Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

MUbahisa : Sports Culture in Pakistan ??

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • #16
    Re: MUbahisa : Sports Culture in Pakistan ??

    Originally posted by filbahere View Post
    mawaqah us wakat miltay haan jab support kernay waloon ko support bi ho and jazba bi ho , kisi aik ki kami sub kuch khatam ker deti hay

    yahan mujeh app sey torah sa iktalaf hay
    app ney kaha key sport sey jo kuch sekha wo practical life main kam aa raha hay
    yahin pay problem hay, hmm log kabi sports ko bi practical naeen samjtay
    hmm hamesha yahi samjtay haan key jo hmm 20 sey 30 k ki job kareen gay woi practicale life hay and sports naeen hay
    kia app key khial main log esa hi naeen soch rahey
    sports ko bilkul aik bikar non practical cheeze samjtay
    app ney to chaloo us sey koi faida uttaya
    bohat sey log esay bi haan jinoon ney itni zehmat bi gowara naeen ki key us sey kuch faida uttya jaey

    now you got my point
    see key hmm sub ki apni apni kabliat hoti hay
    kuch studies main acchay hotey haan
    kuch sports main
    and very few both main

    lakin hamary muashray ney sub ko sirf o sirf studies per laga dia hay
    jo studies main bohat acchay they wo to kamayab ho gaey
    jin ko zabardasti sports sey alag ker key studies main laey
    wo degrees yafta to ho gaey
    lakin pir pehlay wo job ki talash main marey marey pirtay rahey
    job mili bi to 20 to 30 thousand key liya sari life kharab
    bus donkey ki tarah chup chap lagey raheen gay
    na koi interest na kuch bus life guzarni hay so job ker rahey haan
    and nothing else

    is ki jaga ager wo sports men ya women hotey to life enjoy bi kertay and pesa bi banatey and sub sey zeada apni life sey khush hotey

    kia app esa mehsoos naeen kerteen
    ---------------------------------------
    ab dehkain ager waldein nay chaa hota key app jitni necessary taleem hay wo to laeen lakin ager app sports main khushi hasil kerti haan and app ka talent hay to app us ko professionally apnaeen
    to ho sakta tha key ajj sey zeada khush hoteen
    and financially strong bi shahyed zeada hoteen

    lakin yeh hamaray waldein ,muashray ka kasoor hay key yehan nokari ko to zeada ahmiyat di jati hay , lakin sports ko naeen

    i don't think so

    india main dehkain wahan halat badal rahey haan
    app key samney sania mirza ki misal hay, sirf waldein ney sport kia to us makam per aa gai jo porey country main kisi mard ko bi naeen mila

    hamary muashray main faishon designer , faishon artist to log ban rahey haan lakin sports ki taraf koi naeen ata keeon key us main competition hota hay and yahan kuch naeen

    ager meray bus main ho to main in sey bi faida uttaoon , for example aik competion rakwaya jaey key esa dress tear karo jo key girls key liya hijab bi pora kareey and sports main hisa letay wakat unconfortable bi na ho

    hamary haan faishon designors wagera sirf uriani ka to sochtay haan lakin kabi koi productive kam naeen kertay

    mera apna kafi conservative gheraney sey taluk hay ,bohat si larkian sports main ana chati haan lakin , wo hijab bi chorna naeen chatieen
    to yeh jo itney faishon designer bantey haan , esa hijab keeon naeen banatey key jab girls kehlain to log un key khel ko dekain na key girls ko

    kher baat kahan sey kahan chali gai

    ager sirf waldein is tarah sochna shorow ker dain
    to main keh sakta hoon , financer bi aeen agy and halat bi badlien gay
    baat sirf yeh hay key log
    sports ko practicle samjna shorow to kareen
    Mujhay ittefaq hai aap say.Soch ko badalna zaroori hai.Hamaray haan logon nay music ko to profession kay tor per apnaya hua hai,laikin sports ki taraf nahin aatay.I think kay shuru main kuch logon ko struggle karna hogi tabhi hamaray haan bhi halaat bahtar ho sakain gay.:rose
    Mind Sciences

    Comment

    • #17
      Re: MUbahisa : Sports Culture in Pakistan ??

