Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

ARTICLE: ~!~ azaadi ~!~

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • #16
    Re: ARTICLE: ~!~ azaadi ~!~

    Nice

    Comment

    • #17
      Re: ~!~ azaadi ~!~

      Ekhtalaaf-e-Raye ka matlab aik suljay tareekay se kisi ki raye, kisi ki sooch se nafi kerne ka naam he, is mein jis ki raye se ekhtalaaf kiya jaye wo be-zarar rehta he...jub ke tankeed mein kuch aisay anasar hotay hein jin jo ke apnay aap mein baaz aukaat bohat tameeri bhi waqeya hotay hein aur bohat tehreebi bhi. Faraq in dono ki simat ka aur shidat ka he.
      jee janab to aap nay akhir ikhtilaf e ray aur tanqeed k baham farq ki wazahat farmadi de laikin mujhy afsoos hy k mary liye aap k baat main koi wazan naheen jaysa k aap nay farmaya k ikhtilaf ray ka mtalab hota hy k suljhay tareeky....
      is main aap nay jo suljhy ka pewan lagaya hy wo aap ka khud sakhta hy iktilaf to ikhtilaf hi hota hy aur har tanqeed karnay wala bhi pehlay kisi na kisi k nazariye ikhtilaf hi karta hy ab wo us ka apna tareeka hy k wo us ikhtilaf ko bazahir baray husan andaz se peesh karay k jaysa aap nay farmaya suljhay tareekay ya ... mary khiulal main ye dono lafaz mutlaqan buray naheen aur na hi in se paida honay wali manwiat main apni haiat k aytbaar se ko qadghan hy han ferq serf itna hy k dono ko peesh karany ka andaz agar acha ho to tanqeed aur ikhtilaf dono hi kargar sabiut hosakti hian bahar hal meri nazar main ikhtilaf tanqeed ki bunyad hy jab tak aap ko ksi nazariye ya souch se ikhtilaf naheen hoga aap kisi par tanqeed kar hi naheen sakty...mari anzar main in dono main farq fiqah ki istilah ki taah shart aur rukan ka hy.. yani jab kisi rukan ko ada karna ho to us k liye jo shart pai jay us par amal zaroori hy aap yon samjhiye k tanqeed rukan hy aur shart us ki ikhtilaf yani aap k andar kisi se par tanqeed karny k liye us ki bunyadi shart yani ikhtilaf ka paya jana zaroori hy.. yani aap gar mujh par tanqeed kareen gay to aap ko pehlay mujh se ikhtilaf hoga phir s ikhtilaf ka izahar kareen gay aur phir baat tanqeed ki taraf agay barhay gi jab aap us ikhtilaf ko apnay taien suljhany ki baat kareen gay to tanqeed ka shara lain gay...ye to thi meri nazar main ikhtilaf aur tanqeed ki tareef ya haqeeqat...
      Yeh takreer jo aap ne pesh ki he, is mein beja jazbaatiyaat ka anser he her jagah dikhai deta he.
      beshauk meri peesh karda taqreer main jazbat ka unsar ghalib hy laikin shayan rahay is main haqeeqat ka rang bhi ghalib hy aur koi bhi aysai baat naheen ki gai k jo haqeeqatse hut kar ho... agar hy to aap nishandahi farmain...baqi jahan tak atluq hy jazbaat ka toi jazbaat hamari zindgi ka hisa hian aur wo bhi lkoi zindgi hy k jo jazbat se aari ho...
