Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

extremisam on Both end

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • extremisam on Both end

    Asalam-0-Alikum
    kaafi dinoon sey main aik baat soch raha tha socha app sey share karoon and app ki rahee loon

    extreme secular "Roshan Khial" logon ki waja sey hamara muashra
    2 hisoon main batta ja raha hay
    pakistan key ander 2 nazriaya zoor pakar rahey haan

    1. extreme Secular (fahashi etc)
    2. extreme islamist

    dono taraf sey aik hi baat ki jati hay "My way or high way" wo baat jo Bush ney shorow ki thee

    pehlay bi hamary mulk main madrassah they , islam per sahkti sey ammal kernay waley theey
    pehlay to yeh log , mulk dushman , terrorist wagera naeen khelatay they and na hi is tarah ki harkateen kertay they

    lakin in extreme secular logon ki waja sey
    muashra divide ho raha hay

    neutral logon ko bi aik side leni per rahi hay
    and this is growing bigger and bigger
    yeh cheeze hmm ko kis taraf lay jaeey gi

    what are your point of view
    People should not be afraid of their governments. Governments should be afraid of their people

  • #2
    Re: extremisam on Both end

    exactly!

    mey ney pehley bhi yaheeN kaheen mention kiya tha key hamara sab sey barha massla hi yahi key Roshan khayal hain to wo bhi extreme had tak aur jo Maddrassey hein wo bhi extreme pey hein ....jab key islam hamein Miyana rawi ki taleem deyta hai .....jo key hamarey haan nazr hi nahi aati hai ..... :donno:
    " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

    Comment

    • #3
      Re: extremisam on Both end

      Originally posted by yellowsky View Post

      lakin baat yeh hay key pehlay madrassah waley bi itnay extreme naeen they
      55 saal sey wo yahan they , koi problem naeen tha , lakin ab in main extremisam bi barh raha hay

      meray kehal main ager yeh roshan khiali ka dandora petna khatam ker dia jaey to dobara sub log neutral ho jaeen gay

      yahi sub ko extremisam ki taraf kench raha
      app ka kia kheal hay
      People should not be afraid of their governments. Governments should be afraid of their people

      Comment

      • #4
        Re: extremisam on Both end

        Originally posted by filbahere View Post

        dono hi equally responsible hein...........aur Ziada Responsible mey madrassoN ko tehraoN gi ya simply un logon ko jo key bohot ghalt tareekey sey Islam ki tableegh kertey hein

        agar Islam hamari real life bhi waisa hi nazar aye jaisey key kitaboN mey nazar ata hai to ye so called Roshan KhiyaloN ka wajood kabhi bhi na aata

        aur hum PakistaniyoN key sath aik aur barha massla ye bhi hai key hum choti choti baatoN ko issue bana deytey hein..........massloN ko suljhaney key bajaye Uljhaney mey ziada deyhan deytey hein.........
        " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

        Comment

        • #5
          Re: extremisam on Both end

          Originally posted by yellowsky View Post
          dono hi equally responsible hein...........aur Ziada Responsible mey madrassoN ko tehraoN gi ya simply un logon ko jo key bohot ghalt tareekey sey Islam ki tableegh kertey hein
          to kia pehlay esay wakiat hotey they jesay ab ho rahey haan
          naeen na
          tarzey amal main farak keeon aa raha hay
          kabi socha
          agar Islam hamari real life bhi waisa hi nazar aye jaisey key kitaboN mey nazar ata hai to ye so called Roshan KhiyaloN ka wajood kabhi bhi na aata
          roshan khiyal kabi honey hi naeen deen gay
          keeon key islam aa gia to in ka wajood khatarey main par jaey ga

          aur hum PakistaniyoN key sath aik aur barha massla ye bhi hai key hum choti choti baatoN ko issue bana deytey hein..........massloN ko suljhaney key bajaye Uljhaney mey ziada deyhan deytey hein.........
          correct
          baat yeh hay key sub apney app ko 100% correct samjtay haan jab key 100% correct koi bi naeen hota
          ab dekhain
          musharaf bi logon ko islam perhaney lag gi hay
          key wo islam naeen , jo wo log kehtay haan , jo main kehta hoon wo asal islam hay
          hamari qoom to hay hi jazbati
          nateeja log gussay hotey haan and dosri taraf ho jatey haan

          wasey i personally believe ( i might be wrong ) key yeh dandora petna rok deen to log khud hi chup ker jaeen gay

          pehlay in madrassah waloon ko pochta kon tha
          lakin rohshan khealon ney shor macha macha ker in ko agey kia hay
          don't you agree
          People should not be afraid of their governments. Governments should be afraid of their people

          Comment

          • #6
            Re: extremisam on Both end
            Usman waqi Yeh Sab Ho Raha Hai Lakin Hamare Bad-Bakti Hai Kay Hum Sirf Pakistan ka Mutalia ker kay orooon say es ka Muazna kertay hain Kash hum Oroon ka mutalia B kerain or un ki mujoda Halat ko Dhekain or Apne Mujoda Halat b Dhekain tab acha natija nikalta Hai.....