      [quote=zapk7;405745]Main aapki baqi baat say ittefaq karti hoon laikin "Lazmi subject" say mujhay ikhtilaaf hai.Maira chunkay teaching say ta'aluq hay is liyay maira tajruba hai kay lazmi subjects nahin hona chahian.Hamaray haan jin subjects ko lazmi parhaya jata hai woh logon per bojh ban jatay hain.Impose karnay say nataij behtar nahin nikaltay.Is liyay main to yehi samajhti hoon kay sports ko lazmi karnay say jo thora bohat shouq hai woh bhi khatam ho jaye ga.

      zakia jee aap bilkul thheek samjhi hain aur main yahan aap sey ittiffaq bhi karta hun,keh agar sports ko laazmi subject ker dia jaaee tho student sports main fail hona shuru ho jaaengey lekin dusrey subjects main zaroor pass hongey :donno:

      Comment

      • #18
        Re: MUbahisa : Sports Culture in Pakistan ??

        Originally posted by zapk7 View Post
        Main aapki baqi baat say ittefaq karti hoon laikin "Lazmi subject" say mujhay ikhtilaaf hai.Maira chunkay teaching say ta'aluq hay is liyay maira tajruba hai kay lazmi subjects nahin hona chahian.Hamaray haan jin subjects ko lazmi parhaya jata hai woh logon per bojh ban jatay hain.Impose karnay say nataij behtar nahin nikaltay.Is liyay main to yehi samajhti hoon kay sports ko lazmi karnay say jo thora bohat shouq hai woh bhi khatam ho jaye ga.
        i don't agree with you
        ager koi girl mathematics naeen perna chatti
        to us key pass option honi chayeh key wo ager tennis acchi khel sakti hay and us ka shok hay to wo tennis subject rakh lay

        ager kisi boy ko history acchi naeen lagti and cricket acchi lagti hay to cricket ka subject rakh lay

        is tarah jis ko jo subject accha lagta ho ga wo woi perhay ga
        hmm sub ko zabardasti aik cheeze keoen perwana chaatey haan jis key baad wo sirf o sirf degree lay key mara mara piray , ya pir kholo key bael ki tarah din bhar aik kam kerta rahey jis main us ka dil na lagta hoo

        app america main dehkain
        basketball main , baseball main "PHD" kerwai jati hay
        yahan sports ko kabi serious lia hi naeen jata
        People should not be afraid of their governments. Governments should be afraid of their people

        Comment

        • #19
          Re: MUbahisa : Sports Culture in Pakistan ??

          [QUOTE=sensible;405812]

          app australia jaeen , america jaeen , app dekain gay key
          Rocket science main degree lena asan hota hay
          lakin sports main itna asan naeen hota
          sakt competions hotey haan un ko jeet ker hi degree milti hay
          naeen to itni training ho jati hay key app professionally khel saktay haan and accha career bana saktay han
          People should not be afraid of their governments. Governments should be afraid of their people

          Comment

          • #20
            Re: MUbahisa : Sports Culture in Pakistan ??

            Originally posted by filbahere View Post
            what about professional sports
            akhir hamary haan sports ko serious keeon naeen lia jata
            jesay app ney kaha perain to lagta hay key app ney bi sports ko kabi serious naeen lia, am i right
            meri jahan tak baat hay mujeh to lenay naeen dia gia
            ji professional sports ko pata hai q exposure nahi milta?
            ik person ki adatin adopt hoti hain childhood mai......yaani school period mai to apko pata hai sports dayz mai sirf sports ki teacher hi support kerti hain baaqi subjects ki teacher ka aisa rawayya hota hai jese ye baccha jo sports mai participate ker raha hai aise hi nalaik hai......itna rude behaviour hoota hai baaqi teachers ka k apni responsibilty per jayye sports mai.....
            aise bacche shuro se hi discouraged hooty hain

