Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

MUbahisa : Sports Culture in Pakistan ??

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • MUbahisa : Sports Culture in Pakistan ??

    Asalam-0-Alikum
    Aik question kafi arsay sey meray zehan main gardish ker raha hay
    key Pakistan main "SPORTS CULTURE" keeon naeen laya ja sakta

    ager app apney mulk key sports ki taraf dehkain to yeh dunia main shayed sab sey bori haan

    her media , her jaga , log taleem ki baat to kertay haan lakin kabi bi sports ko apnaney ki baat naeen kertay

    dunia main jitni bi taraqi yafta qoomain hain app un ki sports dekain wo bi usi tarteeb sey hoti haan
    olampic wagera main bi America, Russia, Germany ,Japan wagera agey hotay haan

    hmm ro ro key aik , 2 sports kehltay haan ab un ka haal bi app key samney hay
    hockey and cricket dono hi tabi key dhaney per khari haan

    waldein bachoon ko khelney naeen detay

    ager esa keeon hay

    dunia key taraqi yafta mumalik main bacha us wakat tak school main dhakil naeen ho sakta jab tak wo kisi sports main hissa na lay

    pori dunia main education behtar insan banney key liya hasil ki jati haay and Pakistan main nokari hasil kernay key liya
    pesa na milnay ka itna dar hota hay key apney bachoon ko khelnay bi naeen dia jata , zabardasti perhaya jata hay why

    cricket ki taraf dehkain , Imran khan ager accha system lana chata hay , jis main regions ki team khelain , to log kehtay haan naeen Banks ki teams acchi hoti haan because wo nokari dey dain gay , ager bachon ko nokari naeen milay gi to waldein un ko khelnay kesay dein gay

    mujeh yeh bataeen ager app for example england main football league dehkain kia wahan bank nokari detay haan
    wahan to clubs apney contract rakhtay haan , jo accha kehlta hay wo zeada pesa kamata hay and jo kharab kehlta hay wo kam pesa kamata hay

    wahan amm sey club sey khelanay wala lakoon rupees tak kama leta hay
    yahan banks key chand hazar rupees key liya log system naeen badlna chateey

    waldein ko bachay 20 sey 30 hazar rupees ki clerky ( app jo marzi name dey dain desk per bet ker kam kerna ka ) acchi lagti hay
    lakin khel sey lakon rupees and specially bachoon ki asal khushi pasand naeen hoti

    for example main apni misal deta hoon
    i am doing MS and inshallah bhoat jald PHD start ho jaey gi meri
    through out my career main ney hamesha sports ko miss kia

    ager Pakistan main bi English premiere type ki football ho rahi hoti to shayed main aik footballer hota
    and main ajj sey bohat khush hota
    mera nazria perhai ha key insan ko sirf apney lia perhna chayeh , na key nokari hasil kernay key liya

    main dehkata hoon muashray main , chotay chotay bachy barey barey school bags uttay pir rahey hotay haan
    class main ratta marney ka pressure
    zeada sey zeada numbers lena ka pressure
    khelaon sey dori

    akhir hmm apney moashray ko kidar lay ker ja rahey haan
    don't you think key sports bi itni ahmiat hay wo bi studies ka part hona chayeh

    for example koi baccha matric karey with major cricket
    koi bacchi fsc karey with major tennis
    koi BA karey with major chess
    etc etc

    pir her banda apney talent key hisab sey apni jaga pohanch jaey
    aik baccha jis main football key guts hoon wo football field main ho and wo kisi jaga clerki na ker raha ho
    aik bacchi jis main tennis star banney ki salayait ho wo kis school main kahri parha na rahi ho

    meray khial main sports culture key na honey ney hamary baki shobon per bi bohat bura asar dala hay
    for example , sports ki salayat waley sports main to naen ja sakey lakin
    BSC MSC wager ki degree lay ker marey marey pir rahey haan rozgar ki talash main

    england main dehkain , lakon loog sirf football sey rozi kama rahey haan
    and wo pakistan main acchay sey acchay company main kam kernay walsey sey zeada kama bi rahey haan and khosh bi haan

    app key kheial main kia sports culture ki zarorat naeen hay Pakistan ko
    ager haay to kis tarah laya ja sakta hay
    People should not be afraid of their governments. Governments should be afraid of their people

