Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

MUBAHISA: ek sawal?

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • #16
    Re: ek sawal?

    Originally posted by filbahere View Post
    hotey haan lakin un ko polish naeen honey dia jata
    tho is mai zimidaar waledain hay naa kia parents kay saath saath teachers ya sociaty bhi zimidaar hay?
    wasalaam....

    Comment


    • #17
      Re: ek sawal?

      Originally posted by TheMask View Post
      Sala-Hud-Din Ayubi + Mohammad Bin Qasim Jesoon ki Histroy Dhekain or Un Kay waldain ki Tarbiyat ko Dhekain or Aj kay No-Jawan ka Mazi,Hall dono Dhekaain aj kay Waldain ki History ko Hall Dhekain Kaheen b koi b Point un say milta Nazar nahe Ata Hai....Sala-Hud-Din Ayubi + Mohammad Bin Qasim Jesay Log Us waqt Paida Hotey Hain Jab waldain ko Apne Aulad ka Mustaqbil ya Un kay marnay kay Bad ki Fikar Nahe Bakle Unhain Fikar Hoti Hai Kay Hamare Ulad kay marnay k Bad us ka Kia Banay Ga to Wahaan Per Aisay Alam-Bardar Paida Hotey Hain Aj kal ka Muslim Bacha Disco Sun ker No-jawan Ho Raha Hai us waqt kay Bachey (Quran Suna) per No-Jawan Hotey They us waqt kay Walidain ( Haqiqi Education ) Detay They or Kud ( Namuna ) kay Tour per Hotey They or aj kal nay Walidain ( Fani Education ) Delanay per Zoor Detay Hain or Kud b ( Fani Education k Namuna ) Hotey Hain.......es sab ka Hall Sirf Yehi Hai Kay Hamain Islamic Iqdar ko Apne Zindagioon may Rachana Basana Hoga Tabi Hamare Ander Sala-Hud-Din Ayubi + Mohammad Bin Qasim jesay loog Paida Hoon Gay
      Brother kia iss mai sociaty ya teachers ka bhi koi kirdaar hay?
      wasalaam...

      Comment


      • #18
        Re: ek sawal?

        Sis apne nice ques raise kiya! :thmbup:

        mere khyal mai insaan ki "SOCH" buhat bara kirdaar ada kerti hai kise bhi mamly mai
        aj kal koi bhi Salahud'din Ayubi ya Mohammad Bin Qasim is lye nahi q k PARENTS ki soch badal gae hai.....
        maine jo 3/4 yrs mai observe kiya wo logoon ki soch ki tabdeeli hai jo buhat teezi se hoi
        ab log burae bhi kerte hain or usko burae samjhe begher..........ye sabse bara weak point hai hamari soch ka
        Most Of the PARENTS r actually being diverted towards Modernism/glamour/western culture........jab unki soch in cheezon ko +ve samajhti hai to obviously they wud like to teach their childern in same way

        + Media.......it also provides a wider way to welcome the DEVIL
        Society mai jo in cheezon ko follow nahi ker raha wo so called BACKWARD hai ( TheMask's view point of Backward)

        according to that i myself want to feel pride as being backward.........q k hamara DEEN backward nahi........or usko chor dena........thatz a bad thing infact.........jo ab majority ker rahi hai.......:)

        KHUSH RAHYYE!

        Comment


        • #19
          Re: ek sawal?

          Originally posted by filbahere View Post
          hotey haan lakin wo degrees letay letay borey ho jatay haan and kisi kam key naeen rehtay

          us zamaney main 16 saal ki ummer main log mulk fatah kertay pirtay they and yahan 16 saal main abi metric ker rahey hotey haan and koi un ko kisi kabil naeen samjta

          Comment


          • #20
            Re: ek sawal?

            Originally posted by Nisa* View Post
            tho is mai zimidaar waledain hay naa kia parents kay saath saath teachers ya sociaty bhi zimidaar hay?
            wasalaam....
            whole system of education
            including parents and even childern themself

            at that time , in the age of 15 to 16 they were treated as responsible but not now until 24 to 26
            and this 10 years gap had actually distroyed that
            People should not be afraid of their governments. Governments should be afraid of their people

            Comment


            • #21
              Re: ek sawal?