            school n colleges mai n unis mai bhi SPORTS WEEK hona chahye jis mai studies na hoon or her baccha encouraged hoo towards sports
            usk ooper koi studies ka burden na ho...........meri ik friend thi sports mai school ki baat hai.......usko itni daant pari thi teacher se sirf is lye k wo sports mai thi per thi wo buhat dheet:kr: usne phir bhi participate kerna nahi choora

            or jahan tak baat hai meri to maine 10th grade of school tak buhat sports kari hai.....apne Bhaioon k saath tab wo log bhi students hooty the or main bhi......per ab wo professional fields mai hain to main bhi ab kis ky saath kheelon?
            meri koi sis nahi to her kaam Bhaion wala hi kiya.........kites bhi fly ki:D or kites phaari bhi:lpop: .....or cricket buhat kheela or bet menton bhi buhat khela........squash k matches live ja ker dekhe.......or apne Bhai ka Tennis ka match bhi live dekha......jab uska competition tha n uski cycling ki race bhi dekhi........or cycling maine bhi buhat kaari hai:D per ab cyle is replaced by car :D :D ....lolzZ........ye bhi to sports hi hai:embarasse

            Comment

            • #21
              Re: MUbahisa : Sports Culture in Pakistan ??

              Originally posted by Me Here View Post
              ji professional sports ko pata hai q exposure nahi milta?
              ik person ki adatin adopt hoti hain childhood mai......yaani school period mai to apko pata hai sports dayz mai sirf sports ki teacher hi support kerti hain baaqi subjects ki teacher ka aisa rawayya hota hai jese ye baccha jo sports mai participate ker raha hai aise hi nalaik hai......itna rude behaviour hoota hai baaqi teachers ka k apni responsibilty per jayye sports mai.....
              aise bacche shuro se hi discouraged hooty hain
              waja yahi hay key hamaray haan sports ko ahmiyat hi naeen di jati
              as i discussed before key yahan taleem is leya ki jati hay
              key taswar kia jata hay
              key
              paro gey , likho gay to hi barey afsar bano gay

              am i wrong
              sports main competition hota hay
              wahan haar jeet hoti hay
              jo logon ko pasand naeen

              jab bachpan sey yeh sekhaya jata hay , isi ka nateeja nikalta hay
              kay hamamry haan as a qoom hmm sports ko ahmiyat naeen detay

              school n colleges mai n unis mai bhi SPORTS WEEK hona chahye jis mai studies na hoon or her baccha encouraged hoo towards sports
              usk ooper koi studies ka burden na ho...........
              app ka zehan abi tak wahin soch raha hay , jo key app ki sports teachers and other teachers nay bataya
              saal main aik ya 2 week sports sey farz pora

              jab key sports required kerti haan key un ko is tarah parhaya jaey jesay Eng
              science etc
              pora saal preparation and study about particular subject
              and compition as a exam

              top 10 in compition got degrees etc
              yahi sub kuch hota hay bahir ki universities main

              yahan sports ko time ka zia samjha jata hay
              and koi logon ko dekhanay key liya school , uni wagera main aik week mana lia jata hay

              meri ik friend thi sports mai school ki baat hai.......usko itni daant pari thi teacher se sirf is lye k wo sports mai thi per thi wo buhat dheet:kr: usne phir bhi participate kerna nahi choora
              esay hi loog hotey haan , jin ko ager kismat saath dey to bi is farsooda nizam main sey bahir nikal ker Pakistan ka name roshan kertay haan

              lakin in jesay bohat sarey thak haar ker himat bi haar jatey haan

              app dekain
              ini logon ko school, colleges main kitna bora bhala kaha jata hay
              lakin ager yeh kamiyab ho jaeen , to pir ini key yahi teachers in key autograph lenay key liya marey marey pirtay haan

              app mujeh bateen key kitnay log her saal degrees letay haan hamary mulk main
              lakin kon janta hay un ko
              kia un key kam sey un key ilwa country ko bi faida hota hay ya naeen

