karta ..sari borai sirf khawateen ki job main hai ? aap loog apnay ird gird is baat ka mushaida zaror kejeye ga :thmbup: main nay aisi bhi larkiyan deekhi hian job kar kay bhi apnay aap ko mushray ki galat cheezoun say bacha kay reakhti hian ....or aisi bhi jo job na kar kay bhi kai ghalat kamoun main mulawis hain......is leye sara ilzaam job ko deena ghalat hai ...:rose

      jo aurtian job nahi kartin lekan sara din parties, fashion or aik dosray ki gheebat or tv dramaoun main guzar daiti hain us say bachoun ki tarbeyat main koi faraq nahi parta ? usay koi nahi note karta ? agar koi lady ghar ki sari zimmdariyan sanbhlnay kay sath agar kuch waqat job ko day day to itnay maslaye kharay kar deye jatay hian ....

      aik samajhar aurat apni zimmdariyan bakhoobi samajhti hai islam kay Rules bhi follow karti hai :rose

      main apni baat zabardasti to kisi say nahi manwana chahti lekan yeh zaror kahoun gee aap loog is pay souchye ga zaror :thmbup:
      اللھم صلی علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما صلیت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔
      اللھم بارک علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما بارکت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔

      Comment


      • Re: debate *kia Khawateen ko mulazamat karni chaye?*

        ab is thread ko Awaam kay leye khoola ja raha hai :D: or yeh Awaam judges bhi hain ....
        aap loog bhi apnay comments or apnay points likh saktay hian .....

        sirf aik cheez ka khayal reakhye ga jo rules donoo teams kay they aap logoo kay leye bhi vohi hian kay koi larai jhugra nahi karna :lpop: or na hi zateyaat pay baat kani hai :na:

        to shuru hoo jaoo sab :khi:
        اللھم صلی علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما صلیت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔
        اللھم بارک علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما بارکت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔

        Comment


        • Re: debate *kia Khawateen ko mulazamat karni chaye?*

          AsalamOalaykum !

          Ap sab logoon ne MashAllah Bohat Achi behas ki, yahan yeh kahna kah Team A ya Team B jeeti hai kuch munasib nahi lagta. Lekin dono'n ki taraf se key elements per hi stress diya gaya. Es se jo mujhe laga wo yeh kah...

          Aurat jo Pakistan mein Rahti hai oska job karna aur aurat jo Pakistan se bahir kisi aur mulak mein rahti haii oska job karna kaafi mukhtlif hay.

          Pakistan mein 70% loog dehaatoon mein rahtay hain wahan Aurtain bhi kaam karti lekin wahan har banda ek dosray ki help karta hai kia Shehroon mein aisa hota hai? mein ne nahi daikha, Hamsayoon tak ka nai pata hota kaun hain. Es tarah Shehar mein jitna fashion kar kay aurtain kaam pe jati hain villages mein phatay puranay kaproon mein jati hain ban sanwar kay nahi :D.

          Agar job kay baghair guzar nahi tu Shehar ( Pakistan mein) Mein job karna bura nahi, besides Teacher aur Doctor kay, agar ap Girls school/college mein koi bhi Teaching kar sakti hai aur agar majboori nai bhi os ka faida yeh hota hai kah agar wo married hain tu bachay bhi school se wapis aa jatay hain os waqat tak aur hubby agar job ya business karta hai tu wo tu shaam ko hi aye ga. Aur Agar aurat doctor hai tu phir os ko Fe-sabelAllah apni practice jari rakhni chahye chahay hospital ho ya clinic.

          Agar larki pakistan se bahir rahti hai tu wahan ka mahool mukhtilif honay ki waja se wo islam kay dairay mein rah kar job kar sakti hay agar oskay parents ya hubby ijazat dain aur wo samjhay kay wo ghareelo zindagi ko bi sambhaal sakti hai.

          Pus agar Aurat yeh samjhay kay os ki job se oski ghareelo zindagi ya azdwaji zindagi mutasir hoti hay tu foran job choorh daini chahye.

          Islam mein aurat ko barabari di gai hai. Lekin aurat ghar se jitna bahir rahti shaitaan kay lye utna asaan hota hai osko behkana. :)

          Barhaal ap donoon teams ne bohat achi daleelei'n dien.

          Thanks to all members jinhoon ne hisa lia aur apnay ideas sabkay saath share kye. Yahan JazbatiyaaT se kaam lainay Ki Bajaye Thanday Dil se Sochna Chahye aur Mera Khayal hay jis kaam se insaan ko tasali ho wo kam kar laina chahye. :)

          JazakAllah.
          Take care
          Allah hafiz.
          Kis nooN haal sunawaN dil daa ....Koi mehram raaz nai mildaaa!
          Sadly, common sense is not very common..!!