              Originally posted by Me Here View Post
              Sis apne nice ques raise kiya! :thmbup:

              mere khyal mai insaan ki "SOCH" buhat bara kirdaar ada kerti hai kise bhi mamly mai
              aj kal koi bhi Salahud'din Ayubi ya Mohammad Bin Qasim is lye nahi q k PARENTS ki soch badal gae hai.....
              maine jo 3/4 yrs mai observe kiya wo logoon ki soch ki tabdeeli hai jo buhat teezi se hoi
              ab log burae bhi kerte hain or usko burae samjhe begher..........ye sabse bara weak point hai hamari soch ka
              Most Of the PARENTS r actually being diverted towards Modernism/glamour/western culture........jab unki soch in cheezon ko +ve samajhti hai to obviously they wud like to teach their childern in same way

              + Media.......it also provides a wider way to welcome the DEVIL
              Society mai jo in cheezon ko follow nahi ker raha wo so called BACKWARD hai ( TheMask's view point of Backward)

              according to that i myself want to feel pride as being backward.........q k hamara DEEN backward nahi........or usko chor dena........thatz a bad thing infact.........jo ab majority ker rahi hai.......:)

              KHUSH RAHYYE!
              aap ki baat bilkul sahi hay yeh baat sach hay kay aaj kal log burai kartay bhi hay aur bura bhi nahi mantey aur bilkul media bhi zimidaar hay
              aur last mai aap ney jo kaha 100% hum us ney itifaaq kartay hay
              bahut shukriya
              wasalaam....

              Comment


              • #22
                Re: ek sawal?

                Originally posted by filbahere View Post
                whole system of education
                including parents and even childern themself

                at that time , in the age of 15 to 16 they were treated as responsible but not now until 24 to 26
                and this 10 years gap had actually distroyed that
                hmm aap ki baat bhi sahi hay bilkul
                wasalaam...

                Comment


                • #23
                  Re: ek sawal?

                  Originally posted by Nisa* View Post
                  Brother kia iss mai sociaty ya teachers ka bhi koi kirdaar hay?
                  wasalaam...
                  Sociaty or Teacher ka Bohat Zaida Kirdar Hota Hai Ager Sociaty or Teacher ka koi kirdar na Hota Ho Insan ko kesi Educational Institution ki Zaroorat na-Paish Aati or Na he Insan may koi Karabi Namudar Hoti....

                  Sociaty :
                  Muashra Insan ki Zindagi Per Bohat Aham Asrat Dalta Hai Jesa Muashra Muyasar Hota Hai Insan Ki Aadat or Kiyalat B wesay He Hotey Hain Ager Ba-Iklaq Muashra Milay To Insan Zaida Ter 99% Ba-Iklaq Nikaltey Hain or Ager Bad-Iklaq Muashra Milay To 99% Bad-Iklaq Loog Nikaltey Hain es Ki Taza Tareen Misal Europ ki Sociaty Hai Jis May Parents ki Aqdar Door Door Tak Nazar Nahe Aati Hain Waja Sirf Yehi Hai k Un ka Muashra Darust Nahe Sirf Saf Surtha Mahol Acha Nahe Hota Mahol wo Acha Hota Hai Jahaan Per Iklaq or Iqdar Achey Hotey Hain Us Muashra Kay Log tabi Umda Hotey Hain

                  Teacher :
                  Bohat He Muqadas Peasha Hai Teacher ka Kirdar Bohat Ahmiyat ka Hamil Hai Laki Bad-Qismati Say Hamare Mulk May Teachers ( Degree , Grade ) Kay Pechay Bhagnay Lagay Hain Jis ki waja say Un-Hoon Nay Apne Qadar Kho De Hai or Yehi wo Aasal waja Hai Kay Aj Hum Taraqi Yafta Ki Bajaey Taraqi Pazeer Hotey Chalay Ja Rahey Hain .....Ustad ka Kaam Talib-E-Lam ki Rehnumai kerna Hai na-Kay Usay Already Banay Banai Notes Hath may Thama Dena Kash Humain Ache Teacher Mil Jain or Achey Teacher Humain Usi waqt Muyasar Hoon Gay Jab Hum es Shuba kay Taqadus kay Mutabiq in ko ( Pay ) Dain Gay Humain Teachers ki ( Pay ) Km az km 25000 RS Say Start Rakhni Chaye Or Zaida say Zaida ka Koi Hisab Nahe Hona Chahye Phir Dhekain kesay kesay Qabil Log Nikal a es Maidan may Aaain Gay....

                  Aj Her wo Fard Teacher Hai jo Sociaty Kay Baqi Tamam Idaroon May Nakaam Ho chuka Hai Afsoos Sad Afoos

                  Comment


                  • #24
                    Re: ek sawal?

                    Originally posted by filbahere View Post
                    hotey haan lakin wo degrees letay letay borey ho jatay haan and kisi kam key naeen rehtay

                    us zamaney main 16 saal ki ummer main log mulk fatah kertay pirtay they and yahan 16 saal main abi metric ker rahey hotey haan and koi un ko kisi kabil naeen samjta
                    agree......:blush:

                    hum bhi abhi kuch din paihle maa se kaih rahe the ke in degrees ka kya faydah hai... sochiye ager kul jihad ka ailaan hojaye tu humari degree kis kaam aayegi.. ab hume talwaar ya pistol aur aise hi dosre hatyaar chalana sikhna hai...:khi:just kidding..

                    per aap ne bilkul sahi kaha hai bhai.....:thmbup:

                    Comment


                    • #25
                      Re: ek sawal?

