Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

ARTICLE: Kabhi Main Sochta Hoon

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • #16
    Re: ARTICLE: Kabhi Main Sochta Hoon

    Bahi bohat umda likha app nay mera bohat g kia kay likhoon time bee kafi tha laykin Aawam ki Be-Hisi nay muje Rook rakha hai jab tamam batain soch ker meri soch Aawam ki be-Hisi per rukti hai tooo muje koi solution nae milta or mein Aawam say guzarish ker leyta hoon kay kuda-ra es be-hisi kay Galbay say Be-daar ho jaooo verna koi or aey gaaa or sab kuch tamam ker jay gaaa or hum sab hath per hath rakhey reh jain gay..............

    ..............................
    Hum to hath per hath rakhey muntazr-e-farda hain

    Comment

    • #17
      Re: ARTICLE: Kabhi Main Sochta Hoon

      Is Qaom Say Koi Baeed Nahi Hai...
      Ghulaami Main Badal Jata Hai Qoomoon Ka Zameer.
      sigpic

      Comment

      • #18
        Re: ARTICLE: Kabhi Main Sochta Hoon

        Originally posted by *Roomi* View Post
        Bahi bohat umda likha app nay mera bohat g kia kay likhoon time bee kafi tha laykin Aawam ki Be-Hisi nay muje Rook rakha hai jab tamam batain soch ker meri soch Aawam ki be-Hisi per rukti hai tooo muje koi solution nae milta or mein Aawam say guzarish ker leyta hoon kay kuda-ra es be-hisi kay Galbay say Be-daar ho jaooo verna koi or aey gaaa or sab kuch tamam ker jay gaaa or hum sab hath per hath rakhey reh jain gay..............

        ..............................
        Hum to hath per hath rakhey muntazr-e-farda hain
        aap jise behisi keh rahe hen wo asal me mayusi he

        Comment

        • #19
          Re: ARTICLE: Kabhi Main Sochta Hoon

          Originally posted by hamzad View Post
          aap jise behisi keh rahe hen wo asal me mayusi he
          kesi mayusi ? kon c mayusi ? .......kis say hain es qoom ko mayusi ?

          es qooom kee apne Aadatain begri howe hain.......................Musharaf nay Roshan Kiyali ka kaha or Media nay Be-Hayai kaaa Baazar Garam ker diya Jisay Media ki Aazadi ka Naaam Diya jata hai wo Haqeeeqat may Fahashi ki Aazadi hai..........Musharraf es sab ko rook sakta hai bus rokta nae baqi us nay kabi apne B.V,Daughter ko Pent ya Full or Mini Skirt may kabi T.V per nae Laya or naaa Heee un koi off the Record unn ki koi Pic ya Video hai .............Mera Musharaf say Shadeed iktilaf hai laykin Beyahai es qoooom nay kud Apnai hai Musharraf nay kesi per jabar nae kia or yeh aik Karwa Such hai..........
          Last edited by Shaim; 25 October 2007, 18:39.

          Comment

          • #20

            mayusi is tarah k abhi hamen koi bhi esa shaks nazar nahi ata jo pakistan or awam se mukhlis ho sab ke jhoot or dhoke open ho kar samne a gaey hen.or musharaf or us ko chahne wala tabka kuch zeada bara nahi he serf ye log barsaati mendakon ki tarah bahir a gaey hen or tra rahe hen jab ye barsaat khatam ho gi(Allah par bharosa rakhen,zulm or zalim ki rasi zarur draz hua kartee he) to ye sab ghaeb ho jaen ge:)yakinan ye sab jo kuch ho raha he behad afsosnaak he lekin is ka aik musbat pehloo bhi he k abhi logon ki aik bari tadad jo pehle sarsari se muslims the abhi islam ko study karne lage hen islam ke bare me janne ka tajasus rakhne lage hen.or jis media ko musharaf ne azaadi di aaj wohi us ke gale ka phanda ban raha he.jis benazir se us ne law se hatt kar deal ki wohi us ke paon tale se zamin sirka rahi he....

            Comment

            • #21

              yep!! :d
              " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

              Comment

              • #22
                Re: ARTICLE: Kabhi Main Sochta Hoon

                salam...wsalaam
                Masood bro, barrii hee gehri aur saaf batein aap ne kahein... lekin main awaam ko bhola nahi kehta, darr-asall hum log bay hiss ho chukay hain... 2 waqt ki roti ki fikar khaye jati hai sab ko... baki sb jaye bhaar mein, aur ye soch bhi humaray chaheetay (puranay se puranay aur naye se naye) rehnumaoun ki hee dain hai... ay kaash k humko thori c sochnay ki quwat mil jaye... to shayad koi raasta niklay, baki marzz to itna barh gya hai k ab... dawa ne apna asarr chorr diya hai... Allah he hai agar koi karishma dikhaye... hum khud bhi issi nasoor ka aik hissa hain... awaaz uthaanay ki himmat kahaan hai kiss mein..... Allah pak humko tofeeq de k hum batil k khilaaf ba'awaaz-e-buland nara-e-haq laga sakein.... pls sab Aameen kahiye...
                :jazak:
                Faqt: Aapka Mukhlis

                Comment

                • #23
                  Re: ARTICLE: Kabhi Main Sochta Hoon

                  Ameen
                  " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

                  Comment

                  • #24
                    Re: ARTICLE: Kabhi Main Sochta Hoon

                    Hmmmmm :)
                    Zindagi Thak Gaye ..!!

                    Comment

                    • #25
                      Re: ARTICLE: Kabhi Main Sochta Hoon

                      Very nice Dear. I agree 100% with ur thinking. Excellent effort mashAllah. Keep it up :)
                      Kis nooN haal sunawaN dil daa ....Koi mehram raaz nai mildaaa!
                      Sadly, common sense is not very common..!!

                      Comment

                      • #26
                        Re: ARTICLE: Kabhi Main Sochta Hoon

                        Masood bhai tahreer bohat khoob hai,har sochnay walay pakistani ka yehi haal hai,laikin jab tak awam aisay jaal nahin toray gi aur khud apnay leaders ka aihtisaab nahin karay gi us waqt tak yeh politicians hamara aihtisaal kartay rahain gay.Iqbal ne darust kaha hai:
                        Khuda ne aaj tak us qoum ki halat nahin badli
                        Na ho jis ko khiyal aap apni halat ke badalnay ka
                        Mind Sciences

                        Comment

                        Working...
                        X