              jab key sports waley jin ko normal education main pernay bi naeen dia jata
              wo country ko her jaga represent kertay haan
              and pori dunia ko batatey haan key hamara bi aik country hay

              pori dunia ney sports ko education main lay aeey haan
              lakin hmm sports ko kabi education ka hisa hi naeen mantey

              or jahan tak baat hai meri to maine 10th grade of school tak buhat sports kari
              not again "Kari"
              hai.....apne Bhaioon k saath tab wo log bhi students hooty the or main bhi......per ab wo professional fields mai hain to main bhi ab kis ky saath kheelon?
              app dekain app ki baat kia hay
              ab wo professional field main haan
              abi tak app key zehan main yeh naeen aya key sports bi aik professional field hay
              yeh kehna chayeeh key aik kam mehnat and compitition wali field main haan

              meri koi sis nahi to her kaam Bhaion wala hi kiya.........kites bhi fly ki:D or kites phaari bhi:lpop: .....or cricket buhat kheela or bet menton bhi buhat khela........squash k matches live ja ker dekhe.......or apne Bhai ka Tennis ka match bhi live dekha......jab uska competition tha n uski cycling ki race bhi dekhi........or cycling maine bhi buhat kaari hai:D per ab cyle is replaced by car :D :D ....lolzZ........ye bhi to sports hi hai:embarasse
              to bahi nay carry on keeon naeen kia
              app ney yakinan sport naeen kia ho ga

              na hi app ney carry on kia na hi app key bahi nay
              yeh sirf app ki baat naeen hay , pory muashray main esa ho raha hay
              sub chatey bi haan key isi field main raheen , lakin rehnay naeen dia jata

              am i wrong
              People should not be afraid of their governments. Governments should be afraid of their people

              Comment

              • #22
                Re: MUbahisa : Sports Culture in Pakistan ??

                Originally posted by filbahere View Post
                i don't agree with you
                ager koi girl mathematics naeen perna chatti
                to us key pass option honi chayeh key wo ager tennis acchi khel sakti hay and us ka shok hay to wo tennis subject rakh lay

                ager kisi boy ko history acchi naeen lagti and cricket acchi lagti hay to cricket ka subject rakh lay

                is tarah jis ko jo subject accha lagta ho ga wo woi perhay ga
                hmm sub ko zabardasti aik cheeze keoen perwana chaatey haan jis key baad wo sirf o sirf degree lay key mara mara piray , ya pir kholo key bael ki tarah din bhar aik kam kerta rahey jis main us ka dil na lagta hoo

                app america main dehkain
                basketball main , baseball main "PHD" kerwai jati hay
                yahan sports ko kabi serious lia hi naeen jata
                Bhai mairay aap to naraaz ho gaye aur aap nay mairi baat ko sahih tarah parha hi nahin.Main nay "lazmi" qarar dainay say ikhtilaaf kiya tha as optional subject to hamaray colleges main yeh parhaya jata hai.Mujhay itna to maloom hai kay is subject main Masters to hamaray haan bhi hota hai Ph.D ka mujhay maloom nahin.
                Mind Sciences

                Comment

                • #23
                  Re: MUbahisa : Sports Culture in Pakistan ??

                  Originally posted by zapk7 View Post
                  Bhai mairay aap to naraaz ho gaye aur aap nay mairi baat ko sahih tarah parha hi nahin.Main nay "lazmi" qarar dainay say ikhtilaaf kiya tha as optional subject to hamaray colleges main yeh parhaya jata hai.Mujhay itna to maloom hai kay is subject main Masters to hamaray haan bhi hota hai Ph.D ka mujhay maloom nahin.
                  how amazing
                  kis university main perhaya jata hay
                  kis school main perhaya jata hay
                  kia app bata sakti haan

                  kitnay graduates haan sports key hamary haan
                  can you tell me plz
                  People should not be afraid of their governments. Governments should be afraid of their people

                  Comment

                  Working...
                  X