  • #2
    Re: MUbahisa : Sports Culture in Pakistan ??

    nice writing
    sports culture see ziadaa important masaill main pk iss waqt uljhaa howaa haii lihazaaa no need
    "Can you imagine what I would do if I could do all I can? "

    Comment

    • #3
      Re: MUbahisa : Sports Culture in Pakistan ??

      Originally posted by sarfraz_qamar View Post
      nice writing
      sports culture see ziadaa important masaill main pk iss waqt uljhaa howaa haii lihazaaa no need
      app ki baat sey andaza ho raha hay key pakistani sports ko kitni ahmiyat detay haan
      People should not be afraid of their governments. Governments should be afraid of their people

      Comment

      • #4
        Re: MUbahisa : Sports Culture in Pakistan ??

        Bhai! baat yeh hai kay hamaray haan away ka awa hi bigra hua hai.Sports main kabhi hockey,cricket aur squash main hamara bol bala tha laikin ham nay inka bhi baira gharq kar diya hai.
        Aapki tajaweez achi hain,laikin masla in per amal ka hai.Agar ham bari ta'adad main sports ko frogh dain to hamari new generation aik positive kaam main mashgool ho sakti hai aur un main frustration kam ho sakti hai.
        Main aap say 100% agree karti hoon kay hamaray haan sports culture ko grogh milna chahiyay.:thmbup:
        Mind Sciences

        Comment

        • #5
          Re: MUbahisa : Sports Culture in Pakistan ??

          Originally posted by zapk7 View Post

          yeh bi rahey dee dain key apni apney gher ki had tak kis tarah ker saktey haan
          for example hmm to gharoon main dehktay haan
          key waldein bachoon ko bilkul kisi sports main hisa lenay hi naeen detay
          sports ko wakat ka zia kaha jata hay
          app ki kia rahey haay is ko kesay badla ja sakta hay
          infaradi soch ko kesay change kia jaey
          People should not be afraid of their governments. Governments should be afraid of their people

          Comment

          • #6
            Re: MUbahisa : Sports Culture in Pakistan ??

            Originally posted by filbahere View Post

            Main student life main player rahi hoon aur ab bhi jab mouqa milay apnay students kay saath khailti hoon.Mujhay sports kay yeh fwaid milay hain.
            1.Discipline.jab khilari usoolon ki pabandi karta hai aur umpire ya refree kay faislay per sar jhukata hai to disciplined banta hai.
            2.Fair play.Foul per saza players ko fair play sikhati hai.
            3.Courage.Khal kay maidan main haar aur jeet ka amal hota hai.khilari apnay say ziada bahtar khilari ka samna bhi karta hai,jo amli maidan main bhi iskay kaam aata hai.
            4.Stratedgy.khilari jeetnay kay liyay hikmat-e-amli tarteeb daita hai jo bahtar zindagi kay liyay bhi zaroori hai.
            5.Sports manship.Sab say aham cheez.ham har waqt jeet'tay hi nahin hartay bhi hain.har ko bardasht karnay ka hosla hamain sports say hi milta hai.
            Bhai mairay main apni students main sports ka shouq paida karnay ki koshish karti rahti hoon.Maira khiyal hai agar ham sab apni apni jaga is kay liyay koshan hoon to kamyabi ho sakti hai.
            Baqoul shair:
            Shikwa-e-zulmat-e-shab say to kahin behtar tha
            Apnay hissay ki hi ham shamain jalatay jatay.
            Main apnay hisay ki shama jala rahi hoon aap apnay hissay ka kaam karain.Aur achai ki umeed rakhain.:thmbup:
            Mind Sciences

            Comment

            • #7
              Re: MUbahisa : Sports Culture in Pakistan ??

