Announcement
Collapse
No announcement yet.
Unconfigured Ad Widget
Collapse
MUBAHISA: Ghour talab
Collapse
X
-
-
Re: MUBAHISA: Ghour talab
Originally posted by Masood View PostHamarey haan yeh baat aam hai keh "apney liyey to har koi jeeta hai doosron key liyey jeena chahiyey" - lekin haqeeqat yeh hai keh ham apney liyey nahin jeetey, ham LOGON key liye jeeney key aadi ho chukey hain.
Ab dekhiye,
Ham log status ki bhag dorr mein phansey huwey hain, har banda apni naak doosrey sey ooncha karney ki tag-o-do mein laga huwa hai, ham jab bhi sochtey hain aisa sochtey hain keh LOG KYA KAHEIN GEY - isi tarha ham umrein guzar detey hain. Jhoota muashra, jhoota status, jhootey log!
Hamarey ander aik complexity hai. Ham khud ko doosron sey 'kamtar' samajhney key aadi hai, yehi wajah hai keh aaj hamarey muashrey per Indian rang jamta jaa raha hai.
Ham ney Pakistan ko duniya keh ghatiya'tareen mumalik ki fehrist mein laa kharra kiya hai - halankeh yeh mulk jannat ka namoona hai - agar is mulk ki tameer theek sey ki jati to kya tail, kya qudrati zakhaiir kya talent - kya nahin tha is mulk mein?
Mera dawa hai keh Asia mein ham Japan ki taraqi ka muqabla kar saktey hain agar hamari naslein theek ho jaein to - yeh naslein kaisey drust ho gi?
Baat ghoom phir ker wohi aa jati hai keh ham log apney aap sey mukhlis nahin, jab koi qom apni zaat sey mukhlis nahin hoti wohi kisi doosrey sey mukhlis nahin ho sakti! Sab sey aham zaroorat apney ehtisaab ki hai - jaisey aap ney aik alag thread lagaya hai - Khud'ehtisaabi sab sey badi nijaat hai!
Aik taleemi idaray mein agar yehi soch hai.Sikhanay walay ahsaas-e-kamtari paida kartay hain to kisi ka kiya qusoor hai?
Comment
-
Re: MUBAHISA: Ghour talab
Originally posted by zapk7 View PostBilkul darust kaha aap ne.Ham pata nahin kiyun complex ka shikaar hain.Kuch din qabl hamaray staff room mein behas ho rahi thi ke ab English bohat zaroori ho gai hai,agar hamain taraqi karna hai to English per uboor hona lazmi hai.Tamam discussion ke baad mein ne kaha ke mein aap sab se muttafiq hoon,magar mujhay zara yeh to batain china ke prime minister tak ko english nahin aati,Entire europe,scandanavia english se nabalad hai,woh kaisay taraqi kar rahay hain.Sab kehnay lagay dar asl unhon ne apni language ko strong kiya hua hai.Mein ne kaha iska matlab to yeh hua ke kami hamaray ander hai,ham ne apni zuban ko mazboot nahin banaya aur English ke peechay bhag rahay hain,wagarna woh koi naguzeer nahin hai.
Aik taleemi idaray mein agar yehi soch hai.Sikhanay walay ahsaas-e-kamtari paida kartay hain to kisi ka kiya qusoor hai?
Almas they are not entirely wrong and then they are not entirely right!
Is mein koi shak nahin keh aaj kal key dor mein taraqi key liye English bohat zaroori ho chuki hai. Yeh dor technonolgy ka dor hai aur technology har 6 maah mein badal rahi hai, is barq'raftari key dor ko qaid karney key liye English ki zaroorat hai.
Lekin merey nazdeek hamari kotahi Urdu zuban ka nastaleeq mein likha jana hai jo keh aik mushkil andaaz hai - espcially techonolgy key aspect sey. Mind you 1956 mein Ayyub Khan ney dor mein yeh koshish ki gaii thi keh Urdu ko romanise kiya jaey, magar is koshish ko nakaam bnaa diya geya hai - "ghairatmandon" ney! Mera zaati khiyaal hai keh taraqi key liye Urdu ka romanise hona zaroori hai!tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujheytumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey
Comment
-
Re: MUBAHISA: Ghour talab
Originally posted by Masood View PostAlmas they are not entirely wrong and then they are not entirely right!
