Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

extremisam on Both end

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • #16
    Re: extremisam on Both end

    Originally posted by Khalil View Post
    Pakistan kee awam k bary main likhna fazool hay....
    mery khiyal main dunia kee nakami tareen awam hay jisy pata hee nahi apny basic akaid aur hakook aur fraiz ka...
    khalil bhai i m not agree with u
    meree khial main jitnaa potentional pakistanion main hayy shayad hee suniaa kee kisee aoor qoom main aissaa potentional mojjod hoo .....
    hamain sirf aoor sirf right guidence kee zaroorat haii joo badqismatee see Quaid e azam kayy badd nahee milee
    "Can you imagine what I would do if I could do all I can? "

    Comment


    • #17
      Re: extremisam on Both end

      Originally posted by sarfraz_qamar View Post
      Extremism and Roshan Khialee
      sabb see pehlay too hamain yehh dekhnaa hoo gaa kehh yehh donooo pont of views hamaray muasharay main kuun kabb aoor keseee Dakhil haoeyyyyyyyyyyyy
      religious extremism kaa sehraaa Gen Zia Ul Haq koo jataa haiii jiss nayyy Islam kaayy namm parr Afghanistan main USA kee proxy War larnay ke lieyy Jihadd shoooroo kiaaa ....jiss kayy badd pk main jihadies ko bharpoor support kee gaiiii aoor aakhir kaar Religious Extremist wajood main aaieyy
      Roshan Khialee kaa mojad bhee ekk militery Dictaror hee haii yanee Parvezz musharrf ..... egn musharrf nayy bhee apnay iqtadarr koo tool denee aor USA kee khoosh noodee hasil karnay kee lieyy Roshan khialee kee Slogan aijadd kiaaaa.....
      abb agar baghoor jaizaaa liaa jaiiee too yehh donooo point of views USA kee khoosh noodee hasil karnay aorr apnay iqtadar koo tool denee kee lieyy hamaray hukmaranoo nayy istammal kiaaaa.....
      iss sarry chakar main pk muasharraa 2 hissonn main batt karr rehh giaa eik tarff to roshan khial tabqaa haii joo bamushkil 5 persent hoo gaa aoor doosree tarff extremist tabqaa haii yehh bhee bamushkil 5 persent hee hoo gaaa ....inn 2 mukhtalif point of views rakhnay wallay groups nayy baqee 90 persnt Pakistanies koo yarghammal banaa rakhaa haiiiiii .....
      correct but ab yeh 5% ber ker 30 30% ho chuka hay bahi and shayed is sey bi zeada
      People should not be afraid of their governments. Governments should be afraid of their people

      Comment


      • #18
        Re: extremisam on Both end

        Originally posted by filbahere View Post
        peace app ko moashrays sey milta hay
        yeh ho naeen sakta key app dehk rahey hoon moashra kia sey kia ho raha hay and app kaheen main peaceful zindagi guzar raha hoon
        intahii selfish insan ho ga wo jo esi baat kerey ga ya sochay ga

        ( i might be wrong but its my opinion)


        mazhab ka name to dono ley rahey haan
        roshan khiyal bi kehtay haan key dosron ko islam ka asal pata naeen , asal islam to woh hay jo hmm keh rahey haan
        listen to mushraf


        second app ney kaha key in per baat wo log kertay haan jin key pass kernay ko kuch naeen
        i don't understand your point of view i am really sorry
        ager deen ki baat kareen and dawat ki baat kareen , to main keh sakta hoon key meray cousin jo key eng they , my uncle jo key CA haan my teacher jo key university main professor haan , i have always seen them doing dawa as well as their work to earn living and never seen problem in their lifes



        i agree with you, its one side point of view
        but esay log to pehlay bi they , kali behrain to her wakat hoti hi haan
        lakin hamesha un ko hi bora bhala kaha jata hay , sub ko naeen



        explain your point of view clearly

        Muslim society ka true numainda kon hota hay
        lets tell us
        wasey baad asal topic sey hat rahi hay pir bi