          Comment


          • Re: debate *kia Khawateen ko mulazamat karni chaye?*

            Assalam-o-alaikum
            Anchal ji ne mujhay is debate per comment karnay ki da'awar di so mein hazir hoon.Debate bohat tafseeli hai aur sachi baat hai ke mein sari posts parh bhi nahin saki,so mein donon teams kay dalail per koi behas nahin kar sakon gi albata apna point of view zaroor share karon gi.
            Yeh bara hi aham masla hai ke aurat ko mulazimat karni chahiay ya nahin?
            Mein is mein samajhti hoon ke us per koi zor zabardasti nahin hona chahiay,agar woh job karna chahay to bhi uska haq hai aur agar na karna chahay to bhi darust,kiyunke talash-e-muash uski zimadaari nahin hai.
            Ab is muamilay mein ham asari taqazon ko bhi nazar andaaz nahin kar saktay.khusoosan mahngai ne aurat ko majboor kar diya hai ke woh muashi zarooriaat ko pora karnay ke liay mard ka saath de.Aaj ke dour mein bunyadi zarooriaat bhi quat-e-khareed se bahir hoti ja rahi hain.
            Taham usay apni basic zimadaari yeh ghar se bhi ghafil nahin hona chahiay.dono suraton mein (zarooratan ya shouq ki khatir) usay job karnay se pahlay yeh zaroor daikhna chahiay ke kiya woh ghar ke muamilaat sahih tor sambhaal sakay gi?Agar jawab haan mein ho to job mein koi rukawat nahin hona chahiay.
            Ghar ki zimadaari bhi bohat aham hai shaid talash-e-muash se bhi ziada.Aik nasl ka mustaqbil banana hota hai.Nepolian ne yunhi nahin kaha tha "Give me a good mother and I will give you a good nation".
            Mind Sciences

            Comment


            • Re: debate *kia Khawateen ko mulazamat karni chaye?*

              Aslam o alykum :rose
              bohat acha mozu tha aur uss se be acha mubahisa raha main nay kafi had tak dono teamon ki guftgu ko parha aur main jis nateejay par pohncha wo ye hi k aik tarah se to is dabate ka faisla pehlay hi hogaya tha kionk membraan ki aksraiyat jin main khud team A k log shamil thy wo is haq main thy k urtoon ko kisi majboori hi k baes job karna chaiye warna naheen laikin jab mubahisay main se majboori ka lafaz nikal diya gaya to phir team A ki postion thori kamzoor hogai is lehaz se teamA ko main dad dena chahaon ga k unhoon ny mushkil mozu ko nibhanay ki khoob koshish ki. is liye very good team A.
              laikin jahan tak baat dalail ki hy to team B nay nihayat khush asloobi se is mubahisay main team A k tamam dalail ka na serf toor kiya balk khuch aysay sawalaat bhi qaim kiye k jin k jawaabat shayed team A k pass na hon. is liye team B meri nazar main is mubahisay ki fateh qarar pati hy to well done team b. laikin aap sab log jantay hain k hamara masad yhaan haar ya jeet naheen balk kisi bhi mozu ko laykar mubahisa ki shakl main ilam philna hy aur ye tab hi mumkin hy jab dono teameen bahrpoor shirkat se apna apna kaam kareen..
              team B ki kamyabi ki aik bari waja GUL je bhi hain k jinhoon nay kamal khobsurti se inpage ka istimaal kiya aur mukhalif team k dalil ka khoob tour liya . aur in page par mehnat ki waja se bhi un ko advantage hua kion k ye naturle se baat hy k jab koi tehreer roman ki bajay inpage par likhi jay gi to log ziyada parheen gay aur zaiyada qail hongay ..
              baqi kamayab silsala munaqad karnay par sabs e pehlay sis ANCHAL aur phir dono teams mubarak bad ki mustahiq hain...:rose
              ساقیا ہور پلا ہور پلا ہور پلا

              Comment


              • Re: debate *kia Khawateen ko mulazamat karni chaye?*

                Well.......Debate buhat acchi rahi
                mere kuch probs k baais main us tarah participate nahi kr pae jese k chahti thi pr i wud like to say SPECIAL THX 2 Gul n Hamzad jinho ny is debate ko aagy berhaya :)

                Aanchal,Jiya,shakhe tamanna ny bhi buhat acchy point dye hain in order to defend the topic :)

                pr me ziada enjoy nahi kr saki kuch probs k baais
                warna debate buhat superb thi :wk

                CONGRATZ 2 ALL .......:phool: ye debate begher kisy BEHES k apny ikhti'taam ko pohanchi yahi sab se acchi baat hai

