Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

debate *kia Khawateen ko mulazamat karni chaye?*

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Re: debate *kia Khawateen ko mulazamat karni chaye?*

    Originally posted by Aanchal View Post
    har cheez ki aik limit hoti hai larki ..had say zaida sirf apni khawaishat ko deekhna bhi to ghalat hai ...or kisi ki khawaishat ko daba kay reakhna bhi to sahi nahi :)


    tum team A ki hoo ya team B ki ?:hehe:

    agree...but i m still there.....jo start say hamaray mashray main urat ki place hai na..or jo loog us k baray main sochtay hain...ya start say he jo zumdariyan us ko soonp di gayi hain...wo un say haat ker kuch nahi ker sakti....ager karay gi...tu ap janti he hain.....


    n team A say he hoon....kio :cc:

    Comment


    • Re: debate *kia Khawateen ko mulazamat karni chaye?*

      Originally posted by Shaim View Post
      pesy ki daur mai bhagty bhagty hi hum ny rishtoon ko faramoosh krna seekha hai.....dekhin Mard n Aurat ager duties divide kr lain to ziada faeda hoota hai e.g Mard job ki responsibility ly n ik Aurat ghar sambhaaly to life mai balance rehta hai....:)

      2ndly, taleem ka istimaal wo bachoon ki parwarish or even self developement ki soorat mai utha sakti hai :)
      ik illeterate person to khud ko sambhal sakta to babies ko kese sambhaaly gi :)
      bilkul theek kaha shaim:thmbup:or Allah ne orat or mard ko alag alag duties de kar dunya me bheja he mard par orat or bachon ki kafalat farz he jab ke orat par esi koi zimadari nahi.us par apne bachon ki tarbeyat or parwarsih ki zimadari daal kar dono ki duties ko banta gya he pata nahi orat kion ehsas-e-kamtari ka shikar he jo mard ki braberi karne ki dor me lag gai he jab ke us ka apna aik mukam he:donno:me en akser oraton ko ye kehte suna he k ham koi mardon se kam hen ya peeche hen jo ham ye kaam nahi kar sate jab ke dekha jaey to Allah ne orat mard ka mukabla to dala hi nahi.dono ki alag alag field he to mukabla kesa?:donno:jo kaam orat karti he wo mard nahi kar sakta.aik baby ko sambhalna serf orat hi kar sakti he.jo wo kahin se nahi seekhti ye Allah ne us ko salaheyat ata ki he:)

      Comment


      • Re: debate *kia Khawateen ko mulazamat karni chaye?*

        Originally posted by Aanchal View Post
        aaj ki aurat khila ki bhi sair kar chuki hai woh ghar say bahir nikli hai to usay yeh maqaam mila na ? us nay taleem hasil ki pher usi taleem ko practical life main use kia pher usay woh maqaam mila ...ghar main rehnay wali aurat kabhi ghar beathay beathay chaand par pounch sakti hai?
        konsa mukam mila?:)mujhe lagta he hamara moashra maghribi moashre se mutaser he life stantard buland karne ke leay madi doar me shareek log..kia ye taraki he?ager yehi taraki ka mayaar he to batao maghribi orat aaj taraki ke kis buland mukam par he??wahan to sabhi gharon se nikal kar mard ke baraber pohanch chuki hen?:)

        Comment


        • Re: debate *kia Khawateen ko mulazamat karni chaye?*

          Originally posted by Gul View Post
          SIRF AIK nahi bulkeh 3 3 MUSKAAN :):):) yehan phir agar ki situation hoi na :)
          g sis app nay bilkul theek kaha hay k yhaan phir say agr wali he situation hay ...or jab khwateen ko zaroorat parti hay aisy kamoon ke to us k dil main or us ki zuban per yehi hota hay k agr woh thora bohat job ka experience rakhti to woh ajj zaroorat k wqt job kr sakti thi....abhi to app easly is agr or sakte hain to ignor kr rahi hain laikin is agr or sakte main bohat kuch ho jata hay jis ka illam khwateen ko baad main hota hay or woh apny app say he bohat swaal krti reh jati hain...to acha nahi k hum log un swaloon k liay intezar na krain or apny app main khud ko tiyar rkhain.......main yeh nahi kehti k future main job ke he zarorat per sakti hay ...or bhi bohat sari zaroriyat hoti hain...agr woh khud job nahi kary ge or mushkil wqt main agr or sakte hain ka swaal un ki zubaan per ho ga to wohi next generation ki zuban per bhi ho ga k agr hum log yeh kr laiti to yeh sab bhi kr sakte theen:):rose