              [quote=filbahere;402762]app ki baat sey andaza ho raha hay key pakistani sports ko kitni ahmiyat detay haan[/quo
              its my point of view may be it wrong
              "Can you imagine what I would do if I could do all I can? "

              Comment

              • #8
                Re: MUbahisa : Sports Culture in Pakistan ??

                WAlikum Assalam!

                bilkul thiik kaha
                sports to essential part hai l;ife ka
                insaan active rehta hai......
                ik zamana tha jab main bhi sports se in touch thi:lpop:
                tab main active bacchi thi healthy c.........:blush:
                ab to.........time hi nahi milta:embarasse + koi sath hi nahi deta...... sab bhai log busssy:donno:

                sports zaroor hooni chahye........waasy ghar ki safae bhi sports se kam nahi aj kal to just long walk per guzara hai mera:embarasse

                Comment

                • #9
                  Re: MUbahisa : Sports Culture in Pakistan ??

                  Originally posted by sarfraz_qamar View Post
                  its my point of view may be it wrong
                  just for a time being other matters ko leave ker kay sochain key kia sports culture pakistan main aa sakta hay key naeen
                  detail required hay app sey
                  thanx
                  People should not be afraid of their governments. Governments should be afraid of their people

                  Comment

                  • #10
                    Re: MUbahisa : Sports Culture in Pakistan ??

                    Originally posted by Me Here View Post
                    WAlikum Assalam!

                    bilkul thiik kaha
                    sports to essential part hai l;ife ka
                    insaan active rehta hai......
                    ik zamana tha jab main bhi sports se in touch thi:lpop:
                    tab main active bacchi thi healthy c.........:blush:
                    ab to.........time hi nahi milta:embarasse + koi sath hi nahi deta...... sab bhai log busssy:donno:

                    sports zaroor hooni chahye........waasy ghar ki safae bhi sports se kam nahi aj kal to just long walk per guzara hai mera:embarasse
                    what about professional sports
                    akhir hamary haan sports ko serious keeon naeen lia jata
                    jesay app ney kaha perain to lagta hay key app ney bi sports ko kabi serious naeen lia, am i right
                    meri jahan tak baat hay mujeh to lenay naeen dia gia
                    People should not be afraid of their governments. Governments should be afraid of their people

                    Comment

                    • #11
                      Re: MUbahisa : Sports Culture in Pakistan ??

                      Originally posted by zapk7 View Post
                      Main student life main player rahi hoon aur ab bhi jab mouqa milay apnay students kay saath khailti hoon.Mujhay sports kay yeh fwaid milay hain.
                      1.Discipline.jab khilari usoolon ki pabandi karta hai aur umpire ya refree kay faislay per sar jhukata hai to disciplined banta hai.
                      2.Fair play.Foul per saza players ko fair play sikhati hai.
                      3.Courage.Khal kay maidan main haar aur jeet ka amal hota hai.khilari apnay say ziada bahtar khilari ka samna bhi karta hai,jo amli maidan main bhi iskay kaam aata hai.
                      4.Stratedgy.khilari jeetnay kay liyay hikmat-e-amli tarteeb daita hai jo bahtar zindagi kay liyay bhi zaroori hai.
                      5.Sports manship.Sab say aham cheez.ham har waqt jeet'tay hi nahin hartay bhi hain.har ko bardasht karnay ka hosla hamain sports say hi milta hai.
                      Bhai mairay main apni students main sports ka shouq paida karnay ki koshish karti rahti hoon.Maira khiyal hai agar ham sab apni apni jaga is kay liyay koshan hoon to kamyabi ho sakti hai.
                      Baqoul shair:
                      Shikwa-e-zulmat-e-shab say to kahin behtar tha
                      Apnay hissay ki hi ham shamain jalatay jatay.
                      Main apnay hisay ki shama jala rahi hoon aap apnay hissay ka kaam karain.Aur achai ki umeed rakhain.:thmbup:
                      yeh app ney bataya naeen key kis cheeze ney app ko professionally sports main aney sey roka
                      People should not be afraid of their governments. Governments should be afraid of their people

                      Comment

                      • #12
                        Re: MUbahisa : Sports Culture in Pakistan ??