                      Originally posted by ummid View Post
                      agree......:blush:

                      hum bhi abhi kuch din paihle maa se kaih rahe the ke in degrees ka kya faydah hai... sochiye ager kul jihad ka ailaan hojaye tu humari degree kis kaam aayegi.. ab hume talwaar ya pistol aur aise hi dosre hatyaar chalana sikhna hai...:khi:just kidding..

                      per aap ne bilkul sahi kaha hai bhai.....:thmbup:
                      thanx sis
                      wasey pehlay nisa ko samjha raha tha ab app ko
                      don't use the word "hum"
                      People should not be afraid of their governments. Governments should be afraid of their people

                      Comment


                      • #26
                        Re: MUBAHISA: ek sawal?

                        ajj mujay aik bar phir Naplin Bona Pat ki bat yad a rahi hay
                        تیرے جیسی آنکھوں والے جب ساحل پے آتےہیں
                        تو لہریں شور مچاتی ہیں،
                        لو آج سمندر ڈوب گیا ۔


                        ~Mujay Vote Dain~
                        پاکستانی کا خواب

                        Comment


                        • #27
                          Re: ek sawal?

                          Originally posted by TheMask View Post
                          Sociaty or Teacher ka Bohat Zaida Kirdar Hota Hai Ager Sociaty or Teacher ka koi kirdar na Hota Ho Insan ko kesi Educational Institution ki Zaroorat na-Paish Aati or Na he Insan may koi Karabi Namudar Hoti....


                          Sociaty :
                          Muashra Insan ki Zindagi Per Bohat Aham Asrat Dalta Hai Jesa Muashra Muyasar Hota Hai Insan Ki Aadat or Kiyalat B wesay He Hotey Hain Ager Ba-Iklaq Muashra Milay To Insan Zaida Ter 99% Ba-Iklaq Nikaltey Hain or Ager Bad-Iklaq Muashra Milay To 99% Bad-Iklaq Loog Nikaltey Hain es Ki Taza Tareen Misal Europ ki Sociaty Hai Jis May Parents ki Aqdar Door Door Tak Nazar Nahe Aati Hain Waja Sirf Yehi Hai k Un ka Muashra Darust Nahe Sirf Saf Surtha Mahol Acha Nahe Hota Mahol wo Acha Hota Hai Jahaan Per Iklaq or Iqdar Achey Hotey Hain Us Muashra Kay Log tabi Umda Hotey Hain


                          Teacher :
                          Bohat He Muqadas Peasha Hai Teacher ka Kirdar Bohat Ahmiyat ka Hamil Hai Laki Bad-Qismati Say Hamare Mulk May Teachers ( Degree , Grade ) Kay Pechay Bhagnay Lagay Hain Jis ki waja say Un-Hoon Nay Apne Qadar Kho De Hai or Yehi wo Aasal waja Hai Kay Aj Hum Taraqi Yafta Ki Bajaey Taraqi Pazeer Hotey Chalay Ja Rahey Hain .....Ustad ka Kaam Talib-E-Lam ki Rehnumai kerna Hai na-Kay Usay Already Banay Banai Notes Hath may Thama Dena Kash Humain Ache Teacher Mil Jain or Achey Teacher Humain Usi waqt Muyasar Hoon Gay Jab Hum es Shuba kay Taqadus kay Mutabiq in ko ( Pay ) Dain Gay Humain Teachers ki ( Pay ) Km az km 25000 RS Say Start Rakhni Chaye Or Zaida say Zaida ka Koi Hisab Nahe Hona Chahye Phir Dhekain kesay kesay Qabil Log Nikal a es Maidan may Aaain Gay....

                          Aj Her wo Fard Teacher Hai jo Sociaty Kay Baqi Tamam Idaroon May Nakaam Ho chuka Hai Afsoos Sad Afoos
                          bahut khobsurat baatay kahi hay aap ney Mask brother bilkul sach aur waqai mai aisa hay bahut shukriya
                          wasalaam....:)

                          Comment


                          • #28
                            Re: MUBAHISA: ek sawal?

                            Originally posted by Abdul Qudoos View Post
                            ajj mujay aik bar phir Naplin Bona Pat ki bat yad a rahi hay
                            acha Abdul bhai konsi baat aur pehlay kab yaad ai thi woh baat?????
                            wasalaam...:khi:

                            Comment

                            Working...
                            X