      Mein ne waqt se, halaat se, tajarbay se aik cheez seekhi he aur Alhamdullilah mein samajta hoon ke mein ne us cheez ke seekhnay se bohat kuch seekh liya he aur wo cheez he Tahamal mazaji se halaat-o-waqeyaat se parakh...aap jaantay hoon ge ke aik tasveer ke sirf aik rukh nahi hota. Aap apnay dekhnay ka zaviya badlein to cheez ki mahiyat badal jati he.
      tahamul mizaji ka main bhi qail hon laikin akhir kab tak 60 baras hogay is qoom ko is zalim nizam se jotay khatay huy aur mera ye bhi man,na hy k is k ziyada zemaydar khud hum awam hi hain k jaysi qqo ho wesay hi hukmaran bhi ALLAH PAAK musalat farma deytay hain..baqi main tasveer k dono rukh dekhnay ka qail hon aur kisi had tak main nay apni baat main dosray rukh ki wazahat bhi kardi hy baqi jis rukh par meri nazar naheen jasaki aap us ki wazahat armadeen to meharbani hogi.....baqi aap ki si baat se main mutfiq naheen hon k cheezon ko zavia badal kar dekhnay se un ki mahiat hi badal jati hy... jis cheez ki jo mahiat wo kabhi naheen badala karti balk zavia nazar badal jata hy aap kisi chalti gari mainsawar hon to sheshay se bahir dekhnay par har shay chalti hui mehsoos ho gi laikin darhaqeeqat wo sakin hi gi yani halat main farq par jata hy jab k mahiat yani un ki asliat wohi rehti hy....kaya samjhy?
      Mein bohat ziada lambi baatein kerne ke mood mein to nahi hoon, haan albata aap ko yeh zaroor recommend karon ga ke aap Politics ko ager janana chahtay hein to aap News suna keejiye, Political talk shows dekha keejiye, kisi mehsoos muday per loogon ki aara suna keejiye, Geo pe capital talk dekhiye, Aaj kamran khan ke saath dekhiye, Dr. Shahid ke tajziyaaat ko suniye, 50 Minutes dekhiye, ARY ONEWORLD per bohat se political talkshows lagtay hein aap unhein dekhiye, aap ko pata chal jaye ga ke everything is not at the two extreme poles. You may find many things in b/w the two opposite poles.
      jin tv programs ka aap nay zikar kiya main wo saray baray shoq se dekhta bhi hon aur hamary siast dan jis tarah akar khud apnay aap ko aur awam ko baywaqoof banay hain us par hansta bhi hon...baqi bohat se programs main naqaad hi tashreef latay hain aur un ki tanqeed whan tv chanale par to sab hansi khushi sun laytay hain likin afsoos k aysai hi aik tanqeed main nay peesh ki to aap nay mukhalifat ki...baqi u ki angrazi ka mary pass koi jawab naheen..:blush:
      Ager aap muj se ziada wazahat chahte hein aik aik point pe to i think last time ki tarah is baar bhi phone pe discuss ker lein ge...i think aap ko phone pe mein aap ko aik aik event ke baray mein bohat achay tareekay se samja sakta hon
      han mujhy teri ye shart manzoor hy agar is baar fon tum khud karo tooooooooooooo......
      ساقیا ہور پلا ہور پلا ہور پلا