        ***app ko yaad ho ga us wakat wo cheeze chand jamatoon tak hi mehdood thee
        don't u agree, amm insan us sey la taluk they
        but now it is not


        correct

        ***I think u didnt get my point..ham ne ye kaha tha k hamare leaders jis behas mein parre hain aik aam Pakistani k liye woh itni eham nahi jitna uss k liye muaashre mein aman hai aur zahir hai society mein peace tabhi hota hai jab leaders Behas baraye behas na karen bulkey muaashre ki behtri k liye amli qadam uthanyen. ham ne her giz ye nahi kaha k aik aam Pakistani Selfish ho ker sochta hai. ham ne kaha woh Peace CHAHTA hai ye nahi kaha k peaceful life guzar RAHA hai. I hope I hv made my point now


        *** ham ne bhi yehi kaha tha k dono fareeqain Exploit ker rahe hain aik nazrye ko



        *** aap ki misalen apni jaga bilkul sahi hain. ye log apni individual lives mein aik achha kaam ker rahe hain aur yehi behter tareeqa hai.ALLAH(SWT) unn ko jaza dey lakin ham ne APNE LEADERS ki baat ki thi. aap plz aik baar phir hamari post dekh lijiye. aur hamare jitne bhi leaders hain chahe woh Conservatives hain ya Progressive sab aasooda back ground se aage aaye hain.


        *** Ghiyun k sath ghun pista hai Bro aur aik baat ye k ham her giz her giz ye nahi keh rahe k ye achha ho raha hai. jo log asal fitna phaila rahe hain woh tou bache rehte hain aur mare ghareeb tulbaa ya aam worker jate hain aur es se barra almiya aur koi nahin.


        *** aap ne hamare aik point ko dou parts mein divide ker diya. jis baat ki aap ne explanation mangi it's there in the very next line jis ko aap ne separately quote kiya hai :)
        aur again u didnt really get what I said.. ham ne kaha k kiya hamare aaj k ULMA(akseriyat) aik Muslim Society k Numainda kehlane k qabil hain??? ham ne ye nahi kaha k Ulma Muslim society ko represent nahi ker sakte.

        aur inn sab baton ka sirf aik maqsad tha k majority (plz mind it ham ne majority kaha hai Sab nahi) of Ulma hv lost their track



        *** chahe chand jamaten he sahi lakin woh shakhs jis ka wasta kisi esi he jamaat se parra ho ham kese uss se expect karen k woh sab ko esa na samjhe.
        phir ye k Media Explosion k daur mein ham kisi chhoti si baat se bhi awam ko la-taaluq ya la-ilm nahi rakh sakte

        ***thnkoo k aap ko hamara aik point tou correct laga :)
        khush rahye



        "All I have learned from Life is that I know nothing."




        Comment


        • #19
          Re: extremisam on Both end

          Originally posted by sarfraz_qamar View Post
          khalil bhai i m not agree with u
          meree khial main jitnaa potentional pakistanion main hayy shayad hee suniaa kee kisee aoor qoom main aissaa potentional mojjod hoo .....
          hamain sirf aoor sirf right guidence kee zaroorat haii joo badqismatee see Quaid e azam kayy badd nahee milee
          yaar main to kasam sy tang agia hun....
          mujy aisa pakistan nahi chayee.
          Koi elam nahi koi research nahi koi anovation nahi koi kamm hee nahi...
          dunia ka kharab treen mulk hay yeh...I hate this system.

          Comment


          • #20
            Re: extremisam on Both end

            Originally posted by sarfraz_qamar View Post
            eik tarff to roshan khial tabqaa haii joo bamushkil 5 persent hoo gaa aoor doosree tarff extremist tabqaa haii yehh bhee bamushkil 5 persent hee hoo gaaa ....inn 2 mukhtalif point of views rakhnay wallay groups nayy baqee 90 persnt Pakistanies koo yarghammal banaa rakhaa haiiiiii .....
            agreed. this is what I say. this is a battle b/w two schools of thought who don't have many to follow them. 90% of population is just fed up of these fights
            Last edited by Gul-e-Lala; 7 May 2007, 22:27.
            "All I have learned from Life is that I know nothing."