          Comment


          • Re: debate *kia Khawateen ko mulazamat karni chaye?*

            Originally posted by Aanchal View Post

            Comment


            • Re: debate *kia Khawateen ko mulazamat karni chaye?*

              Originally posted by Gul View Post
              :)

              Deykehin DEAR ! jab sar par parti hai na tu ...insan kia karta wo masal k *gdahay ko b bap *( Lahol wala ) b man-na parta hai ....
              PROBLEMS se khelna aurat ki agar majboori hai tu oss mein tu deen nay b choot dee na aurat ko kai muqamaat per jo fraa-iz hein wo b adaa karnay ki choot...majboori mein koi olti harkat karna se behtar hai k ek idaray mein nokri karay ...phir wo massa-il se b iss liyay niptay gee k oss k pass aur koi way out nahi hai ..magar aik aurat jo mazay mein apnay parents k sath ya apnay hubby k sath reh rahai hai aur Aallah rakhay wo kama k b laa rahay hein tu ..koi tukkk nahi ban-ti k wo .....Phir b kamanay k liyay ja-ay ...aur apnay liyay aur doosroun k liyay problems kahri karya ..bul-keh iss tarah jo haqdaar hein , wo beychaari job ko dhoondhti reh jaaein gee aur yeh khawateen apnay huubyz k asar O rasookh se ..sifarshein laraa k job karein gee aur ................Oh GOD !..........

              anyway I hopr u got my point and ur answer ..:)
              to app ka kia khiyal hay dear k mushkil wqt main apna kaam kr laina behtr hay yaan gadhy ko baap bnana behtr hy...........is ka mtlb hay k zarorat k wqt sirf haath he phaila'ay ja'ain..na k khud apny liay koi kaam kr lain or na to humain muhtaji ho or na he kisi ko gadhy ko baap bnana pary:)
              agr koi aurat mushkil wqt main hoti hay to us ka mushkiloon main aik mushkil yeh bhi aa sakti hay k usay kmaana par jata hay to is ka mtlb yeh to nahi hay k woh job krny ki bja'ay dosroon k agy haath phail'ay aik to dusroon ki mohtaj ho or ooper say logoon ke batain sunay...

              Comment


              • Re: debate *kia Khawateen ko mulazamat karni chaye?*

                [quote=Gul;559625]
                Jia jee ...! ab ..iss moamlay mein ...kia kahain k aurat nahi har insan hee apnay ek jaisay life style se oktaa jaat ahai ek jaisi routine, aik jaisay timings per othna sona subah office k liyay jaja wahi ek jaisay chehray wahi buk buk jhak jhak ...wahi kursi wahi maiz wahi....BOSS ka bulana wahi falouN k jhanjhat ! ......insan tu oss b oktaa jata hai ..leikn jab wahin insan ( both genders ) ghar mein aatay hein tu sofay per beyth kar kehtay hein ufffffffffffff thak gai ghar mein kitna sakoon hai ..:) isnt it ?:)
                [quote]
                g haan hr koi apny life style say ukta jata hay or us main koi chaneg chahta hay ...laikin agr woh during job change chay to usay ba'assani rest mill sakta hay...kion k yeh humian sari zindagi nahi krni hoti...
                or jis aurat ko apny ghar per aa ker sakoon milly ga woh usi sakoon ki base per ghar k baqe kaam bhi kr lay ge:)