                Comment


                • Re: debate *kia Khawateen ko mulazamat karni chaye?*

                  Special Thx Goes To Gul n Aanchal 2 Keep This Debate Active
                  :salam: :salam: :salam: :salam: :salam:
                  wid lots of Flowers!
                  :rose :rose :rose :rose :rose :rose :rose :rose :rose :rose :rose :rose :rose :rose :rose :rose :rose :rose

                  Comment


                  • Re: debate *kia Khawateen ko mulazamat karni chaye?*

                    Originally posted by aabi2cool View Post
                    Aslam o alykum :rose

                    bohat acha mozu tha aur uss se be acha mubahisa raha main nay kafi had tak dono teamon ki guftgu ko parha aur main jis nateejay par pohncha wo ye hi k aik tarah se to is dabate ka faisla pehlay hi hogaya tha kionk membraan ki aksraiyat jin main khud team A k log shamil thy wo is haq main thy k urtoon ko kisi majboori hi k baes job karna chaiye warna naheen laikin jab mubahisay main se majboori ka lafaz nikal diya gaya to phir team A ki postion thori kamzoor hogai is lehaz se teamA ko main dad dena chahaon ga k unhoon ny mushkil mozu ko nibhanay ki khoob koshish ki. is liye very good team A.
                    laikin jahan tak baat dalail ki hy to team B nay nihayat khush asloobi se is mubahisay main team A k tamam dalail ka na serf toor kiya balk khuch aysay sawalaat bhi qaim kiye k jin k jawaabat shayed team A k pass na hon. is liye team B meri nazar main is mubahisay ki fateh qarar pati hy to well done team b. laikin aap sab log jantay hain k hamara masad yhaan haar ya jeet naheen balk kisi bhi mozu ko laykar mubahisa ki shakl main ilam philna hy aur ye tab hi mumkin hy jab dono teameen bahrpoor shirkat se apna apna kaam kareen..
                    team B ki kamyabi ki aik bari waja GUL je bhi hain k jinhoon nay kamal khobsurti se inpage ka istimaal kiya aur mukhalif team k dalil ka khoob tour liya . aur in page par mehnat ki waja se bhi un ko advantage hua kion k ye naturle se baat hy k jab koi tehreer roman ki bajay inpage par likhi jay gi to log ziyada parheen gay aur zaiyada qail hongay ..

                    baqi kamayab silsala munaqad karnay par sabs e pehlay sis ANCHAL aur phir dono teams mubarak bad ki mustahiq hain...:rose
                    Walikum Assalam

                    :salam: :salam: :salam:

                    Comment


                    • Re: debate *kia Khawateen ko mulazamat karni chaye?*

                      yeh topic kabi marey ga bi, last 4 years sey dehk raha hoon , nazria zaroorat ki tarah bar bar zinda ho jata hay aik new thread ki shakal main
                      People should not be afraid of their governments. Governments should be afraid of their people

                      Comment


                      • " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

                        Comment


                        • Re: debate *kia Khawateen ko mulazamat karni chaye?*

                          walaikum u salam
                          very nice topic ... i wish ma b kuch keh pata :) i dono i can participate or not .... but if i m allowed to say few words so plz let me know :) thanks
                          carry on

                          Comment


                          • Re: debate *kia Khawateen ko mulazamat karni chaye?*

                            Originally posted by Shaheen View Post
                            walaikum u salam
                            very nice topic ... i wish ma b kuch keh pata :) i dono i can participate or not .... but if i m allowed to say few words so plz let me know :) thanks
                            carry on
                            Bhai, i think es topic pe Teams apni behas katam kar chukay hain.agar apko kuch kahna hai tu share kar saktay hain apnay ideas ab coz yeh ab awaam kay lye open hai :D
                            Kis nooN haal sunawaN dil daa ....Koi mehram raaz nai mildaaa!
                            Sadly, common sense is not very common..!!

                            Comment


                            • Re: debate *kia Khawateen ko mulazamat karni chaye?*

                              Originally posted by tauruskhan View Post
                              yeh topic kabi marey ga bi, last 4 years sey dehk raha hoon , nazria zaroorat ki tarah bar bar zinda ho jata hay aik new thread ki shakal main
                              to aap batye kia topic hona chaye tha ?
                              اللھم صلی علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما صلیت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔
                              اللھم بارک علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما بارکت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔

                              Comment


                              • Re: debate *kia Khawateen ko mulazamat karni chaye?*

                                Originally posted by Shaheen View Post
                                walaikum u salam
                                very nice topic ... i wish ma b kuch keh pata :) i dono i can participate or not .... but if i m allowed to say few words so plz let me know :) thanks
                                carry on
                                ji aap apnay comments day saktay hian ...competition khutem howa hai lekan thread continue hai :thmbup:
                                اللھم صلی علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما صلیت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔
                                اللھم بارک علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما بارکت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔

                                Comment

                                Working...
                                X