            Europ May Log Apne Apne Mazhab say Bilkul Na-Ashna Hain jis ka natija Yeh Nikla uder Boy Boy say Girl Girl say Shadi ker Rahi Hai parents ko Bhoj samja Jata hai Mazhabi Doori nay un logoon ko Be-chain o Pareshan or Iztirab may dal rakha hai ager Kuda na Kuwasta aisa eider howa to jo hal aj un ka hai kal hamara ho jay ga

            Comment

            • #7
              Re: extremisam on Both end

              Originally posted by TheMask View Post

              yaar wasey ab tak main ney jitna dekha hay
              wahan europe key muslim ya to deen sey bilkul begana hotay haan ya
              pir bohat sakti sey amal kertay haan , hmm sey bi zeada

              lakin is thread main Pakistan key halat ki baat ker raha tha main
              People should not be afraid of their governments. Governments should be afraid of their people

              Comment

              • #8
                Re: extremisam on Both end

                Originally posted by filbahere View Post
                yaar wasey ab tak main ney jitna dekha hay
                wahan europe key muslim ya to deen sey bilkul begana hotay haan ya
                pir bohat sakti sey amal kertay haan , hmm sey bi zeada

                lakin is thread main Pakistan key halat ki baat ker raha tha main
                Humain Allah kay Agay Dua-Goo Hona Chaye Kay Allah Hamare Ander Mufti Taqi Usami + Doctor Mulana Tariq Jamil Jesay Ulma mazeed Paida Keray or in kay samit in jesay Hazaroon Ulma or Muslims ko Lambi Zibdage Day jo Humain Bheter Tareqa k sath Mushkilat say Nikal sakain ......

                es waqt Humain in jesay Logoon ki Shahdeed zaroorat hai

                Comment

                • #9
                  Re: extremisam on Both end

                  Beshak , Ameen
                  People should not be afraid of their governments. Governments should be afraid of their people

                  Comment

                  • #10
                    Re: extremisam on Both end

                    jee aur ham hamesha yehi sochte aur kehte hain k aakhir hamari kaum itni etremist aur jazbati kyun ho jati hai. zati muamlat se le ker kaumi mas'alon tak ham log extremist nahi hain tou kiya hain.
                    baat sirf itni hai k ham logon ki psyche esi ban chuki hai k joshakhsi aazadi ko ham zati azadi k maane mein lete hain aur doosron per apne nazriyat thonsna hamara nasb ul ain ban chuka hai. aap jis aqeedey ya maslak se ho ya aap jis tarah ki zindagi guzarte ho ager wo hamare nazrye k mutabiq nahi ya uss mein hamara koi mafad nahi tou yaqeenan ham uss ko bay rah rawai ka naam dene mein haq bajanib hain. ager aap k pass woh sab hai jo hamare pass nahi tou aap hamare nazdeek mujrim hain. bus ye hai hamari kaum ka almiya. ham extremist hain aur aik lamhe ko bhi nahi sochte k ISLAM ne hamesha Miyana-Rawi ka dars diya hai. aur es Miyana Rawi aur Aitdaal mein he zindagi ka asal husn hai.

                    ham log kiya ker rahe hain es k liye ye aik exapmle he kafi hai.

                    courtesy|; Daily Jang

                    I mean how disgusting this is to ask a Muslim to embrace Islam again. ham ne jab se ye news dekhi hai yehi soch rahe hain k es siuation mein uss family ki feelings kiya hon gi.
                    yehi nahi esi bhot si examples hain j jin ko dekhne aur sun'ne k baad ham yehi sochte hain k akhir ham log kab track badlen gey
                    Last edited by Gul-e-Lala; 7 May 2007, 11:28.
                    "All I have learned from Life is that I know nothing."

                    Comment

                    • #11
                      Re: extremisam on Both end

                      Originally posted by Gul-e-Lala View Post

                      lakin app ney kabi socha ajj sey 5 ,6 saal pehlay tak esa naeen tha
                      ab keeon ho gia hay
                      jab tak rohasan khiali ka dandora naeen peeta gia tha , to is tarah key wakiat naeen hotay they
                      kia is dandoray ki waja sey dosron ko ishtial naeen dilaya ja raha
                      People should not be afraid of their governments. Governments should be afraid of their people