                        Originally posted by filbahere View Post
                        yeh app ney bataya naeen key kis cheeze ney app ko professionally sports main aney sey roka
                        Bhai mairay main aik chotay say shehar main rahti hoon,mairay paas mawaqah bhi nahin thay.Is kay ilawa mairay paas kai options thay,sports say main nay jo kuch seekha woh practical life main kaam aa raha hai laikin jo kuch main nay doosri kutub say seekha woh shaid sports main mairay kaam na aa sakta.
                        Waisay yeh maira khiyal hai jo aap soch rahay hain woh bhi ghalat nahin hai;agar main sports to batour profession apnanay ki baat karti to shaid mairay ghar main koi bhi maira saath na daita.
                        Mujhay lag raha hai kay aap is pahloo per aana chahtay hain kay ghar walon ki soch ko badla jaye aur woh apnay bachoon ko is field main aanay dain.Main aapki is baat say mutafiq hoon.Laikin hamaray haan sirf cricket hi aik aisa kheil hai jis main logon ko lakhon ki amdan hoti hai baaqi kisi sports main muashi tahafuz nahin hai,aisay main koun walidain apnay bachon ko is taraf bhaijain gay?
                        Mind Sciences

                        Comment

                        • #13
                          Re: MUbahisa : Sports Culture in Pakistan ??

                          Originally posted by zapk7 View Post
                          Bhai mairay main aik chotay say shehar main rahti hoon,mairay paas mawaqah bhi nahin thay.

                          mawaqah us wakat miltay haan jab support kernay waloon ko support bi ho and jazba bi ho , kisi aik ki kami sub kuch khatam ker deti hay
                          Is kay ilawa mairay paas kai options thay,sports say main nay jo kuch seekha woh practical life main kaam aa raha hai laikin jo kuch main nay doosri kutub say seekha woh shaid sports main mairay kaam na aa sakta.
                          yahan mujeh app sey torah sa iktalaf hay
                          app ney kaha key sport sey jo kuch sekha wo practical life main kam aa raha hay
                          yahin pay problem hay, hmm log kabi sports ko bi practical naeen samjtay
                          hmm hamesha yahi samjtay haan key jo hmm 20 sey 30 k ki job kareen gay woi practicale life hay and sports naeen hay
                          kia app key khial main log esa hi naeen soch rahey
                          sports ko bilkul aik bikar non practical cheeze samjtay
                          app ney to chaloo us sey koi faida uttaya
                          bohat sey log esay bi haan jinoon ney itni zehmat bi gowara naeen ki key us sey kuch faida uttya jaey

                          Waisay yeh maira khiyal hai jo aap soch rahay hain woh bhi ghalat nahin hai;agar main sports to batour profession apnanay ki baat karti to shaid mairay ghar main koi bhi maira saath na daita.
                          Mujhay lag raha hai kay aap is pahloo per aana chahtay hain kay ghar walon ki soch ko badla jaye aur woh apnay bachoon ko is field main aanay dain.

                          now you got my point
                          see key hmm sub ki apni apni kabliat hoti hay
                          kuch studies main acchay hotey haan
                          kuch sports main
                          and very few both main

                          lakin hamary muashray ney sub ko sirf o sirf studies per laga dia hay
                          jo studies main bohat acchay they wo to kamayab ho gaey
                          jin ko zabardasti sports sey alag ker key studies main laey
                          wo degrees yafta to ho gaey
                          lakin pir pehlay wo job ki talash main marey marey pirtay rahey
                          job mili bi to 20 to 30 thousand key liya sari life kharab
                          bus donkey ki tarah chup chap lagey raheen gay
                          na koi interest na kuch bus life guzarni hay so job ker rahey haan
                          and nothing else

                          is ki jaga ager wo sports men ya women hotey to life enjoy bi kertay and pesa bi banatey and sub sey zeada apni life sey khush hotey