            Comment


            • #21
              Re: extremisam on Both end

              Originally posted by sarfraz_qamar View Post
              khalil bhai i m not agree with u
              meree khial main jitnaa potentional pakistanion main hayy shayad hee suniaa kee kisee aoor qoom main aissaa potentional mojjod hoo .....
              hamain sirf aoor sirf right guidence kee zaroorat haii joo badqismatee see Quaid e azam kayy badd nahee milee
              i agree with you Mask
              and one more thing i want to add
              jo proper ulmaa pehlay they ya ab hain , main ney un main kabi bi counter per counter arguments kertay naeen dekha
              aik add dafa apni baat bataeen gay, aik aad iteraz ka jowab deen gay , pir khamosh ho jaeen gay

              see Tariq jamil sahib , Dr Israr sahib Dr zakir nayak and many more

              lakin mostly aj kal hmm jo log dehktay haan wo gussay key nateejay main islam main aa rahey haan to counter roshan kheali and Bush polices , and yeh log real ulma key mokabley main kafi zeada shidad pasand bi haan
              don't you agree with me
              People should not be afraid of their governments. Governments should be afraid of their people

              Comment


              • #22
                Re: extremisam on Both end

                Originally posted by Khalil View Post
                Pakistan kee awam k bary main likhna fazool hay....
                mery khiyal main dunia kee nakami tareen awam hay jisy pata hee nahi apny basic akaid aur hakook aur fraiz ka...
                ham log esi Gerneralisations nahi de sakte. Pakistani awam na tou bay-kaar hai na nakami. kabhi aap ne dekha hai k dard apni inthaa per pohnchta hai tou waqti taur per sab hisen senseless ho jati hain. hamari kaum picchle kuch arse se esi phase se guzer rahi hain but Defining moment is appraoching.
                "All I have learned from Life is that I know nothing."




                Comment


                • #23
                  Re: extremisam on Both end

                  Originally posted by Gul-e-Lala View Post
                  ham log esi Gerneralisations nahi de sakte. Pakistani awam na tou bay-kaar hai na nakami. kabhi aap ne dekha hai k dard apni inthaa per pohnchta hai tou waqti taur per sab hisen senseless ho jati hain. hamari kaum picchle kuch arse se esi phase se guzer rahi hain but Defining moment is appraoching.
                  Defining moment yeh buhat dafa ai hian pakisan kee tareekh main but all in vain.

                  belive karian main rozana logon k chehry dekhta hun sab k sab murjay hui hay kasam sy khoon k ansoon rony ko dil karta hay...
                  aisa lagta hy k hum yehan per qaidi hay..
                  na saaf paani na bijli na gas na roti kapra makan.
                  hum 3rd world nahi hum to 300 world main rehty hain
                  :khi:

                  Comment


                  • #24
                    Re: extremisam on Both end

                    Originally posted by filbahere View Post
                    to kia pehlay esay wakiat hotey they jesay ab ho rahey haan
                    naeen na
                    tarzey amal main farak keeon aa raha hay
                    kabi socha

                    roshan khiyal kabi honey hi naeen deen gay
                    keeon key islam aa gia to in ka wajood khatarey main par jaey ga


                    correct
                    baat yeh hay key sub apney app ko 100% correct samjtay haan jab key 100% correct koi bi naeen hota
                    ab dekhain
                    musharaf bi logon ko islam perhaney lag gi hay
                    key wo islam naeen , jo wo log kehtay haan , jo main kehta hoon wo asal islam hay
                    hamari qoom to hay hi jazbati
                    nateeja log gussay hotey haan and dosri taraf ho jatey haan

                    wasey i personally believe ( i might be wrong ) key yeh dandora petna rok deen to log khud hi chup ker jaeen gay

                    pehlay in madrassah waloon ko pochta kon tha
                    lakin rohshan khealon ney shor macha macha ker in ko agey kia hay
                    don't you agree
                    " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