                Comment


                • Re: debate *kia Khawateen ko mulazamat karni chaye?*

                  Originally posted by Gul View Post
                  ap yeh meri abilities per shak kar rahi :wk hein mein kuch arsa pehlay jab mein UAE mein thee pakistani 30,000 tak ki job ko rudd kar chuki hoon jo sirf urdu language parhanay k liyay thee :) :) ..Anyway Allah Taalah apna reham karay Mujh per aap per hum sab per,
                  Koi kaam ratoun raat aasan nahi hota ...magar Jab waqt Aan parta hai tu sab marhalay insan tay karta jata hai ..yeh insan ki zindgee mein qudrat nay kuch aisay *HARMONIES* rakhay hein jo khud ba khud active ho jatay hein ..anyway ....rahi baat MILK BREAD AND EGGS ki mein nay yeh tu kahin b nahi kah k wo aap ek din pehlay nahi la k rakh saktay ..bulkeh ..hum tu yehan weekly grocery kartay hein kion k jaghein khasi door door hoti hein tu ...fridge mein la k anday dhoodh rakh leytay hein albta bread sirf 2 ya 3 din tak ki aati hai baqi mein hoon na ..Allah k fazal se ghar per roti banan-na janti hoon :):):):)
                  no dear hum log yhaan per kisi ki abilities per shaq krny nahi aa'en..hum log to bohat achi freinds hain to yeh sab humain nahi krna ok...b happy:rose
                  main ajnti hoon k jab insan per mushkil aati hay to woh hr marhly ka samna kr laita ahy laikin is ka mtlb yeh to nahi k hum log mushkilaat ka intezar krain k jab mushkil sr per aan pary ge tabhi hum log hath pair marain gay otherwise kuch nahi krna...
                  or rahi MILK etc ke baat to app plz zra dubara us reply ko prhain jis ke base per app nay yeh kaha hay k yeh sab chezain raato raat mill sakte hain laikin job itni aasani say nahi milti or agr mill ja'ay to bghair kisi experience k hum say kuch nahi ho pa'ay ga....mainy yeh nahi kaha k yeh sab chezain raat-oraat nahi mill sakteen yaan store nahi ho sakteen...

                  Comment


                  • Re: debate *kia Khawateen ko mulazamat karni chaye?*

                    Originally posted by Gul View Post

                    DEAR SISTER sahiba :):) TOPIC AIK HAI magar aap ki taraf se points sahi nahi aa rahay aap ek hee topic per 1000z or more points laa kar hee Koi debate kartay hein ya ek hee ...? :) wesay working women ki lives jaisi ek routine ki aadi hoti hai aap nay b tu ossi tarah baat ki na :) ..THEY HAVE NO CHOICES ..:):)

                    LOTS OF LUV dear ! :)
                    :phool:
                    dear mery points aik dam theek thay laikin jo mery against hoon gay ager unhe ko mery points achy lgny lag gay to phir woh to ga'ay na apny kaam say:hehe:
                    or jo red colocur main hay woh mujhay smajh main nahi aya k app nay kia kaha hay yaan kia poocha hay:cc:
                    LUV u 2 dear b happy:rose

                    Comment


                    • Re: debate *kia Khawateen ko mulazamat karni chaye?*

                      Originally posted by Aanchal View Post
                      aik aurat ko main janti houn apnay husband ka kaam sanbhalti hai computer ka un ka apna business hai ...sham ko kuch waqat us kaam ko daiti hai ...ghar kay kaam bhi saray khud karti hai or husband ka sath bhi day rahi hai ...jo taleem us nay hasil ki usay bhi istamal kar rahi hai or ghar ko bhi deekh rahi hai ....aisi aurtoun kay baray main kia kehtay hian aap loog?
                      Originally posted by Aanchal View Post
                      kuch husband khud bhi to apni bewoeun ko allow kar daytay hian job karna ?:D:
                      :thmbup:g Anchal app nay bilkul theek kaha ahy k kuch aurtoon ko un k husband khud allow kr daity hain k woh job kr lain ...
                      jo aurtain bhi job krti hain un main say asri aik jaisi he nahi hoteen jo k apny gahr waloon ko bhi sath sath wqt na day skay...yhaan per compromise ke baat ati hay jitna compromise hoga problems utni he km hoon geen:)

                      Comment


                      • Re: debate *kia Khawateen ko mulazamat karni chaye?*

                        Originally posted by Aanchal View Post
                        yeh mery sawal ka jawaab nahi hai :) mujhay zara wazeha jawaab chaye :roseor team B ki taraf say #123 post main keye gay sawal ka jawab bhi koi day me waiting :thmbup:

                        Baat KO WAziya andaz mein kijay plz.!

                        Comment


                        • Re: debate *kia Khawateen ko mulazamat karni chaye?*

                          Originally posted by Aanchal View Post
                          or yehi baat ghar walye jab bahir jatay hain to kehtay hain kay uffff kitna acha lag raha hai ghar main aik hi jaga beath beath kay thak gay they ..hai na ?:wk
                          JEE BEYSHAK MAGAR SIRF WEEKEND PER ...warna jo roaz bahir niklay wo tu ...Ghar ak He chain se beyth-ta hai ....!