      Comment

      • #18
        Re: ARTICLE: ~!~ azaadi ~!~

        Mujhe kuch mil nahin raha likan aap logon ki kosish bohat achi ha parhnay mein maza ata ha keep it up..

        Comment

        • #19
          Re: ~!~ azaadi ~!~

          Originally posted by aabi2cool View Post
          jee janab to aap nay akhir ikhtilaf e ray aur tanqeed k baham farq ki wazahat farmadi de laikin mujhy afsoos hy k mary liye aap k baat main koi wazan naheen jaysa k aap nay farmaya k ikhtilaf ray ka mtalab hota hy k suljhay tareeky....
          is main aap nay jo suljhy ka pewan lagaya hy wo aap ka khud sakhta hy iktilaf to ikhtilaf hi hota hy aur har tanqeed karnay wala bhi pehlay kisi na kisi k nazariye ikhtilaf hi karta hy ab wo us ka apna tareeka hy k wo us ikhtilaf ko bazahir baray husan andaz se peesh karay k jaysa aap nay farmaya suljhay tareekay ya ... mary khiulal main ye dono lafaz mutlaqan buray naheen aur na hi in se paida honay wali manwiat main apni haiat k aytbaar se ko qadghan hy han ferq serf itna hy k dono ko peesh karany ka andaz agar acha ho to tanqeed aur ikhtilaf dono hi kargar sabiut hosakti hian bahar hal meri nazar main ikhtilaf tanqeed ki bunyad hy jab tak aap ko ksi nazariye ya souch se ikhtilaf naheen hoga aap kisi par tanqeed kar hi naheen sakty...mari anzar main in dono main farq fiqah ki istilah ki taah shart aur rukan ka hy.. yani jab kisi rukan ko ada karna ho to us k liye jo shart pai jay us par amal zaroori hy aap yon samjhiye k tanqeed rukan hy aur shart us ki ikhtilaf yani aap k andar kisi se par tanqeed karny k liye us ki bunyadi shart yani ikhtilaf ka paya jana zaroori hy.. yani aap gar mujh par tanqeed kareen gay to aap ko pehlay mujh se ikhtilaf hoga phir s ikhtilaf ka izahar kareen gay aur phir baat tanqeed ki taraf agay barhay gi jab aap us ikhtilaf ko apnay taien suljhany ki baat kareen gay to tanqeed ka shara lain gay...ye to thi meri nazar main ikhtilaf aur tanqeed ki tareef ya haqeeqat...

          Akhtalaaf-e-Raye aik bunyaad he jubke Tankeed us Akhtalaaf-e-Raye ka output he, let there be no more discussion about it, kyoon ke yeh hamara topic nahi

          Originally posted by aabi2cool View Post
          beshauk meri peesh karda taqreer main jazbat ka unsar ghalib hy laikin shayan rahay is main haqeeqat ka rang bhi ghalib hy aur koi bhi aysai baat naheen ki gai k jo haqeeqatse hut kar ho... agar hy to aap nishandahi farmain...baqi jahan tak atluq hy jazbaat ka toi jazbaat hamari zindgi ka hisa hian aur wo bhi lkoi zindgi hy k jo jazbat se aari ho...

          Dekh ager tu itnay wasooq se keh raha he ke teri takreer mein hakeekat ka rang ghalib he to mein tujay challenge kerta hoon aur tere aik aik point pe sabit karon ga ke teri takreer mehz jazbaat ki akaasi kerti he jub ke hakeekat ki akaasi is mein bohat kum ki gai he, Aap batakh ko paani mein teerta hua dekh ker paani ki gehrai ka andaza laga rahay hein. This is what i think. Aap aik aik point pe aaiye, phir mein aap ko aik aik poinit bama seyaak-o-sabaak bama hawala matan ker ke aap ke political concepts ko clear kerne ki kooshish karon ga. Bazahir hamaray seyaasi nazam mein bohat si kharaabiyaan hein lekin hum un kharabiyon ki wajoohaat jananay ki bajaye kharabiyon per tankeed kerte dikhai dete hein. Bila-jawaz aur be-intha tankeed kisi nazam ko sahi nahi ker sakti.

          Originally posted by aabi2cool View Post
          tahamul mizaji ka main bhi qail hon laikin akhir kab tak 60 baras hogay is qoom ko is zalim nizam se jotay khatay huy aur mera ye bhi man,na hy k is k ziyada zemaydar khud hum awam hi hain k jaysi qqo ho wesay hi hukmaran bhi ALLAH PAAK musalat farma deytay hain..baqi main tasveer k dono rukh dekhnay ka qail hon aur kisi had tak main nay apni baat main dosray rukh ki wazahat bhi kardi hy baqi jis rukh par meri nazar naheen jasaki aap us ki wazahat armadeen to meharbani hogi.....baqi aap ki si baat se main mutfiq naheen hon k cheezon ko zavia badal kar dekhnay se un ki mahiat hi badal jati hy... jis cheez ki jo mahiat wo kabhi naheen badala karti balk zavia nazar badal jata hy aap kisi chalti gari mainsawar hon to sheshay se bahir dekhnay par har shay chalti hui mehsoos ho gi laikin darhaqeeqat wo sakin hi gi yani halat main farq par jata hy jab k mahiat yani un ki asliat wohi rehti hy....kaya samjhy?