                    Comment


                    • #25
                      Re: extremisam on Both end

                      Originally posted by Gul-e-Lala View Post
                      u might be quite right lakin aik aam Pakistani k liye shayed Roshan Khyali aur Mazhabi intha pasandi k differences per Intellectually sochna itna zaroori na ho jitna eham uss k liye aik peaceful zindagi guzarna hai... ye Nazeryaat ki SO called jang aur Behas pait bharre ki batein hain aur hamari society mein unhi logon k dil mein kaum ka dard jagta hai jin k pass aur kuch kerne ko nahi hota..so ya tou woh Rosahn Khyali ka perchaar kerte hain ya Mazhab ki aarr lete hain

                      jahan tak baat rahi k kuch saalon pehley tou esa kuch nahi tha tou shore tab he machta hai jab jaan shikanje mein aati hai.. aaj ager Madrassahs aur Mazhabi Taleem ko nishana banaya ja raha hai tou es ki waja bhi yehi hai k kuch logon ne es field ko es buri tarah exploit kiya hai k ab un ki waja se Genuine Islami taleemi idare bhi nishana ban gaye hain..

                      es ka matlab her giz ye nahi hai k ham Roshan Khyali ko goodie good keh rahe hain. ham aik Muslim country hain aur mojooda roshan khyali hamari society ko deterioration ki taraf le ja rahi hai lakin indirectly es ka credit bhi hamare naam nihaad Ulma ko jata hai. Ulma ka kirdar muashrey ki Ikhlaqi aur Shaoori development mein hisa lena hai na k siyasat mein medan maarne ka.. muaazrat aur afsos k sath aaj k Ulma mein 90% se zayada esay hain k woh kisi taur per khud ko Muslim Society ka true numainda nahi keh sakte...

                      ye mat kehye k ye sab kuch ab hua hai. haalat kuch saal pehle bhi esay he thay farq sirf itna hai k ab uss extremism k samne aik niya fitna Roshan Khyali k naam se sir utha chuka hai..ham ne khud apni aankhon se woh jaghen dekhi hain jahan Islam k naam per bani tanzeemen logon ko SABQ sikhane ki practice kerti thein so halaat hamesha se esay thay bus high light ab huwe hain..
                      aur ab bhi hamare naam nihaad leaders dono extremes ka dhandoora peet ker apna faida hasil ker rahe hain..awam ki bhalae kisi ginti mein nahi hai

                      again aaj ki Anaarki ki waja ham logon ka extremist hona hai.
                      :thmbup:
                      " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

                      Comment


                      • #26
                        extremism??

                        assallam_u_allaikum.
                        kuch days pehlay aik thread start hua tha
                        ''extremism on both sides''.main woh thread nahi per saka busy honay ki wajah say lakin kal raat perha tha.
                        kuch nay madrissaz ka ilzam tehraya awr yeh baat bhee kahi gai keh
                        ''roshen khiali madrisson ki wajah say wajood main aye''.
                        mera aik swal hy keh hum log khtay hain keh
                        ''madrissay walay inteha passand hain''.
                        jamia haszah kay siwae jab say pakistan bana hay us waqt say aaj tak mujhay kisi aik aisay madrissay kay baray main bataya jay jis nay extremism ka perchar kiya ho.
                        kiwnkeh roshan khiali ki inteha passandi hum sab ko buhat wazeh nazar aa rahi hai is liyae is liyae sirf maddrisson ki inteha passandi per baat ki jay.
                        main napna swal phir repeat karta hon keh
                        ''jamia haszah kay siwae jab say pakistan bana hay us waqt say aaj tak mujhay kisi aik aisay madrissay kay baray main bataya jay jis nay extremism ka perchar kiya ho.????????????
                        sigpic

                        Comment


                        • #27
                          Re: extremism??