                          Comment


                          • Re: debate *kia Khawateen ko mulazamat karni chaye?*

                            Originally posted by Originally Posted by [B
                            Aanchal[/b] ]
                            agar husband ki jeeb main itna maal hai :lol to kisi dosri jaga kaam karwanay main baqool aap kay kay dosray ka haq mara jata hai ...to usay apnnay sarmaey say apna koi kaam start karwa day ...:D: usay woh kaam karnay day jis main timming bhi in ki pasand ki hoo kay ghar ko bhi time day sakye or apnay kaam ko bhi ...is baray main kia khayal hai ?:wk
                            :rose
                            Originally posted by Aanchal View Post
                            sirf miyan biwi ka mamla kio howa yeh sari khawateen ki baat kar rehay hain ham na kay jinhay itraaz hai khawateen ki job pay agar aisa kuch hoo to pher kia hona chaye ????/

                            sawal ka wazeha jawab dia karian na kay aisi situation ho to pher job kar sakti hain ????
                            or husband kay under reh kar kaam karna or ghar kar kaam donoo kamoun main faraq hota hai...:rose
                            SAhiba ek AADMi agar Buisness shoro kar k BIVI ko alag se oss mein fit nahi karta ...tu yeh oss ki marzi ..

                            Baqi Jo aur aurtoun ka moamla hai ....

                            TU ZAROORAT ki baat tu aap khud hee topic se nikal chuki hein ....Baqi Jo khawateen Sirf TIME PASS karany ya apnay QEEMTI ELM ko job k zariyay cash karna chahti hein hum oss k favor mein har giz nahi hein ....
                            beyshak ...husband k under reh kar kaam karna aur ghar mein kam karna laga hota ho gaa ...Magar wo kisi tur per jab ko pabandi nahi bardasht karti tu wo job b tu apni hee marzi se kisi aur company mein karay gee na ...warana wo ghar per reh kar apnay bachoun ka intezar karay , wo gahr jo os k hubby nay oss ko apni mehnat ki kamai se saja k diya hai ...aur jis mein oss ko kisis tarah ki koi kami nahi ..! ?

                            Comment


                            • Re: debate *kia Khawateen ko mulazamat karni chaye?*

                              Originally posted by Aanchal View Post
                              Aurat compromise karay to yeh us ki Alazarfi ..or mard compromise na karay to usay kia kahiaan gay ?:cc:

                              Yehan debate mard aur aurat k mizajoun ka taqaza nahi sirf topic per baat kijay ! Kion k yeh baat ek alag taraf baat ko lay ja-ay gee ! :)
                              Originally posted by Aanchal View Post
                              yeh un kay husband ki jealousy hai ....
                              bachay un kay baray hain or mashallha say sab theek thaak hain parhai main or har cheez main ...sab baray hain ....woh lady bhi teaching main kafi experience reakhti hain ....to un ko kaam na karnay dia jealousy hi hai husband ki ...

                              :) ..........SHyd aap iss waqt ek taraf ho k soach rahi hain ....actually basaa oqaat hum kisi k baaray mein ek ngah rakh lein tu janay bina hee oss k baray mein ek raviyay ( aptitude) zehan mein dil mein rakh leytay hein ..
                              Agar oss khaton ko oss k mian nay job karnay se roka...awal tu yeh waqi onn ka zaati momala hai :wk dosri baat yeh k ....jab bachay b baray ho gay ..aur onn ko kamanay ki koi khas wajh b tu honi chahiyay ...mard ki ghairat yeh gawara nahi kar rahi ho gee k oss ki BIVI daftroun mein ya kisi b tarah ki nokri mein dhakay kha-ay ..kion k wo duniya ....ki gandi nazroun se oss ko door rakhna chahta hai !!!!!!!!!!!!!! SIMPLE............aur aurat jo hama waqt yeh saochti hai k wo mard se behtar hai wo oss k apnay baray baray bachoun k aba k decision ko Jealousy keh rahi hai ....ufff be- chari AURAT


                              Comment


                              • Re: debate *kia Khawateen ko mulazamat karni chaye?*

                                Originally posted by Aanchal View Post
                                philosphy sirf sunnay main achi lagti hai lekan practical life main yeh buhat kam hi use ki jati hai :)
                                Kash Aanchal .bibi! aap PHILOSOPHY ko kabhi samjh k ghalat b sabit kar sakein ...!

                                Comment

                                Working...
                                X