          Tahamal mazaaji ko aap kisi aur tarah se interpret ker rahay hein. Tahamal mazaj honay se muraad yeh tha ke aap kisi bhi incident ki assessment kerne se pehlay us waqee se related jo awamal kaar-farma thay us ka bhi bagoor jaiza le liya keejiye. Jesa ke mein ne aap ko bataya ke hum tasveer ka aik rukh dekhtay hein, doosray rukh ko dekhnay ki hamaray paas baaz aukaat access he nahi hoti....zameen per chaltay huay aap ko lagay ga ke zameen bilkul seedhi he, jub ke is ki satah se bohat door ja ker aap dekhein to yeh gool ya beezvi dikhay gi. hope u get me.

          Originally posted by aabi2cool View Post
          jin tv programs ka aap nay zikar kiya main wo saray baray shoq se dekhta bhi hon aur hamary siast dan jis tarah akar khud apnay aap ko aur awam ko baywaqoof banay hain us par hansta bhi hon...baqi bohat se programs main naqaad hi tashreef latay hain aur un ki tanqeed whan tv chanale par to sab hansi khushi sun laytay hain likin afsoos k aysai hi aik tanqeed main nay peesh ki to aap nay mukhalifat ki...baqi u ki angrazi ka mary pass koi jawab naheen..:blush:

          Saaray seyaasatdaan bud'niyat nahi, haan kuch black sheeps hein hamaray moaashray mein jo ke zaati mufaad ke tehat hamaray mulki waqaar aur saakh ko kharaab aur ganda ker rahi hein. Lekin baat wohin aati he tahamal mazaaji ki. Hamara political set up bohat bikhra hua he, kisi waqee ko joornay ke liye is ke taanay baanay joorna perta he.

          Originally posted by aabi2cool View Post
          han mujhy teri ye shart manzoor hy agar is baar fon tum khud karo tooooooooooooo......
          Mein tujay phone karon ga lekin us time jub tu Office mein hota he, bool manzoor he :khi:
          :thmbup:

          Comment

          • #20
            Re: ~!~ azaadi ~!~

            Akhtalaaf-e-Raye aik bunyaad he jubke Tankeed us Akhtalaaf-e-Raye ka output he, let there be no more discussion about it, kyoon ke yeh hamara topic nahi
            ACHAAAAA TO PHIR HAMRA TOPIC KAYA THA ...?MARAY KHIAL MAIN TO AAP NAY MARAY LAGAY GAY THRED KO TANQEEDI THRED KEH KAR US PAR TANQEED KI THI JIS PAR MAIN NAY AAP SE ARZ KIYA THA K HAR TANQEED BURI NAHEEN HOTI AKHIR HAMARI BEHAS KA AGHAZ YAHEEN SE HUA THA ..CHALIEN LAGTA HY AAP MARI PEESH KI GAI TOJEEH MAN GAY HAIN...WELL:wk

            Dekh ager tu itnay wasooq se keh raha he ke teri takreer mein hakeekat ka rang ghalib he to mein tujay challenge kerta hoon aur tere aik aik point pe sabit karon ga ke teri takreer mehz jazbaat ki akaasi kerti he jub ke hakeekat ki akaasi is mein bohat kum ki gai he, Aap batakh ko paani mein teerta hua dekh ker paani ki gehrai ka andaza laga rahay hein. This is what i think. Aap aik aik point pe aaiye, phir mein aap ko aik aik poinit bama seyaak-o-sabaak bama hawala matan ker ke aap ke political concepts ko clear kerne ki kooshish karon ga. Bazahir hamaray seyaasi nazam mein bohat si kharaabiyaan hein lekin hum un kharabiyon ki wajoohaat jananay ki bajaye kharabiyon per tankeed kerte dikhai dete hein. Bila-jawaz aur be-intha tankeed kisi nazam ko sahi nahi ker sakti.
            HAN MUJHY TERA CHALLANGE MANZOOR HY TO PHIR TO AJA MERI PEESH KI GAI TAKREER K SAB SE PEHLY PEHRAY KI TARAF JO K YAHANA SE SHURO HOTA HY, K... YE PAKISTAN K DARUL HUKOOMAT PAKISTAN KA MANZAR HY.......AUR KAYA YEHI AZADI HY TAK. IS KA JAWAB DEY
            Saaray seyaasatdaan bud'niyat nahi, haan kuch black sheeps hein hamaray moaashray mein jo ke zaati mufaad ke tehat hamaray mulki waqaar aur saakh ko kharaab aur ganda ker rahi hein. Lekin baat wohin aati he tahamal mazaaji ki. Hamara political set up bohat bikhra hua he, kisi waqee ko joornay ke liye is ke taanay baanay joorna perta he.
            TO
            MAIN NAY KAB KAHA K SARAY SIASAT DAN KALI BEHREEN HAIN...?:cc:

            Mein tujay phone karon ga lekin us time jub tu Office mein hota he, bool manzoor he
            YE KI NA PHIR SIALKOTION WALI BAAT ...MERA OFFICE TARAY OFFICE KI TARAH NAHEEN HY K JIS MAIN TO BETH KAR OFFICE KA COMPUTER USE KARTA RAHY BALK MERY OFFICE MAIN AAP PANA KHUD KA MOBILE BHI USE NAHEEN KARSAKTY KAYA SAMJHY..?:tomato:
            ساقیا ہور پلا ہور پلا ہور پلا

            Comment

            • #21
              Re: ~!~ azaadi ~!~

              Originally posted by aabi2cool View Post

              HAN MUJHY TERA CHALLANGE MANZOOR HY TO PHIR TO AJA MERI PEESH KI GAI TAKREER K SAB SE PEHLY PEHRAY KI TARAF JO K YAHANA SE SHURO HOTA HY, K... YE PAKISTAN K DARUL HUKOOMAT PAKISTAN KA MANZAR HY.......AUR KAYA YEHI AZADI HY TAK. IS KA JAWAB DEY

              TO MAIN NAY KAB KAHA K SARAY SIASAT DAN KALI BEHREEN HAIN...?:cc:
              CDA ya Capital Development Authority kia he?

              Yeh aik aisa adara he jo ke Apnay ilaqay mein honay wali development/construction ko control kerta he. yeh adarat construction se related amoor per aik authority ki hesiyat rakhta he.

              Ager CDA kehta he ke 7 masajid gair kanooni hein. Aur Sharee nukta'e'nazar se bhi Na-Jaiz zamen per masjid bananay ki ijazat nahi to kyoon banaein gaein masajid aisi zameen per? Pakistan mein Insaan pohanchanay ke liye aik superme insitution he Supreme court ke naam se. Ager kisi ko koi aitraaz he to wo supreme Court se rajoo kerta, stay order le aata, law ko violate kerne ki kia zaroorat thi. Aur ager masajid ki zameen gair kanooni nahi thi to kis authority ki jurat he ke wo supreme court ke decision ko challenge karay. Miyaan seedha raasta to yahi tha na.

              Jis mulk mein supremacy of law nahi hoti wahan per jangle ka kanoon hota he...kia tere khyaal mein is mulk mein jangle ka kanoon nafaz hona chahiye? kia mujramon aur kanoon ki paasdaari na kerne walon ko saza nahi milni chahiye? Kia Daarhi rakhnay walay loogon per sazaon ka itlaaq nahi hota?