                          Originally posted by suffard View Post
                          mujhay kisi aik aisay madrissay kay baray main bataya jay jis nay extremism ka perchar kiya ho.????????????
                          Jamia Hafsa (R.A) Nay Haq Baat ki to Wo Hamare liye Kuch Niya Tha or usay Hum nay ( Intiha-Pasandi ) Ka Naam Dey ker us per Kali-Zarb Laga Di Afsoos Saad Afsoos Kay Aj Haq Baat Kehnay waloon ko ( intiha Passand ) Kaha janay laga hai or bohat Afsoos us waqt jab ( Deeni-Madaris ) Kud un kay Kilaf Ho Gay Hain Toba Hai Yeh woi Waqt Nahe jis Kay Barey May ( Hadis Shareef ) Hai kay ( Ulma Apne Baat per Kud Aamal Nahe Kerain gay ) Kia Yeh woi waqt Nahe Aan Pouncha ?

                          Comment


                          • #28
                            Re: extremism??

                            bilkul sahi kaha mask bhi
                            mujhay zara dosray hazrat kay views sunnay dain.jo log ghar bhaitay apni ray kaim kar laitay hain....
                            sigpic

                            Comment


                            • #29
                              Re: extremism??

                              thread ko merge ker dena chayeh jab pehlay hi yeh topic chal raha hay
                              is ki aleda koi zaroroat naeen hay
                              People should not be afraid of their governments. Governments should be afraid of their people

                              Comment


                              • #30
                                Re: extremisam on Both end

                                Originally posted by yellowsky View Post
                                1- chalein maan leytey hein key Roshan khayali ney MaddrassoN ko ziada expose kiya tha....
                                have you ever visited any maddrassa
                                naeen na
                                baat pir woi hay key pehlay keeon naeen her madrassah ko mordey ilzam tehraya jata tha
                                jab sey british government ney musharaf ko kaha tab sey madrassah borey keeon ho gay
                                do you have ever think about that
                                naeen na

                                2-ye baat sahih hai key sab kehtey hien key hum sahih hain saamney wala ghalt hai..........aeysa hota hia ...ye mey maanti hun....
                                hmmm
                                Deykhein Musharraf ko kyun zaroorat perhi logon ko Islam perhaaney ki??
                                is ka jowab app bi janti haan key Bush ney mush ko kaha key muslim islam ko naeen samjtay , wo jo batey wo logon ko bataoo keeon key woi asli islam hay
                                don't you agree , kia esa naeen hoa
                                ....aap ko pata hai Pakistan mey jab log Islam per baat kertey hein to kitney sakht lahjey mey baat kertey hein
                                to kabi app ney dekha key un key khilaf jo baat kertay haan wo kis lehjay main baat kertay haan
                                action ka reaction hota hay key naeen
                                kia app is law ko naeen manteen
                                why you want to see only one side of picture

                                yeh bechary to sirf zaban ki hath tak sakt ho rahey haan and un ko app mordey ilzam tehra rahi haan , but app kia kaheen geen jab
                                un key bachoon per , un key khandanoon per air force sey bombari kerwa di jati haay
                                kia app ney kabi khabrain naeen pereen
                                mujeh yeh bata dia jaeey , key app key gher waloon ko goli mar di jaey and app gusay bi na hoon , is it possible humanly
                                naeen na

                                hmm reaction kernay waloon ko to bura kehtay haan lakin yeh naeen sochtay key wo reaction keeon ker rahey haan

                                ....
                                hamein aeysey scholars chahiyeiN (Alhumdulillah abhi bohot achey log hein jaisey Dr. Zakir Naik, Dr. israr Ahmed, Dr. tariq jamil etc etc) jo key deen ko sahih context mey btatey hein ....aur yehi hamein chahiye.....inshAllah
                                Allah karey
                                People should not be afraid of their governments. Governments should be afraid of their people

                                Comment

                                Working...
                                X