                      Comment

                      • #12
                        Re: extremisam on Both end

                        u might be quite right lakin aik aam Pakistani k liye shayed Roshan Khyali aur Mazhabi intha pasandi k differences per Intellectually sochna itna zaroori na ho jitna eham uss k liye aik peaceful zindagi guzarna hai... ye Nazeryaat ki SO called jang aur Behas pait bharre ki batein hain aur hamari society mein unhi logon k dil mein kaum ka dard jagta hai jin k pass aur kuch kerne ko nahi hota..so ya tou woh Rosahn Khyali ka perchaar kerte hain ya Mazhab ki aarr lete hain

                        jahan tak baat rahi k kuch saalon pehley tou esa kuch nahi tha tou shore tab he machta hai jab jaan shikanje mein aati hai.. aaj ager Madrassahs aur Mazhabi Taleem ko nishana banaya ja raha hai tou es ki waja bhi yehi hai k kuch logon ne es field ko es buri tarah exploit kiya hai k ab un ki waja se Genuine Islami taleemi idare bhi nishana ban gaye hain..

                        es ka matlab her giz ye nahi hai k ham Roshan Khyali ko goodie good keh rahe hain. ham aik Muslim country hain aur mojooda roshan khyali hamari society ko deterioration ki taraf le ja rahi hai lakin indirectly es ka credit bhi hamare naam nihaad Ulma ko jata hai. Ulma ka kirdar muashrey ki Ikhlaqi aur Shaoori development mein hisa lena hai na k siyasat mein medan maarne ka.. muaazrat aur afsos k sath aaj k Ulma mein 90% se zayada esay hain k woh kisi taur per khud ko Muslim Society ka true numainda nahi keh sakte...

                        ye mat kehye k ye sab kuch ab hua hai. haalat kuch saal pehle bhi esay he thay farq sirf itna hai k ab uss extremism k samne aik niya fitna Roshan Khyali k naam se sir utha chuka hai..ham ne khud apni aankhon se woh jaghen dekhi hain jahan Islam k naam per bani tanzeemen logon ko SABQ sikhane ki practice kerti thein so halaat hamesha se esay thay bus high light ab huwe hain..
                        aur ab bhi hamare naam nihaad leaders dono extremes ka dhandoora peet ker apna faida hasil ker rahe hain..awam ki bhalae kisi ginti mein nahi hai

                        again aaj ki Anaarki ki waja ham logon ka extremist hona hai.
                        "All I have learned from Life is that I know nothing."

                        Comment

                        • #13
                          Re: extremisam on Both end

                          Originally posted by Gul-e-Lala View Post
                          u might be quite right lakin aik aam Pakistani k liye shayed Roshan Khyali aur Mazhabi intha pasandi k differences per Intellectually sochna itna zaroori na ho jitna eham uss k liye aik peaceful zindagi guzarna hai...

                          peace app ko moashrays sey milta hay
                          yeh ho naeen sakta key app dehk rahey hoon moashra kia sey kia ho raha hay and app kaheen main peaceful zindagi guzar raha hoon
                          intahii selfish insan ho ga wo jo esi baat kerey ga ya sochay ga
                          ( i might be wrong but its my opinion)

                          ye Nazeryaat ki SO called jang aur Behas pait bharre ki batein hain aur hamari society mein unhi logon k dil mein kaum ka dard jagta hai jin k pass aur kuch kerne ko nahi hota..so ya tou woh Rosahn Khyali ka perchaar kerte hain ya Mazhab ki aarr lete hain
                          mazhab ka name to dono ley rahey haan
                          roshan khiyal bi kehtay haan key dosron ko islam ka asal pata naeen , asal islam to woh hay jo hmm keh rahey haan
                          listen to mushraf

                          second app ney kaha key in per baat wo log kertay haan jin key pass kernay ko kuch naeen
                          i don't understand your point of view i am really sorry
                          ager deen ki baat kareen and dawat ki baat kareen , to main keh sakta hoon key meray cousin jo key eng they , my uncle jo key CA haan my teacher jo key university main professor haan , i have always seen them doing dawa as well as their work to earn living and never seen problem in their lifes

                          jahan tak baat rahi k kuch saalon pehley tou esa kuch nahi tha tou shore tab he machta hai jab jaan shikanje mein aati hai.. aaj ager Madrassahs aur Mazhabi Taleem ko nishana banaya ja raha hai tou es ki waja bhi yehi hai k kuch logon ne es field ko es buri tarah exploit kiya hai k ab un ki waja se Genuine Islami taleemi idare bhi nishana ban gaye hain..
                          i agree with you, its one side point of view
                          but esay log to pehlay bi they , kali behrain to her wakat hoti hi haan
                          lakin hamesha un ko hi bora bhala kaha jata hay , sub ko naeen
                          es ka matlab her giz ye nahi hai k ham Roshan Khyali ko goodie good keh rahe hain. ham aik Muslim country hain aur mojooda roshan khyali hamari society ko deterioration ki taraf le ja rahi hai lakin indirectly es ka credit bhi hamare naam nihaad Ulma ko jata hai.
                          explain your point of view clearly
                          Ulma ka kirdar muashrey ki Ikhlaqi aur Shaoori development mein hisa lena hai na k siyasat mein medan maarne ka.. muaazrat aur afsos k sath aaj k Ulma mein 90% se zayada esay hain k woh kisi taur per khud ko Muslim Society ka true numainda nahi keh sakte...
                          Muslim society ka true numainda kon hota hay
                          lets tell us
                          wasey baad asal topic sey hat rahi hay pir bi