                          kia app esa mehsoos naeen kerteen
                          ---------------------------------------
                          ab dehkain ager waldein nay chaa hota key app jitni necessary taleem hay wo to laeen lakin ager app sports main khushi hasil kerti haan and app ka talent hay to app us ko professionally apnaeen
                          to ho sakta tha key ajj sey zeada khush hoteen
                          and financially strong bi shahyed zeada hoteen

                          lakin yeh hamaray waldein ,muashray ka kasoor hay key yehan nokari ko to zeada ahmiyat di jati hay , lakin sports ko naeen

                          Main aapki is baat say mutafiq hoon.Laikin hamaray haan sirf cricket hi aik aisa kheil hai jis main logon ko lakhon ki amdan hoti hai baaqi kisi sports main muashi tahafuz nahin hai,aisay main koun walidain apnay bachon ko is taraf bhaijain gay?
                          i don't think so

                          india main dehkain wahan halat badal rahey haan
                          app key samney sania mirza ki misal hay, sirf waldein ney sport kia to us makam per aa gai jo porey country main kisi mard ko bi naeen mila

                          hamary muashray main faishon designer , faishon artist to log ban rahey haan lakin sports ki taraf koi naeen ata keeon key us main competition hota hay and yahan kuch naeen

                          ager meray bus main ho to main in sey bi faida uttaoon , for example aik competion rakwaya jaey key esa dress tear karo jo key girls key liya hijab bi pora kareey and sports main hisa letay wakat unconfortable bi na ho

                          hamary haan faishon designors wagera sirf uriani ka to sochtay haan lakin kabi koi productive kam naeen kertay

                          mera apna kafi conservative gheraney sey taluk hay ,bohat si larkian sports main ana chati haan lakin , wo hijab bi chorna naeen chatieen
                          to yeh jo itney faishon designer bantey haan , esa hijab keeon naeen banatey key jab girls kehlain to log un key khel ko dekain na key girls ko

                          kher baat kahan sey kahan chali gai

                          ager sirf waldein is tarah sochna shorow ker dain
                          to main keh sakta hoon , financer bi aeen agy and halat bi badlien gay
                          baat sirf yeh hay key log
                          sports ko practicle samjna shorow to kareen
                          People should not be afraid of their governments. Governments should be afraid of their people

                          Comment

                          • #14
                            Re: MUbahisa : Sports Culture in Pakistan ??

                            main aap sub logon sey ittifaaq karta hun,main tho sumajhta hun keh sports ko prep sey laiker her course keysaathh aik laazmi subject hona chahiye,kiunkeh issi sey tho zehzn ki asal nashonuma hoti hai,humaari puri qoam sust ho chuki hai,sirf aur sirf sochti hai aur aur woh bhi munfi andaaz mey,sports aur exercises soch key maayar ko buland karti hai aur practical banati hai.

                            Comment

                            • #15
                              Re: MUbahisa : Sports Culture in Pakistan ??

                              Originally posted by sensible View Post
                              main aap sub logon sey ittifaaq karta hun,main tho sumajhta hun keh sports ko prep sey laiker her course keysaathh aik laazmi subject hona chahiye,kiunkeh issi sey tho zehzn ki asal nashonuma hoti hai,humaari puri qoam sust ho chuki hai,sirf aur sirf sochti hai aur aur woh bhi munfi andaaz mey,sports aur exercises soch key maayar ko buland karti hai aur practical banati hai.
                              Main aapki baqi baat say ittefaq karti hoon laikin "Lazmi subject" say mujhay ikhtilaaf hai.Maira chunkay teaching say ta'aluq hay is liyay maira tajruba hai kay lazmi subjects nahin hona chahian.Hamaray haan jin subjects ko lazmi parhaya jata hai woh logon per bojh ban jatay hain.Impose karnay say nataij behtar nahin nikaltay.Is liyay main to yehi samajhti hoon kay sports ko lazmi karnay say jo thora bohat shouq hai woh bhi khatam ho jaye ga.
                              Mind Sciences

                              Comment

                              Working...
                              X