              Jahan per koi merta he to zahir he us ke khandan per bohat buray asraat perte hein, us ki bivi bewa ho jati he, buchay yateem ho jatay hein...it is a fact, no doubt about it. Kia yeh baat samnay rakh ker Law Enforcement Authorities loogon ko khulay aam apni man maani kerne aur kanoon ko haath mein lene ki ijazat de de ke ager hum ne inhein mara to in ke buchay yateem ho jaein ge ya in ki bivi bewa ho jaye gi. non-sense.
              :thmbup:

              Comment

              • #22
                Re: ~!~ azaadi ~!~

                Originally posted by aabi2cool View Post

                YE KI NA PHIR SIALKOTION WALI BAAT ...MERA OFFICE TARAY OFFICE KI TARAH NAHEEN HY K JIS MAIN TO BETH KAR OFFICE KA COMPUTER USE KARTA RAHY BALK MERY OFFICE MAIN AAP PANA KHUD KA MOBILE BHI USE NAHEEN KARSAKTY KAYA SAMJHY..?:tomato:
                Apnay office mein izat bana ke rakh ke wo tujay computer bhi use kerne dein aur mobile use kerne ki ijazat bhi dein, mujay to teri haalat jaan ke taras aa raha he :khi:
                :thmbup:

                Comment

                • #23
                  Re: ARTICLE: ~!~ azaadi ~!~

                  jazak ALLAH

                  Comment

                  • #24
                    Re: ARTICLE: ~!~ azaadi ~!~

                    :jazak:

                    Comment

                    • #25
                      Re: ~!~ azaadi ~!~

                      Originally posted by munda_sialkoty View Post
                      Apnay office mein izat bana ke rakh ke wo tujay computer bhi use kerne dein aur mobile use kerne ki ijazat bhi dein, mujay to teri haalat jaan ke taras aa raha he :khi:
                      sialkoti bachay baat izzat ki nahee baat hy usol ki main ajar aur ajeer k darmian jo moahida tay pay har hal main usy pora karnay ka qail hon
                      mujhy ye bardashat naheen k koi aysai wesay baat kary mujh se yani main kisi ko bat karnay ka moqa naheen dena chata tumharai tarah naheen k office ka pc istimalto karo gupshup kiliye aur tankhawa wasool karo cmpany se aur lebale laga lo izzat ka.....:slap:
                      ساقیا ہور پلا ہور پلا ہور پلا

                      Comment

                      • #26
                        Re: ~!~ azaadi ~!~

                        Originally posted by munda_sialkoty View Post
                        CDA ya Capital Development Authority kia he?

                        Yeh aik aisa adara he jo ke Apnay ilaqay mein honay wali development/construction ko control kerta he. yeh adarat construction se related amoor per aik authority ki hesiyat rakhta he.

                        Ager CDA kehta he ke 7 masajid gair kanooni hein. Aur Sharee nukta'e'nazar se bhi Na-Jaiz zamen per masjid bananay ki ijazat nahi to kyoon banaein gaein masajid aisi zameen per? Pakistan mein Insaan pohanchanay ke liye aik superme insitution he Supreme court ke naam se. Ager kisi ko koi aitraaz he to wo supreme Court se rajoo kerta, stay order le aata, law ko violate kerne ki kia zaroorat thi. Aur ager masajid ki zameen gair kanooni nahi thi to kis authority ki jurat he ke wo supreme court ke decision ko challenge karay. Miyaan seedha raasta to yahi tha na.

                        Jis mulk mein supremacy of law nahi hoti wahan per jangle ka kanoon hota he...kia tere khyaal mein is mulk mein jangle ka kanoon nafaz hona chahiye? kia mujramon aur kanoon ki paasdaari na kerne walon ko saza nahi milni chahiye? Kia Daarhi rakhnay walay loogon per sazaon ka itlaaq nahi hota?

                        Jahan per koi merta he to zahir he us ke khandan per bohat buray asraat perte hein, us ki bivi bewa ho jati he, buchay yateem ho jatay hein...it is a fact, no doubt about it. Kia yeh baat samnay rakh ker Law Enforcement Authorities loogon ko khulay aam apni man maani kerne aur kanoon ko haath mein lene ki ijazat de de ke ager hum ne inhein mara to in ke buchay yateem ho jaein ge ya in ki bivi bewa ho jaye gi. non-sense.
                        aap mujhy ye batao k kaya aap k pass suboot hain k wo masajid gair qanooni theen...? aur agar wo sab ki sab gair qanooni theen to phir hukomat nay unheen dobara tameer karnay ka andiya kion diya tha...? jab aik cheez ho hi gair qanooni to phir us k wajood ko dobara qaim kion kiya jay...?
                        ساقیا ہور پلا ہور پلا ہور پلا