                          ye mat kehye k ye sab kuch ab hua hai. haalat kuch saal pehle bhi esay he thay farq sirf itna hai k ab uss extremism k samne aik niya fitna Roshan Khyali k naam se sir utha chuka hai.ham ne khud apni aankhon se woh jaghen dekhi hain jahan Islam k naam per bani tanzeemen logon ko SABQ sikhane ki practice kerti thein so halaat hamesha se esay thay bus high light ab huwe hain..
                          app ko yaad ho ga us wakat wo cheeze chand jamatoon tak hi mehdood thee
                          don't u agree, amm insan us sey la taluk they
                          but now it is not
                          aur ab bhi hamare naam nihaad leaders dono extremes ka dhandoora peet ker apna faida hasil ker rahe hain..awam ki bhalae kisi ginti mein nahi hai

                          again aaj ki Anaarki ki waja ham logon ka extremist hona hai.
                          correct
                          People should not be afraid of their governments. Governments should be afraid of their people

                          Comment

                          • #14
                            Re: extremisam on Both end

                            Pakistan kee awam k bary main likhna fazool hay....
                            mery khiyal main dunia kee nakami tareen awam hay jisy pata hee nahi apny basic akaid aur hakook aur fraiz ka...

                            Comment

                            • #15
                              Re: extremisam on Both end

                              Originally posted by filbahere View Post
                              Asalam-0-Alikum
                              kaafi dinoon sey main aik baat soch raha tha socha app sey share karoon and app ki rahee loon

                              extreme secular "Roshan Khial" logon ki waja sey hamara muashra
                              2 hisoon main batta ja raha hay
                              pakistan key ander 2 nazriaya zoor pakar rahey haan

                              1. extreme Secular (fahashi etc)
                              2. extreme islamist

                              dono taraf sey aik hi baat ki jati hay "My way or high way" wo baat jo Bush ney shorow ki thee

                              pehlay bi hamary mulk main madrassah they , islam per sahkti sey ammal kernay waley theey
                              pehlay to yeh log , mulk dushman , terrorist wagera naeen khelatay they and na hi is tarah ki harkateen kertay they

                              lakin in extreme secular logon ki waja sey
                              muashra divide ho raha hay

                              neutral logon ko bi aik side leni per rahi hay
                              and this is growing bigger and bigger
                              yeh cheeze hmm ko kis taraf lay jaeey gi

                              what are your point of view
                              Extremism and Roshan Khialee
                              sabb see pehlay too hamain yehh dekhnaa hoo gaa kehh yehh donooo pont of views hamaray muasharay main kuun kabb aoor keseee Dakhil haoeyyyyyyyyyyyy
                              religious extremism kaa sehraaa Gen Zia Ul Haq koo jataa haiii jiss nayyy Islam kaayy namm parr Afghanistan main USA kee proxy War larnay ke lieyy Jihadd shoooroo kiaaa ....jiss kayy badd pk main jihadies ko bharpoor support kee gaiiii aoor aakhir kaar Religious Extremist wajood main aaieyy
                              Roshan Khialee kaa mojad bhee ekk militery Dictaror hee haii yanee Parvezz musharrf ..... egn musharrf nayy bhee apnay iqtadarr koo tool denee aor USA kee khoosh noodee hasil karnay kee lieyy Roshan khialee kee Slogan aijadd kiaaaa.....
                              abb agar baghoor jaizaaa liaa jaiiee too yehh donooo point of views USA kee khoosh noodee hasil karnay aorr apnay iqtadar koo tool denee kee lieyy hamaray hukmaranoo nayy istammal kiaaaa.....
                              iss sarry chakar main pk muasharraa 2 hissonn main batt karr rehh giaa eik tarff to roshan khial tabqaa haii joo bamushkil 5 persent hoo gaa aoor doosree tarff extremist tabqaa haii yehh bhee bamushkil 5 persent hee hoo gaaa ....inn 2 mukhtalif point of views rakhnay wallay groups nayy baqee 90 persnt Pakistanies koo yarghammal banaa rakhaa haiiiiii .....
                              "Can you imagine what I would do if I could do all I can? "

                              Comment

                              Working...
                              X