Is mein koi shak nahin keh aaj kal key dor mein taraqi key liye English bohat zaroori ho chuki hai. Yeh dor technonolgy ka dor hai aur technology har 6 maah mein badal rahi hai, is barq'raftari key dor ko qaid karney key liye English ki zaroorat hai.
Lekin merey nazdeek hamari kotahi Urdu zuban ka nastaleeq mein likha jana hai jo keh aik mushkil andaaz hai - espcially techonolgy key aspect sey. Mind you 1956 mein Ayyub Khan ney dor mein yeh koshish ki gaii thi keh Urdu ko romanise kiya jaey, magar is koshish ko nakaam bnaa diya geya hai - "ghairatmandon" ney! Mera zaati khiyaal hai keh taraqi key liye Urdu ka romanise hona zaroori hai!
Comment
-
Re: MUBAHISA: Ghour talab
Originally posted by zapk7 View PostBhai!kiya aap zara detail se bata sakain gay ke urdu ko romonise karnay se hamaray liyay taraqi ki rahain kaisay khul sakain gi.I think ke detail se baat zara ziada wazah ho jaye gi.Shukriya:rose
Ham apna muqabla India key saath karney key aadi hai, India ki IT field ney jo taraqi hasil ki hai aur aik inqilaab hai - is liyey nahin keh unhon ney hindi ko tarveej di magar is liyey keh unhon ney English hi ko iska zariya bnaya hai - aik waqt mein aik hi kaam ho sakta hai - ya apni zuban ko tarveej di jaey ya phir taraqi ki janib bharha jaey - Aaj India sey aik waqt mein 400 key qareeb consultant aik waqt mein bahir bhejey jatey hain...
Main jin systems per kaam karta hoon unhein aap almost har zuban mein dekhtey hain magar Urdu waghera nahin... Romanise karney sey faidah yeh ho ga keh kam sey kam computer ki field mein ham aasani sey kaam kar sakein gey aur woh bhi URDU mein...tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujheytumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey
Comment
-
Re: MUBAHISA: Ghour talab
Originally posted by Masood View PostAlmas dekhein, yeh to aap khud samajhti hain keh yeh daur computer ka hai, computer mein ya to hamein apney ander itni taraqi pedah karni chahiyey thi keh ham Nastaleeq mein coding kar sakein ya programs Urdu mein tayyar kar sakein, yeh mumkin nahin keh hamari tawajoh hi is taraf nahin, Japanese ney apni zuban ko tarveej di aur apney coputerised system bhi apni zuban mein bna liyey - jab keh hamarey haan is taraf koi tawajoh nahin.
Ham apna muqabla India key saath karney key aadi hai, India ki IT field ney jo taraqi hasil ki hai aur aik inqilaab hai - is liyey nahin keh unhon ney hindi ko tarveej di magar is liyey keh unhon ney English hi ko iska zariya bnaya hai - aik waqt mein aik hi kaam ho sakta hai - ya apni zuban ko tarveej di jaey ya phir taraqi ki janib bharha jaey - Aaj India sey aik waqt mein 400 key qareeb consultant aik waqt mein bahir bhejey jatey hain...
Main jin systems per kaam karta hoon unhein aap almost har zuban mein dekhtey hain magar Urdu waghera nahin... Romanise karney sey faidah yeh ho ga keh kam sey kam computer ki field mein ham aasani sey kaam kar sakein gey aur woh bhi URDU mein...
Comment
-
Re: MUBAHISA: Ghour talab
Ok friends!Come to the point again.Mian brothers kal tak wapas anay ka faisla karain gay.Udhar govt ka kehna hai ke un key zamanati ne unhain wapas na anay ka message de diya hai.Agar mian brothers wapas nahin atay to siasat ka scenario kiya hoga?aur agar muamila iske baraks hota hai to kiya hoga?Benazir-govt deal main mujhay to kai rukawatein nazar aa rahi hain,aap kiya kehtay hain.
Is tamam scenario mein aik baar ham phir usi muqam per kharay hain jahan se chalay thay;ab koun mulk ki baag dor sambhalay ga?aur kiya koi aisa hai jo isay sambhal bhi paye????????Mujhay lagta hai is sawaal ke agay andhera hi andhera hai.
Mairi dua hai ke yeh andhera jald chatay aur roshni ki kirnein phootein.Amen
Comment
Comment