                        Comment

                        • #27
                          Re: ~!~ azaadi ~!~

                          Originally posted by aabi2cool View Post
                          aap mujhy ye batao k kaya aap k pass suboot hain k wo masajid gair qanooni theen...? aur agar wo sab ki sab gair qanooni theen to phir hukomat nay unheen dobara tameer karnay ka andiya kion diya tha...? jab aik cheez ho hi gair qanooni to phir us k wajood ko dobara qaim kion kiya jay...?
                          Tumharay sawaal pe sawaal kerta hoon, you see counter question. Ager yeh Masajid Kanooni thein to loog Supereme Court mein kyoon nahi gaye, petition file kyoon nahi ki?

                          I think mere is sawaal se tumhein jawaab bhi bakhoobi mil gaya ho ga
                          :thmbup:

                          Comment

                          • #28
                            Re: ~!~ azaadi ~!~

                            Originally posted by aabi2cool View Post
                            sialkoti bachay baat izzat ki nahee baat hy usol ki main ajar aur ajeer k darmian jo moahida tay pay har hal main usy pora karnay ka qail hon
                            mujhy ye bardashat naheen k koi aysai wesay baat kary mujh se yani main kisi ko bat karnay ka moqa naheen dena chata tumharai tarah naheen k office ka pc istimalto karo gupshup kiliye aur tankhawa wasool karo cmpany se aur lebale laga lo izzat ka.....:slap:
                            Meri jaan murgi ke anday apni apni hesiyat ki baat he :khi:

                            chal hun ghusa na ker :na:
                            :thmbup:

                            Comment

                            • #29
                              Re: ~!~ azaadi ~!~

                              Originally posted by munda_sialkoty View Post
                              Tumharay sawaal pe sawaal kerta hoon, you see counter question. Ager yeh Masajid Kanooni thein to loog Supereme Court mein kyoon nahi gaye, petition file kyoon nahi ki?

                              I think mere is sawaal se tumhein jawaab bhi bakhoobi mil gaya ho ga
                              theek hy tera ye sawal maqool hy laikin is ka ye matlab naheen k agar wo suprem court main naheen gay to masajid gair qanooni hogaien....?aur ye to hum sab nay tasleem kiya hy k lala masjid walon nay jo rasta apnaya tha wo ghalat tha unheen saheeh rasta apnana chaiye tah..aur mari aap se guzarish ye hy k aap bajay is baat par safhaat zaya karnay k k lal masjid walon nay ye kiya wo kiya bus ye justify karo k hakumat nay jo kiya kaya wo theek tha agar naheeen tha to dono main se ye jo saniha hua hy is ka ziyada zemy dar kon hy hukomat ya lal masjid waly aap ye batao..?
                              ساقیا ہور پلا ہور پلا ہور پلا

                              Comment

                              • #30

                                Ofcourse Laal masjid walay is sanehay ke baray zumadaar hein. Meri nazar mein 70% kasoor Laal Masjid walon ka aur 30% kasoor Govt. ka tha.

                                Laal masjid walon ne apnay aap ko supreme authority samaj liya tha jahan se nazreyaati aur kanooni ekhtalaaf paida hua. Her state ke chalanay ke liye kuch kanoon-o-kaiday hotay hein, jin ka lehaz baherhaal her shehri per farz ki hesiyat rakhta he. Laal Masjid walay through proper channel chaltay to aaj yeh sub kuch na hota.

                                Ghazi bratheraan ne bhi jub dekha ke waqt un ke haath se nikal gaya he to masalehat ke liye dooray, un ke paas kuch le kuch de ki bunyaad per muahimat ka raasta pehlay khula tha jo ke baad mein band ho gaya...time ka clash ho gaya na. Waqt haath se nikal jaye phir loot ke thoori aata he
                                :thmbup:

                                Comment

                                Working...
                                X